Saturday 7 November 2015

KNOW ABOUT IMAM SAJJAD A.S.W.S.

1 comment:
IMAM ZAINUL AABEDIN A.S.W.S. KI MUKHTASAR SAWANEH HAYAT.
ISME GIRAMI - ALI IBNUL HUSSAIN,
VILADAT- 15 JAMADIUL AWAL/ 5 SHABAN HIJRI-38,
SHAHADAT-25 MUHARRAM HIJRI-95,
KUNNIYAT - ABU MOHAMMAD,
WALID- IMAM HUSSAIN A.S.W.S.
WALIDA - JANAB E SHAHER BANO,
AULAD - 11BETE, 4 BETIYA,
ALQAB - SATYADUL AABEDIN( isliye kaha jata hai kyu k ap din raat me ek hazar rakat namaz ada karte the,)
ZAINUL AABEDIN (isliye kahte hai kyu azdahe k katne k bad me ap namaz me mashghul rahe),
ZUSAFFANAT (bhi kahte hai kyu k ibadat ki waja se apki peshani aur ghutno pr gatthe pad jate the aur use saal me 2 martaba tarashna padta tha,)
iske alawa apko AABID aur SAJJAD bhi kaha jata hai,
ILM-apke ilm k bare me ullamaye ahle sunnat kahte h k apse afzal aur apse bada koi FAQIH aur MUTTAQI koi nhi paya gaya,
SABR - ap itne SAABIR the k raahe shamo kufa me apne kisi se koi BAD KALAMA istemal nhi kiya,
HILM - hilm aisa k kabhi kisi se BEADABI nhi ki aur kabhi kisi se inteqam nhi liya ,
SAKHAWAT= kaha jata hai k agar TASHAHUD ka LAA na hota to maula apni zindagi me kabhi kisi ko LAA nhi kahte yani kabhi kisi sawali ko NAA nhi kaha.
SHUJA'AT = darbare ibne zyad me KHUTBO ki dhar se dushmano pr ZARBAT lagayi,
SHAYAR kehta hai,
"QUR'AN liye baithe hai TAFSEER ke bagair,
ISLAM ko smjhte hai TATHEER ke bagair,
Darta tha itna SAYYAD E SAJJAD se yazid,
BIMAR ko na rakh saka ZANJEER ke bagair."
QATIL - Walid ibne abdul malik
QABR - madina munawwara(JANNATUL BAQI'A).

1 comment:

  1. Salamun Alaikum,
    JazakAllah,
    informative fact for all Mohibbe Ahlebait A.S.

    ReplyDelete

 
back to top