SAWAL-JAWAB
🔒 1) 👉 Imam Mehdi (atfs) ka kounsa laqab Quran me Maujood hai ?
🅰 🔑 1) *Baqiyatullah.*
🔒 2) 👉 Imam E Mehdi (atfs) ke Baazu per Quran ki kounsi Aayat likhi hui thi?
🅰 🔑 2) *Imam a.s. ke Baazu per Quran ke Surah Bani Israeel ki 81 Aayat likhi hui thi*
_WA KUL JAAL HUQQO WA ZAHKAL BATILO INNAL BATILA KAANA ZAHOOKA_
🔒 3) 👉 Imam e Zamana (atfs)ne kitni Gaibat ikhteyaar ki thi kaun kaunsi?
🅰 🔑 3) *2 Gaibat*
_Gaibat e Sugrah aur Gaibat e Kubrah_
🔒 4) 👉 Koun Sa Shehar Imam e Mehdi a.s ka Darul khilafat hoga?
🅰 🔑 4) *Kufa.*
🔒 5) 👉 Wo koun the Jo Imam e Mehdi a.s ki Ziyarat k Shouq me 20 baar Haj per gaye aur Imam ki Ziyarat karne me kamyab ho gaye the
🅰 🔑 5) *Ali Bin Mahziyar Ahwazi.*
🔒 6)👉 Imam e Zamana atfs ki Birth kaunse Nabi se Mushabeh hai ?
🅰 🔑6)
*Hazrat Ibraeem a.s aur*
*Hazrat Musa as.*
🔒7) 👉 Imam e Zamana atfs ki Gaibat kaunse Nabi se Mushabeh hai?
🅰 🔑7)
*Hazrat Yusuf a.s*
*Hazrat Yunus a.s*
*Hazrat Saleh as.*
🔒8) 👉 Jise Imam e Zamana atfs 5 Saal ki Umr me Imamat ki ude pe Aye waise aur kaunse Imam kaam Umr me aude Imamat per Aye?
🅰 🔑8) *Imam Mohammad Taqi a.s*
*Imam Ali Naqi a.s.*
🔒9) 👉 Imam e Zamana atfs ku ju Khat hum likhte hai usse kya kahte hai ?
🅰 🔑 9) *Aariza*
🔒10) 👉 Imam e Zamana atfs ju Khat hume likhte hai usse kya kahte hai ?
🅰 🔑 10) *Tauqi*
🔒11) 👉 Imam e Mehdi (atfs ) ne waqt e wiladat kounsi Aayat ki Tilawaat ki thi?
🅰 🔑 11) *Sureh qasas ki ayat 5*
*Wa nurido inna munna alal lazina .......*
🔒12) 👉 Kaunse Aleme Deen ki Wiladat Imame Zaman atfs ki Dua se hue the?
🅰 🔑12) *Shaikh Saduq ar.*
🔒13) 👉 Kaunse Nayab e Khas 10th aur 11th Imam ki bhi Nayab the?
🅰 🔑13) *Janab Uthman bin Saeed al Amri ar.*
🔒14) 👉 Woh Kounsi Ziyarat hai ju Imam e Zamana atfs se Jisme Karbala ki shahidu ka Zikr hua hai?
🅰 🔑14) *Ziyarat e Nahiya.*
🔒15) 👉 Janabe Narjis Khatoon sa Aur Teen Naam bataye?
🅰 🔑15) *Janabe Samana sa*
*Janabe Susan sa*
*Janabe Malika sa*
No comments:
Post a Comment