Tuesday 23 August 2016

Aye zamin e ahoo- mir hasan mir-2010

No comments:


Ae zamin e ahoo..(4)

ahoo ki tarah..(2)
har ghadi zamin hai mera tu
Ae zamin e ahoo..(4)

1. Bus isme ameeri o ghareebi ka nahi hai
tauheed ki manind mujhe iska yaqee hai
mash'had wahi jaata hai bulata hai jise tu
Ae zamin e ahoo..(4)

2. Wallah wo ek lamhe me yusuf ko bhula de
angusht ke badle me wo sar apna kata de
miljae zulekha..(2) ko agar aapki khushboo
Ae zamin e ahoo..(4)

3. Na sur ki samajh hai na kisi raag ki maula
sab hai teri dehleez ke zarro ka ye sadqa
kehte hai ye sab hai meri aawaaz me jadoo
Ae zamin e ahoo..(4)

4. Mai qabr me gar apna ta'arruf na karata
maddah hu tera mai agar ye na batata
hoti na kabhi khatm malaek ki manu tu
Ae zamin e ahoo..(4)

5. Wo sehne masiha hai ke hai sehen shifa ka
maine waha khud apni nigaho se hai dekha
zaer tera wa maut ko kar leta hai qaboo
Ae zamin e ahoo..(4)

6. Haq aapki midhat ka ada kaise karu mai
kis tarha bhala dusra qur'an likhu mai
aati nahi jab mujhko abhi theek se urdu
Ae zamin e ahoo..(4)

7. Mehsoos ye har baar mere dil ne kiya hai
maula tere darbaar ki taseer juda hai
hoti hai khushi aur kabhi aajate hai aasu
Ae zamin e ahoo..(4)

8. Khul jaega duniya pe tere meer ka rutba
ho jaega maloom ke banda hu mai kiska
aegi meri qabr se jis dum teri khushbu

Ae zamin e ahoo..(6)

No comments:

Post a Comment

 
back to top