SalaM Ya Syeda Tahira JanaB e Zehra s.a
HijaB e EsmaT Se Ezn Ly KAr
MAi ShaN e Bint e RasoOl Likhun
QalaM K UpaR NaQaB Dy Kar
AdaB Se LAfZ e BatoOl Likhun
Hai PanjetaN KA Wohi Ta'aruf
Kull TaharaT Ki ArzoO HAi
Nissa Ki Puri HadeeS Parh Lo
Wohi To MAfhoOm e GuftagoO Hai
Mubahila Ki SadaQatoN MAi
" NISSA INNA " KA ShamooL Likhun
WAjoOd e EffaT K Is ChamaN Mai
Hayaa Ka Pehla NazoOl Likhun
Wo AyatoN Ki TaraH MuQadaS
Wo Hai Khadija Ki NAiK Beti
MubahilaY Ny Ye RaaZ Khola
NAbi Ki DekhO Hai Ek Beta
~~~~~
AllaH jj JanaY Us GhaR Ka Kiya RiwaaJ HAi
Zehra s.a Ko Arsh Py FarishtoN Ny Khuda Samjha
Ali asws Ko FArsh Py InsanO Ny Khuda Samjha
~~~~~
Chakki Ka Peesna B IbadaT BatoOl Ki
QuraaN Ki AyaTon Mai SadaQaT Batool Ki
Hai Ata'aT e RAsooL Ata'aT BatooL Ki
Kam Aai Karbala Mai RiyazaT BatoOl Ki
ChokhaT Py In Ki SajdaY Ko Jhukta Hai AasmaaN
Ruk Jaen AgaR Jo ChaltaY Mai Rukta Hai AasmaN
~~~~~
Darya e Ilm e AjaR RisalaT Hain @[100001771778505:Fatima]
QuraaN IkhtiSaR, FasahaT Hain Fatima
MehrooMa AdaL, RooH e AdalaT Hain Fatima
AllaH k Nabi Ki MohabaT Hain Fatima
RaaZ HayaT Bint e Nabi Ki HayaT Mai
Maa Aesi Hum Ny Dekhi Nahi KainaT Mai
~~~~~
LAb e Payghamber e AkhiR Ka Wazeefa Zehra
ChashaM e QuraaN Se Dekho To Sahifa zehra
EsmaT o EffaT o HikmaT Ka Khazeena zehra
Abd o MaboOd k Ma'bain Waseela Zehra
Is waseelaY Ki Agar Rehnumai Na MilaY
Khud Rasoolon Ki Duaon Ko Rasaee MilaY
~~~~~
HijaB e QudraT e Rab e Samad, HussaiN Ki Maa
Har Ek SifaT MAi HAi Apni Ahad, HussaiN Ki Maa
Hai Kibriyaee Ki Asli SanaD, Hussain Ki Maa
Woh Jiski Had Nahi Uski HAi HAD, Hussain Ki Maa
Ye Baat TheeK HAi, Ye Baat TheeK Hi Rehti
Ali Na HotaY to Ye La'ShareK Hi Rehti
~~~~~
Maaa AftaB e Zeest HAi Maa Haft e AasmaN
Maa Barish e GaraM HAi MohabaT Ki KehkashaN
Is Ek LAfz MAi SimaT Aye Zaman MakaN
Ma Fatima Agar Ho To PhiR Arsh AastaaN
Dil o ZubaN o Zehn MAi Kuch Fasla NA Ho
Jo Bhi Likhun MAi Mola Wo Mera Kaha Na Ho
~~~~~
Teri TAsbeeH k Daano Ka Sahara Ly KAR
Mashwara LoG MashiyaT Se Kiya Karty Hain
~~~~~~
yaa raaziya yaa marziya yaa tahera yaa sayyada 2
yeh fakhre aamina sarmaayae rasool bhi hai
yeh fatema bhi hai zahra bhi hai butool bhi hai 3
har ek sawaal ka behtar jawaab zinda hai
sadaaqato ka mukammal nisaab zinda hai
bahaare baaghe risaalat ma aab zinda hai
khuda ke bando khuda ki kitab zinda hai
bayaan azmatei khaatoone qaaenat suno
mubahele ki zubaan se khuda ki baat suno
kaha jo bizato minni toh ho gaya maalum
dile rasul ki surat hai fatema maasum
kamaale ilm se aisa bana diya maqsoom
naseeb ho gaye 11 imamato k nuzool
waqaar binte nabi me na kuch kami aaye
khuda ke ghar mei isi waaste ali aaye
ali ne shukr se mazdooriyo me din kaate
nabi ki beti ne chakki me khusk jao peese
ali ne baago me paani diya jihaad kiye
nabi ki beti ne faako me bhar diye sajde
jihaad nafs ka maidaa ali ke haath raha
kamaale sabro riza faatima k saath raha
wo ek chota sa ghar poori kaaenat ka dil
woh ek hujra imamat ke noor ki manzil
woh baamodar jinhe sajda kare mahe kaamil
woh ek nakhl ke saaye me khuld ki mehfil
adab ke saath balandi ka har nishaan jhuke
jaha kaneez ke rube pe aasmaan jhuke
banaame faatema ummat ki betiya jaage
nigaahe akl se raftaare zindagi dekhe
baraaye ghairate dil apne aap se puche
kise milegi jagah fatema ki mehfil me
khuda kare woh tamashaae rozgaar naa ho
rasule paak ki beti se sharmsaar na ho
dhua tanoor se uttha to saaelo k liye
khameer ho gaya aata musafiro ke liye
sukoone qalb ka samaan bekaso k liye
gizaaye sabro riza apne kamsino k liye
isi makaam pe khairul amal ke jalwe hai
yahi woh har hai jaha inqilaab palte hai
ali ke chehrae aqdas pe ambiya ka jalaal
wujud fatema zahra pe mustafa ka jamaal
ali ke dam se jaha me tajalliyo k nehal
mataye fatema zahra hasan husain se laal
ali ne masjide kufa me zakhm khaaya hai
zamaane waalo ne zahra ko bhi rulaaya hai
........
Syeda, Tahira, Abida, Zahida, Taiyaba, Raziya, Marziya, Adila,
Sajida Hura Batool e O Zara x2
Surah e Qadr ka yeh nara hai
Ap kya janeey Fatima kya hai
Jis ko Mukhtar e amr kehthay hain
Jis ki ratoon ko qadr kehthay hain
Subho ko jis ki Fajar kehthay hain
Shaam ko jis ki asr kehthay hain
Har zamanay pay jis ka qabza hain
Ap kya janey Fatima kya hai x2
Qadr jis ko sada qaza nay kaha
Syeda jis ko Murtaza nay kaha
Apni maa jis ko Mustafa nay kaha
Kanzay Maghfi jisay khuda nay kaha
Jis ki chokhat pay kaba jhukta hain
Ap kya janey Fatima kya hai x2
Jis kay dar say ho hal ata ko ata
Inaman ki aman ka hai gosha
Kul kafa jis ko khud gawaha bana
Fateha kar rahi hai jis ki sana
Pura Quran hee qasida hai
Ap kya janey Fatima kya hai x2
Jis ki chadar ko asmaan kahiye
Apnay bachon ka sahiban kahiye
Isko alhumd ka nishaan kahiye
Hushr kid hoop main amaan kahiye
Kulay imaan ka jo musala hai
Ap kya janey Fatima kya hai x2
Jiska baba Rasool aashiq e rab
Jiskay baitay Hassan Hussain laqab
Yeh jahan main hain sab say acha nasab
Jiska shohar Ali ameer e arab
Surah e noor jiska shajrah hai
Ap kya janey Fatima kya hai x2
Yeh gharaana sakhi mila humko
Isi ghar say Nabi mila humko
Har wasi, har wali mila humko
Aik wali kya, Ali mila humko
Isi ghar say khuda bhi paya hai
Ap kya janey Fatima kya hai x2
Jiska aik baita hai Imam e Hassan
Aik baita Hussain Shah e Zaman
Ai, Abbas mislay qila shikan
Jis nay seekha Ali say jang e ka fan
Jis ka dariya pay ab bhi qabza hai
Ap kya janey Fatima kya hai x2
Ghazi bola mizaaj keher main hai
Mera hum pala koun sheher main hai
Pyaas ka sud e baab neher main hai
Neher yeh Syeda ke neher main hai
Meher yeh khud khuda nay rakha hai
Ap kya janey Fatima kya hai x2
Dar pay jo sar jhuka nahi karta
Deen o Majid wo paa nahi sakta
Har koyi dark o paa nahi sakta
Aira ghaira to aa nahi sakta
Malakul mawt aa kay rukta hai
Ap kya janey Fatima kya hai x2
..........
noor ki anjuman faatima
markaze panjetan faatima
arsh se ban ke aayi hai tu
murtaza ki dulhan faatema
kehkasha se zyaada hasee
tere ghar kaa chaman faatema
khuld ka arsh par hai dimaa
chu ke tere charan faatima
kab kisi maa ne paida kiye
fir hussaino hasan faatima
ban gaya tera baaghe fidak
ghaasibo ka kafan faatima
boli zainab se ruhe ali
sar utha aur ban faatima
hai yeh qaule nabi ai sarosh
mera tan mera man faatema.
No comments:
Post a Comment