Saturday 2 April 2016

QUIZ ON VILADAT E BIBI ZEHRA S.A. (SAWAL-JAWAB)

3 comments:

TOPIC- QUR'AN

Que-1⃣ Quraan-E-Kareem Me Sabse Achhi Khaane Ki Chiz Ka Zikr Hai Wo Kya Hai?
Ans-▶Shahed(Honey)

Que-2⃣ Quraan-E-Kareem Me Sabse Achhi Raat Ka Jo Zikr Hai Wo Konsi Raat Hai?
Ans-▶Shab-E-Qdr

Que-3⃣ Quraan-E-Kareem Me Konsa Sura Furu-E-Deen Me Se Kisi Ek Ka Naam Hai?
Ans-▶Sura-E-Hajj

Que-4⃣ Quraan-E-Kareem Ka Konsa Sura Qalb-E-Quraan-E-Kareem Ke Naam Se Mash-Hur Hai?
Ans-▶Sura-E-Yaseen

Que-5⃣ Quraan-E-Kareem Ka Konsa Sura "Uruse Quraan" (Quraan Ki Dulhan) Ke Naam Se Mash-hur Hai?
Ans-▶Sura-E-Rehmaan

Que-6⃣ Quraan-E-Kareem Ke Kis Sura Ki Tamam Aayato Me Lafz-E-Allah Hai?
Ans-▶Sura-E-Mujaadla

Que-7⃣ Mash-hur Aayat "Inna Lillahe Wa Inna Elayhe Raajeun" Kis Sura Me Hai?
Ans-▶Sura-E-Bqra(156)

Que-8⃣ Aayate "Kullo Nafsin Zaaekatul Maut" Kis Sura Me Hai?
Ans-▶Sura-Aal-E-Imran(185) &
            Sura-e-anqabut.
            (Jisne  dono me se sirf ek hi likha hai uska ans. Bhi valid rahega.)

Que-9⃣ Quraan-E-Kareem Ke Kis Sure Ke Liye Taaqid Ki Hai Ke Aurate Ziada Padha Kre?
Ans-▶Sura-E-Noor

Que-🔟 Janab-E-Ibraheem Ke Boot Todne Wala Kissa Kis Sura Me Hai?
Ans-▶Sura-E-Ambiya

〰〰〰〰〰〰〰〰〰

TOPIC:- LIFE OF BIBI ZEHRA S.A.

Q-1⃣1⃣: Bibi Fatima Zehra s.a ki Wiladat-ba-Sa'adat Kab Hui (kaunsi tarikh)?
Ans▶ 20JAMADIUSSANI BE'ASAT KE 5 (PANCHWA) SAAL.

Q-1⃣2⃣:  Bibi Fatima Zehra s.a ki Wiladat kahan hui?
ANS▶ MAKKAH ME.

Q-1⃣3⃣: Rasule Khuda Saw ne Baghe Fidak kise diya tha?
Ans▶ RASUL E KHUDA S.A.W. NE BIBI ZEHRA S.A. KO DIYA THA BAGHE FIDAK.

Q-1⃣4⃣: Bibi Fatima Zehra s.a Ki Kul Kitni Aulad Hui Thi?
Ans▶ 5 AULAD THI,
(3bete-2 betiya)
I HASAN,
I HUSSAIN ,
J MOHSIN
J ZAINAB &
J UMMU KULSUM.

Q-1⃣5⃣: Shehzadi Fatima Zehra s.a Ki Aqd K Baad Rukhsati Kis Taarikh Ko Hui?
Ans▶ 24 ZILHAJJ
(MOATABAR RIWAYAT).
19 ZILHAJJ (other riwayat)

Q-1⃣6⃣: Janabe Fatima Zehra s.a. K Gale me jo Guluband (Neckless) tha (Jo Sahil ko Ata Kiya) Aap ko Wo Tohfe me kisne diya tha?
Ans▶ J.HAMZA KI BETI NE.

Q-1⃣7⃣: Janab e Fatima Zehra s.a Ki Shadi Ka Paigham Lekar Kounsa Farishta Aaya Tha?
Ans▶MEHMOOD (MOATABAR),
J.JIBREELL(other)

Q-1⃣8⃣:Aqd ke Waqt Moula-e-Kainat a.s aur Bibi Janab e Fatima Zahra s.a ki Umr kitni thi?
Ans▶ MAULA ALI A.S. 24/25 SAAL.
BIBI ZEHRA S.A. 10 SAAL.

Q-1⃣9⃣:Janabe Khadija s. ki Rehlat ke Waqt Shehzadi Fatima s.a ki Umr Kitni thi?
Ans▶5 SAAL(MOATABAR RIWAYAT) 8 YEAR (other)
Q-2⃣0⃣: bibi zehra ki SHAHADAT kaunsi tarikh/hijri ko hui?
Ans▶ 14 J.AWAL/3 J.SANI HIJRI-11.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰

TOPIC:- 12 (BARAH) IMAM A.S.

Q-2⃣1⃣: SULHE HASAN KIS HIJRI ME HUI?
Ans▶ 41HIJRI.

Q-2⃣2⃣: Karbala me I.BAQIR A.S. ki umr kitni thi?
Ans▶ 3 SAAL 6MAAH.
(ISS ANS ME JISNE 3 LIKHA HAI USKA N JISNE 4LIKHA HAI USKA BHI ANS. SAHI RAHEGA)

Q-2⃣3⃣: I.JAFAR E SADIK A.S. ki mother ka naam kya tha?
Ans▶ J.UMME FARWA BINTE KASIM

Q-2⃣4⃣: I.REZA a.s. ko kisne shaheed kiya tha??
Ans▶MAMOON RASHID.

Q-2⃣5⃣: I.REZA (a.s.) ki qunniyat bataiye?
Ans▶ ABUL HASAN/ABUL MOHAMMAD.

Q-2⃣6⃣: DUA E KUMAIL kis imam ne  aur kisse ata  ki thi?
Ans▶. I.ALI A.S. NE KUMAIL IBNE ZIYAD KO ATA KI THI.

Q-2⃣7⃣: I.HASAN ASKARI A.S. KO KIS cheez se SHAHEED kiya gaya tha??
Ans▶ ZAHAR.
Maula ko angur me zahar ke zariye shaheed kiya gaya tha.

Q-2⃣8⃣: jab I.hasan askari a.s. ki SHAHADAT hui tab I.ZAMANA A.T.F.S. ki UMR kitni thi??
Ans▶ 5 SAAL.

Q-2⃣9⃣: NAWAB E ARBAH(gaibat e sugra me Jo imam a.t.f.s.) ke 4 NAYEB the uske naam bataiye.
Ans▶ 1.USMAN BIN SAED.
2.MUHAMMAD BIN USMAN.
3.HUSSAIN BIN RAWH.
4.ALI BIN MUHAMMAD SAMRY.

Q-3⃣0⃣: GHAIBAT E SUGHRA total kitne saal  tak rahi thi??
Ans▶ 69  SAAL.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Safeer-e-aza network.

3 comments:

  1. Salamun Alaikum,
    MashaAllah,
    Bahut Achhi quiz hai. isie tarah har wiladat aur Shahadat ke moukhe par Quiz hou tou noujawan no kou kafi ilm hasil hou sakta hai.

    ReplyDelete

 
back to top