Aale saood ne Shiekh Baqir Al Nimr ko bekhata shaheed kar diya,
Ye baat jaise hi dunya me faili, logo ne apne apne andaaz me iska radde amal zaahir kiya..
Is mauqe par sukhanwaraan e Ehlebait ne bhi apne ashaar ke zariye aawaaz uthai..
Unmese Kuch shoara ke ashaar pesh hai...
----------------------------------------
Tumhaare hath ki talwaare'N kam pade'N to pade'N,
Hamaare paas saro'N ki kami nahi'N hogi...
-Hassnain Akbar
Tanse huwi gardan jo juda yaad rahegi,
Insaaf ko nahaq ye saza yaad rahegi...
Aati thi mere shehr me pehle bhi magar ab,
Jis rang me aayi hai qaza yaad rahegi...
-Asad Ali Asad, Pak
Meri haqgoi mera jurm sahi tumko magar,
Pas e zindaan mere marne ka gam hai ke nahi...
Ye shahadat mera aijaaz sahi phir bhi suno,
Tum jo khamosh ho logo ye sitam hai ke nahi...
-Fakhira Batool Naqvi, Pak
Hai gawaah taarikh apni, paish e zaalim aajtak,
Sar khamidah na huwe ham, sarburidah hogaye....
-Zahra Ali, Pak
Wahi ke jisme guroor e shahi milaya gaya,
Mera khameer usi khaak se uthaya gaya...
Ugegi fasl mazafaat me'N bagawat ki,
Faseel e shehr se mujhko agar giraya gaya...
-Adnan Mohsin, Pak
Khanjaro'n Ne Kaat Di Jis Dam Zubaan E Inqlaab ..
Di Mre Khoo'n Ne Sar E Maqtal Azaan E Inqlaab ..
Hum Khilaaf E Zulm Ulfat Me Shaheedo Ki Nadeem
Laaye Hain Sar Par Utha Kar Aamaan E Inqlaab ...
-Nadeem Sirsvi, Pak.
PASTIYA N HOTI HAIN KAISI MUJHE MAALUOM NAHI,
ISHQE HAIDAR NE BALANDI SE UTARNE NA DIYA...
NIRM KO KATNE WALO N KO KHABAR TAAJ KARO,
MIDHATE HAIDRE KARRAR NE MARNE NA DIYA....
-TAAJ KARBALAYEE
Raah e Haq me hanste hanste chadh gaye sooli faseel,
Hum Aliwaley nahi jhukte bataya Nimr ne...
Agai phir saamne khul kar yazidi zehniyat,
Ek Husaini ko kiya hai qatl phir se shimr ne...
-Faseel kazmi
Roz e mehshar se na ruswai se dar lagta tha,
Dushman e deen ko molaei se dar lagta tha...
Isliye di gaei phaansi ke sitamzado,n ko,
Baqir al nimr Ki daanaei se dar lagta tha...
-Asif Jalal Bijnori
Zalimo maar to daala hai magar yaad rahe..
Bhool se ye na samjh lenaa k ham murdaa hai'n..k
Nimr ki rooh yahi asl me kahti hogi..
Har husaini ki tarah aaj bhi ham zinda hai'n..
-AZMI BARABANKVI
Alam hussain a.s ka hathon me leke uthegA...
Saud tujhpe ho lanat ye keh ke niklega...
Batao kitnon ko marogey aae saud o yahood...
Har ek bacha yahan Nimr banke ubhreg....
-Hasan Utraulvi
Saudiyo'n pe ho Laanat, Salaam NIMR tumhe,
Ali ki hogi Ziyaarat, Salaam NIMR tumhe...
Ali ke ishq ka tumne diya jahaa'n ko suboot,
Tumhe mili hai Shahadat, Salaam NIMR tumhe....
-Romaan Rizvi
Khateeb kahdo zamane se bekhatar hokar,
Ek inqelaab ki duniya ko fir zaroorat hai...
Shaheed Nimr huey raaz khul gya dekho,
Saoudi mulq me iblees ki huqumat hai...
-Khateeb Allahbadi
Apne daman me samete hue deedaro ko,
Karbala mitne nahi degi azadaro ko...
Nimr mazloomo ka hai teri shahadat ko salaam,
Waqt samjhayega un deen ke ghaddaro ko...
-Dr.Nayab Balyavi
Haq ki aawaz daba dete hain ye ahele saud,
Apni maaon ki khayanat ko chipane ke liye...
Baqir al nimr ki fansi hai basad bughz e Ali,
Ye adawat hai sharafat ko mitane ke liye...
-Sanad rizvi
Suni hai hamne sina'N par azaan e farq e Hussain(as),
Kataa to sakte hai ham sir jhukaa nahi sakte...
-Ahmer Shehwaar
Nimr ne aavaaz de kar jab jagaya neend se,
Neend me hi nimr ko labbayk mai kehta raha...
So gaya tha nimr jab faarigh huva mai neend se,
Mai bhi roke so gaya or waqt yu'n behta raha...
-Naushad Bijani, Sweden.
Raushnaee me agar apna qalam doobega,
waqt ke saare yazeedon ka hasham doobega...
Rang laega mere khoon ka qatra qatra
aur is surkh samandar me setam doobega...
-Abid raza naushad
Daar par huq ke liye chad ke sawarti h hayat,
Jab bikharti h to zarro'n se ubharti h hayat...
Nimr ke qatil ko shayed ye nahin maaloom hai,
Woh hamara khoon hai jis se ke palti hai hayat....
-Aijaz Jabalpuri
Ek zamaane se chali aai hai tarqeeb magar,
Kufr ke saamne sar haq ne jhukaya hi nahi...
Dars dete hai yahi Nimr hame ae logo,
Zulm ke saamne shi'a kabhi jhukta hi nahi...
-Hamza Kanodari
Zulm kitna bhi kare'n tum pe zamaane waale,
Deene paighambare mursal ke wafadaar bano...
Nimr ne daar pe ye dars diya hai ja kar,
Ai muhibbaane Ali misame tammaar bano...
-Aziz Azmi
Fazl ka aasma'n Baqirun nimr they,
Mus'haf e khoo'nchaka'n Baqirun nimr they...
Shehr e zulamat me Ghafir, Abuzar they woh,
Deen e haq ki azaa'n Baqirun nimr they....
-Ghafir Rizvi...
Koi hai pairawe Misam koi Salmaan hute hyn,
Jo haq pe jaan dete hyn Azimussaan hute hyn...
Wo Misam ho'n ke Hur ho'n ya ke ho'n Baqir Namr Qudsi,
Baqaae dine haq tere lie qurbaan hute hyn...
-Qudsi Lucknowi
Haqqaniyat ka zulm pe taari ghunood hai,
Mar bhi gaya to ishq e Ali ka wujood hai...
Aawaaz de raha hai lahu Sheikh Nimr ka,
Is daur ka yazeed ye Aale Saood hai...
-Qaseem Haider
Wajood e dee'N muqammal asar nazar aya,
Ali(as) ke ishq me dooba magar nazar aaya...
Saboot e Ishq E Ali(as) zaalimo ko deta huwa,
Fir ek baar koi daar par nazar aya...
-Abr Kanodari
Iltemase Dua,
BY- ANEES (ABR) KANODARI.
No comments:
Post a Comment