Thursday 5 November 2015

KEY POINT (MAJLIS MAULANA MOHAMMAD ASKARI SB(DELHI)

No comments:

Majlis e Aza - Hujjat ul islam Moulana sayyed Mohammed Askari sab-  21st Muharram 1437 - 4th nov 2015

Topic : Imam Hussain a.s - chiraagh e Hidayat

1. Inna Hussaina Misbah ul huda wa safinatun najat.

Ek Fitri zarurat hai aur ghair e fitri zarurat hai.

Ahm Fitri Zarurat  hidayat hai.

2.Hamari zindagi kis liye hai yeh ek sawaal hai aur Iska jawab bahut zaruri hai, iske liye hidayat chahiye.

3.Neamato ki qadr karna chahiye, Allah ne kisi naemat par ehsaan nahi jataya hai lekin Ek naemat mein ehsaan jataya hai woh hai neamat e hidayat joh Saare neamato se bad kar hai.

4. Hame Moula Ali a.s ko duniya ke saamne unke kalaam aur khutbe ke zariye se pechanwaye na ke zakiro ke nukhte se aur shayero ke khayalat se, Iska sabse bada zariya Nahjul Balagah hai.

5.Jung e khaiber mein - Rasul e khuda sawa jub moula ali a.s ko alam de chuke us waqt Rasul sawa ne farmaya - Ya Ali ! Agar Allah tumare zariye se kisi bhatke ko raaste pe lagade ye tumare liye sabse badi fazilat hai.

6.Hum Kaha se aaye hai, kisliye aaye hai aur hamari maqsad e qilkhat aur manzil kya hai ? Inhi sawaalo ka jawaab deen hai

7.Khaliq ne insaan ko be maqsad nahi paida kiya hai.

8.Momin har kaam aakhirat ki tyaari ke liye karta hai.

9.Rasul sawa - Maut ek pul (bridge) ka naam hai, duniya se akhirat se Milne ke liye.

Momin ke liye pul jannat ke liye hai aur kafir ke liye jahanam ke liye.

Rasul sawa aur ahlulbait a.s aaye isliye ki hame jannat ke pul tak le jaye.

Ess bridge ka toll - paisa aur maal nahi hai balke Aamaal Aqaid aur Wilayat hai.

10.Moula ali a.s ko kisi sahabi ne pucha ke  Maut ki tyaari kaisi kare ?

Imam a.s ne 3 cheeze bataye :

1.jin cheezo ko Allah ne wajib kaha usse anjaam de, Joh bhi wajib hai usse ada kare.

2.haraam chizo se dur rahna.
3. Aaj ki majlis me batayege.

11.Sabse bada aur ahm fariza amr bil maroof hai, namaz aur roza se badh kar hai.

12.Aaj maushire mein gunah kyun aam hai, kyunki koi rokhne tokne waala nahi hai.

13.Imam sadiq a.s  farmate hai - Allah ne janabe shaoib par wahi naazil ki hai - hum tumhare ek lakh logo par azaab naazil karenge ,

unme se 40k gunahgaar log hai,

60k woh log hai jinhone gunah nahi kiya, lekin ye log woh hai jinki nigah me gunah horaha tha lekin woh gunah gaaro se dosti barkharaar kar rahe tha aur haan me haan mila rahe the.

14.Hidayat Kaha se milegi - Hussain a.s ek chiraagh e hidayat hai . yaha majliso me he seekh sakte hai.

Na shayero ke khayalat ya zakiro ke nukhte mein deen hai, deen tho sirf quran aur hadith me hai.

15.Sileh rehem ka matlab- apne khooni rishte ke saath achi tarha se bartaaw kare,

Khat e rehem - ristha todna joh Haram hai, aur rista na todhe (ek hour ki bhi mahulat nahi di gayi hai rishte todne ke liye)

Tahajur - do momino ke darmiyaan rishta tod Lena. (3 din ki mahulat di gayi hai rishta jodhne ke liye uske baad haraam hai.)

Note : Majlis today at astane Abul fazlil abbas roypettah opp to Masjid e Hussaini @ 10pm

special thanks to
CHANNEL 14.

www.safeer-e-aza.in

No comments:

Post a Comment

 
back to top