maut ki aagosh mein jab thak key soo jati hain maa
tab kahii jaakar "reza" thora sukoon paati hain maaa,
fikar mein bachoo ki kuch istarah ghul jaati hain maa
no jawan hotey howey budhi nazar aati hain maaa,
eik hi hasraat ko apney azm-o-istaqlal sey,
aansoo sey gusl dekar kudh hi dafnaati hain maa
aurhtii hain gurbatoo kaa khud yeh boseeda kafan
chahatoo ka perahan bachey ko pehnaatii hain maa
bhooka rehnay hi nahi deti yateemoo ko kabhi
jaaney kis kis sey kahan sey maang kar laati hain maa
rooh aur rishtey ki yeh gheraiyan tou dekhayey
chot lagtii hain hamarey aur chilaatii hain maaa
kab zarorat hoon meray bachey ko itnaa soch kar
jaagti rehtii aaankhen aur soooo jaati hain maaa
haadyoon ka ras pila kar apney dil key chain koo
kitnii raatey mein tou khalii paet sojaati hain maaa
jaaney kitnii barf si raatoo mein aisaa bhi howa
bacha tou chatii pey hain gelay mein sojatii hain maa
jab khiloney ko machaltaa hain koi gurbat ka phool
aaansoo key saaz par bachey ko behlatii hain maaa
fikar mein shamshan key aakhir chatanoo ki tarah
jaisay sookhii lakriaa istraha jaal jaati hain maaa
apnii aanchal sey gulabii aansoo ko poonch kar
deir tak gurbat pey apnii askh barsatii hain maa
samney bachoo key khush rehtii hain har ek haal mein
raat ko chup chup kay lekin askh barsatii hain maaa
pehley bachoo ko khilaatii hain sukoon-o-chain sey
baad mein jo kuch bacha who shauq sey kahti hain maa
Mangtiii bhi nahi apney liyey allah sey
Apney bachoo key liyey daman ko phelatii hain maa
Janey anjaney mein hojayey jo bachey sey kasoor
Eik anjaani saza key dukh sey tarhaaati hain maa
Har ibadat har mohabbat mein nihah hain eik garz
Be garz be losss har khidmat ko kar jaati hain maa
Apney bachoo ki baharey zindagi key wastey
Aansooo key phoool har mosaaam mein barsatii hain maa
Bazooo mein kich key aaajaye gi kaisay qainat
Apney bachey key liyey bahoon ko pehlaatii hain maaa
Eik eik hamley sey bachey ko bachaney key liyey
Dhaaal bantii hain kabhi talwar ban jaati hain maaa
Pheley dil ko saaf karkey khoob apney khoon sey
Dharkanoo par kalmae-tauheed likh jaati hain maaa
Safha-e-hastii pey likhtii hain who usool-e-zindagi
Isi lyey ek maqtab-e-islam kehlatii hain maaa
Usney duniyaa ko diyey masoom rehbar islyey
Azmatoh mein saani-e-quran kehlatii hain maa
Jab perashanii mein ghir jaatey hain hum pardes mein
Aaansoo ko poochney khawaboo mein aajatii hain maa
Aisa lagta hain key jaisa aagaye firdoos mein
Daal kar bahey galey mein sar ko sehlatii hain maa
Agaya gar waqt muskhill apney dil key chain par
Qabr mein hotey howey bhi ashq barsatii hain maa
Baad mar jaaney key phir betay ki khidmat key liyey
Bhes betii ka badal kar ghar mein aaajati hain maaa
Door hojatii hain sari umr ki us dam thakan
Bihah karkey betay kaa jab ghar bahoo lati hain maa
Dekh letay hain nazar jis waqt betay aur bahoo
Ajnabi apney hi ghar mein haayey ban jaati hain maa
Allah allah bhool kar eik eik satam ko raat mein
Pootii pootey sey shikastaaa dil ko behlatii hain maa
Beta kitnaa hi bura hoon par padosan key huzoor
Rok kar jazbaat ko betay key gun gaati hain maa
Shadiyaan karkey jo bachey jaa basey pardes mein
Khat sey ya tasweer sey phir dil ko behlatiii hain maa
Apney seenay par rakhey hain qainat-e-zindaqiii
Yeh zameen is wastey hain dost kehlatii hain maa
Zindagani key safar mein gardishoo ki dhooob mein
Jaab koi saaya nahi miltaa tou yaad aaatii hain maa
Muflisi Bachey ki zid par jab utha letii hain haath
Jaisay mujrum ho koi istrhah sharmatii hain maa
Lot kar wapis safar sey jab bhi ghar aatey hain hum
Daal kar bhahey galey mein sar ko sehlatii hain maa
Dair hojatii hain ghar mein aaney mein aksar jab hamey
Rait par machlii ho jaisay aisay ghabratii hain maa
Mart-e-dam asaka bacha naa ghar par deir sey
Apni donoo kutliyay chokhat par rakh jaati hain maa
Apni pehloo mein lita kar aur totey ki tarah
Eik , bara paanch chodaa hum ko sikhlaati hain maa
Pyar kehtey hain kissey aur maamta kia cheez hain
Koi un bachoo sey poochey jin mar jaati hain maa
Saaal bhar mein , ya kabhi , haftey mein jumaraat ko
Zindagi bhar ka silaa eik fatiha paa ti hain maaa
Martaba hoo maa ka zahir kis liyey firdoos sey
Apney bachoo key liyey poshaq mangwatii hain maa
Ghar sey jab pardes jaata hain koi noor-e-nazar
Hath mein quran lekar dar pey aajatii hain maa
Dekey bachey ko zamanat mein reza-e-paak ki
peechay peechay sur jukhayey door tak jaati hain maa
kaaptiii awaaz sey kehtii hain betaa alwidaaa
samnaa jab tak rahey hathooo ko lehratii hain maa
yaad aataa hain shab-e-aashoor ka karyal jawan
jab kabhii uljhiii howi zulfoo ko suljhatii hain maa
sub sey pehlay jaaan dena fatima(a.s) key laal par
raat bhar aun-o-mohamed ko yeh samjhatii hain maa
allah allah intehah dekh sabr-e- laila aur husain (a.s)
baap ney khainchii sina , seeney ko sehlatii hain maa
yeh bata saktii hain humko bus rubab(a.s)-e-khasta tan
kis tarah bin doodh key bachay ko behlaati hain maaa
shimr key kanjar sey yaa sookhey galey sey poochiyey
maa idhar sey nikaltaa hain udhar aaati hain maaa
jab talak hain yeh hath hain hamsheer be parda na hoon
eik madar bawafa betay sey farmatii hain maaa
aisa lagta hain kissi maqtal sey ab bhi waqt-e-asr
ek buridaa sar sey zyada pyasaaa hoon sada aati hain maa
no jawan beta agar dam tor dein aagosh mein
zindaqii bhar sur ko diwaroo sey takraatii hain maa
lash par betay key parhtii hain jawanii marsiaaa
shukr ka sajda us aalim mein baja laati hain maa
dei kar apney laal ko islam ki aaagosh mein
good khalii phir so-e-jaanat palat jaati hain maa
fatima(a.s) key laal par qurbaaan karney key liyey
baandh kar sehra jawan betay ko samjhatii hain maa
apney gam ko bhool kar rotey hain jo shabbir(a.s) ko
unkey askhoo key liyey jannat sey aajatii hain maa.
I love my mom but my grandmother was death I am very sad she is so lovely but we lost her she's like my own mother I love her
ReplyDelete