Sunday 4 December 2016

QURAN

1 comment:

QUR'AAN MAJEED.
*--------------------------------*
SURE FATEHA.-1.
AAYAT  1 TO 7.
*--------------------------------*
Aa'oozo Billahe Meenas Shaytaan Nir Rajeem.

AAYAT - 1 :-
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
1⃣ Bismillah Hir Rahman Nir Raheem.
➡Shuru Kartaa Hu Khuda Ke Naam Se Jo Badaa Maherbaan Nihaayat Rahemwaala Hai.
-----------------------------------------
AAYAT - 2 :-
الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ ●
2⃣ Alhamdolillahe Rabbil Aalameen.
➡Sab Taarif Khuda Hi Ke Liye Sazaawaar Hai, Jo Saare Jahaa Ka Paalnewaala.
---------------------------------------
AAYAT - 3 :-
الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
3⃣ Ar Rahmaan Nir Raheem.
➡Badaa Maherbaan Rahemwaalaa.
----------------------------------------
AAYAT - 4 :-
مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ ●
4 Maalike Yawmeeddeen.
➡Roje Jazaa Ka Haakim Hai.
--------------------------------------------
AAYAT - 5 :-
إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ ●
5⃣ Iyyaaka Na'abodo Wa Iyyaaka Nasta'een.
➡ Khudaayaa Ham Teri Hi Ibaadat Karte Hai Aur Tujhi Se Madad Chahte Hai.
-------------------------------------------
AAYAT - 6 :-
اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ ●
6⃣ Eh'denas Seraatal Mustaqeem.
➡Hamko Sidhi Raah Par Saabit Kadam Rakh.
--------------------------------------------
AAYAT - 7 :-
صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّينَ ●
7⃣Seraatal Lazeena An'amtaa Alayheem, Gayreel Magzoobe Alayheem Walaz Zaal'leen.
➡Oonki Raah Jinhe Tune Apni Ne'amat Ataa Ki Hai, Naa Oonki Raah Jinpar Teraa Gazab Dhaayaa Gayaa Hai, Aur Naa Gumraahi Ki.

*SALWAAT.*

➖➖➖➖➖➖➖➖
SURE BAQRA. ( SURA - 2 ).
AAYAT - 1 To 8.
-----------------------------------
Bismillah Hir Rahman Nir Raheem.

AAYAT -1 :-
الم ●
1⃣ Aleef Laam Meem.
➡ Aleef Laam Meem.
--------------------------------------
AAYAT - 2 :-

ذَٰلِكَ الْكِتَابُ لَا رَيْبَ فِيهِ هُدًى لِّلْمُتَّقِينَ ●
2⃣Zaalekal Kitaabo Laa Raybaa Fihi Hodal Lilmuttaqin.
➡ Ye Wo Kitaab Hai Jisme Kuchh Bhi Shak Nahi. Ye Parhezgaaro Ki Rehnoomaa Hai.
------------------------------------------
AAYAT - 3 :-

الَّذِينَ يُؤْمِنُونَ بِالْغَيْبِ وَيُقِيمُونَ الصَّلَاةَ وَمِمَّا رَزَقْنَاهُمْ يُنفِقُونَ ●
3⃣ Allazeena Yo'a Menoona Bil Gaybe Wayoqimunas Salaata Wamimma Razaqnahum Yunfeqoon.
➡Jo Gaibpar Imaan Laate Hai Aur Paabandi Se Namaaz Adaa Karte Hai. Aur Jo Kuchh Hamne Oonko Diya Hai Oosme Se Raahe Khuda Me Kharch Karte Hai.
-------------------------------------------
AAYAT - 4 :-

وَالَّذِينَ يُؤْمِنُونَ بِمَا أُنزِلَ إِلَيْكَ وَمَا أُنزِلَ مِن قَبْلِكَ وَبِالْآخِرَةِ هُمْ يُوقِنُونَ ●
4⃣ Wallazeena Yu'a Minoona Bimaa Oonzela Elaykaa Wamaa Oonzelaa Min Qableek. Wabeel Aakherate Hoom Yuqenoon.
➡Aur Jo Kuchh Tum Par (Ay Rasool s.a.w.w) Aur Tumse Pehle Naazil Kiyaa Gayaa Hai Oospar Imaan Laate Hai. Aur Wahi Aakherat Kaa Bhi Yakeen Rakhte Hai.
-------------------------------------------

AAYAT - 5 :-

أُولَٰئِكَ عَلَىٰ هُدًى مِّن رَّبِّهِمْ وَأُولَٰئِكَ هُمُ الْمُفْلِحُونَ ●
5⃣ Oolaa'aka Alaa Hodam Meer'rabbeheem, Wa Oolaa'aka Homul Mooflehoon.
➡Yehi Log Apne Parwardigaar Ki Hidaayat Par (Aamil) Hai. Aur Yehi Log Apni Deeli Muraade Paayenge.
--------------------------------------------
AAYAT - 6 :-

إِنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا سَوَاءٌ عَلَيْهِمْ أَأَنذَرْتَهُمْ أَمْ لَمْ تُنذِرْهُمْ لَا يُؤْمِنُونَ ●
6⃣ Innal Lazeena Kafaru Sawaaoon Alayheem A'anzartahum Amlam Tunzeerhum Laa Yu'a Minoon.
➡Beshak Jinlogo Ne Kufr Ikhteeyaar Kiya Oonke Liye Baraabar Hai (Ay Rasool s.a.w.w) Khwaah Tum Oonhe Daraa'o Ya Naa Daraa'o Wo Imaan Nahi Laayenge.
-------------------------------------------
AAYAT - 7 :-

خَتَمَ اللَّهُ عَلَىٰ قُلُوبِهِمْ وَعَلَىٰ سَمْعِهِمْ وَعَلَىٰ أَبْصَارِهِمْ غِشَاوَةٌ وَلَهُمْ عَذَابٌ عَظِيمٌ ●
7⃣Khatamallaho Alaa Qolubeheem Wa'alaa Sam'aheem. Wa Alaa Absaarehim Geshaawatuw, Walahum Azaabun Azeem.
➡Oonke Deelopar Aur Oonke Kaanopar Khuda Ne Tasdeek Kardi Hai ( Ke Ye Imman Naa Laayenge ). Aur Oonki Aakho Par Wo  Pardaa (Padaa Huaa) Hai Aur Oonhike Liye (Bahut) Badaa Azaab Hai..

➖➖➖➖➖➖➖➖
SURE BAQRA ( SURA - 2 ).
AAYAT 8 TO 13.
--------------------------------------------

Bismillah Hir RahmanNir Raheem.

AAYAT - 8 :-

وَمِنَ النَّاسِ مَن يَقُولُ آمَنَّا بِاللَّهِ وَبِالْيَوْمِ الْآخِرِ وَمَا هُم بِمُؤْمِنِينَ ●
8⃣ Wamenan'naase May'yaqoolo Aamannaa Billaahe Wabeel Yawmil Aakhere Wamaa Hum Be Moa'meneen.
➡Aur Baaz Log Aysebhi Hai Jo (Zabaan Se To) Kahete Hai Ki Ham Khudaa Par Aur Qayaamat Ke Din Par Imaan Laaye Haalaaki Wo (Dilse) Imaan Nahi Laaye.
---------------------------------------------
AAYAT - 9 :-

يُخَادِعُونَ اللَّهَ وَالَّذِينَ آمَنُوا وَمَا يَخْدَعُونَ إِلَّا أَنفُسَهُمْ وَمَا يَشْعُرُونَ ●
9⃣ Yokhdaoonallaha Wal'lazeena Aamanu Wamaa Yakhdaoona Illa Anfosohum Wamaa Yash'oroon.
➡ Khudaa Ko Aur Oon Logoko Jo Imaan Laaye Dhoka Dete Hai. Halaaki Wo Apne Aapko Dhokaa Dete Hai Aur Kuchh Shaoor Nahi Rakhte.
---------------------------------------------
AAYAT - 10 :-

فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٌ فَزَادَهُمُ اللَّهُ مَرَضًا وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ بِمَا كَانُوا يَكْذِبُونَ ●
1⃣0⃣ Fi Qoloobehim Marazoon Fazaa Dahomullaho Marazaa, Walahoom Azaabun Aleemum Bemaa Kaanu Yakzeboon.
➡Oonke Dilome Marz Thaahi. Ab Khudaa Ne Oonke Marz Ko Aur Badhaa Diyaa Aur Chunki Ve Log Jooth Bolaa Karte The. Isliye Oonpar Takleef Deh Azzab Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 11 :-

وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ لَا تُفْسِدُوا فِي الْأَرْضِ قَالُوا إِنَّمَا نَحْنُ مُصْلِحُونَ ●
1⃣1⃣ Wa'azaa Qeela Lahum Laa Toofsedu Feel Arze Qaalu Innamaa Nahno Muslehoon.
➡ Aur Jab Kahaa Jaataa Hai Oonse Ki Mulkme Fasaad Naa Karte Firo. (To) Kehte Hai Ki Hamto Sirf Islaah Karte Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 12 :-

أَلَا إِنَّهُمْ هُمُ الْمُفْسِدُونَ وَلَٰكِن لَّا يَشْعُرُونَ ●
1⃣2⃣Alaa In'nahoom Homul Moofseduna Walaakil Laa Yash'oroon.
➡ Khabardaar Ho Jaao. Beshak Yehi Log Fasaadi Hai Lekin Samazte Nahi.
---------------------------------------------
AAYAT - 13 :-

وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ آمِنُوا كَمَا آمَنَ النَّاسُ قَالُوا أَنُؤْمِنُ كَمَا آمَنَ السُّفَهَاءُ أَلَا إِنَّهُمْ هُمُ السُّفَهَاءُ وَلَٰكِن لَّا يَعْلَمُونَ ●
1⃣3⃣ Wa'izaa Qeelaa Lahum Aamanu Kamaa Aamanas kalu anumeno kama aamanus Sofahaa'a, Alaa In'nahum Homus Sofahaa'o Walaakeel Laa Yaa'a Lamoon.
➡ Aur Jab Oonse Kahaa Jaataa Hai Ki Jis Tarah Aur Log Imaan Laaye Hai Tumbhi Imaan Laao, To Kehte Hai Kya Ham Bhi Oosi Tarah Imaan Laaye Jis Tarah Aur Bewakoof Imaan Laaye. Khabardaar Ho Jaao Yehi Log Bewakoof Hai Lekin Nahi Jaante.

04/12/2016 sunday

QURAAN MAJEED.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*SURE BAQARA. (SURA - 2)*
_AAYAT - 14 TO 16._
--------------------------------------------
Bismillah Hir Rahman Nir Raheem.

AAYAT - 14 :-

وَإِذَا لَقُوا الَّذِينَ آمَنُوا قَالُوا آمَنَّا وَإِذَا خَلَوْا إِلَىٰ شَيَاطِينِهِمْ قَالُوا إِنَّا مَعَكُمْ إِنَّمَا نَحْنُ مُسْتَهْزِئُونَ ●
1⃣4⃣ _Wa'izaa Laqool Lazeena Aamanu Qaalu Aamannaa, Wa'izaa Khalaw ilaa Shayaateenehim Qaalu Inna Ma'akoom Innamaa Nahno Mustahzioon._
➡ *Aur Jab Oon Logo Se Milte Hai Jo Imaan Laachuke To Kehte Hai Hamto Imaan Laa Chuke. Aur Jab Apne Shaitaano Ke Saath Takhliyaa Karte Hai To Kehte Hai Ham Tumhaare Saath Hai. Hamto (Musalmaano) Ko Banaate Hai.*
---------------------------------------------
AAYAT - 15 :-

اللَّهُ يَسْتَهْزِئُ بِهِمْ وَيَمُدُّهُمْ فِي طُغْيَانِهِمْ يَعْمَهُونَ ●
1⃣5⃣ _Allaho Yastahze'o Behim Wayamood'dohum Fi Toogyaanehim Ya'amahoon._
➡ *(Wo Kya Banaayenge) Khudaa Oonko Banaataa Hai. Aur Oonko Dhil Detaa Hai Ki Wo Apni Sarkasheeme Galteeya Pachaa Rahe.*
---------------------------------------------
AAYAT - 16 :-

أُولَٰئِكَ الَّذِينَ اشْتَرَوُا الضَّلَالَةَ بِالْهُدَىٰ فَمَا رَبِحَت تِّجَارَتُهُمْ وَمَا كَانُوا مُهْتَدِينَ ●
1⃣6⃣ _Oolaa'akal Lazeenash Tarawooz Zalaalata Bilhoda. Famaa Rabehat Tijaaratohum Wamaa Kaanu Mohtadeen._
➡ *Yehi Ve Log Hai Jinhone Hidaayat Ke Badle Gumraahi Khareedi, Fir Naa Oonki Teejaarat Hi Ne Kuchh Nafaa Diyaa Aur Naa Oonlogone Hidaayat Hi Paayi.*

05/12/2016 monday

QURAAN MAJEED.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*SURE BAQARA. (SURA - 2)*
*AAYAT - 17 TO 20.*
--------------------------------------------
Bismillah Hir Rahman Nir Raheem.

AAYAT - 17 :-

مَثَلُهُمْ كَمَثَلِ الَّذِي اسْتَوْقَدَ نَارًا فَلَمَّا أَضَاءَتْ مَا حَوْلَهُ ذَهَبَ اللَّهُ بِنُورِهِمْ وَتَرَكَهُمْ فِي ظُلُمَاتٍ لَّا يُبْصِرُونَ ●
1⃣7⃣ Masalohum Kamasaleel Lazees Tawqadaa Naara. Falamma Azaa'at Maa Hawlahu Zahabal Laaho Benooreheem Watarakahoom Fi Zolomaateel Laa Yubseroon.
➡ Oon Logo Ki Misl (To) Oos Shaksh Ki Misl Hai Jisne (Raat Ke Waqt Majme Me) Bhadakti Huyi Aag Roshan Ki Fir Jab Aag (Ke Shole) Ne Ooske Gird-O Pesh Khub Oojaala Kar Diyaa To Khudaa Ne Oonki Roshni Le Li Aur Oonko Ghataatop Andhere Me Chhod Diyaa Ki Ab Oonhe Kuchh Suzaayi Nahi Detaa.
--------------------------------------------
AAYAT - 18 :-

صُمٌّ بُكْمٌ عُمْيٌ فَهُمْ لَا يَرْجِعُونَ ●
1⃣8⃣ Sum'mum Bukm'mum Oomyoon Fahoom Laa Yarjeoon.
➡ Ye Log Behre Gunge Andhe Hai Ki Fir Apni Gumraahi Se Baaz Nahi Aa Sakte.
---------------------------------------------
AAYAT - 19 :-

أَوْ كَصَيِّبٍ مِّنَ السَّمَاءِ فِيهِ ظُلُمَاتٌ وَرَعْدٌ وَبَرْقٌ يَجْعَلُونَ أَصَابِعَهُمْ فِي آذَانِهِم مِّنَ الصَّوَاعِقِ حَذَرَ الْمَوْتِ وَاللَّهُ مُحِيطٌ بِالْكَافِرِينَ ●
1⃣9⃣ Aw Kasyyebeem Minas Samaa'a Fihe Zolomaatoow Wara'adoow Wabarq. Yajaloona Asaabe'ahoom Fi Aazaaneheem Minas Sawaa'eqe Hazaral Mawt. Wallaho Mohitoom Bil Kaafereen.
➡Yaa Oonki Misl (Aysi Hai Jayse) Aasmaani Baarish. Jisme Taareekiyaa, Garaj, Beejli Ho. Maut Ke Khauf Se Kadak Ke Maare Apne Kaano Me Oongliyaa Diye Lete Hai. Haalaaki Khudaa Kafeero Ko (Oosi Tarah) Ghere Hue Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 20 :-

يَكَادُ الْبَرْقُ يَخْطَفُ أَبْصَارَهُمْ كُلَّمَا أَضَاءَ لَهُم مَّشَوْا فِيهِ وَإِذَا أَظْلَمَ عَلَيْهِمْ قَامُوا وَلَوْ شَاءَ اللَّهُ لَذَهَبَ بِسَمْعِهِمْ وَأَبْصَارِهِمْ إِنَّ اللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ ●
2⃣0⃣ Yakaadul Barqo Yakhtafo Absaarahoom. Kullamaa Azaa'a Lahoom Mashwfeehe Wa'ezaa Azlama Alayheem Qaamu. Walaw Shaa'allaaho Lazahabaa Besam'aheem Wa Absaareheem. Innal'laaha Alaa Kulle Shay'een Qadeer.
➡Kareeb Hai Ke Beejli Oonki Aankho Ko Chaundhiya De. Jab Oonke Aage Beejli Chamki To Oos Roshnime Chal Khade Hue Aur Jab Oonpar Andheraa Chhaa Gayaa To Thithak Kar Khade Ho Gae Aur Agar Khudaa Chaahtaa To Yunbhi Oonse Dekhne Aur Soon'ne Ki Kuwwate Chhin Letaa. Beshak Khudaa Har Cheez Par Qaadeer Hai.

SALWAAT.06/12/2016 Tuesday


QUR'AAN MAJEED.

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

*SURE BAQRA. ( SURA - 2 ).*

*AAYAT - 21 To 25.*

------------------------------------------------------------

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●



AAYAT - 21:-



يَا أَيُّهَا النَّاسُ اعْبُدُوا رَبَّكُمُ الَّذِي خَلَقَكُمْ وَالَّذِينَ مِن قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ ●

2⃣1⃣ Yaaa Aiyuhan Naasu'budoo Rabbakumul Lazee Khalaqakum Wallazeena Min Qablikum La'allakum Tattaqoon.

➡ Ay Logo. Apne Parwardigaar Ki Ibaadat Karo Jisne Tumko Aur Oon Logoko Jo Tumse Pahle The, Paidaa Kiyaa Hai. Ajab Nahi Tum Parhezgaar Ban Jaao.

---------------------------------------------

AAYAT - 22 :-



الَّذِي جَعَلَ لَكُمُ الْأَرْضَ فِرَاشًا وَالسَّمَاءَ بِنَاءً وَأَنزَلَ مِنَ السَّمَاءِ مَاءً فَأَخْرَجَ بِهِ مِنَ الثَّمَرَاتِ رِزْقًا لَّكُمْ فَلَا تَجْعَلُوا لِلَّهِ أَندَادًا وَأَنتُمْ تَعْلَمُونَ ●

2⃣2⃣ Allazee Ja'ala Lakumul Ardha Firaashanw Wassamaaa'a Binaaa 'Anw Wa Anzala Minas Samaaa'i Maaa'an Fa Akhraja Bihee Minas Samaraati Rizqal Lakum Falaa Taj'aloo Lillaahi Andaadanw Wa Antum Ta'lamoon.

➡ Jisne Tumhaare Liye Zameen Ko Bichhona Aur Aasmaan Ko Chhat Banaaya Aur Aasmaan Se Paani Barsaaya Fir Usine Tumhaare Khaane Ke Lie Baaz Fal Paidaa Kiye, Pas Kisiko Khudaa Kaa Hamsafar Naa Banaao Halaaki Tum Khub Jaante Ho.

---------------------------------------------

AAYAT - 23 :-



وَإِن كُنتُمْ فِي رَيْبٍ مِّمَّا نَزَّلْنَا عَلَىٰ عَبْدِنَا فَأْتُوا بِسُورَةٍ مِّن مِّثْلِهِ وَادْعُوا شُهَدَاءَكُم مِّن دُونِ اللَّهِ إِن كُنتُمْ صَادِقِينَ  ●

2⃣3⃣ Wain Kuntum Fee Raibim Mimmaa Nazzalnaa 'Alaa 'Abdinaa Fatoo Bi Sooratim Mim Mislihee Wad'oo Shuhadaaa'akum Min Doonil Laahi In Kuntum Saadiqeen.

➡ Aur Agar Tum Log Is Kalaam Se Jo Hamne Apne Bande (Mohammad s.a.w.w.) Par Nazeel Kiyaa Hai Shakme Pade Ho. Pas Agar Tum Sachche Ho To Tum (Bhi) 1 Aisaa Surah Banaa Laao Aur Khudaa Ke Siwaa Jo Tumhaare Madadgaar Ho Unko (Bhi) Bulaalo.

---------------------------------------------

AAYAT - 24 :-



فَإِن لَّمْ تَفْعَلُوا وَلَن تَفْعَلُوا فَاتَّقُوا النَّارَ الَّتِي وَقُودُهَا النَّاسُ وَالْحِجَارَةُ أُعِدَّتْ لِلْكَافِرِينَ ●

2⃣4⃣ Fail Lam Taf'aloo Wa Lan Taf'aloo Fattaqun Naaral Latee Waqooduhan Naasu Walhijaaratu U'iddat Lilkaafireen.

➡ Pas Agar Tum Ye Nahi Kar Sakte. Aur Hargeez Nahi Kar Sakoge To Oos Aagse Daro Jiske Indhan Aadmi Aur Patthar Honge Aur Kaafeero Ke Liye Taiyaar Ki Gai Hai.

---------------------------------------------

AAYAT - 25 :-



وَبَشِّرِ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ أَنَّ لَهُمْ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِن تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ كُلَّمَا رُزِقُوا مِنْهَا مِن qثَمَرَةٍ رِّزْقًا قَالُوا هَٰذَا الَّذِي رُزِقْنَا مِن قَبْلُ وَأُتُوا بِهِ مُتَشَابِهًا وَلَهُمْ فِيهَا أَزْوَاجٌ مُّطَهَّرَةٌ وَهُمْ فِيهَا خَالِدُونَ ●

2⃣5⃣ Wa Bashshiril Lazeena Aamanoo Wa 'Amilus Saalihaati Anna Lahum Jannaatin Tajree Min Tahtihal Anhaaru Kullamaa Riziqoo Minhaa Min Samaratir Rizqan Qaaloo Haazal Lazee Ruziqnaa Min Qablu Wa Utoo Bihee Mutashaabihaa, Wa Lahum Feehaaa Azwaajum Mutahhara Tunw Wahum Feehaa Khaalidoon.

➡ Aur Jo Log Imaan Laae Aur Unhone Nek Kaam Kiye Unko (Ay Paygambar s.a.w.w) Khushkhabri Dedo Ki Uske Lie (Behisht Ke) Wo Baagaat Hai Jinke Niche Nahere Jaari Hai. Jab Unhe Oon (Baagaat) Kaa Mewaa Khaane Ko Milegaa To Kahenge Yeto Wahi Mewaa Hai Jo Pahele Hi Hame Khaane Ko Mil Chuka Hai Kyoki Unhe Milti Julti Surat-O Rang Ke (Mewe) Milaa Karenge. Aur Behisht Me Unke Liye Saaf Suthri Biwiyaa Hongi Aur Ye Log Oos (Baag) Me Hameshaa Rahenge.



SALWAAT.

1 comment:

  1. How to make money from gambling online
    If septcasino you want to make money from gambling online, you'll need to create 제왕 카지노 an account with the best bookmaker. With bookmakers like Bet365 you งานออนไลน์ can

    ReplyDelete

 
back to top