Saturday 7 January 2017

S.BAQRA Aayat-93 to 128

No comments:

QURAAN MAJEED.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 93 TO 96.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 93 :-

وَإِذْ أَخَذْنَا مِيثَاقَكُمْ وَرَفَعْنَا فَوْقَكُمُ الطُّورَ خُذُوا مَا آتَيْنَاكُم بِقُوَّةٍ وَاسْمَعُوا قَالُوا سَمِعْنَا وَعَصَيْنَا وَأُشْرِبُوا فِي قُلُوبِهِمُ الْعِجْلَ بِكُفْرِهِمْ قُلْ بِئْسَمَا يَأْمُرُكُم بِهِ إِيمَانُكُمْ إِن كُنتُم مُّؤْمِنِينَ ●
9⃣3⃣ Wa-iz Akhaznaa Meesaaqakum Wa Rafa'anaa Fawqa Kumut Toora Khuzoo Maaa Aatainaakum Biquwwatinw Wasma'oo Qaaloo Sami'anaa Wa 'Asainaa Wa Ushriboo Fee Quloobihimul 'Ijla Bikufrihim; Qul Bi'samaa Yaamurukum Biheee Eemaanukum In Kuntum Mu'amineen.
➡ Aur (Wo Waqt Yaad Karo) Jab Hamne Tumse Ahed Liyaa Aur Kohetur Ko (Tumhaari Adool Hukmi Se) Tumhaare Sar Par Latkaayaa. Aur  (Hamne Kahaa Ki Ye Kitaab Tauret) Jo Hamne Di Hai Mazbooti Se Lie Raho. Aur (Jo Kuchh Isme Hai) Suno. To Kehne Lage Sunaa To (Sahi Lekin) Ham Isko Maante Nahi Unki Be Imaani Ki Wajah Se (Goyaa) Bachhde Ki Ulfat Gholke Unke Dilome Pilaa Di Gai. Keh Do Ki Agar Tum Imaandaar The To Tumko Tumhaaraa Imaan Kyaa Buraa Hukm Kartaa Thaa.
---------------------------------------------
AAYAT - 94 :-

قُلْ إِن كَانَتْ لَكُمُ الدَّارُ الْآخِرَةُ عِندَ اللَّهِ خَالِصَةً مِّن دُونِ النَّاسِ فَتَمَنَّوُا الْمَوْتَ إِن كُنتُمْ صَادِقِينَ ●
9⃣4⃣ Qul In Kaanat Lakumud Daarul Aakhiratu 'Indal Laahi Khaalisatam Min Doonin Naasi Fatamannawul Mawta In Kuntum Saadiqeen.
➡ (Ay Rasool s.a.w.w) Oon Logose Kehdo Ki Agar Khudaa Ke Nazdik Aakherat Kaa Ghar (Behisht) Khaas Tumhaare Waaste Hai Aur Logoke Waaste Nahi Hai. Pas Agar Tum Sachche Ho To Maut Ki Aarzoo Karo  (Taki Jaldi Behisht Me Jaao).
---------------------------------------------
AAYAT - 95 :-

وَلَن يَتَمَنَّوْهُ أَبَدًا بِمَا قَدَّمَتْ أَيْدِيهِمْ وَاللَّهُ عَلِيمٌ بِالظَّالِمِينَ ●
9⃣5⃣ Wa-lai Yatamannawhu Abadam Bimaa Qaddamat Aydeehim; Wallaahu 'Aleemum Bizzaalimeen.
➡ Lekin Wo Oon (Aamaale Bad) Ki Wajah Se Jinko Unke Haatho Ne Pahele Se Aage Bhejaa Hai Hargeez Maut Ki Aarzoo Naa Karenge. Aur Khudaa Zaalimo Se Khub Waakif Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 96 :-

وَلَتَجِدَنَّهُمْ أَحْرَصَ النَّاسِ عَلَىٰ حَيَاةٍ وَمِنَ الَّذِينَ أَشْرَكُوا يَوَدُّ أَحَدُهُمْ لَوْ يُعَمَّرُ أَلْفَ سَنَةٍ وَمَا هُوَ بِمُزَحْزِحِهِ مِنَ الْعَذَابِ أَن يُعَمَّرَ وَاللَّهُ بَصِيرٌ بِمَا يَعْمَلُونَ ●
9⃣6⃣ Wa Latajidan Nahum Ahrasan Naasi 'Alaa Hayaatinw Wa Minal Lazeena Ashrakoo; Yawaddu Ahaduhum Lav Yu'ammaru Alfa Sanatinw Wa Maa Huwa Bi-muzah Zihihee Minal 'Azaabi Ai Yu'ammar; Wallaahu Baseerum Bimaa Ya'amaloon.
➡ Aur (Ay Rasool s.a.w.w) Tum Inko Zindagi Kaa Sabse Zyaadaa Haris Paaoge Aur Mushriko Me Se Har 1 Shakhs Chahta Hai Ki Kaash Usko Hazaar Baras Ki Umr Di Jaati. Haalaaki Agar Itni Tulaani Umr Bhi Di Jaae To Wo (Khudaa Ke) Azaab Se Chhutkaaraa Denewaali Nahi. Aur Jo Kuchh Ve Log Karte Hai Khudaa Oose Khub Dekh Rahaa Hai.

SALWAAT.

QURAAN MAJEED.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 97 TO 101.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 97 :-

قُلْ مَن كَانَ عَدُوًّا لِّجِبْرِيلَ فَإِنَّهُ نَزَّلَهُ عَلَىٰ قَلْبِكَ بِإِذْنِ اللَّهِ مُصَدِّقًا لِّمَا بَيْنَ يَدَيْهِ وَهُدًى وَبُشْرَىٰ لِلْمُؤْمِنِينَ ●
9⃣7⃣ Qul Man Kaana 'Aduwwal Li Jibreela Fainnahoo Nazzalahoo 'Alaa Qalbika Bi Iznil Laahi Musaddiqal Limaa Baina Yadayhi Wa Hudanw Wa Bushraa Lilmu'amineen.
➡ (Ay Rasool s.a.w.w Oon Logo Se) Kehdo Ki Jo Jibrail Kaa Dushman Hai (Uskaa Khudaa Dushman Hai) Kyoki Is Farishte Ne Khudaa Ke Hukm Se (Is Quraan Ko) Tumhaare Dil Par Daalaa Hai Aur Wo Oon Kitaabo Ki Tasdeek Kartaa Hai Jo (Pahele Naazil Ho Chuki Hai Aur Ab) Iske Saamne Maujood Hai Aur Imaandaaro Ke Waaste Khush Khabri Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 98 :-

مَن كَانَ عَدُوًّا لِّلَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ وَرُسُلِهِ وَجِبْرِيلَ وَمِيكَالَ فَإِنَّ اللَّهَ عَدُوٌّ لِّلْكَافِرِينَ ●
9⃣8⃣ Man Kaana 'Aduwwal Lillaahi Wa Malaaa'ikatihee Wa Rusulihee Wa Jibreela Wa Meekaala Fa Innal Laaha 'Aduwwul Lilkaafireen.
➡ Jo Shakhs Khudaa Aur Uske Farishto Aur Uske Rasoolo (Khaaskar) Jibrail O Mikaail Kaa Dushman Ho To Beshak Khudaa Bhi (Aise) Kaafiro Kaa Dushman Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 99 :-
وَلَقَدْ أَنزَلْنَا إِلَيْكَ آيَاتٍ بَيِّنَاتٍ وَمَا يَكْفُرُ بِهَا إِلَّا الْفَاسِقُونَ ●
9⃣9⃣ Wa Laqad Anzalnaaa ilaika Aayaatim Baiyinaatinw Wa Maa Yakfuru Bihaaa illal Faasiqoon.
➡ Aur (Ay Rasool s.a.w.w) Hamne Tumpar Aisi Nishaaniyaa Naazil Ki Hai Jo Waajeh Aur Raushan Hai Aur Aise Naafarmaano Ke Siwaa Unka Koi Inkaar Nahi Kar Saktaa.
---------------------------------------------
AAYAT - 100 :-

أَوَكُلَّمَا عَاهَدُوا عَهْدًا نَّبَذَهُ فَرِيقٌ مِّنْهُم بَلْ أَكْثَرُهُمْ لَا يُؤْمِنُونَ ●
1⃣0⃣0⃣ Awa Kullamaa 'Aahadoo Ahdan Nabazahoo Fareequm Minhum; Bal Aksaruhum Laa u'aminoon.
➡ Aur (Unki Ye Haalat Hai Ki) Jab Koi Ahed Kiyaa To Usme Se 1 Farik Ne Tod Daalaa. Balki Inme Se Aksar To Imaan Hi Nahi Rakhte.
---------------------------------------------
AAYAT - 101 :-

وَلَمَّا جَاءَهُمْ رَسُولٌ مِّنْ عِندِ اللَّهِ مُصَدِّقٌ لِّمَا مَعَهُمْ نَبَذَ فَرِيقٌ مِّنَ الَّذِينَ أُوتُوا الْكِتَابَ كِتَابَ اللَّهِ وَرَاءَ ظُهُورِهِمْ كَأَنَّهُمْ لَا يَعْلَمُونَ ●
1⃣0⃣1⃣ Wa Lammaa Jaaa'ahum Rasoolum Min 'Indil Laahi Musaddiqul Limaa Ma'ahum Nabaza Fareequm Minal Lazeena Ootul Kitaaba Kitaabal Laahi Waraaa'a Zuhoorihim Ka-annahum Laa Ya'lamoon.
➡ Aur Jab Unke Paas Khudaa Ki Tarafse Rasool (Mohammad s.a.w.w) Aayaa Aur Wo Oos (Tauret) Ki Jo Unke Paas Hai Tasdik Bhi Kartaa Hai Oon Ahle Kitaab Ke 1 Giroh Ne Kitaabe Khudaa Ko Apne Pase Pusht Fek Diyaa Goyaa Ve Log Kuchh Jaante Hi Nahi.

SALWAAT.

QURAAN MAJEED.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 102 TO106
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 102 :-

وَاتَّبَعُوا مَا تَتْلُو الشَّيَاطِينُ عَلَىٰ مُلْكِ سُلَيْمَانَ وَمَا كَفَرَ سُلَيْمَانُ وَلَٰكِنَّ الشَّيَاطِينَ كَفَرُوا يُعَلِّمُونَ النَّاسَ السِّحْرَ وَمَا أُنزِلَ عَلَى الْمَلَكَيْنِ بِبَابِلَ هَارُوتَ وَمَارُوتَ وَمَا يُعَلِّمَانِ مِنْ أَحَدٍ حَتَّىٰ يَقُولَا إِنَّمَا نَحْنُ فِتْنَةٌ فَلَا تَكْفُرْ فَيَتَعَلَّمُونَ مِنْهُمَا مَا يُفَرِّقُونَ بِهِ بَيْنَ الْمَرْءِ وَزَوْجِهِ وَمَا هُم بِضَارِّينَ بِهِ مِنْ أَحَدٍ إِلَّا بِإِذْنِ اللَّهِ وَيَتَعَلَّمُونَ مَا يَضُرُّهُمْ وَلَا يَنفَعُهُمْ وَلَقَدْ عَلِمُوا لَمَنِ اشْتَرَاهُ مَا لَهُ فِي الْآخِرَةِ مِنْ خَلَاقٍ وَلَبِئْسَ مَا شَرَوْا بِهِ أَنفُسَهُمْ لَوْ كَانُوا يَعْلَمُونَ ●
1⃣0⃣2⃣ Wat-taba'oo Maa Tatlush Shayaateenu 'Alaa Mulki Sulaimaana Wa Maa Kafara Sulaimaanu Wa Laakin-nash Shayateena Kafaroo Yu'al Limoonan Naasas Sihra Wa Maaa Unzila 'Alal Malakaini Bi Baabila Haaroota Wa Maaroot; Wa Maa Yu'allimaani Min Ahadin Hattaa Yaqoolaaa Innamaa Nahnu Fitnatun Falaa Takfur Fayata'al Lamoona Minhumaa Maa Yufarriqoona Bihee Bainal Mar'i Wa Zawjih; Wa Maa Hum Bidhaaarreena Bihee Min Ahadin illaa Bi-iznillah; Wa Yata'allamoona Maa Yadhurruhum Wa Laa Yanfa'uhum; Wa Laqad 'Alimoo Lamanish Taraahu Maa Lahoo Fil Aakhirati Min Khalaaq; Wa Labi'asa Maa Sharaw Biheee Anfusahum; Lav Kaanoo Ya'alamoon.
➡ Aur Oos Manter Ke Pichhe Pad Gae Jisko Sulemaan Ke Zamaana E Sultanat Me Shayaateen Japa Karte The. Haalaaki Sulemaan (a.s) Ne Kufr Ikhteyaar Nahi Kiyaa Lekin Shaitaano Ne Kufr Ikhteyaar Kiyaa Ki Ve Logo Ko Jaadu Sikhaayaa Karte The. Aur Wo Chize Jo Haarut O Maarut Dono Farishto Par Waabil Me Naazil Ki Gai Thi. Haalaaki Ye Dono Farishte Kisiko Sikhaate Naa The Jabtak Ye Naa Keh Dete Ki Ham Dono To Faqat (Zariyae) Aazmaaish Hai. Pas To (Uspar Amal Karke) Beimaan Naa Ho Jaanaa. Oos Par Unse Wo (Totke) Sikhte The Jinki Wajahse Miyaa Biwi Me Tafarrakaa Daal De. Halaaki Bagair Izne Khudaawandi Wo Apni In Baato Se Kisi Ko Zarar Nahi Pahochaa Sakte The. Aur Ye Log Aisi Baate Sikhte The Jo Khud Unhi Ko Nuksaan Pahuchaati Thi Aur (Kuchh) Nafaa Pahuchaati Thi Baawajood Ye Ki Wo Yakinan Jaan Chuke The Ki Jo Shakhs In (Buraaiyaa) Kaa Kharidaar Huaa Aur Wo Aakherat Me Benasib Hai. Aur Beshubah (Muaavzaa) Bahut Hi Buraa Hai Jiske Badle Unhone Bechaa, Kaash (Oose Kuchh Soche) Samje Hote.
---------------------------------------------
AAYAT - 103 :-

وَلَوْ أَنَّهُمْ آمَنُوا وَاتَّقَوْا لَمَثُوبَةٌ مِّنْ عِندِ اللَّهِ خَيْرٌ لَّوْ كَانُوا يَعْلَمُونَ ●
1⃣0⃣3⃣ Wa-lav Annahum Aamanoo Wat-taqaw Lamasoo-batum Min 'Indillaahi Khairun Lav Kaanoo Ya'alamoon.
➡ Aur Agar Imaan Laate Aur (Jaadu Wagaira Se) Bachkar Parhezgaar Bante To Khudaa Ki Dargaah Se Jo Sawaab Miltaa Wo Usse Kahi Behtar Hotaa. Kaash Ye Log (Itnaa To) Samajte.
---------------------------------------------
AAYAT - 104 :-

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَقُولُوا رَاعِنَا وَقُولُوا انظُرْنَا وَاسْمَعُوا وَلِلْكَافِرِينَ عَذَابٌ أَلِيمٌ ●
1⃣0⃣4⃣ Yaaa Ayyuhal Lazeena Aamanoo Laa Taqooloo Raa'inaa Wa Qoolun Zurnaa Wasma'oo; Wa Lilkaafireena 'Azaabun Aleem.
➡ Ay Imaandaaro Tum (Rasool s.a.w.w Ko Apni Taraf Mutawajjeh Karnaa Chaho To) Raa'ana (Hamaari Riaayat Kar) Naa Kaha Karo Balki Unzurnaa Kahaa Karo Aur (Ji Lagaa Kar) Sunte Raho. Aur Kaafeero Ke Liye Dardnaak Azaab Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 105 :-

مَّا يَوَدُّ الَّذِينَ كَفَرُوا مِنْ أَهْلِ الْكِتَابِ وَلَا الْمُشْرِكِينَ أَن يُنَزَّلَ عَلَيْكُم مِّنْ خَيْرٍ مِّن رَّبِّكُمْ وَاللَّهُ يَخْتَصُّ بِرَحْمَتِهِ مَن يَشَاءُ وَاللَّهُ ذُو الْفَضْلِ الْعَظِيمِ ●
1⃣0⃣5⃣ Maa Yawaddul Lazeena Kafaroo Min Ahlil Kitaabi Wa Lal Mushrikeena Ai-Yunazzala 'Alaikum Min Khairim Mir Rabbikum; Wallaahu Yakhtassu Birahmatihee Mai-yashaaa; Wallaahu Zul Fadhlil 'Azeem.
➡ (Ay Rasool s.a.w.w) Ahle Kitaab Me Se Jinlogo Ne Kufr Ikhteeyaar Kiyaa Wo Aur Mushrekin Ye Nahi Chaahte Hai Ki Tumpar Tumhaare Parwardeegaar Ki Taraf Se Bhalaai (Wahi) Naazil Ki Jaae. Aur  (Unka To Isme Kuchh Ijaarah Nahi) Khudaa Jisko Chahtaa Hai Apni Rahemat Ke Lie Khaas Kar Leta Hai Aur Khudaa Badaa Fazal (Karne) Waalaa Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 106 :-

مَا نَنسَخْ مِنْ آيَةٍ أَوْ نُنسِهَا نَأْتِ بِخَيْرٍ مِّنْهَا أَوْ مِثْلِهَا أَلَمْ تَعْلَمْ أَنَّ اللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ ●
1⃣0⃣6⃣ Maa Nansakh Min Aayatin Aw Nunsihaa Na-ti Bikhairim Minhaaa Aw Mislihaaa; Alam Ta'alam Annal Laaha 'Alaa Kulli Shai'in Qadeer.
➡ (Ay Rasool s.a.w.w) Ham Jab Koi Aayat Mansukh Karte Hai Yaa (Tumhaare Zahen Se) Mitaa Dete Hai To Isse Behtar Yaa Waisi Hi (Aur) Naazil Bhi Kar Dete Hai. Kyaa Tum Nahi Jaante Ki Beshubah Khudaa Har Cheez Par Qaadeer Hai ?

SALWAAT.

QURAAN MAJEED.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 107 TO 110
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 107 :-

أَلَمْ تَعْلَمْ أَنَّ اللَّهَ لَهُ مُلْكُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَمَا لَكُم مِّن دُونِ اللَّهِ مِن وَلِيٍّ وَلَا نَصِيرٍ ●
1⃣0⃣7⃣ Alam Ta'lam Annallaaha Lahoo Mulkus Samaawaati Wal Ardh; Wa Maa Lakum Min Doonil Laahi Minw Waliyyinw Wa Laa Naseer.
➡ Kya Tum Nahi Jaante Ki Aasmaan O Zameen Ki Saltanat Beshak Khaas Khudaa Hi Ke Lie Hai. Aur Khudaa Ke Siwaa Tumhaaraa Naa Koi Sarparast Hai Naa Madadgaar ?
---------------------------------------------
AAYAT - 108-

أَمْ تُرِيدُونَ أَن تَسْأَلُوا رَسُولَكُمْ كَمَا سُئِلَ مُوسَىٰ مِن قَبْلُ وَمَن يَتَبَدَّلِ الْكُفْرَ بِالْإِيمَانِ فَقَدْ ضَلَّ سَوَاءَ السَّبِيلِ ●
1⃣0⃣8⃣ Am Tureedoona An Tas'aloo Rasoolakum Kamaa Su'ila Moosa Min Qabl; Wa Mai Yatabaddalil Kufra Bil Eemaani Faqad Dhalla Sawaaa'as Sabeel.
➡ Kya Tum Chaahte Ho Ki Tum Bhi Apne Rasool (s.a.w.w) Se Waise Hi (Be Dhange) Sawaalaat Karo Jis Tarah Saabik Zamaane Me Musa (a.s) Se (Betuke) Sawaalaat Kie Gae The ? Aur Jis Shakhs Ne Imaan Ke Badle Kufr Ikhtiyaar Kiyaa Wo To Yakeeni Sidhe Raaste Se Bhatak Gayaa.
---------------------------------------------
AAYAT - 109 :-

وَدَّ كَثِيرٌ مِّنْ أَهْلِ الْكِتَابِ لَوْ يَرُدُّونَكُم مِّن بَعْدِ إِيمَانِكُمْ كُفَّارًا حَسَدًا مِّنْ عِندِ أَنفُسِهِم مِّن بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمُ الْحَقُّ فَاعْفُوا وَاصْفَحُوا حَتَّىٰ يَأْتِيَ اللَّهُ بِأَمْرِهِ إِنَّ اللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ ●
1⃣0⃣9⃣ Wadda Kaseerum Min Ahlil Kitaabi Lav Yaruddoo Nakum Mim Ba'adi Eemaanikum Kuffaaran Hasadam Min 'Indi Anfusihim Mim Ba'adi Maa Tabaiyana Lahumul Haqqu Fa'afoo Washfahoo Hattaa Yaa Tiyallaahu Bi Amrih; Innal Laaha 'Alaa Kulli Shai'in Qadeer.
➡ Ahle Kitaab Me Se Aksar Log Apne Dili Hasad Ki Wajah Se Ye Khwaahish Rakhte Hai Ki Tumko Imaan Laane Ke Baad Fir Kaafir Banaa De (Aur Lutf To Ye Hai  Ki) Unpar Haq Zaahir Ho Chuka Hai Uske Baad (Bhi Ye Tamannaa Baaki Hai) Pas Tum Maaf Karo Aur Darguzar Karo Yahaa Tak Ki Khudaa Apnaa (Koi Aur) Hukm Bheje. Beshak Khudaa Har Cheez Par Qaadeer Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 110 :-

وَأَقِيمُوا الصَّلَاةَ وَآتُوا الزَّكَاةَ وَمَا تُقَدِّمُوا لِأَنفُسِكُم مِّنْ خَيْرٍ تَجِدُوهُ عِندَ اللَّهِ إِنَّ اللَّهَ بِمَا تَعْمَلُونَ بَصِيرٌ ●
1⃣1⃣0⃣ Wa Aqeemus Salaata Wa Aatuz Zakaah; Wa Maa Tuqaddimoo Li Anfusikum Min Khairin Tajidoohu 'Indal Laah; Innal Laaha Bimaa Ta'amaloona Baseer.
➡ Aur Namaaz Padhte Raho Aur Zakaat Dete Jaao. Aur Jo Kuchh Bhalai Apne Lie (Khudaa Ke Yahaa) Pahele Se Bhej Doge Oos (Ke Sawaab) Ko Maujood Paaoge. Jo Kuchh Tum Karte Ho Oose Khudaa Zaroor Dekh Rahaa Hai.

QURAAN MAJEED.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 111 TO 113.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 111 :-

وَقَالُوا لَن يَدْخُلَ الْجَنَّةَ إِلَّا مَن كَانَ هُودًا أَوْ نَصَارَىٰ تِلْكَ أَمَانِيُّهُمْ قُلْ هَاتُوا بُرْهَانَكُمْ إِن كُنتُمْ صَادِقِينَ ●
1⃣1⃣1⃣ Wa Qaaloo Lai Yadkhulal Jannata illaa Man Kaana Hoodan Aw Nasaaraa; Tilka Ammniy Yuhum; Qul Haatoo Burhaa Nakum In Kuntum Saadiqeen.
➡ Aur (Yahood) Kehte Hai Ki Yahood (Ke Siwaa) Aur (Nasaara Kehte hai Ki) Nasaara Ke Siwaa Koi Behisht Me Jaane Hi Naa Paaegaa. Ye Unke Khayaali Pulaav Hai. (Ay Rasool s.a.w.w) Tum Unse Kaho Ki Bhalaa Agar Tum Sachche Ho To Apni Dalil Pesh Karo.
---------------------------------------------
AAYAT - 112 :-

بَلَىٰ مَنْ أَسْلَمَ وَجْهَهُ لِلَّهِ وَهُوَ مُحْسِنٌ فَلَهُ أَجْرُهُ عِندَ رَبِّهِ وَلَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ ●
1⃣1⃣2⃣ Balaa Man Aslama Wajhahoo Lillaahi Wa Huwa Muhsinun Falahooo Ajruhoo 'Inda Rabbihee Wa Laa Khawfun 'Alaihim Wa Laa Hum Yahzanoon.
➡ Ha Albatta Jis Shakhs Ne Khudaa Ke Aage Apnaa Sar Jukaa Diyaa Aur Achchhe Kaam Bhi Kartaa Hai To Uske Parwardigaar Ke Yahaa Uska Badlaa (Maujood Hai) Aur Aakherat Me Aise Logo Par Naa Kisi Tarah Kaa Khauf Hogaa Aur Naa Aise Log Gamgeen Honge.
---------------------------------------------
AAYAT - 113 :-

وَقَالَتِ الْيَهُودُ لَيْسَتِ النَّصَارَىٰ عَلَىٰ شَيْءٍ وَقَالَتِ النَّصَارَىٰ لَيْسَتِ الْيَهُودُ عَلَىٰ شَيْءٍ وَهُمْ يَتْلُونَ الْكِتَابَ كَذَٰلِكَ قَالَ الَّذِينَ لَا يَعْلَمُونَ مِثْلَ قَوْلِهِمْ فَاللَّهُ يَحْكُمُ بَيْنَهُمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ فِيمَا كَانُوا فِيهِ يَخْتَلِفُونَ ●
1⃣1⃣3⃣ Wa Qaalatil Yahoodu Laisatin Nasaaraa 'Alaa Shai'inw-Wa Qaalatin Nasaaraaa Laisatil Yahoodu 'Alaa Shai'inw'wa Hum Yatloonal Kitaab; Kazaalika Qaalal Lazeena La Ya'alamoona Misla Qawlihim Yawmal Qiyaamati Feemaa Kaanoo Feehi Yakhtalifoon.
➡ Aur Yahood Kehte Hai Ki Nasaaraa Kaa Mazhab Kuchh (Thik) Nahi Aur Nasaaraa Kehte Hai Ki Yahood Kaa Mazhab Kuchh (Thik) Nahi Haalaaki Ye Dono Farik Kitaabe Khudaa Padhte Rahete Hai. Isi Tarah Inhi Ki Si Baate Wo (Mushrekin Arab) Kiyaa Karte Hai Jo (Khudaa Ke Ahkaam) Kuchh Nahi Jaante, To Jis Baat Me Ye Log Pade Jagadte Hai (Duniya Me To Tay Naa Hogaa) Qayaamat Ke Din Khudaa Unke Darmiyaan Thik Faislaa Kar Dega.

SALWAAT.

QURAAN MAJEED.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 114 TO 116.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 114 :-

وَمَنْ أَظْلَمُ مِمَّن مَّنَعَ مَسَاجِدَ اللَّهِ أَن يُذْكَرَ فِيهَا اسْمُهُ وَسَعَىٰ فِي خَرَابِهَا أُولَٰئِكَ مَا كَانَ لَهُمْ أَن يَدْخُلُوهَا إِلَّا خَائِفِينَ لَهُمْ فِي الدُّنْيَا خِزْيٌ وَلَهُمْ فِي الْآخِرَةِ عَذَابٌ عَظِيمٌ ●
1⃣1⃣4⃣ Wa-man Azlamu Mimmam-Mana'a Masaajidal Laahi Ai-Yuzkara Feehas Muhoo Wa Sa'aa Fee Kharaabihaaa; Ulaaa'ika Maa Kaana Lahum Ai Yadkhuloohaaa illaa Khaaa''afeen; Lahum Fiddunyaa Khizyunw Wa Lahum Fil Aakhirati 'Azaabun 'Azeem.
➡ Aur Isse Badhkar Zaalim Kaun Hoga Jo Khudaa Ki Masjeedo Me Uska Naam Liye Jaane Se (Logo Ko) Roke Aur Unki Barbaadi Ke Darpe Ho ? Aiso Hi Ko Isme Jaanaa Munaseeb Nahi. Magar Saheme Hue Aise Hi Logo Ke Lie Duniyaa Me Rooswaai Hai Aur Aise Hi Logo Ke Lie Aakhrat Me Badaa Bhaari Azaab Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 115 :-

وَلِلَّهِ الْمَشْرِقُ وَالْمَغْرِبُ فَأَيْنَمَا تُوَلُّوا فَثَمَّ وَجْهُ اللَّهِ إِنَّ اللَّهَ وَاسِعٌ عَلِيمٌ ●
1⃣1⃣5⃣ Wa Lillaahil Mashriqu Walmaghrib; Fa Aynamaa Tuwalloo Fasamma Wajhullaah; Innal Laaha Waasi'un Aleem.
➡ (Tumhaare Masjeed Me Rokne Se Kyaa Hotaa Hai Kyoki Saari Zameen) Khudaa Hi Ki Hai  (Kyaa) Purab (Kyaa) Pashchim ? Pas Jahaa Kahi (Qible Ki Taraf) Rookh Karlo Wahi Khudaa Kaa Saamnaa Hai. Beshak Khudaa Badi Gunjaaish Waalaa Aur Khub Waaqif Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 116 :-

وَقَالُوا اتَّخَذَ اللَّهُ وَلَدًا سُبْحَانَهُ بَل لَّهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ كُلٌّ لَّهُ قَانِتُونَ ●
1⃣1⃣6⃣ Wa Qaalut Takhazal Laahu Waladan Subhaanahoo Bal Lahoo Maa Fis Samaawaati Wal Ardhi Kullul Lahoo Qaanitoon.
➡ Aur Yahood Kehne Lage Ki Khudaa Aulaad Rakhta Hai Haalaaki Wo (Is Bakhede Se) Paak Hai Balki Jo Kuchh Zameen O Aasmaan Me Hai Sab Usikaa Hai. Aur Sab Usike Farmaa Bardaar Hai.

SALWAAT.

QURAAN MAJEED.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 117 To 119.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 117 :-

بَدِيعُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَإِذَا قَضَىٰ أَمْرًا فَإِنَّمَا يَقُولُ لَهُ كُن فَيَكُونُ ●
1⃣1⃣7⃣ Badee'us Samaawaati Wal Ardhi Wa Izaa Qadhaaa Amran Fa Innamaa Yaqoolu Lahoo Kun Fayakoon.
➡ (Wahi) Aasmaan O Zameen Kaa Mawajjid Hai Aur Jab Kisi Kaam Kaa Karnaa Thaan Letaa Hai To Uski Nisbat Sirf Keh Detaa Hai Ki Ho Jaa, Pas Wo (Khud Ba Khud) Ho Jaataa Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 118 :-

وَقَالَ الَّذِينَ لَا يَعْلَمُونَ لَوْلَا يُكَلِّمُنَا اللَّهُ أَوْ تَأْتِينَا آيَةٌ كَذَٰلِكَ قَالَ الَّذِينَ مِن قَبْلِهِم مِّثْلَ قَوْلِهِمْ تَشَابَهَتْ قُلُوبُهُمْ قَدْ بَيَّنَّا الْآيَاتِ لِقَوْمٍ يُوقِنُونَ ●
1⃣1⃣8⃣ Wa Qaalal Lazeena Laa Ya'alamoona Lav Laa Yukallimunal Laahu Aw Taateenaaa Aayah; Kazaalika Qaalal Lazeena Min Qablihim Misla Qawlihim; Tashaabahat Quloobuhum; Qad Baiyanal Aayaati Liqawminy Yooqinoon.
➡ Aur Jo (Mushrekin) Kuchh Nahi Jaante Kehte Hai Ki Khudaa Hamse (Khud) Kalaam Kyo Nahi Kartaa ? Yaa Hamaare Paas (Khud) Koi Nishaani Kyo Nahi Aati. Isi Tarah Unhi Ki Si Baate Ve Log Kar Chuke Hai Jo Inse Pehle The. Insab Ke Dil Aapas Me Milte Julte Hai. Jo Log Yaqeen Rakhte Hai Unko To Apni Nishaaniyaa Saaf Taur Par Dikhaa Chuke.
---------------------------------------------
AAYAT - 119 :-

إِنَّا أَرْسَلْنَاكَ بِالْحَقِّ بَشِيرًا وَنَذِيرًا وَلَا تُسْأَلُ عَنْ أَصْحَابِ الْجَحِيمِ ●
1⃣1⃣9⃣ Innaaa Arsalnaaka Bilhaqqi Basheeranw Wa Nazeeranw Wa Laa Tus'alu 'Am Ashaabil Jaheem.
➡ (Ay Rasool s.a.w.w) Hamne Tumko Dine Haq Ke Saath (Behisht Ki) Khush Khabri Denewaalaa Aur (Azaab Se) Daraane Waalaa (Banaa) Kar Bhejaa Hai Aur Dozakhiyo Ke Baare Me Tumse Kuchh Naa Puchhaa Jaaegaa.

SALWAAT.

QURAAN MAJEED.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 120 To 122.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 120 :-

وَلَن تَرْضَىٰ عَنكَ الْيَهُودُ وَلَا النَّصَارَىٰ حَتَّىٰ تَتَّبِعَ مِلَّتَهُمْ قُلْ إِنَّ هُدَى اللَّهِ هُوَ الْهُدَىٰ وَلَئِنِ اتَّبَعْتَ أَهْوَاءَهُم بَعْدَ الَّذِي جَاءَكَ مِنَ الْعِلْمِ مَا لَكَ مِنَ اللَّهِ مِن وَلِيٍّ وَلَا نَصِيرٍ ●
1⃣2⃣0⃣ Wa-lan Tardhaa 'Ankal Yahoodu Wa Lan Nasaaraa Hattaa Tattabi'a Millatahum; Qul Inna Hudal Laahi Huwal-Hudaa; Wa La'init Taba'ata Ahwaaa'ahum Ba'adal Lazee Jaaa'aka Minal 'ilmi Maa Laka Minal Laahi Minw Waliyyinw Wa Laa Naseer.
➡ Aur (Ay Rasool s.a.w.w) Naa To Yahoodi Tumse Kabhi Razaamand Honge Naa Nasaaraa Yahaa Tak Ki Tum Unke Mazhab Ki Pairwi Karo. (Ay Rasool s.a.w.w) Unse Kehdo Ki Bas Khudaa Hi Ki Hidaayat To Hidaayat Hai. Aur Agar Tum Uske Baad Bhi Ki Tumhaare Paas ILM (Quraan) Aachukaa Hai Unki Khwaahisho Par Chale To Tumko Khudaa (Ke Gazab) Se Bachaane Waalaa Naa Koi Sarparast Hogaa Naa Madadgaar.
---------------------------------------------
AAYAT - 121 :-

الَّذِينَ آتَيْنَاهُمُ الْكِتَابَ يَتْلُونَهُ حَقَّ تِلَاوَتِهِ أُولَٰئِكَ يُؤْمِنُونَ بِهِ وَمَن يَكْفُرْ بِهِ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الْخَاسِرُونَ ●
1⃣2⃣1⃣ Allazeena Aatainaahumul Kitaaba Yatloonahoo Haqqa Tilaawatiheee Ulaaa'ika Yu'minoona Bi; Wa Mai Yakfur Bihee Fa Ulaaa'ika Humul Khaasiroon.
➡ Jin Logoko Hamne Kitaab (Quraan) Di Hai Ve Log Oose Is Tarah Padhte Rahete Hai Jo Iske Padhne Kaa Haq Hai. Yahi Log Ispar Imaan Laate Hai. Aur Jo Isse Inkaar Karte Hai Wohi Log Ghaate Me Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 122 :-

يَا بَنِي إِسْرَائِيلَ اذْكُرُوا نِعْمَتِيَ الَّتِي أَنْعَمْتُ عَلَيْكُمْ وَأَنِّي فَضَّلْتُكُمْ عَلَى الْعَالَمِينَ ●
1⃣2⃣2⃣ Yaa Baneee Israaa'eelaz-Kuroo Ni'amatiyal Lateee An'amtu 'Alaikum Wa Annee Faddhaltukum 'Alal 'Aalameen.
➡ Ay Bani Israa'il Meri Oon Ne'amato Ko Yaad Karo Jo Maine Tumko Di Hai. Aur Ye Ki Maine Tumko Saare Jahaan Par Fazilat Di.

SALWAAT.

QURAAN MAJEED.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 123 TO 125.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 123 :-

وَاتَّقُوا يَوْمًا لَّا تَجْزِي نَفْسٌ عَن نَّفْسٍ شَيْئًا وَلَا يُقْبَلُ مِنْهَا عَدْلٌ وَلَا تَنفَعُهَا شَفَاعَةٌ وَلَا هُمْ يُنصَرُونَ ●
1⃣2⃣3⃣ Wattaqoo Yawmal Laa Tajzee Nafsun 'An Nafsin Shai 'anw Wa Laa Yuqbalu Minhaa 'Adlunw Wa Laa Tanfa'uhaa Shafaa 'atunw Wa Laa Hum Yunsaroon.
➡ Aur Oos Dinse Daro Jis Din Koi Shakhs Kisi Ki Taraf Se Naa Fidyaa Ho Sakegaa Aur Naa Koi Uski Taraf Se Koi Muaawzaa Kubul Kiyaa Jaaegaa Aur Naa Koi Shifaarish Hi Faaydaa Pahuchaaegi Aur Naa Ve Log Madad Diye Jaaenge.
---------------------------------------------
AAYAT - 124 :-

وَإِذِ ابْتَلَىٰ إِبْرَاهِيمَ رَبُّهُ بِكَلِمَاتٍ فَأَتَمَّهُنَّ قَالَ إِنِّي جَاعِلُكَ لِلنَّاسِ إِمَامًا قَالَ وَمِن ذُرِّيَّتِي قَالَ لَا يَنَالُ عَهْدِي الظَّالِمِينَ ●
1⃣2⃣4⃣ Wa Izib Talaaa Ibraaheema Rabbuho Bi Kalimaatin Fa Atammahunna Qaala Innee Jaa'iluka Linnaasi Imaaman Qaala Wa Min Zurriyyatee Qaala Laa Yanaalu 'Ahdiz Zaalimeen.
➡ (Ay Rasool s.a.w.w Bani Israa'il Ko Wo Waqt Yaad Dilaao) Jab Ibraahim (a.s) Ko Unke Parwardeegaar Ne Chand Baato Me Aazmaayaa Aur Unhone Puraa Kar Diyaa To Khudaa Ne Farmaaayaa Mai Tumko (Logo Kaa) Peshwaa Banaane Waalaa Hu. (Hazrat Ibaraahim a.s. Ne) Arz Ki, Aur Meri Aulaad Mese ? Farmaayaa (Haa) Magar Mere Is Ohde Par Zaalimo Me Se Koi Shakhs Faaez Nahi Ho Saktaa.
---------------------------------------------
AAYAT - 125 :-

وَإِذْ جَعَلْنَا الْبَيْتَ مَثَابَةً لِّلنَّاسِ وَأَمْنًا وَاتَّخِذُوا مِن مَّقَامِ إِبْرَاهِيمَ مُصَلًّى وَعَهِدْنَا إِلَىٰ إِبْرَاهِيمَ وَإِسْمَاعِيلَ أَن طَهِّرَا بَيْتِيَ لِلطَّائِفِينَ وَالْعَاكِفِينَ وَالرُّكَّعِ السُّجُودِ ●
1⃣2⃣5⃣ Wa-iz Ja'alnal Baita Masaabatal Linnassi Wa Amnanw Wattakhizoo Mim Maqaami Ibraaheema Musallaaa; Wa 'Ahidnaaa ilaaa Ibraaheema Wa Ismaa'eela An Tahhiraa Baitiya littaaa'Ifeena Wal'aakifeena Warrukka'is Sujood.
➡ (Ay Rasool s.a.w.w Wo Waqt Bhi Yaad Dilaao) Jab Hamne Khaana E Kaabaa Ko Logo Ke Sawaab Aur Panaah Ki Jagah Karaar Di. Aur (Hukm Diya) Ki Ibraahim (a.s) Ki Is Jagah Ko Namaaz Ki Jagaah Banaao. Aur Ibraahim O Ismaa'il (a.s) Se Ahado Paimaan Liyaa Ki Mere (Is) Gharko Tawaaf Aur A'atekaaf Aur Ruku Aur Sajdaa Karne Waalo Ke Waaste Saaf Suthraa Rakho.

SALWAAT

QURAAN MAJEED.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 126 To 128
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 126 :-

وَإِذْ قَالَ إِبْرَاهِيمُ رَبِّ اجْعَلْ هَٰذَا بَلَدًا آمِنًا وَارْزُقْ أَهْلَهُ مِنَ الثَّمَرَاتِ مَنْ آمَنَ مِنْهُم بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ قَالَ وَمَن كَفَرَ فَأُمَتِّعُهُ قَلِيلًا ثُمَّ أَضْطَرُّهُ إِلَىٰ عَذَابِ النَّارِ وَبِئْسَ الْمَصِيرُ ●
1⃣2⃣6⃣ Wa-iz Qaala Ibraaheemu Rabbij 'Al Haazaa Baladan Aaminanw Warzuq Ahlahoo Minas Samaraati Man Aamana Minhum Billaahi Wal Yawmil Aakhiri Qaala Wa Man Kafara Faumatti'uhoo Qaleelan Summa Adhtarruhooo ilaa 'Azaabin Naari Wa Bi'asal Maseer.
➡ Aur (Ay Rasool s.a.w.w Wo Waqt Bhi Yaad Dilaao) Jab Ibraahim (a.s) Ne Duaa Maangi Ki Ay Mere Parwardigaar Is Shaher Ko Panaah O Aman Ka Shaher Banaa Aur Iske Rahene Waalo Me Se Jo Khudaa Aur Roze Aakherat Par Imaan Laae Usko Tarah Tarah Ke Fal Khaane Ko De. Khudaa Ne Farmaayaa  (Achchhaa Magar) Jo Kufr Ikhteeyaar Karegaa Uskaa Duniyaa Me Chand Roz (Oon Cheezo Se) Faaydaa Uthaane Dunga Fir (Aakherat Me) Usko Majboor Karke Dozakh Ki Taraf Khinch Le Jaaunga. Aur Wo Bahut Buraa Thikaanaa Hai.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
AAYAT - 127 :-

وَإِذْ يَرْفَعُ إِبْرَاهِيمُ الْقَوَاعِدَ مِنَ الْبَيْتِ وَإِسْمَاعِيلُ رَبَّنَا تَقَبَّلْ مِنَّا إِنَّكَ أَنتَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ ●
1⃣2⃣7⃣ Wa-iz Yarfa'u Ibraaheemul Qawaa'ida Minal Baitiwa Ismaa'eelu Rabbanaa Taqabbal Minnaa Innaka Antas Samee'ul Aleem.
➡ Aur (Wo Waqt Bhi Yaad Dilaao) Jab Ibraahim O Ismaa'il (a.s) Kaana E Kaabaa Ki Buniyaade Buland Kar Rahe The (Aur Duaa Maangte The Ki) Hamaare Parwardigaar Hamaari (Ye Khidmat) Kubul Kar, Beshak Tuhi (Duaa Kaa) Sunnewaalaa Aur (Niyyat) Kaa Jaanne Waalaa Hai.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
AAYAT - 128 :-

رَبَّنَا وَاجْعَلْنَا مُسْلِمَيْنِ لَكَ وَمِن ذُرِّيَّتِنَا أُمَّةً مُّسْلِمَةً لَّكَ وَأَرِنَا مَنَاسِكَنَا وَتُبْ عَلَيْنَا إِنَّكَ أَنتَ التَّوَّابُ الرَّحِيمُ ●
1⃣2⃣8⃣ Rabbanaa Waj'alnaa Muslimayni Laka Wa Min Zurriyyatinaaa Ummatam Muslimatal Laka Wa Arinaa Manaasikanaa Wa Tub 'Alainaa Innaka Antat Tawwaabur Raheem.
➡ (Aur) Ay Hamaare Paalnewaale Tu Hame Apna Farmaabardaar Bandaa Banaa Aur Hamaari Aulaad Se 1 Giroh (Paidaa Kar) Jo Teraa Farmaabardaar Ho. Aur Hamko Hamaare Hajj Ki Jaghe Dikhaa De, Aur Hamaari Taubaa Kabul Kar. Beshak Tuhi Badaa Taubaa Kabul Karnewaalaa, Maherbaan Hai.

SALWAAT.

No comments:

Post a Comment

 
back to top