BAAQIR NE
Hasnain maroofi sahab.
Khol ke baab e ilm zamee,n pa hikmat ke
Dahr se kardi khatm jihaalat baaqir ne
Thaam li zanjeero,n ko nanhe,n haatho,n se
Dekh ke apne baap ki haalat baqir ne
Thaam ke dil rote the kalaija phat ta tha
Ki jo baya min,haal se ghurbat baaqir ne
Koyi asar na hoga un pa fat,ho,n ka
Aalim ki le li hai khafaalat baaqir ne
Ilm e ali se jo ghaafil hai doniya me
Us ke gale me daal di laanat baaqir ne
-------------------------------------------------------------
Kausar sitapuri sahab.
Khhud se tujhko de kr nisbat Baaqir ne
ilm teri raoshan ki qismat Baaqir ne...
Sun le har ik shaayer,e aal e madhe Ebaa
Jannat ki de di hai bashaarat Baaqir ne...
Maddaho-n me kausar ka hota hai shumaar
Mujh pr ki hai aisi inaayet Baaqir ne....
Baant ke sab ko ilm ki daolat Baaqir ne
Dahr se yu,n ki khhatm jehaalat Baaqir ne....
-------------------------------------------------------------
Gauhar naqvi sahab.
sari bacha ke dino shariyat baqir ne
todh di har zulmat ki ghflat
baqir ne
dhoop me chal ke karbobala ki aa phunche
chhori na dadi ki turbat baqir ne
qillat se auqat bata ke kasrat ko
qayam kardi di,n ki hukunat baqir ne
be parda bazzar me in ka kunba tha
dekhi hai ankho se qeyamat baqir ne
karbobala me deke sahara baba ko
dikh la di dada ki shujaat baqir
her,n hu me kaise chupai maqlat me
nafs,e insani ki fitrat baqir ne
zulmat ki auqat jha,n ko batla kar
qayam kar di haq ki adalat baqir ne
qillat se auqat bata ke kasrat ko
qayam kardi di,n ki hukunat baqir ne
kar ke na zalim ki baiyat baqir ne
taal di har ayk sar se musibat baqir n
rehti dunya tak dada ke mimber se
ki hai har zalim ki mazzammat baqir ne
be parda bazzar me in ka kunba tha
dekhi hai ankho se qeyamat baqir ne
kon bhala duniya me aisi de paya
di hai jo is deen ki qimat baqir ne
deen ki le li sari musibat baqir ne
pi ke zehar baqsha hai sarbat baqir
bada ko na apne kafan bhi de paye
di hai par islam ko sehhat baqir
sar ko na daulat ke aage gham karna
ahle aza se ki hai nashihat baqir
dekhi hai qadmo me bayyat baqir ne
baba ke qadmo me zulmat baqir
un ko hi dikhti hai fazilat di hai jinhe
binai ki jin ko bsirat baqir ne
samjhe na jahil jo koi peghame khuda
khamoshi ki di hai nasihat baqir
ham duniya ke jaisa na ban payenge
sikh lai hai ham ko sharafat baqir ne
us pe kuda dal sake gi na duniya
door rakhi hai jis se najasat baqir ne
sikko me ye deen,e mohammad bik jata
roki hai hone se tijarat baqir ne.
jehlo,n se azad kara ke zehno ko
dehar se kardi khatm jihalat baqir ne
ilm pe takhti ke hai tum ko naaz bada
badli hai tkhto ki hukumat baqir ne
behar se kharij shayar se na bair rakho
har mad,ha se ki hai mohabbat baqir ne
shonch ke to dekho aye mere ahle aza
kis ke liye di hai ye shadat baqir ne
dunya ko pegham diya hai ulfat ka
roki hai duniya me halakat baqir ne.
midhat ye mola ki karta jayega
di jo agar gauhat ko ijazat baqir ne
-------------------------------------------------------------
Rizwan bijani sahab.
Qarbobla me inka lahu bhi khol utha
Dekhi Jo Dada ki mayyat baqir ne
Sab ki tarah keh pana tha mushkil lekin
Kar di ye mujpar bhi Inayat baqir
Baba ke jaise hi Shaam ke zinda me
Kar dikhlai rab ki ibadat naqir ne
Aasu game sarwar pe bahane ki khatir
Farshe aza par ki he shirqat baqir ne
Har dam inpar naaz Ibadat karti rahi
Ki he u sajdo se mohabbat baqir ne
Qarbobla se shaam talaq zalim teri
Pao tale kuchli he baiyyat baqir ne
Kitna he ahsan khuda ke mazhab par
Deen ki khatir di he shahadat baqir ne
Moulai ki Daad ye sabit karti he
Di he sana khano ko izzat baqir ne
Kya kya zulm he dhaya gaya inpar lekin
Rab se ki na koi shikayat baqir ne
Qarbobla se shaam talaq dee ki khatir
Jeli he har gaam mashkkat baqir ne
Shaah ke GAM me kar ke azadari rizwa
Ham ko batai ashko ki kimat baqir ne
Qarbobla me sabr ajab dikhla kar ke
Zulmo sitam ki tod di himmat baqir ne
-------------------------------------------------------------
Eram mehdi sahab.
Zakhm hai taza krbobala ka sene me
Dekhi hai ummat ki baghawat baqir ne
-------------------------------------------------------------
Raza pinhavi sahab.
Karbal se the zulmo sitam se sham talak
Koi kisi se na ki shiqayat baqir ne
Zulmo sitam ko sahkar ibne abid ne
Deen mei paida kardi taqat baqir ne
-------------------------------------------------------------
Kaifi sahab.
Zakhm sahein hai karbobala se shaam talak
Deen e nabi se ki you'n mohabbat baqir ne
Kaanp uthi hai zulm o jihalat dono hi
Dikhlai jo ilm e shuja'at baqir ne
Behne laga tab ilm ka dariya honto'n se
Lafzo'n ko jab di hai ijazat baaqir ne
HUKM E KHUDA KI-KI HAI ITAA'AT BAQIR NE
DEHR SE KARDI KHATM JIHALAT BAQIR NE
-------------------------------------------------------------
Shakil mehdi sahab
Khuld me har momin momin se goya tha
Mahsher me ki meri shifa at baqir ne
Li hai khuda se ilm e nabi ke waris ne
Mursal e azam teri shabahat baqir ne
Detey rahe,n hai,n dars mohabbat ka jab key
Dekhi hai ummat ki adawat baqir ne
-------------------------------------------------------------
Zia sahab.
Midhat ke phool bazmo me jo khilte hain,
Unke sukhan ko bakhshi quwwat baqir ne.
Baant ke ilme masoomi ko duniya mein,
Dahr se kardi khatm jihalat baqir ne.
Jhoom ke bola ahle aza ka zakir ye,
Mere labo ko di hai sadaqat baqir ne.
-------------------------------------------------------------
Fshem ditapuri sahab
Tu jo sana e aale nabi kar leta hai
Tujhpe fahem ye ki hai inayet baqir ne
Ilm e nabi duniya me phir se phailaya
Dikhlaai sarkaar ki azmat baqir ne
Daal di ham me ilm ki aadat baqir ne
Dahr se kardi khatm baqir ne
Jahl ka seena chaak hua dil baith gaya
Ilm ki ,,kee kuch aise wazaahat baqir ne
Altaf maroofi sahab
Maulaayi likh dena hujjat na
Dikhlao jo di hai daulat baqir ne
Tanz ki duniya doob gayi andhero'n me
Paayi jab Ahmad se shabaahat baqir ne
Kunto kanzan makhfeeya ka bab hai ye
Ban k dekhaya juzve resaalat baqir ne
Ilm e ladunni paal k apni godi me
Deen ko di jafar ki nisbat baqir ne
Baade saba haira'n zulm ki wadi me
Khaaro'n ko de daali nik'hat baqir
-------------------------------------------------------------
Navshad Bijani.
ilme nabi ki baant ke daulat baqir ne.
Dehr se kardi khatm jahalat baqir ne.
Bheek me shamsho qamar ne noor liya jis se.
Aysi hai ravshan paai soorat baqir ne.
Mazloomo ki ki hai himayat baqir ne.
Zulm ki hardam ki hai mazammat baqir ne.
Jin pe mohammad ne bheje hai apne salaam
Jabir se paai yeh amaanat baqir ne.
Aale nabi se movaddat rakhne vaalo ko.
Dedi hai jannat ki zamaanat baqir ne.
Gham se bura hai haal madeene vaalo ka.
Zehre dagha se paai shahaadat baqir ne.
Deen ki khatir chhoor diya bachpan me watan.
Karbobala tak ki hai hijrat baaqir ne.
Karbobala ki tapti zamee par dekhi hai.
Asghar ki ek nanhi turbat baqir ne.
Karbobala se shaam talak har zulm saha.
Bachpan me yeh uthai musibat baqir ne.
Rehlat jab zinda me sakeena ne ki thi.
Dekhi thi tab baba ki ghurbat baqir ne.
Ehle aza ko de ke basaarat jannat ki.
Bakhshi hai firdaus ko zeenat baaqir ne.
14 sadyo'n se yeh zamaana kehta hai.
Bakhshi hai ham ko har ik ne'amat baaqir ne
Pyaas se karbal me the bacche jaanbalab.
Dekhi hai woh pyaas ki shiddat baaqir ne.
Karbobala se shaam talak har zulm saha.
Bachpan me yeh paai musibat baqir ne.
Har maddahe aale aba ke shaayer ki.
Hausla afzasi ki hazrat baaqir ne.
Waqte naz'a navshad se aake malak ne kaha.
Di hai tume jannat ki bashaarat baqir ne.
-------------------------------------------------------------
*Join whatsapp group.*
*🌺MADDAH-E-AAL-E-ABA🌺* (Daily *online* tarhi mushaayera)
Only for shaaer-e-ahlebayt a.s.
📞Contact group admin
+244 926 31 0557
+244 937 40 7823
+91 997 454 5886
+966 53 119 8544
+46 70 4852 187
No comments:
Post a Comment