MOLA HUSSAIN KI SAFAR E KARBALA KI MUKHTASIR TAREEKH
kuch log kehtay hen k kerbala ka waqia achanak hua or Imam Hussain ko pata nh tha k un k sath kia honay wala hay islye wo orton or bachon ko sath lay gae
haqeeqat ye hay k kerbala ki khabar khud rasool e pak ne d the or mola Hussain to kia murtajiz tak sub halat se waqif thay isi lye mola Hussain ne apni wasiyat me fermaya tha k me apnay nan ki umat ki islah k lye qayam kr raha hon
sin 60 hijri me 27 rajab ko madina k hakim walid ko yazeed ka khat mila jis me mola se ya to ba;at ka mutaliba tha or na man'nay ki surat me shahadat ki dhamki the jis k bina per mola ne madinay se 28 Rajab ko kerbala ka safar shuru kia q k mola jantay thay k unki wadagah madina nh karbala hay.
3 shaban ko mola Makkah pohchay or apnay khandan k sath ah'ab e abi talib me bait al sharaf me qayam kia
is doran Mola ne apnay qasid basra or kufa ki janib rawana kye jin me kufa ki janaib pehlay qasid QAIS BIN MOSAHAR thay or Basra ki janib janab e Suleman thay
7 zilhaj ko pata chala k mola k qatl k iraday se 80 log libas e haj me makkah me dakhil hue hen or unka sardar Umer e sa'ad maloon tha jis ne janab e Suleman ka kafi door tak peecha b kia or un ko roknay k lye un k susral walon ko daraya dhamkaya b lekin koe faida nh huwa or janab e Suleman her soorat Basra ki taraf rawana ho gae
8 zilhajj ko mola Hussain ne Dua e Arafa perhi or hajj ko umray se badal kr azim e kerbala hue
Janab e Ibn e Abbass or Mohammad e hanafiya ne mola ko rokna chaha lekin mola ne apna irada qaim rakha jub un se guzarish ki gae k wo mukhadirat or bachon ko na le jaen to unhon ne fermaya k un ka jana zaruri ay or waqt ne bataya k waqae agr BB ZAINAB or Shahzada Ali Asgher jesi hastiyan na hoti to mission e kerbala adhora reh jata or mawiya k namak khwaron ka propaganda haq sabit hojata k ye iqtadar per 2 shahzadon ki jang the per BB Zainab k khutbon ne asal haqeeqat se perda uthaya.
mola pak ap ko kush rakhy bht bht
ReplyDelete