Friday 2 October 2015

EID GHADEER

1 comment:

Payambaro'n ne jo maangi hai wo dua hai Ghadeer;
Jo goonjti rahe ta-hashr, wo sada hai Ghadeer;
Jo ruk sake na, wo aylaan e Mustafa hai Ghadeer;
Ke ibteda Zul-asheera hai, inteha hai Ghadeer;

Ghadeer manzil e in'aam e javedaani hai;
Ghadeer mazhab e Islam ki jawaani hai;

Ghadeer daaman e sidq o safa ki daulat hai;
Ghadeer Kaba o Qur'an ki zamaanat hai;
Ghadeer sarhad e maidaan e aadmiyat hai;
Ghadeer deen ki sabse badi zaroorat hai;

Ghadeer manzil e maqsood hai Rasoolo'n ki;
Ghadeer fatha hai Islaam ke usoolo'n ki;

Mata e kaun o makaa'n ko Ghadeer kehte hai'n;
Charaagh e khaana e jaa'n ko Ghadeer kehte hai'n;
Sadaqato'n ki zabaa'n ko Ghadeer kehte hai'n;
Amal ki rooh e rawa'n ko Ghadeer kehte hai'n;

Ghadeer manzil e takmeel hai, safar na kaho;
Nabi ki subh e tamanna hai, do-pahar na kaho;

Ghadeer naam hai Allah ki ibaadat ka;
Ghadeer naam hai insaan ki sharafat ka;
Ghadeer naam hai nau e bashar ki azmat ka;
Ghadeer naam hai rabt e kitaab o itrat ka;

Jaha'n me jo hai isi ke safar ka sadqa hai;
Har ek subha isi do-pahar ka sadqa hai;

Kahi'n sukoo'n, kahi'n jhankaar ban gayi hai Ghadeer;
Kabhi sada e sar e daar ban gayi hai Ghadeer;
Kahi'n qalam, kahi'n talwaar ban gayi hai Ghadeer;
Kahi'n dua, kahi'n inkaar ban gayi hai Ghadeer;

Ye sab asaasa e ilm o yaqeen mit jaata;
Agar Ghadeer na hoti to deen mit jaata;

Dil e Payambar e a'azam ka chain bhi hai Ghadeer;
Namood e qoowat e Badr o Hunain bhi hai Ghadeer;
Lab e Batool pe faryaad o shayn bhi hai Ghadeer;
Hasan ki sulha bhi, jung e Hussain bhi hai Ghadeer;

Kabhi sada e jaras ban ke raah me aayi;
kafan pehen ke kabhi qatl-gaah me aayi;

Nabi ke baad saf e ashqeya jab aayi thi;
Adaawat Aal e Payamber ki rang laayi thi;
Sitam-parasto'n ne kab aastee'n chadhaayi thi;
Jamal ki aur na Siffeen ki ladaayi thi;

Na samjho tha wo Shah e Qil'a-geer per hamla;
Kiya tha ahl e hawas ne Ghadeer per hamla;

Ye aarzu thi mita de'nge naqsh e paa e Ghadeer;
Samajh rahe the'n ke maqtal hai intehaa e Ghadeer;
Magar na ruk saki tegho'n se bhi hawaa e Ghadeer;
Sina'n ki noak pe bhi goonj uthi, sadaa e Ghadeer;

Lahu me gharq har ek haq-pasand ho ke raha;
Magar Ghadeer ka parcham buland ho ke raha;

Nifaaq o kufr ke ghero'n ne raasta roka;
Jafa o zulm ke dero'n ne raasta roka;
Jehaalato'n ke andhero'n ne raasta roka;
Qadam qadam pa lutero'n ne raasta roka;

Jo sirr e raah basad nakhwat o ghuroor hue;
Wo sab Ghadeer se takra ke choor choor hue;

Jo haq-parast the wo sab daar per chadhaaye gaye;
Na jaane kitne ghareebo'n ke ghar jalaaye gaye;
Naqoosh e haq o sadaqatg jo the'n, mitaaye gaye;
Zabaane'n kaati gayi'n aur lahu bahaaye gaye;

Jo ek mareez ko bedi pinhane aaye the'n;
Wo sab Ghadeer ko qaidi banaane aaye the'n;

Sitam-garo'n se kaho, qatl e aam kerte rahe'n;
Nabi ke qaul ki tadeel, khaam kerte rahe'n;
Jo ker gaye hai'n ab o jad, wpo kaam kerte rahe'n;
Hazaaro'n zulm o sitam subh o shaam kerte rahe'n;

Magar Ghadeer ka aylaan, ruk nahi sakta;
Utha tha Khumm se jo toofaan ruk nahi sakta;

Jaha'n me deen e Khuda ka nizaam baaqi hai;
Feza me zoar e durood o salam baaqi hai;
Sadaqato'n ka wo hi faiz e aam baaqi hai;
Khaleefa koyi nahi hai, Imam baaqi hai;

Ke waaris e asad e qila-geer zinda hai;
Saqeefa mar gaya, lekin Ghadeer zinda hai;

Ghadeer ki hi mehek laala o gulaab me hai;
Ghadeer har dil e momin ke izteraab me hai;
Isi ki rooh har aawaaz e inqelaab me hai;
Isi ki roo rage masti ke pech o taab me hai;

Jo zikr aaye to baatil ka dum nikalta hai;
Ye wo charaagh hai jo aandhiyo'n me jalta hai;

Ghadeer adl e Ilaahi ka rishta e masoom;
Jaha'n me deen e Khuda hai Ghadeer se mausoom;
Samajh saka na zamaana Ghadeer ka maf'hoom;
Ghadeer kal bhi thi mazloom, ab bhi hai mazloom;

Sitam koyi bhi kare, wo adoo Ghadeer ka hai;
Kisi ke zakhm se tapke lahu, Ghadeer ka hai;

Sitam kiye hai'n bohut waqt ke shareero'n ne;
Mitaaye naqsh e wafa khanjaro'n ne teero'n ne;
Hadeese'n daali hai'n dunya ke be-zameero'n ne;
Fasaane likkhe'n hai'n, darbaar ke aseero'n ne;

Ali ke laal ka jab, haath thaam legi Ghadeer;
Sitamgaro'n se zaroor inteqaam legi Ghadeer;

Dr.payaam aazmi.

1 comment:

 
back to top