Sunday, 27 September 2015

150 SELECTED NAWHAS COLLECTIONS(Write Up) PART 2

No comments:
1742d99425.gif?t=1165857144 

Alla-Homma So'alle Ala Mohammadin Wa Aale Mohammad.
(O Allah(s.w.t) Bless Mohammed s.a.w.s and his progeny)
(O Allah(s.w.t) Bless us with the love of Hussain a.s
(O Allah(s.w.t) Bless us with the ziarat of Hussain a.s

The greatest martyr of mankind
IMAM HUSSAIN(A.S)
GRANDSON OF PROPHET MUHAMMED(S.A.W.S)
He sacrificed his life for Truth, Justice & Humanity 

A HUMBLE REQUEST: PLEASE DO PRAY FOR EARLIEST RESTORATION OF JANNAT AL-BAQI; PROTECTION OF MAUSOLEUM OF SAYYIDAH ZAYNAB BINT ‘ALĪ IBN ABĪ TĀLIB (A.S.) AND SAYYIDAH RUQAYYAH/SAKINA BINT HUSSAIN (A.S.) & EARLY RE-APPEARANCE OF IMAM-E-ZAMANA (ATFS).

NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

JAB QAYME ME RUKSATH KO SHAH-E-BAHROBAR AYE
Chilaee Sakina Mere bekas padar aye
Sheh keh-e the bibi hame ro kar na rulaawo
Phir pyaar kare ham tumhe, mu aa’ge ko lawo
O kehti thi hamrah mujhe leke-to jawo
Mai kya karun maidan me, gar-jaa ke na aa’wo
Neend aayegi jab aap ki bu pa’awungi baba (2)
Mei raat ko maktal me (chali aa’wungi baba-2)
Neend ayegi jab aap ki bu pawungi baba,
Chali awungi baba (2)

Farmaaya nikalti nahi sayedaa’niya bahar
Sine pe sulayengi tumhe raat mai madar
Kyu kehti ho maktal me chali awungi baba,
Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2)

Nanhe se kalay-jay pe mere chalti hai talwar,
Khulta nahi kyu aap ne bandhe hai ye hathyar,
Mai aapko khoker na kabi paa’woungi baba
Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2)

Aati hai bala sarpe to pehle muje varo,
Mar jawongi baba na sidharo na sidharo,
Jao’oge jahan mai bhi wahin ja-oungi baba
Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2)

Shab hogi to phir khaak pe soengay wahan aap,
Sine pe to Asgar (a.s) ko sulayenge waha aap,
Acha mai wahi khakh pe so ja-ungi baba
Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2)

Aane do agar pyas se gash ayega baba,
Tum jeetay raho pani bhi miljayega baba,
Mai aap ko dekhungi to ji-ja-ungi baba
Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2)

Kuch door na the ham ke tumhe neend na ayi,
Kiya hovega jab hogi mahino ki judaayi,
Bibi na kaho mai nahi so pa-ungi baba
Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2)

Woh hal ANIS ab nahi ho sakta hai markum,
Jis tarha chuti baap se woh dukhtare mazlum,
Nawha tha yahi jiska na ji pa-ungi baba,
Mai raat ko maktal mai (chali awungi baba)-2

NAWHA - BIBI SAKINA (SMA) & HAZRATH ABBAS (AS)

SAKINA (2) NA RONA SAKINA (4)
Abbas na ab lout ke ayega Sakina (3)

Abbas na ab lo’ut ke aayega Sakina’a... (2)Ab koun tere naaz, uthayega Sakina

Bhaayi se vida hoke-yun, farmaate-thay Maula (2)Ab koun mere ghar ko bachayega Sakina

Kya hoga zara der mein malum hai humko (2)
Tar khoon-mein alam nehr-se aayega Sakina

Ek shoor hai, koh-raam hai, Bibi labe dariyaa (2)Lagta hai ke ab sher na aayega Sakina

Talwaron-me-naizon mai ghira hai mera bhaayi-2Woh mashk-O-alam kaise bachayega Sakina

Abbas na honge tera, Baba bhi na hogaa (2)
Ab koun teri pyaas bhujayega Sakina

Kiske liye Bibi daray-khaima pe khadi ho (2)Ab koyi taraayi se na aayega Sakina

Abbas ka wada hai-ke, paani na piyegaa (2)Pehle tumhe kausar me pilayega Sakina

Ay “SARWAR-O-REHAN” ye kehte rahe maula (2) Ye gham tujhe ta hashr rulayega Sakina

(HAAN YE HAI SHEHR-E-SHAAM) X3
CHOTI SHEHZAADI KA HAI YAHIN PAR QAYAM,
AAJ ROZE PE HAI ROSHNI SUBHO SHA’’AM,
PURSA DAARON KA HAI MAATMI AZHDAH’’AM,
PHAT RAHA HAI JIGAR SOCHTA HUN AGAR’’’’,
KAISA TAREEQ THA’’’’’, KAISA WEERAN THA’’’’’,
KAISA WEERAN THA, KAL YE ZINDAAN THA’’’’’’,
(BADA ROYI SAKINA YEHAN x2), (HAAN YE HE SHEHR-E-SHAAM x2)

Itni wehshat ke ik pal na guzre jahaan….
Chheekti ho jahaan sirf tanha-iyan
Rona kya siskiyon par bhi pa-bandiyan
Rassiyon bediyon tauq ke darmiyan

Sar khule khaak par ghamzada bibiyan
Usmein Qasim ki Akbar ki Asghar ki maan
Maang ujdi huwi khali thi godiyan
Sab ki himmat bandhati thi Zainab jahaan

Haan isi shaam ke beech bazaar mein
Bibiyan patharon ki thi bochhar mein
Khun mein dubi Muhammad ki thi betiyan
Har taraf shaam mein jashn ka tha samaan

Dekh kar binte Zehra ka yun sar khula
Noke neza se ghazi ka sar girgaya
Haye ghazi ki ghairat ka ye imtehaan
Sar patakne lagi saari shehzadiyan

Ek qayamat si darbar mein aagayi
Jab sakina kaneezi mein mangi gayi
Na padar na chacha bhai-bi natawan
Todi Sajjad ne ghaiz mein bediyaan

Dukhtare hind boli sakina bata
Kaise daman jala kyun hai kurta phata
Oudni teri sar ki gayi hai kahan
Khainchi-kis shaqi ne teri baliyaan

Boli kya haal apna bataaoun tujhe
Chhod ke jabse baba gaye hein mujhe
Mein yateem hogayi aur kya ho bayaan
Meri gardan mein bandhi gayi rassiyan

Aur ik roz zindaan rone laga
Jab sakina ko baba ka sar milgaya
Boli ab aye ho tum mere baba jaan
Itne din duur mujhse rahe ho kahaan

Royi "REHAN-O-SARWAR" ki ankhein lahu
Roza-e-shahzaadi pe ki guftagu
Haye is waqt hum tum khade hein jahaan
Nur hi nur hai kal thi tarikiyan NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

KYA MUJHE CHOD KAR SAB CHALE JAYENGE
HAAYE AMMA, ARE SUNO AMA,
Aray aapse mei bayaan, dil ka haal karun,
Aray dil mei uth-ta hai jo, ik sawaal karun
Qaid se jab rihaai haram paaenge (2)
Kya meri qabr pe phir nahi aaenge (2)
Sirf ranjo alam (2) mujhko tadpaaenge
Kya mujhe chod kar sab chale jaaenge….

Kya isi qaid mei gut ke marjaaungi,
Kya mei do gaz kafan bhi nahi paaungi,
Mailay kurte mei kya mujhko dafnaaenge

Sarse paaun talak mei lahu mei hu tar,
Mera zakhmon bhara ye badan dekh kar,
Sirf zaalim nahi zulm pashtaaenge

Shaam waale karenge abhi kuch sitam,
Mujhko khaae chala jaa raha hai ye gham,
Ye meri qabr pe shimr ko laaenge

Dekh kar zakhm baba ke ghabraayi mei,
Hashr mei baap ke paas jab aayi mei,
Dekh kar mujhko baba bhi ghabraaenge

Karbala hai kahaan aur kahaan shaam hai,
Na mujhe chain naa unko aaraam hai,
Woh mujhe karbala roz bulwaaenge

Karbala jaake baba se ye puchna,
Hashr mei unse jab ho mera saamna,
Kya mujhe apne sine se liptaaenge

Kehna sughra se apna chaman milgaya,
Ho mubarak tumhe to watan milgaya,
Hashr tak ham musaafir hi keh laaenge

Shaam mei hi meri shaam hojaaegi,
Ye kahaani agar aam hojaaegi,
Baap beti se kab pyaar farmaaenge

Ham na funkaar hai aur na ehle kalam,
Hai ye FARHAANO SHOUKAT pe unka karam,
Hamse shabbir nauha kehel waaenge
Kya mujhe chod kar sab chale jaaenge….

NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

ZINDAN KI TARIKIYOON MEIN,
Apne sine se lagaaye huwe shabbir ka sar
Sakina kehti thi..., baba (2) suno mera safar
Are sab ke the shaane bandhe-Mera bandha tha ghala (2)
Mei panjo pe chalti rahi baba (3)

Aap se kaise kahu, kaise kata wo safar,
Aal-e-payambar chali rote huwe nange sar
Aap chale neze par, kanto pe bhaayi chala.... (2)

Mere phuphi raah me ashk bahati rahi,
Zulm rulaate rahe dhoop jalaati rahi
Zakhm mere pawo ka dhoop se jalta raha..... (2)

Maa’zi ke kuch waqiye yaad jo aye mujhe,
Sine pe kaise mujhe aap sulaate rahe
Yaado mei yu kho gayi bhul gayi har jafaa... (2)

Sabr ka daman mere haath se chuta nahi,
Neze se kya aapne baba ye dekha nahi
Kichti rahi reesima chalta raha kafla..... (2)

Ankh barasne lage kalb huwa nawha ghar,
Aya nazar jab muje neze pe asghar ka sar
Roti rahi mei use, wo mujhe rota raha (2)

Tumko kafan dediya reyt kei tufaan nei,
Baalo se parda kiya meri phuphi jaan ne
Aur mere dard ka koi madaawa na tha (2)

Raah me ammu ko jab dekha to maine kaha,
Kholdo meri rasan goud mei leylo chacha
Dekhke rote rahe meri aseeri chacha (2)

Chen mayassar mujhe aa-na-saka ek pal,
Zakhmi gala hogaya aur mere paaun shal
Raat safar mei kati din bhi safar mei kataa (2)

Baba madine ke wo din bhi mujhe yaad hai,
Sabz amari mei jab beyt ke jaati thi mei
Aaj zara dekhiye, kaise safar tay-kiya (2)

Ek rasan mei bandhe chothe bado ke ghale,
Lasho pe rote huwe karbobala se chale
Haal mera dekh ke rone lagi karbala (2)
(Mei panjo pe chalti rahi baba) x3

NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

EK BACHI PHOOL SI JIS KA SAKINA NAAM THA,
Ro rahi thi shaam ki rahon mein wo karke buka….
Karte the tum kitna pyar baba
Ay mere naiza sawar baba (3)


Chal nahi sakti Sakina raaste dushwar hai.
Aabley hein pawon mai or aab-lo mai khar hai.
Ankh hai nam dil figaar baba.

Nile hein rukhsaar mere, aur gale mai hai rasan
Tashnagi be waarsi lachargi or be watan
Ek hai dil gham hazaar baba.

Aap ke sine pe baba chein se soti thi mai
Aap tadapte jo kisi bat pe roti thi mai
Roti hu zaaro khatar baba.

Be rida sab bibiya hai shaam ke bazaar hai
Zabt ka-yara nahi hai sabr bhi dushwar hai.
Sabr ke parwardigar baba.

Milna sakungi kabhi mai aap se ay baba jaan
Aap ka roza banenga karbala ke darmiyan
Shaam me mera mazar baba.

Yaad isi baat pe ata hai ghar aksar mujhe.
Aaj kaneezin mai bula ta hai sitamgar mujhe.
Koi nahi gham guzaar baba.

Kha-tithi jab bhi tamache shimre (la) sitamgar se
Aap ke chehre ke simth be kasi aur yaad se.
Dekhti thi bar bar baba.

Koun hai pursa ne-haal pyaas buja yenga koun
Baliya meri sitamgaron se dilayenga koun
So gaye sab jaa-nisar baba

NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

ASHUR KI SHAB HAI SAKINA KA WO RONA.
Aur sayyade mazlum ka beti se yeh kehna
Are tu rooye, me yeh dekh nahi, sakta Sakina.
(Achi nahi ye baat na roya karo bibi)
(Pehlu me kabhi maa ke bhi soya karo bibi)
(Achi nahi ye baat na roya karo bibi)


Kya howe kisi shab ko jo ham ghar me na aaye
Tum hamko na pao tumhe hum bhi nahi paye
Tadpoogi nahin dard se wada karo bibi


Are bay-ta karo kuch der chara-go ko bujha kar
Samjha karo is khaak ko ay laadli bistar
Baali kabhi yuhin nahi pehna karo bibi


Are kuch der to yeh farz karo ham na rahe gar
Baaki na rahe haath koyi rakhne ko sar par
Ma-howl yateemo ka bhi socha karo bibi


Aadat zara tanhaayi me rehne ke bhi dhalo
Tasweer tasawur mai asiri ki banalo
Aazad parindo ko na dekha karo bibi


Are Asghar ko na manoos karo pyaar se apne
Akbar ki urusi ke na dekha karo sapne
Sugra ki karib itna na baitha karo bibi


(Achi nahi ye baat na roya karo bibi)
(Pehlu me kabhi maa ke bhi soya karo bibi)
(Achi nahi ye baat na roya karo bibi)

NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

SEEYAHA RATH MAI, ZINDAN KE DAR PAY RO RO KAY
Sakina kehti hai, baba ye shab sata ti hai
Judaayi aap ki, us par ye khaak ka bistar
Kahin andhaire mai bachoon ko neend aati hai
Ye sun kay Zainab-e-mazloom boli gham na karo
Kahani kehti hu may ek, suno Sakina suno
Sakina kahani suno, Sakina kahani suno

EK SHAHENSHAH THA, HAAYE SAKINA,
Ek shaheshah tha yasrab mai raha karta tha, Uska ghar O tha ke quran jahan utra tha,
Dar pay Gibreel sa darbaan raha kartha tha, Us ka angan bhi sitharoo say bhara rehta tha,
Uskai darwazai say khali na koyi ja-ta-tha, Asmaan us ki sakhawat ki qasam khata tha

Uskai baba ko dar-e ilm kaha jata tha, Maa nai Shahzaadi-E-Qawnain laqab paya tha,
Us kai baitoon mai nazar aks-e Nabi ata tha, Baitiyoon ko gule paakiza kaha jatha tha,
Us kai ek bhai ki rag rag mai wafa behti thi, Ek bahan sath me saaye ki tarha rehthi thi

EK DIN KYA HUWA, HAAYE SAKINA,
Ek din kya huwa, O ghar se safar par nikla, Uska sab kunba bhi quran ki hifazath ko chala
Ashkiya nai usai phir dashtai bala mai ghaira, Teen din tak use pani bhi maiyasar na huwa,
Ho gayi aam har ek joro jafa us kai liye, Aur phir jung ka maidan saja us kai liye

Us kai ek bayte kai sinay me sina toot gayi, Bhaayi kay haath katay, teer laga, mashk chidi,
Laash pamal bhati-jay ki bi maqtal mai huwi, Bay zuban qatl huwa, khasta churi us pa chali,
Us shahenshah kai kunbay pai ghareebi chayee, Bujh gaye sarai diyai shame ghariban ayi

Khaymai jalnai lagay nazdeek sitamgar aaye, Us shehanshah ki bachi nai tamachai khaye,
Kaan zakmi huwe khoon ankhon se tapka haaye, Dhundnai baap ko maqtal mai O kaise jaye
Jaltai daman ko liye ganjai shahidaan mai gayi, Rasi gardan mai bandi sham kay zindan mai gayi

PHIR SAKINA NAI KAHA, HAYE SAKINA,
Phir sakina nai kaha rehtai hain wo loog kahan, Boli Zainab kai huwe sab wo aseeray zindan,
Khisa akhir huwa neend aayi na tumko meri jaan, Boli ro ro kai Sakina phuphi ab neend kahan,
Tum to kehti thi kahani suno neend aati hai, Is kahani say meri neend udi jaati hai

Boli ro ro kai Sakina ye mera khis-sa hai, Is kahani ka shahanshah mera baba hai,
Naiza jis-ke laga seenay main mera bhayya hai, Mera Asghar hai la’eeno nai jise mara hai,
Be rida tum ho phuphi jaan meri jaati hai, Ye kahani to merai ghar ki nazar aati hai

Jisko seene pe shahenshah kai neend aati thi, Dasht-e main haye chacha keh kai jo chillati thi,
Jiskai kaano say laho behta tha jo pyaasi thi, Apnai baba ki judaayi main mari jati thi,
Us shahenshah ki beti wo Sakina mai hun, Jis ka dushwar huwa qaid main jina mai hun

Khatm jab SARVAR-O-REHAN kahani ye huwi, Wo jo sunti thi kahani wo Sakina na rahi,
Thame zanjeer naa qahath se utha ek qaidi, Ek nanni si lahad ka’apte haatho se bani,
Sar shahenshah ka goudi me lahu rota tha, Wa hussaina ka bas ek shor bapaa hota tha

SAKINA KAHAANI SUNO

NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)
Jab shaam ke zindaan mei huwi, shaam haram ko
Ik aan-na raahath thi-na araam haram ko
Har baar tapakta tha lahu, ash-ke rawaan se
Zindaan larazta tha (2) Sakina ki fugha se
Allah jaane, kaha ho ay baba (2)
Baba kitni raathe guzar gayi baba, Allah jaane, kaha ho ay baba
CHOTE SE SIN MEI QAYDI-YE ZINDAAN HOGAYI (3)
Baba mei kyu na aap pe (2) qurbaan hogayi
Allah jaane, kaha ho ay baba (2)

Dil mei jo mere dard hai khaliq ke hai ayaan

Kisko kahun mei baap mere, baap hai kahaan
Tum be-kafan mei be-saroo samaan hogayi

Kya kya na khalq karne hakarat se behgayi

Mei bekasi se dekhke muh sabka rehgayi
Kurta phata huwa meri pehchaan hogayi

Gar aah ki to shimr pukara khamosh ho

Aur chup huwi to be-padari ne kaha ke ro
In afatoon mei girke pare-shaan hogayi

Be jurm kaan zakhmi huwe aur tamache khaaye

Jo chaahe mujh falak ki sataayi ko phir sataaye
Shehzaadi-e-Hussain ki ye shaan hogayi

Sadke gayi bataawo kaha hai mere padar

Aaye padar to jaaye Sakina bhi apne ghar
Kyu aise zalimon ki mei mehman hogayi

 

Poothi hun uski, jo ke hai kohnain ka ameer

Jisne hazaroo qayd-se chud-waa-diyey aseer
Ummat nabi ki dekhke anjaan hogayi

Jab sarpe shah-e-deen ke Sakina ne ki nazar

Chillaayi roke haaye gazab mar gaye padar
Baba ke sar ko dekhke hayraan hogayi

Mu rakh ke mu pe shaah ko royi jo dil fighaar

Sadma huwa nikaalne lagi tan se jaan-e-saar
Nanhi si jaan jaan se bejaan hogayi

Bas ay "ANEES" bazm mei hai giryaa-o-buka

Sadiyoon talak rulaayenga sabko ye marsiya
Bali sakina qarb ka unhwaan hogayi

NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

AY MERE BHAAYI HUSSAIN (4)
BHAIYA GHAREEB ZAINAB, TERA KAFAN NA LAYI (3)
Lash-E-Hussain Par Hai, Zainab Ki Ye Duhaayi
BHAIYA GHAREEB ZAINAB, TERA KAFAN NA LAYI (2)

Misl-e-Bathool haq-se, mehroom hu mei ab tak
Shabbe’er tere gham mei, maghmoom hu mei ab tak
Tadpaa rahi hai mujhko, Abbas ki judaayi...

Afsoos ke Sakina, nazo(n) se jo pali hai
Jo tum ko yaad karke, zindaan mei chalbasi hai
Usko mili na bhaiya, zindaan se rihaayi...

Ham par sitam ay bhaiya, dhaate rahe sitamghar
Sayyeda’aniyo(n) ke sar mei, ati thi khaak ud-kar
Bazaar ka wo manzar, Zainab na bhool paayi...

Baalo(n) se mu(n) chupa kar, bazaar mei gayi thi
Narghe mei ashkiya(n) ke, beparda mei khadi thi
Guzri-hai-kya behen par, kaise batawu bhaayi...

Sajjad ke ye dil par, dushwaar marhala tha
Zanjeer ko sambhaale, beemar ro raha tha
Aal-e-nabi khule sar, darbar mei jo aayi...

Sabse badi musibat, kya hai kisi ne poucha
Beemar sar jhuka kar, rote huwe ye bola
Behno(n) ka shaam jana, Zainab ki beridaayi...

Misl-e-Batool hak-se mehroom hu mei ab tak
Shabbir tere gham mei, maghmoom hu mei ab tak
Tadpa rahi hai mujhko, Abbas ki judaayi...

Is aik saan-hay par, aksar MUHIB ne socha
Barbaad ho gaya jab, Aal-e-Nabi ka kumba
Baad-e-Hussain kyu kar, baaqi rahi khudaayi...
Bhaiya Gharib Zainab Tera Kafan na layi
(Ay Mere Bhai Hussain) x2 (Tera Kafan na layi) x3

NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

BAAD-E-SHEH ZAINAB-E-DILGEER NAY KYA KYA DEKHA
Haq paraston ka wafadaron ka aur pyaron ka (2)Shah-e-lowlaak pe chalte hue khanjar dekha
baad-e-sheh....

Chaadaray cheen ke kuf-faro nay loota ghar ko (2)Sar barehna shahe aulaad ka kumba dekha

Shimr ne chenay gowhar mu pay tamachay maaray (2)Khoon kaano se Sakina (sma) ka tapakta dekha
baad-e-sheh....

Ek rasan may kiya paaband bade choton ko (2)Tauq-O-zanjeer may beemaar ko jakde dekha
baad-e-sheh....

Haaye jis shehr mai shehzaadi kahi jaati thi (2)Khud ko is koofay may, bay-makna o chaadar dekha
baad-e-sheh....
Qaid may margayi ghut ghut ke Sakina(sma) aakhir (2)Markhad ek chota sa zindaan may banta dekha (2)
baad-e-sheh....

Haaye shabbir nay aur zainabo kubra nay ANEES (2)Waqt ke saath zamanay ko badalta dekha
baad-e-sheh....

NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
Written by: Janab Akhtar                       Recited by: Ali Zia Rizvi
(RETURN TO MADINA)

JANGAL MAY BHARE GHAR KO LUTA AAYI HAI ZAINAB, AY SHEHRE MADINA
ABID KO KISI TARHA BACHA LAAYI HAI ZAINAB, AY SHEHRE MADINA


Bandwake rasan haaton may aur khutbe sunaake (ghar baar lutaake x2)Dewaar bade kufr ki dha - aayi hai Zainab, Ay shehre Madina
Jis shehr may shehzaadiyo ki tarha rahi thi (naazon se pali thi x2)Sar nange usi shehr may ho - aayi hai Zainab, Ay shehre Madina
Jo hijre padar may rahi har waqt pareshan (sooyi nahi ek aan x2)Us bachi ko zindaan may sulaa - aayi hai Zainab, Ay shehre Madina
Dharas thi bahot bhai ko jis bhai ke damse(dil phat-tha hai ghamse x2)Saahil pe akela usay choad - aayi hai Zainab, Ay shehre Madina
Cheh maa ke Asghar ko bhi jhoole ke bajaaye (dukh dard chipaaye x2)Aaghosh may turbat ke sulaa - aayi hai Zainab, Ay shehre Madina
Thay Aun-O-Mohammad jo meri ankhon ke tare, (mamu ke dulare x2)Qurbaan unhe bhaayi pa kar-aayi hai Zainab, Ay shehre Madina
Tha Akbare nashaad jo is ghar ka ujaala (wo gaysuon wala x2)Marqad may akela usay choad - aayi hai Zainab, Ay shehre Madina

Naadim hai bahot laa saki Qasim ko na humra (wa hasrato darda x2)Kubra ko magar saath liye - aayi hai Zainab, Ay shehre Madina
Pani jo piye ehle watan pyaas na bhulay (moo ashkon se dholay x2)Kehne ko ye bhaayi ka payaam - aayi hai Zainab, Ay shehre Madina
Manzar wo bhula sa’akti nahi ta-dame aakhir (hai kehne se qaasir x2)Jo shaam ke darbaar may dekh - aayi hai Zainab, Ay shehre Madina
Kis waqt khuda jane qadam nikle thay ghar se (chaadar chini sar se x2)Ab tak na masayab se nikal - paayi hai Zainab, Ay shehre Madina
Shabbir pe ab royega ta hashr zamana (hai gham ka fasana x2)Majlis ki bena shaam may daal, aayi hai Zainab, Ay shehre Madina
Rehjayega Akhtar ufaqe gham pe tera naam (kya khoob hai inaam x2)Nowha tera sun-ne ke liye, aayi hai Zainab, Ay shehre Madina

NAWHA – BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

DARMIYAAN LASHO KE
Darmiyaan laashon ke maq-tal mei khadi hai zainab
Is andhere mei kisay, dhund rahi hai zainab
Darmiyaan laashon ke maq-tal mei khadi hai zainab

Sabki nazre hai chamakte huwe khanjar ki taraf (2)
Bhai ka khushq gala dekh rahi hai zainab
Darmiyaan laashon ke maq-tal mei khadi hai zainab

Sheh pe chalte huwe khanjar ko bhala kya maalum2
Kis tarha khaak pe gash khaake giri hai zainab
Darmiyaan laashon ke maq-tal mei khadi hai zainab

Haath utaa kar kare kis tarha se laashon ko salaam 2
Haath rassi mei hai shaano se bandhi hai zainab
Darmiyaan laashon ke maq-tal mei khadi hai zainab

Sheh pe chalte huwe khanjar ko bhala kya maalum2
Kis tarha khaak pe gash khaake giri hai zainab
Darmiyaan laashon ke maq-tal mei khadi hai zainab

Is andhere mei kise, dhund rahi hai zainab
Darmiyaan laashon ke maqtal mei khari hai zainab

NAWHA – BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

ABID NE KAHA AAKE QAREEB BINTE ALI (as) SE
Ab suwe watan chaliye phuphi-jaan mai sadke
Sunkar ye khabar zakhme jigar phat gaye saare
Markhad se lipat kar kiye, Zainab (sma) ne ye naale
Mai jab bhi watan ja’aungi bhaiya (2)
Bin tere na ghar jaaungi bhaiya (2)

Athara baras ka Ali Akbar (as) bhi yahi hai
Cheh maah ka nanha Ali Ashgar (as) bhi yahi hai
Hai khaakh basar Farwa (sma) ka dilbar
Pamaaal badan Qasim-E-Muztar (as)
Kis dil se mai ghar jaaungi bhaiya

Kya din thay ke abaad tha Zehra (sma) ka gulistaanYeh kiski nazar khagayi sab hogaya veeran
Baakhi nahi ab koi nigebaan, Sab bhai mere hogaye bejaan
Marjaungi marjaungi bhaiya

Abbas (as) se aur tum se hai Zainab (sma) ko nidaamatZindaan may chod aayi hoo dono ki amaanat
Kya toot gayi  mujhpe qayamat
Kis darja hai Zainab (sma) ko khijaalat
Woh lab pe nahi laaungi bhaiya

Sota hai mera dhoop may nanha Ali Ashgar (as)Kehti hai yeh Banu (sma) ke hai waali bhi yahi par
Zinda’an may ek mar gayi dukhtar
Baithegi na ab saaye may maadar
Kya kehke mai samjhaungi bhaiya

Tayyaar nahi suwe watan jaane ko Laila (sma)Woh kehti hai mai chood du kis tarha se tanha
Athara baras ka mera beta, Reh jaayega is ban may akela
Kaise usay samjaungi bhaiya

Aamad ki khabar sunke Anees aayengay saareYeh neel numaaya hai jo baazu pe rasan ke
Gar pooch liye mujh se kisi ne, Batlaungi unko mai ye kaise
Bas sharm se marjaaungi bhaiya

NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
YA ZAINAB-E-KUBRA
(Ya zainab-e-kubra) x6

Ay bibi baniye aza, pegham karbala tera, jisne suna yahi kaha

Tegh khutbo ki barsare darbaar, Jaise chalti ho haideri talwaar,
Kat ke ghirte the zalimo ke jigar, Jang-e-khaiber kiya teri lalkaar
Ay bibi baniye azaa, dine rasool bach gaya, Quran ki thi ye sadaa

Yaad ata hai shaam ka manzar, Bibi sarpe tere na thi chadar,
Har taraf patharo ki baarish thi, Teri poshaak thi lahu me tar
Ay B-B baniye aza, sadma tha ye bohot bada, Roya sare shahehuda

Tune bacho ki di hai qurbani, haye re tera zokh imaani,
Pyaase bhayi ki yaad me tune, khun bahaya hai ank ka paani
Ay bibi baniye azaa, ye zabt hosla tera, neze pe ser pukaarta

Tere dar par ye istighasa hai, Jo bhi farshe aza pe rota hai,
Us pe saya kare tera ghazi, wo jo mushkil kusha ka beta hai
Ay bibi baniye aza, hum momino ki ye dua, ashke aza ka waastaa

Kitne makrooz matami hai tere, karza tu ghaib se adaa karde,
Bibi tu to sakhi ki beti hai, Tu to muflis ko baadshaah kar de
Ay B-B baniye aza, tu innama tu hal ataa, kehta hai sar jukaa huwa

Qaid be jurm jo hai matamdaar, misle mazloom aabide bimaar, Unko azaadiyo ka tohfa de, aaj tu misle haidare karrar
Ay B-B baniye aza, hum ko hai tera asra ghairo-se mangna hai kya

Tere bhaayi ne jaise rahib ko, saat bete ataa kiye phirto,
Tu bhi hamsheer us sakhi ki hai, dede awlaad chahiye jisko
Ay bibi baniye azaa, awlaad aisi kar ataa, ho wo bhi matami tera

Waasta us aseer bachi ka, rassiyo me bandha tha jiska gala,
Wo jo pyaasi thi mar gayi pyasi, koyi bacha na ab rahe pyaasa
Ay B-B baniye aza, hai har sabil par likha, kehta hai khun bhayi ka
Ay BB baniye azaa, humse na haq ada huwa, karde muaf-ye-khata
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

BHAYI MAI ZAINAB HU x 4
Pehchano mujko ay mere ghazi Zainab hu me bhayi
(Bhayi me zainab hu) x4

Ye karbala hai jaagir teri (ham aye teri jagir me)x2
Marjaye zindan me hi Sakina (yehi likha tha takdeer me) x2
Pehchano mujko ay mere gazi……..

Zindan se chutkar mai aagayi hu (ranjo alam ki chadar liye)x2
Bazaar kufa me hai jo guzri (ankhoon me sare manzar liye) x2
Pehchano mujko ay mere gazi……..

Bhaya tumhari gairat ki khatir (balon-se parda karti rahi) x2
Chadar nahi thi sarpar jo meri (ek ek kadam par marti rahi) x2
Pehchano mujko ay mere gazi……..

Bazaare kufa se O guzarna (ehle haram ke salaar ka) x2
Bhaiya sajayaa tha ashkiyane (ek ek kona bazaar ka) x2
Pehchano mujko ay mere gazi……..

Bhaiya Sakina ko ek shaki ne (manga kanizi me jis ghadi) x2
Me binte zehra me binte haider (Bhaiya larazkar me rehgayi) x2
Pehchano mujko ay mere gazi……..

Kaisa andhera zindan tha wo (Jisme Sakina jaage gayi) x2
Baba chacha se mujko milado (Maasuma roro kehti rahi) x2
Pehchano mujko ay mere gazi……..

Kurta jo uska khun me bhara tha (usko banaya maine kafn)x2
Jab dafn karte the usko Abid (tharra raha tha unka badan ) x2
Pehchano mujko ay mere gazi……..

NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

SHIYAA NE MAA NAWHA KUNA
Kushta-shud sibte Rasulallah, Tere kanare furaath (2)
Barbaad huwi mai. Hai wawaila. Luti gayi mai. Hai wawaila.
Qaidi bani mai. Hai wawaila, Tere kanare furaath (2)

Tere kanare, khayme hamare
Afsos-e ye hai, lagne na paya
Tu chup rahi thi, sar ko jukaye
Badte alam se, lab par thi haye

Malik-ke kausar, pani ko tarse
Ankhoon se ansu, Zehra ke bar se
Tere kanare, aaya jo ghar se
Pyaase kay naiza, guzra jigar se

Ghazi ke bazu, tere kanare
Pani ki khatir, kat-ke gire thay
Gham naak manzar, bhoolungi kaise
Wo pyaas-e bache, be aab-e kuze

Pita to pitaa, kitna sa pani.
Masum Asghar, sheh ki nishani.
Baki hai ab tak, tish-na dahani.
Kaise dikhaye, hai mez-baani

Barchi jigar par, Akbar ne khayi.
Sukhe labo tak, tu kyun na ayi.
Zanzeer kisne, tujko pehnayi.
Mar gaya pyaasa, Sughra ka bhaayi

Mera to sab kuch, lut gaya ban may.
Ek ek sipahi, mar gaya ran me.
Teer laga Sarwar ke badan me.
Ab hai judayi, bhaayi bahan me

Be ghusle lashe, tere kanare.
Chalis din tak, aise pade the.
Ye bath koyi, ab tujse puche.
Kya thi ada-wath, sibt-e Nabi se

Shaam se lutkar, ayi hai Zainab.
Daagh jigar par, layi hai Zainab.
Sharminda tumse, bhayi ye Zainab.
Kho ke Sakina, ayi hai Zainab

NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

BARBAAD HUWI MAI
ABA’AD HUWI KARBOBALA UJDA MADINA
BARBAAD HUWI MAI (2)

ZAINAB KO NA’RAS-AAYA, MUHARRAM KA MAHINA
BARBAAD HUWI MAI (2)

Ek din tha, ke is sher-ki karti thi me shaahi , Or aaj-e tabahi x2
Be ghusl pada mor-e nabuwat ka nagina. Barbad-e huwi mai

Kis lash pe roou kise chodum me baradar (Lashe hai bhathar) x2 Had ye hai-ke rone ki ijazat-e bhi mili na. Barbad-e huwi mai

Asgar ka gala bhayi ka sar senaye Akbar (Sab gowhar o chadar2)
Is dasht me lutaa gaya Zainab-e ka khazina. Barbad-e huwi mai

Maye bina pehchan saki, bacho ke chehre (Bikhre huwe sehre x2 Hai khoon ke dariya me gharibo ka safina. Barbad-e huwi mai

Ek aag hai khaimo me qayamat ka sama hai (ghazi tu kaha hai x2 Dekho to ridaa chin-e liya, shimr-e kamina. Barbad-e huwi mai

Chadar chini, dur lay liye ab zulman dhawo (Baba se milawo) x2 Neze ke tale bait-ke roti hai Sakina. Barbad-e huwi mai

Paband-e rasan bibiya bazar-e khule sar, Har moud-pe pathar x2 Masum yatimo ka baha. Surkh pasina. Barbad-e huwi mai
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

HAI ZAINAB - HAI ZAINAB
ITNI GHARIB HOGAYI GHAM YU LIPAT GAYE (2)
ZAINAB KE EK LIBA’AS MAI DO SAAL KAT GAYE
ITNI GHARIB HOGAYE GHAM YU LIPAT GAYE (2)

Kya Kya ghuzar gayi he muharam ke chaand pai (2)
Saydaniyo ke waqt achanak ulat gaye (2)
Itni gharib hogaye gham yu lipat gaye (2)

Zainab ka dil bhi kya tha ghamoo ki kithab thi (2)
Ek dil mai us gharib ke sau gham simat gaye (2)
Itni gharib hogaye gham yu lipat gaye (2)

Hatho se maa ke khayme ka parda ulat gaya (2)
Hatho pe shah ke jis ghadi Asghar ulat gaye (2)
Itni gharib hogaye gham yu lipat gaye (2)

Bole Hussain beti se pani na mangana (2)
Jin bazuoon pe mashk the wo baazu katgaye (2)
Itni gharib hogaye gham yu lipat gaye (2)

Marne chale Hussain to rehwaar ruk gaya (2)
Do nanne nanne hath sumo se lipat gaye (2)
Itni gharib hogaye gham yu lipat gaye (2)

Kaise utha sakege bhala laash ko Hussain (2)
Aaza Hassan ke laal ke tukdoon me bat gaye (2)
Itni gharib hogaye gham yu lipat gaye (2)NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

HAI HUSSAINA, HAI HUSSAINA (2)
KEHTI THI ZAINAB, HAI HUSSAINA (2)
HO GAYI BARBAAD YE BEHNA KARBOBALA MEI (2)
KEHTI THI ZAINAB, HAI HUSSAINA

Karbala Kuch Na Diya Karbo Aziyath Ke SiwaMere Daman Mein Bacha Kya Hai Musibath Ke Siwa
Karbala Tujhse Mila Kiya Hai Qiyamath Ke Siwa (2)

Subhe Ashoor Azan-E-Ali Akbar Ki QasamMere Bhaayi Pe Chale Teer Hazaroon Payham
Chup Rahi Karbobala Hote Rahey Hum Pe Sitham (2)

Mera Atara Baras Wala Jeeyala AkbarKha Gayi Usko Bhi Aai Karbala Teri Nazar
Maine Dekha Hai Usi Lal Ka Barchi Mein Jigar (2)

Bhaayi Atara Thay, Dho Bete Thay Koyi Na RahaAb To Tanhaayi Meri Deti Hai Mujko Pursa
Kya Bhara Ghar Tha Mera Kar Diya Mujko Tanha (2)

Mere Abbas Pe Kya Guzri Bataoon KayseyMashk Ek Bharne Mein Dho Bazoon Qalam Ho Ke Gire
Uske Marne Se Hai Mehrum Bahan Chadar Say (2)

Bay Khata Qatal Howa, Bhaayi Mera Jungle MeinSaikadoon Zakhm Kalejey Pay Lagey Ek Pal Mein
Aag Pani Ne Laga Di Hai Merey Anchal Mein (2)

Merey Allah Mujhe Sham Talk Jana HaiKoyi Bhi Apna Nahi Shehr Bhi Begana Hai
Teri Khushnudi Mein Rassi Mein Mera Shana Hai X 2

Taa Qiyamat Rahe REHAN Aza-E-SarwarKhooney Dil Behta Rahey Ankh Say Ansoo Ban Kar
Yeah Sada Kanoon Say Takrati Hai Ab Bhi Aksar

NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

ZAINAB TANHA, GHO’OR ANDHERA
Mouth ka saya, badal banke sar par chaya
Awaze tapoon ki ubri, kaun chala kaymo ki janib
Tayz kadam se chalta aya, poch ansoo Zainab dekhi
Dekheti kya hai uska baba, baap ke sine par sar rakh-kar
Bilak bilak kar, tadap tadap kar, aysa (rooyi 2)
Naro Zainab naro, ha mere jigar ke tukde naro (2)
Me kaise na rowun baba mai ujad gayi baba (2)


Ha mera Akber, Ha mera Asger, Ha mera Ghazi
Ha tera dilber, Ha me ujad gayi baba


Ha ek din me, Ha ghar ujda, Na reh bhaayi
Ho na beta, Ha me ujad gayi baba


Ha me bekas, Ha me muztar, Ha pardesi
Ha me bay ghar, Ha me ujad gayi baba


Ha gaya Ghazi, Ha darya par, Ha gire bazoo
Ha kat kat kar, Ha me ujad gayi baba


Sarwar pe, Ha chala khanjar, Me hogayi
Ha be chadar, Ha me ujad gayi baba


Ha mara hai, Ha aada ne, Ha pyaso ko
Ha lashkar ko, Ha me ujad gayi baba


Ha ek chadar, Me jab dekha, Ha Qasim ka
Ha jab laasha, Ha me ujad gayi baba


Ha zindan me, Ha jaana hai, Ha rasi hai
Ha shaana hai, Ha me ujad gayi baba

NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

YE MAI HU MAI, MERI TANHAYI. YE TAMAASHAYI.
Lo ayi gyaara muharram hai. Kya khabar layi.
Chali hai janibe zindan tumhari maa jayi.
Sawaar ham ne kiya tha tumhe mere bhaayi.
Ab awo ya mujhe kehdo na intizaare karo (2)
Utho Hussain bahan ko zara sawaar karo (2)

Sawar humne kiya tha, tumhe dame rukhsath
Lagaam thaamI thi maine, bahaa labe rikath
Kahaa gayi wo muhabath, kahaa gayi chahath
Amama apna mere sarpe, saaya baar karo (2)

Watan se door hu kuch aur, door jaati hu,
Utho utho mere bhaiya, tumhe jagaa thi hu,
Koyi bhi aata nahi mai, jise bulaa thi hu,
Qaraar do mere mujko na, bekaraar karo (2)

Safar Madine se kaisa tha, ye safar kya hai,
Na mehmilay hai-na haudaj, na koyi parda hai,
Hai sar pay khaak ye karbobala ka sehra hai,
Na jee sakungi tere baad, etebar karo x2

Dare furath-pe, ay sown-e-waale jaag zaraa,
Alam ke saaye me rukhsat, bahen ko kar bhaiya,
Suna hai sakth katin hai, ye sham ka rasta,
Behen ye raasta abbas se, naamdaar karo x2

Mein awoongi mere bhaiya, zaroor awoongi,
Kafan udawungi markad, tera banawoongi,
Jahaa bhi jawoongi farshe, azaa bichaawoongi,
Mein khaid kaat ke lout awoo, intezzar karo x2

Ab awo ya mujhe kehdo na intizaare karo (2)
Na jee sakungi tere baad, etebar karo x2
Utho hussaine bahan ko zara sawaare karo (2)

NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
BHAAYI SHABBIR
Lo chala karvaan khuda hafiz,
Bhaayi shabbir fiamanillah, chali hamsheer fiamanillah (2)

Zamin pe bikhre huwe noor is behen ka salaam (2)
Badan darida o majboor is behen ka salaam
Chali hai tumse bohoth door is behen ka salaam
Misaale Fathima har dukh me muskuraungi….2

Salaam umme abiha ke goudh ke paale,
Salaam karte hai Zehra ke haath ke chaale,
Salaam zulfe Muhammed se khelne waale,
Padenge durre to mai sabr aazmaungi…….2

Ye gham nahi hai ke me sogwaar Qaidi hun,
Abu turaab ki aur Fathima ki beti hun,
Me is kaleje mai kuwwat Ali ki rakhti hun,
Yazide (la) waqt ke khaibar ki mai giraaungi……2

Rahe wafaa ke bahattar masafiroon ki kassam,
Labe furath sulagte huwe gharoon ki kassam,
Sina ki nouk pe rakhe huwe saroon ki kassam
Jalaale Hazrate Abbas banke jaaungi………2

Khushi se ehle sitham bandh le mere bazu,
Banenge nuh ka tufaan ab mere ansuu,
Na chhut sakegi ye khune Hussain ki khushbu,
Me sar khule huwe darbaar-e-shaam jaungi……2

Nigaah janibe dariya uthi to itna kahaa,
Mere diler Alamdaar fathaye dariya
Tujhe khabar hai mere sarse chhingayi hai rida
Tere alam ka pharera rida banaaungi……….2

Jo ponchi shaam to bazaar ko sajaa dekha,
Kabhi najaf to kabhi sue karbala dekha
Pukaari baba mera tumne hosla dekha
Jahaa bhi jawungi farshe azaa bichaungi……2

Suna hai "SARWARO REHAN" khwahare shabbir

Ali ke lehje me karti thi jis ghadi takreer
Yazeed-o-shimr (las) ke sine pe chalti thi shamsheer
O jab ye kehti thi wade ko me nibhaaungi

NAWHA
(SHAAM KA BAZAAR)
Meer Hassan Meer - 2010

SHAAM WAALO NA SATAAO x 2
Kehta Tha Muhaari,  Ghurbat Pe Hamaari,
Hass Kar Na Rulaao, Shaam Waalo Na Sataao

Haai.. Sar Chacha Ka Mere Iss Waaste Girjaata Hai,
Inko Behno Ka Khulaa Sar Jo Nazar Aata Hai,
Ghayoor Ke Sar Ko, Lillaah Na Logo, Neze Pe Uthaao

Haaye Kya Kya Na Sitam Dhaaye Hai Hampar Tumne,
Hadd Yeh Hai Chhinli Tatheer Ki Chaadar Tumne,
Ab Tum Wahi Chadar, Neze Pe Utaakar, Hamko Na Dikhaao

Ham Ulil-Amr Hai Shaayad Yeh Nahi Tumko Khabar,
Ham Agar Chaahe Toh Barse Abhi Tum Par Patthar,
Majboor Samajhkar, Haye Tum Aale Nabi Par, Pathar Na Giraao

Kaise Neze Pe Uthaaya Gaya Sar Asgher Ka,
Kaise Paamaal Kiya Ibne-Hassan Ka Laasha,
Yeh Zulm Ke Kisse, Mat Saamne Jaake, Maao Ko Sunaao

Shaam-e-Aashur Se Yeh Soyi Nahi Hai Ab Tak,
Mai Toh Roya Hun Yeh Royi Bhi Nahi Hai Ab Tak,
Tum Maarlo Mujko, Haye Par Meri Phupi Ko, Dure Na Lagao

Raaste Bhar Yeh Tadapte Rahe Paani Ke Liye,
Tumko Maalum Nahi Kabse Hai Pyaase Bache,
Bacho Ko Dikhaakar, Iss Tarha Zamin Par, Paani Na Bahaao,

Aaj Bat-thi Hai Wahaan Naam Pe Zainab Ke Ridaa,
Kal Taqallum Wahaa Bimaar Mera Kehta Rahaa,
Yeh Aale Nabi Hai, Haaye Tum Aise Na Inko, Beparda Phiraao

NAWHA
(SHAAM KA BAZAAR)

jun jun bazaar kareeb aaya
zainab jo ghazi yaad aaya


hathon se ya phir balon se chehre ko chupale shehzadi
ye sham shehr ki galiyan hai dil thaam le ay aaqazadi
fizza ne jab ye batlaya, zainab jo ghazi yaad aaya

mahol sharabi jab dekha baba ki wasiyat yaad aayi
koi to mujhe chadar laa de honton pe yehi faryad aayi
jab koi nahi chadar laaya, zainab jo ghazi yaad aaya

phir sham ke logon ne badla ajdad ka yun zainab se liyachadar cheeni pathar maare aur garm kabhi pani phaynka
durra jo sakina ne khaya, zainab jo ghazi yaad aaya

abbas kahan hai ay zainab jab shimr hikharat se bolaghash kahan lagay sab ahle haram kulsoom pukari wavaila
sajjad ko yasrab yaad aaya, zainab jo ghazi yaad aaya

khamosh rahi aulad e nabi karbal se yahan tak zulm sahakhooni ye manadi kehne laga ye kunba hai ek baaghi ka
mazloom jo baaghi kehlaya, zainab jo ghazi yaad aaya

har gaam naya ek zulm hua lachaar musafir zainab parzainab ko rulaaya zaalim ne naaqon ke kareeb naiza laakar
shabbir ka sar jo dikhlaya, zainab jo ghazi yaad aaya

farhan qayamat ka ghamhai mazhar ne likha hai kya nauhashabbir bina abbas bina ye pehla safar tha zainab ka
jun jun bazaar kareeb aaya, zainab ko ghazi yaad aaya

NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(SHAAM KA BAZAAR)

(PARDA DUNIYA KO SIKHANE WALI
AAYI BAZAARON MEIN ZAINAB x 2)
GHAR SE BAHAR BHI NA AANE WALI (2)
AAYI BAZAARON MEIN ZAINAB
PARDA DUNIYA KO SIKHANE WALI
AAYI BAZAARON MEIN ZAINAB

Jisne baba se chuda-e-the kayi baar aseer (2)
Qaidi azaad karane wali (2) Aayi bazaaron mein Zainab

Jalte Khaimon se uta laayi Abbas ke Ba’ad (2)
Ali Aabid ko bachane wali (2) Aayi bazaaron mein Zainab

Deen ki khaatir-ye bee-bi saalar bani (2)
Banke Abbas dikhane wali (2) Aayi bazaaron mein Zainab

Apne seenay pe Sakina ko zindaanon mein (2)
Ba’ad bhaayi ke sulaane wali (2) Aayi bazaaron mein Zainab

Nange sar pad-ti-rahi khutbe bazaaron mein (2)
Kasre dushman ko hilane wali (2) Aayi bazaaron mei Zainab

Kufe aur shaam bhi saare-gaye ye baali johar (2)
Azmate deen ko badane wali (2) Aayi bazaron mein Zainab
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(SHAAM KA BAZAAR)

US WAQT JABKE ZAINAB, DARBAR ME GAYI THI,
QA’ARI NAMAZIYO(N) SE, MEHFIL SAJI HUWI THI,
ZALIM YE PUCH-TA-THA. GHA’AZI TERA KAHAN HAI,
BALO(N) SE MU(N) CHUPA’AYE, ZAINAB YE KEH RAHI THI,
Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kahan x2

Majmaye aam me (BJ), bewatan be amaa(n), agaya karvaan
Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kahan x2

Mai bhi hu(n) marziya, binte khayrun nisa,
Mere lehje me hai, baba teri ada
Naam Zainab mera (BJ), tune jo rakhdiya, day de apni zubaa(n)

Babajaan mai rida mangti rehgayi,
Baam-o-dar saj gaye, jee-te-jee margayi,
Halqaye shaam me (BJ), naam sunkar mera, margaya natawa(n)

Haath ka’ano pe hai, neel gaalo(n) pe hai,
Aur nisha(n) jo Sakina ke sha’ano pe hai
Har nishan se yahi (BJ), aa-rahi hai sada, babajaan babajaan

Shaame ashoor se, shaamo kufa talak,
Maine manga nahin hai khira’aje fadak,
Meri chadar se hai, meri maa ka suku(n), sunle zalim jahaa(n)

Babajaan ye tera akhri tha bayan,
Teri chadar bachayega ghazi jawaa(n),
Margaya bawafa, chingayi hai rida, kehti hai bibiya(n) ABBASx9

Ruk na paya mere bawafa ka O sar,
Nouke naiza se aane laga khaak par,
Behn ko darbadar, dekhkar nange sar, seh na paya jawaa(n)

Haath kano pe hai, neel gaalo(n) pe hai,
Aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe hai
Har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan

Kal thi Maa aaj mai-bhi hu(n) darbaar me,
Misle Zahra khadi hu(n) me aghiyaar me,
Us taraf hai shaqi, is taraf rehgayi, bepadar betiya(n)

Aysa khutba diya mene darbaar me, Likhraha hai jo "YAWAR" tere pyar me, Lehjaye hayderi, har azaan ke liye, hai sadaye aza(n)
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(SHAAM KA BAZAAR)

SAJJAD MAI ZAINAB HU
MERE SAR PE RIDA KOI NAHI  -  BAZAAR–E–JAFA
MAJMA HAI KUFIYOON KA
MERE CHALNE KI JAA KOYI NAHI  - BAZAAR–E–JAFA

Sajjad mere sar-say nou bar chini chadar,
Balway me nabi zaadi phirwayi gayi dar-dar
Mil jaey rida mujh-ko, aur meri dua koyi nai, bazaar–e–jafa

Sajjad chaloun kaisay lakhoon hai tamashayi,
Yaad aata hay rah-rah kay Abbas mera bhaayi,
Faryaad karun kis say, ab teray siwa koyi nai, bazaar–e–jafa

Sajjad mere dil ko ye dard sata-tha hay,
Sar ghazi ka naizey say jab khaak pe aata hai,
Sar mera khula dekhey, gham is-se bada koyi nai bazaar–e–jafa

Maloom hai aada ko, ghazi ki bahan hu mai,
Bay-dast hai woh ghazi, paband-e-rasan hu mai,
Yaad aayi wafa us ki, jab paas raha koyi nai, bazaar–e–jafa

Majboor hu bay-bas hu mai ro bhi naheen sakti,
Durroon ki aziiyat say mai so bhi naheen sakti,
Is darja musibath mai hamdard mera koi nai, bazaar–e–jafa

Sajjad teri halath dekhi naheen jati hai,
Bay parda mujhe dekhey ye baath rulaati hai,
Sajjad teri tarha kanton pe chala koi nai, bazaar–e–jafa

Mauth aaey-gi zindaan mai, meri bali Sakina ko,
Kya jaakey bataoungi bimaar-e-Madina ko,
Gham dil pe uthaney ko, ab baqi bacha koi nai, bazaar–e–jafa

Jaata hai suwe zindaan ab kunba Muhammad ka,
rassi me bandhey qaidi kanton say bhara rasta,
ummat nay sitam dhaey qismat say gila koi nai bazar–e–jafa

Bazar-e-sitam me tha Zainab ka ajab aalam,
MAZHAR me likhu kaisey zalim nay kaha jis dam,
Hay kaun tera waaris, Zainab nay kaha koi nai, bazaar–e–jafa

Majma hay kofioon ka meray chalnay ki jaa koi nai bazar–e–jafa
Sajjad me zainab hu mere sar pe rida koi nai, bazaar–e–jafa
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(SHAAM KA BAZAAR)

BAAZAR KE MANZAR KO
Aur apne khule sar ko bhuli nahi mai (2)

Apne bandhe haathoon ko,
bimaar-ke zewar-ko bhuli nahi mai

Ut-thi huwi aandhi ko, wehshath ko bayabaan ko
Chupte huwe suraj ko, ta’areeki ko maidaan ko
Chalte huwe khanjar ko, naize pay tere sar ko

Ik chand tha badli mei, chupta-tha nikalta-tha
Parda dar-e-khaima ka, ut-tha kabhi girta-tha
O khama-e-Laila(sma) say, hai rukhsat-e-Akbar(as) ko

Lehratay huwe naize, hai shimr (la) ka wo bhadna
Aa-aa ke mere peechay, har bibi ka wo chupna
Sholoon mei ghiray ghar ko, chinti huwi chadar ko

Yaad ata hai ik maan ka, wo khaak mei das jana
Aur aag kay sholoon mei, wo maa ka jhulas jana
Jaltay huwe jhulay say, lipti huwi madar ko

Masoom Sakina(sma) ko, badtay huwe naizoon ko
Giste huwe galoon ko, bay reham tamachoon ko
Giste huwe kanoo ko, Chin-tay huwe gowhar ko

Jiss raat mei tanha thi, uss raat kay dhalnay ko
Tootey huwe naize ko, uss raat kay pehray ko
Bachoon ke sisakne ko, aur raat kay bistar ko
 

Hai aaj bhi wo giriyaa, Hai aaj bhi wo zaari

Hai aaj bhi pathar ke, Seenese se lahu jaari
Rote huwe pathar ko, Pathar pe rakhe sarko

NAWHA – BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

HAI BAZAAR-E-SHA’AM JAKAR’RR
ZAINAB KO GHAZI YAAD AYA (3...)

Ankhoon se khoon jaari, sarpe rida nahin thi
Zakmi haram ke dethey, kooyi dawa nahin thi
Jab duray lage badan par (2), Zainab ko ghazi yaad aaya (3)

Sadaath pa ba-rehna, kaatoon bhare thay raste
Roote thay jab ye khaidi, be-dar-dilo ke haste
Jab dekhi seena pe chaadar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3)

Humsheer royi uspar, taqdeer royi uspar
Bimar jab-bhi royaa, zanzeer royi uspar
Hai ghaliyoon mai barse pathar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3)

Jo malka-ye haya thi, raahoon mai be-rida thi,
Ye souch-kar-hi Zainab, bas mehve marsiya thi
Hai Sheereen ke ghar mai jaakar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3)

Isss-say badi qayamat kya aur hogi logoon
Aabid ne apne sar ko, kyun na utaya souchoo
O kehta tha bas ye rookar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3)

Abbas ki behan par, ek aisa waqt aaya,
Darbar mai sitam ke, Shimre (la) layin pukara
Hai kaun shay ki khwaahar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3)

Nikli thi jab O ghar se, manzar O yaad aayaa,
Nazre jhukaoo logoon, Abbas ne kaha tha
Ab Shaam mai khule sar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3)

(At-tara (18) Bhaayioon ki humsheer, aur khule sar
Ay log taras kha-oo, Zainab ko de-do chaadar
Fiza jo boli rookar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3)

Darbaar mai gayi thi, ek roz Fathima (sma) bhi
Lekin rida thi sar par, betoon say thi tasal-li
Yaad aaya use ye manzar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3)

Guzri jo bibi-yoon par, kya Shaadman sunaaye,
Mazhar mera kalaija, sadmoon say phat na jaaye
Bas rooko khalam ye keh-kar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3)

NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(SHAAM KA BAZAAR)

AGAYI BINTE ALI, BERIDA HAATH BANDHE
BHARRE BAAZARON MAINJiss ne sura’aj nah kabhi dekha tha (2)
Ro-rahi hai voh gunahgaronh mai…..
Kaun jaanay ke yeh hai kaun, rassan pehne huweBerida roti hai Sajjad ke peeche chup ke
Sisskiyanh dubi hain jiss Bibi kee
Hai zanjeeron ke jhankaroon mai

Hai Zahra teri kismath na-millah Haq tujhkoAise tazim teri ki hai mussalmanon ne
Tera Haqq mangne aayi Zainab
Ek menosh ke darrbaronh meinh

Kahan Zainab aur kahan shaam ke logonh ka hajumSarr barehana oonchee avaaz mainh khutbe padna
Qatlay murrsal ka havaala de karr
Chadare Mangna badh-karonh se

Aag Khaymonh ko lagi aur thay Sajjad be-hoshRoro Abbas ko deti-thi sadaen Zainab
Lutloo chaadare Sayyedaniyyonh ki
Shor barpa tha sitamgaronh meinh

Kiss tarha kaate Sakina raath Baba ke beghairSogayyi Qaid se tanhhaee meinh rote rote
Hitchkiyyanh dabb gayyee Massooma ki
Hae zindan ke deevaronh meinh

Jiss jagga Majlis-e-Shabbir ho barpa AkhtarChhor Karr dukhiyya vahanh roti hai Zahra aa Karr
Baal Kholay huwe saar peet-thi hai
Apne pyaaronh ke Azadaaronh meinh

NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(SHAAM KA BAZAAR)

ALAMDAR HAI ALAMDAR (3)
Roti hai Zainab (Hai Alamdar), Pyasi hai Zainab (Hai Alamdar)
Qaidi Hai Zainab (Hai Alamdar), Jati Hai Zainab (Hai Alamdar)
Alamdar Hai Alamdar x3

Shaam chali teri behan be rida, Khafela salar hai Zainul Eba
Choud ke maqtal me tujhe be kafan. Jati hu bazar mere ba wafa

Khaid huwi dekh nabi zadiyan, Bazu-O-mai bandhi gayi reesma
Dekh le Zainab ki zara bekasi, Koi nahi koi nahi paas baa

Dard hai tanhaiyi hai faryaad bi, Hashre bapa hai dile nashad bi
Lekay chale hai ye sitam-gar mujhe, Alvida ay bhayi teri yaad mai.

Yaad teri ayengi har gaam par, Kalb ko tadpayengi har gaam par
Tujse juda hoke-ye teri behan, Kehte huwe jayengi har gaam par

Dard se lachar behan kya kare, Mere Alamdar Behan kya kare
Koi Nahi aaj mera dasht mai, Gham me giraftar behan kya kare

Dilpe har-ek zakhmo ko sehte huwe, Sham talak jayengi rote huwe
Teri judaai me mere ba wafa, Aaj sare dasht ye kehte huwe

Baad tere dasht mai chadar chini, Nawha khuna mujpe huwi bekasi
Tere bina kaise bhala jayengi, Shaam ke darbar mai binte Ali

Loot padi aisi ke sab lut gaya, Ghar tere jane ke sabab lut gaya
Wo jo bhara ghar tha tere samne, Aake zara dekh wo ab lut gaya
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(SHAAM KA BAZAAR)

ZAINAB AAGAYI HAI SHAAM
Meri rida ke pasbaan, Rida laake ke udaa-de
(Khula hai sar, khule bazaar rida laake udaa-de) x3

Ay mere ghazi alamdaar, Rida laake ke uda de
(Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de) x3

Ye buturab ki beti ho kyu(n) na fariyaadi
Agar wo touqo salaasil se paaye azaadi
O mera abide bimaar, rida laake ke uda de

Wo beridaayi ke sadme ko kaise jhelega
Ye dard Abide muztar ki jaan lelega
Guzar na jaaye dilafgar, rida laake ke uda-de

Mujhe chhupale mere ghazi in nigaaho(n) se
Sabeel aisi banaa koyi, thay-ho ye raste
Na dekhe mujhko sitamghaar, rida laake ke uda de

Ghareeb hoogayi umath ne di saza mujhko
Tu dekh sakta nahi ghazi berida mujhko
Sina se gir gahi farwa, rida laake ke uda de

Tujhe sakina ke ashko(n) ki hai qasam ghazi
Tamaam umr-mai phir tujse khuch na mangungi
Ay ibne Haidere karrar, rida laake ke uda de

Tujhe to baba ne bakhshi hai masnade aali
Sawali koyi tere dar se kab gaya khali
Zamane bhar ke madadghar, rida laake ke uda de

Kabhi jo ghar se nikalti-me saal me ek baar
Tu ba’dke logo(n) se kehta tha, band karo bazaar
Wahi behan wahi bazaar, rida laake ke uda de

Sare hussain bhi rota hai nouke naiza par
Padar bhi rote hai, nana bhi, bas yahi kehkar
Khule saro(n) ke wafadar, rida laake ke uda de

Sada ye shaam se aati hai "MAZAHAR-O-IRFAN"
Tadap ke aaj bhi kehti hai Zainab-e-Zeeshaan
Meri rida ke nigehbaan, rida laake ke uda de
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(SHAAM KA BAZAAR)

BE RIDA SHAAM KE DARBAAR MAIN JAANA ZAINAB

Zalzale aayenge us waqt zamin par paiham
Chaadarein cheen ke le jayenge ban’iye sitam
Aur balwey mein tamashai banay naa mahram
Apne baalou hi-se mouh apna chupana Zainab
Be rida shaam ke darbaar main jaana Zainab

Meri naadan Sakina ko na rone dena
Baad mere koi takleef na hone dena
Garm reti pa kabhi usko na sone dena
Apne seene pe Sak’eena ko sulana Zainab
Be rida shaam ke darbaar main jaana Zainab

Gudkiyan meri Sakina ko jo de Shimre (la) layeen
Seiliya maarne aaye jo usey woh be deen
Khauf ke maarey nikal jaaye na jungle mein kahin
Apni aaghosh mein tum usko chupana Zainab
Be rida shaam ke darbaar main jaana Zainab

Yeh luta karwan jis waqt Madinah pohnche
Aake jo dukhtare bimar pidar ko pooche
Aur be sheer ko jis waqt woh dukhiya dhoonde
Meri Sughra ko kalaije se lagana Zainab
Be rida shaam ke darbaar main jaana Zainab

Khaafila ahle haram ka jo Madinah jaaye
Aur asnae safar mein mera maqtal aaye
Tumko fursat jo ghadi bhar ke liye mil jaaye
Chand aansoo meri turbat pe bahana Zainab
Be rida shaam ke darbaar main jaana Zainab

Karbala mein jo mere ghar pe musibath guzri
Aur baazaaroon mein tum par jo aziyath guzri
Mukhtasar yeh hai ke jo kuch bhi qayamat guzri
Saari rudaad meri maa ko sunana Zainab
Be rida shaam ke darbaar main jaana Zainab

NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(SHAAM KA BAZAAR)

MAI RAAHE SHAAM SE GUZRI HOON BE-RIDA BABA
ASEER-E-ZULM HOON ROTI HOON BE-RIDA BABA

Tha bekafan tera Islam mai rida dekar

Bala ke dasht se aayi hoon be-rida baba

Sitham garoon ne sathaya hai taziyaano se

Jo thak ke raah mein sooyi hoon be-rida baba

Ado jo durre lagata hai mere Abid ko

Mai dil ko tham kar bhaiti hoon be-rida baba

Lahoo bahata hai ankhon se Abid-e-muztar

Mai jab bhi kantoo pe chalti hoon be-rida baba

Safar ki khaak ne balon ka kar liya parda

Mai is ke baad bhi phirthi hoon be-rida baba

Meri aseeri pay MAZHER ne yeh likha nawha

Har ek lafz pe tadpi hoon be-rida baba
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(RETURN TO MADINA)

Haay, zindaa(n) ki qayd kaatke, Jab Saniy-e-Zehra…..
Ponchi watan to koyi bhi pehchaan na paaya
Aray Abdullah ibne Jaffar-e-Tayyar ne poocha
Tu koun hai kya naam hai tera ay zaeefaa
Ye sunke fuga karnay lagi Saniy-e-Zehra,
Are zauja hu aap ki mujhe pehchaano khudara
Mei Awn-O-Muhammad ki maa hu (2)
Pehchaano khudara (2) Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
Mei Awn-O-Muhammad ki maa hu (2)

Baalo ki safedi ka sabab pucho na mujhse,
In ankhon ne dekhe hai sitham karbobala ke,
Ghar lut gaya sara, pehchaano khudara, Mujko….
Chehre-se numaya jo mere karbobala hai,
Ye haal to Abbas ke marne se huwa hai,
Chuta wo saharaa, pehchaano khudara, Mujko….
Ek zakhm hai qasim ka mere kalb-o-jigar me,
Jo chaand ujaalay ka sabab tha mere ghar mei,
Wo bhi gaya maraaa, pehchaano khudara, Mujko….
Bas bhaayi ki matam mei rahi qayd bhi kaati,
Leykin mei kabhi Awn-O-Muhammad ko na rowi,
Ab deti hu pursaaa, pehchaano khudara, Mujko….
Bazaar mei Abid pe zaeefi huwi taari,
Wo aaj bhi rota hai aseeri pe hamari,
Ghamkhwaar hamaraaa, pehchaano khudara, Mujko….
Aray sadaat ke halke ne mujhe aake chupaaya,
Jab shaam ke hakim ne mera naam pukaara,
Us ranj ne maraa, pehchaano khudara, Mujko….
Shiree(n) se mulakath huwi raah mei ek baar,
Pehchaan nahi paayi mujhe wo-bi dilafgar,
Dil roke pukaaraaa, pehchaano khudara, Mujko….
Sab ghayr kujaara hai damishkaar kuja mei,
Karbal se chali hogaye khud karbobala mei,
Zulmat ka safar thaaa, pehchaano khudara, Mujko….
"IRFAN" ye alfaaz jo "MAZHAR" ne likhe hai,
Insaan tho kya cheez hai patthar ko rula de,
Jaise ke ye jumla pehchaano khudara, Mujko….
Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(RETURN TO MADINA)
NA MEHMIL HAI, NA HAUDAJ HAI, NA LASHKAR KI WO SAJ-DHAJ HAI,
NA SARPE ALAM NA CHADAR HAI, ALLAH YE KAISA MANZAR HAI,
MUSAFIRANE MUSIBATH, WATAN ME AATE HAI (2)
SAFAR SE AATE HAI SOU-GHATE DARD LAATE HAI
Kiya salaam Muhammed ke aastane ko,
Lutaa ke aaye hai Zehra ke sab gharane ko,
Na kar qabool tu hum bekaso ke aane ko,
Ye nawha karte hai aur ashk khu(n) bahaate hai
Madina hum tere waali ko aaye hai kho kar,
Madina Kufe me sar nange hum phire dardar,
Madina daaghe rasan hai humare shaano par,
Utaa ke haath Madine ko ye sunaate hain,
Har ek kadam hai buka kab labo pe bayn nahin,
Ham aye zindaa pa Zehra ka noor ayn nahin,
Madina Akbar-o-Qasim nahi Hussain nahin,
Ye kaise kaise jawaan the jo yaad aate hai
Madine waalo kaho us behan ki kya taqdeer,
Jo dekhe apne biradar ke halq par shamsheer,
Lahu me ghark jo dekhe Hussain ki tasveer,
Lahu me kya yuhi bhaayi ka sar dikhate hai
Batawo kahte hai kya sab us amma jaayi ko,
Jo arbaeen talak de kafan na bhaayi ko,
Bahen dikhayegi mu(n) kis tarha khudaayi ko,
Kafan diya hai na unki lehed banaate hai
Chala bashir ye deta huwa khabar har jaa,
Magar mehlaye hashim me dekhta hai kya,
Ke ik mariza sare raah hai khadi tanha,
Hai muntazir ke wo kunbe ke log aate hai
Khabar ye phay-li to matham har-ek ghar me huwa,
Nikal-nikal padi sab aurathe ba-rehna paa,
Giri zamin pe Sughra ke uspe charkh gira
Ye soghwaar hai Sughra ke paas ate hai
Fiza-e-dard me lekar udaasiyaa aayi,
Safar se lut ke idher bhukhi pyasiya aayi,
Utho Rasul tumhari nawasiya ayi,
Ye khud-ko uuntoon se ehle haram ghiraate hai

Jo aayi kaan me awaaze banu-e-muztar

Kahan ho ay mere wali imame jinno bashar,
Tadap ke rehgayi sughra bapa huwa mehshar,
"KABIR" bas ke-ab aflaq thartharate hai
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(RETURN TO MADINA)

ROZE PE MUSTAFA
Roze Pe Mustafa Ke Udasee Si Chaaie Hai,
Kunbe Ku Khoke Zainabe Nashaad Aaie Hai
Rokar Pukari Nana Aay Faryad Laaie Hoon,
Mai Chood Kar Hussain Ko Jungal Main Aaie Hoon

Nana Ajeeb Saanahai Ham Par Guzar Gaya
Ranj-o-Alam Ne Gher Liyaa Hum Jidhar Gaye
Nana Khudaa Kai Ghar Mai Na Hum Ku Amaan Mili (2)
Bhaaie Ne Shahar Chood Ke Jangal Ki Raah Li

Nana Hamain Na Chain Mayassar Kahain Huwa
Paani Bhi Bandh Hum Pai LayeNoon Nai Kardiya
Nana Tumhari Aal Pai Kya Kya Sitam Huwai (2)
Bachai Tadap Kai Mar Gaye Paani Kai Waastay

Nana Shaheed Ho Gaye Bhayee Kai JaanNisar
Ek Ek Kar Kai Mar Gaye Ashab-e-Zee waqar
Nana Bala Kai Ban Main Qayamat Ka Run Pada (2)
Bhayee Sai Bhayee Baap Sai Beta Bichad Gaya

Nana Zameene Karbobalaa Laal Hogayi
Qasim Ki Laash Ghoodon Se Paamaal Hogayi
Nana Kataa Ke Shanon Ko Abbas Margaye (2)
Ghurbat Me Bhaaijaan Ko Be Aas Kargaye

Nana Tumhari Shakl Ka Farzand Ek Jo Tha
Khaa Kar Sina Jigar Mai Wo Mehru Bhi Chal Basa
Nana Shaqi Ki Teer Se Asgar Huwa Shaheed (2)
Aisa Huwa Na Hoga Jahaan Main Sitam Shadeed

Nana Hussain Bay-kas-O-Bay Yaar Hogaie
Aamada Qatl Karnai Ko Kuffar Hogaie
Tadpai Jo Zair Khanjar-e-Bai Aab Shahai Deen (2)
Shimre (la) Layeen Kai Zulm Sai Thar-ra Gayi Zameen

CONTD… (2)
ROZE PE MUSTAFA (Contd…. 2)

Nana Hamare Ghar Ka Sab Asbab Lut Gaya
Nana Hamare Sar Pe Na Baqi Rahee Rida
Nana Hazaar Tarha Jafa Ki Layeeno Ne (2)
Khaimo Mai haai Aag Lagaadi Laeeno Ne

Nana Huwi Aseer Tumhaari Nawasiyaan
Kauno Makaan Main Chaa Gayi Gham Ki Udaasiyaan
Nana Haram Hussain Kai Bazaar Main Gaye (2)
Hum Sar Barehna Kufe Ke Darbar Main Gaye

Nana Tumhaari Aal Gayi Mulke Shaam Mai
Pohnchi Ali Ki Betiyaan Darbaare Aam Mai
Nana Haqeer Sahebbe Tatheer Hogaye (2)
Ham Log Shehr Shaam Main Tash-Heer Hogaye

Nana Aseer Bara Thai Aur Ek Thi Rasan
Baandhe Gaye Thai Misle Gunahgaar-e-Khastatan
Nana Hum Apne Haal Pe Roote Thai Zaar Zaar (2)
Nana Hamaare Roonai Pe Haste Thai Badshaiaar

Nana Ajeeb Haal Hamaaraa Tha Us Ghadi
Ek Bibi Pichhe Doosri Bibi Kai Chupti Thi
Us Wakt Thar-tari Si Merai Tan Main Pad Gayee (2)
Sad Haif Hai Zameen Main Zainab Na Ghad Gayi

Etnay Mai Ek Shaami-nai Nana Ghazab Kiya
Saidaani Ko Kaneezi Main Apni Talab Kiya
Hoti Thi Laakh Zillaten Hum Dekhte Rahe (2)
Hans Hans Ke Taaziyaane Sitam Jhelte Rahe

Nanaa Tabaah Hoke Ham Aaye Hain Shaam Se
Ek Daaghe Nau Sakina Ka Laaye Hai Shaam Se
Nana Hamare Tan Pe Nishaano Ko Dekh Lo (2)
Ab Tak Hai Neel Rassi Ke Shaanon Ko Dekh Lo

Zainab Dekha Kai Shanoon Ko Jab Karrahi Thi Bayaan
Tharaa Rahaa Tha Rouzae Sultaane Mashraqain
Bas Khatm Kar NISAR Ye Ghamnaak Daastaan (2)
Rotai Hain Is Alam Main Zameen Aur Aasmaan

NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(RETURN TO MADINA)

ROKAR PUKARI NANA YE FARIYAAD LAAYI HU
M
AI CHOD KAR HUSSAIN KO JUNGAL MA AAYI HU
Nana Ajeeb Haadise Humpar Guzar GayeRanjo-alam ne ghair liye hum jidhar gaye
Nana khuda ke ghar may na humko ama mili
Bhaayi ne shehr chod ke jungal ki raah li
Nana Hame Na Chain Mayassar Kabhi Mila
P
aani bhi bandh humpe laayeno ne kar diya
Nana tumhari aal pe kya kya sitam huwe
Bache tadapke reh gaye paani ke waste
Nana Zameen-E-Karbobala Laal Hogayi
Q
asim ki laash ghodon se paamaal hogayi
Nana katake shaano ko Abbas mar gaye
Ghurbath may bhai-jaan ko be-aas kar gaye
Nana Tumhare Shakl Ka Farzand Ek-Jo Tha
K
hakar sina jigar pe woh mehru bhi chal basa
Nana shaqee ke teer se Ashgar huwa shaheed
Aisa huwa na hoga jahan may sitham shadeed
Nana Hussain Bekaso Be-yaar Hogaye
A
amada khatl karne ko kuffaar hogaye
Tadpe jo zer-e-khanjar be-aas hogaye
Shumr-e-layeen ke zulmo se thar-ra ke reh gaye
Nana Hamare Ghar Ka Sab Asbaab Lut Gaya
N
ana hamare sar pe na baaqi rahi rida
Nana hazaar tarha jafa ki layeeno ne
Qaimo may haaye aag lagadi layeeno ne
Nana Aseer Barah Thay Aur Ek Thi Rasan
B
aandhe gaye thay mislay gunehgaar qastatatan
Nana hum apne haal pe rotay thay zaar zaar
Nana humare ronay pe haste thay badshiyaar
Nana Ajeeb Haal Hamara Tha Us Ghadi
E
k bibi peechay dusri bibi ke chupti thi
Us waqt thar-thari si mere tan may hoti thi
Sadh hays hai zameen may Zainab na gad gayi
Nana Tabaah Hoke Hum Aaye Hai Shaam Se
Ek
 daagh to Sakina ka laaye hai shaam se
Nana hamare tan pe nishaano ko dekh lo
Ab tak hai neel rassi ke shano ko dekh lo

NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(RETURN TO MADINA)

GHABRAYI HAI ZAINAB, AAYA HAI MADINA X3
Labraiz hai gham sey har bibi ka seena
Ghabrayi hai Zainab aaya hai Madina x2

Ek saal guzara hei zindan-e-sitham mein
Din baaqi guzaregi Zainab isi gham mein
Maqtal mai hei Asghar, zindaan mein Sakina

Aye ahle Madina tu khamosh hi rehna
Zainab sey khudara to ek lafz-na kehna
Jo sansein bachi hai khodey gi hazeena

Ye soch key rooti hai, beemar hai Sughra
Har farz ke baare mein ab pouche-gi dukhiyaa
Eeeza na ho sun ke, marjaey hazeena

Har baath batadoungi jab poochengi Sughra
Baloun ki safedi ka bathlaoun sabab kya
Tha is sey to behter zindaan mei jeena

Jab pursa mujhe diengey sab loog vatan ke
Kis tarha chupaoungi ye neel rasan key
Ahval safar ka kehdein ye kahin na

Har zakham suna dega ahval safar ka
Phat jaye na dil uska jab dekhegi Sughra
Pay-shani-e-Sajaad ur surkh paseena

Hujroun mein jo jaoungi mein Awn-O-Muhammad ke
Is dil ko rulayeinge bachoun key khilone
Dil shiddat-e-gham sey phat jaye kahin na

Sab kuch to lutaa aayi pardes mein Zainab
Mazlooma musafir ye, kya jee-key karey ab
Bin bhaayi ke ab to dushvaar hei jeena

Zainab key khayaloun mien aawaz ye aayi
Mahmil sey uter kar jab Fizza ney sada di
Dil tham lo bibi, lo aaya Madina

Kehta hei jiger thaamey "FARHAN" tadap kar
Roodad karo "MAZHAR" bas khatam yahien par
Ghabrayi hei zainab aaya hei madina
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(RETURN TO MADINA)

MARKHAD PE MA KE ZAINAB FARIYAAD KAR RAHI HAI-2
AMMA TERI KAMAYI - JUNGAL MAY LUTGAYI HAI-2

UMMAT NE MUSTAFA’A KI , LOOTA HAI CHAIN TERA (2)
Maragaya hai pyaasa (amma hussain tera x 2) (2)
Dil baith sa gaya hai, aankhon may teeragi hai

TEERO SE HOGAYA HAI QASIM KA JISM CHALNI (2)
Makhtal ki zulmato may (dulhan ki maang ujhdix2) (2)
Sehre ki har ladi say, hasrat baras rahi hai
BARCHI JIGAR PE KHAAKAR AKBAR KI NAUJAWANI (2)Mitti may milgayi hai (Laila ki zindagani x2) (2)
Bete ko yaad karke, madar tadap rahi hai

YAADON SE KHELTI HAI, BAYSHEER KI ADAYEIN (2)
Reh rehke de rahi (Asghar ko maa sadayein x2) (2)
Jhule ki kha’mushi par, khud mauth ro rahi hai
ANKHON MAY BAS GAYE, HAI ZINDAN KE ANDHERE (2)Yaade Sakina amma (Rehti hai mujko khaaye x2) (2)
Baba ko rote rote, masoom chal basi hai

ABID KI PUSHT PAR HAI DURRO KE NEEL AB-BHI (2)
Amma rula’rahi hai (mazloom ki aseeri x2) (2)
Chaale hai dashto-pa may, beemar par ghashi hai

ZAINAB KO RAAS AMMA KARBOBALA NA AAYA (2)
Cheena hai mere sar se (Do bhaiyon ka saaya x2) (2)
Ab to duwa-ye zainab, marne ki maangti hai

IN BAAZUON KE KUCH TO DAAGH-E-RASAN DIKHANE
Aayi hai teri beti (rudade gham sunane x2) (2)
Kurta kahi jala hai, chadar kahi jali hai

NAWHA – WAPSI MADINA

YASRAB NAZAR AAYA (4)
KULSUM NE MEHMIL KAY JO PARDEY KO UTAYA
APNA THA WATAN AUR (2), PARAYA NAZAR AYA

Moonh Dhanp Kay-Ronay Lagi Ahmed Ki NawasiWiran Dar-o-Baam Tha Allah Rey Udasi
Ujda Bani Hashim Ka (2) Mahalla Nazar Ayaaaa

Wo Galiyan Jahan Aun O Mohammad Kabhi KhaileyAbdullah Wahan Phirtey They Khamosh Akailey
Har Simt Mein Bachoon Ka (2) Sarapa Nazar Ayaaaa
 Sugra Ne Khabar Pai Kay Lout Aaye MusafirKhush Ho Gai Rozey Pay Nabi Kay Howi Hazir
Kya Soncha Tha Sugra Ne (2) Usey Kiya Nazar Ayaaaa

Ujdi Howi Har Mang Thi Har Goudh Thi KhaliAsghar Ka Shaloka Tha Sakina Ki Thi Bali
Abbas Ka Parcham Bhi (2) Akela Nazar Ayaaaa
 Jis Waqt Ruki Nana Kay Rouzey Pay AmariNaqey Say Giri Khak Pay Wo Dard Ki Mari
Rota Howa Nana Ka (2) Jo Chehra Nazar Ayaaaa
 Sugra Ne Kaha Amma Say Kiyoon Goudh Hai KhaliEk Aah Bhari Bano Ne Kuch Moonh Say Na Boli
Roney Lagi Jalta Huwa (2) Jhula Nazar Ayaaaa

Bin Bhai Kay Dakhil Huwi Jo Apney Hi Ghar MeinGash Aa Gaya Taqat Na Rahi Qalab-o-Jigar Mein
Bey Goro Kafan Bhai Ka (2) Lasha Nazar Ayaaaa

Hujrey Mein Nazar Aaye Nahi Qasim-o-AkbarKehney Lagi Main Chood Gai Thi Yeh Bhara Ghar
Ghar Qabar Kay Mahool Mein (2) Dhalta Nazar Ayaaaa

Bistar To Wahan Aun-o-Mohammad Kay Sajay ThayAur Sath Mein Asghar Kay Khiloney Bhi Rakhey Thay
Laykin Na Koi Khelney (2) Wala Nazar Aya
 Aai SARWAR-O-REHAN Gamey Shah-e-Huda SaySadaniyan Uthi Na Kabhi Fersh-e-Aza Say
Ankhoon Mein Laho Hoton Pay (2) Nauha Nazar Ayaaaa

NAWHA – MOULA-E-KAYAINATH HAZRATH ALI (A.S.)

TAR KHOON MAIN HUWI HAIDER KI JABEEN
YUN ROTAI HAIN JIBREEL-E-AMEEN 

Yeh Taig Chali Kis Kai Sar Par
Zakhmi Huwai Sajdai Main Haider
Kyun Hilnai Laga Hai Arshai Barin

Karti Hain Azanai Wawaila Masjid ka sehan hai farshe Aza
Haider kai lahu sai tar hai zameen

Kyun rozai daar pai zulm kiya Tu nai binai muljim yeh to bata
Shak ho gayi kyun moula ki jabeen

Hasnain kai sar sai saya uta Maghmum huwi Kaabe Ki Faza
Markad main Nabi ko chain nahin

Wo shahai arab wo shere Khuda Woh nafsai Nabi wo dastai Khuda
Kyun taig chalai dushaman-e-deen

Zainab pai yateemi chaayi hai Masjid sai khabar yeh aayi hai
Lo qatl huwa kaabe ka makeen

Abbas tadap kar rothe hai Rukh-sath mere moula hote hain
Haider ke lahu se tar hai zameen

REHAN Bichao farsh-e-aza Ghar ghar se ute matham ki sada
Is gham ki kissi ko tab nahi

NAWHA – MOULA-E-KAYAINATH HAZRATH ALI (A.S.)


HO GAYE ZAINAB SE KHAFA (AY MERE BABA)
KYA BETI SE PYAARI THI KHAZA, GHAR MERA VEERAN KIYA, KARTI HUN AA-HO BUKA, ZULM YE KAISA HUWA (AY MERE BABA)

SUNTE-NAHIN MERI SADA KISKO PUKAAROON,
SAAYA HAI MERE SAR SE UTA KISKO PUKAAROON,
ZARB YE KAISI LAGI (AY MERE BABA),

KAUN THA AISA SHAKI, ZULM KI HAD HOGAYI


ROTE-HAI HASNAIN ZARA ANKHEIN THO-KHOLO,
DIL-GUM SE HAI BECHAIN ZARA ANKHEN THO-KHOLO
KAISI HAI GHAM KI SADA (AY MERE BABA),
PHAT-THA HAI MERA JIGAR, APKO YUN DEK-KAR

CHALTE-HAIN KHANJAR MERE SEENE PE ALAM KE,
TAQDEER NE DIKHLAYE YE DIN KAISE SITHAM KE,
ANKH SE ASUN RAVAN (AY MERE BABA),
SINO SE UTHA DHUWAN, DARD KI CHINGARIYAN

AYE-BINE MULJIM (la) YE BATA TUJKO MILA KYA,
TUNE-HAI LAHU KISLIYE HAIDER KA BAHAAYAA,
QATL NAMAZI HUWA (AY MERE BABA),
ARSH SE AYI SADA, HOGAYA MEHSHAR BAPA

ROTE-HAIN JIBREEL-E-AMIN PEET KE SEENA,
NAALE KOYI KARTAA HAI KOYI PADTAA HAI NAWHA,
YA-ALI MUSHKIL KUSHA AY MERE BABA
DEKHIYE UTKAR ZARA NAWHA KUNA HAI FIZA

TEGAY-JAFA AAP PE ZAALIM NE CHALAAYI,
ROTI HAI ZAMIN AASMAAN DETAA HAI DU-HAAYI,
KUCH TO KARO GUF-THAGU AY MERE BABA
BEHTA HAI SAR SE LAHU AAP HUWE SUR-KHURU

MASJIDE-KUFA ME BAPA SHOROO BUKAA HAI,
DA-MAADE NABI SHERE KHUDAA QATLE HUWA HAI,
ROTE HAI AHLE AZA (AY MERE BABA),
HOGAYI MAJLIS BAPA, DIL BHI TADAPNE LAGA

UT-GAYAA-DUNIYAAN SE MADADGAAR HAMARA,
BEVA-O-YATHEEM-O KA ASEER-O KA SAHARA,
SHABBAR-O-SHABBIR PAR AY MERE BABA
KE JIYE UTKAR NAZAR ROTHE HAIN SAR PITKAR

NAWHA YE REHAN AAZMI HAI MOULAA ALI KA,
HUM SAB KE LIYE OKHBAA ME BAKSHISH KA SAHARA,
AATI HAI HARDAM SADAA, QATLE NAMAZI HUAA

NAWHA – MOULA-E-KAYAINATH HAZRATH ALI (A.S.)

 

UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE =3
ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEERE SITHAMGAR SE
UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE =3

ALI KI BEK-ALI PAR ZINDAGI AANSOON BAHATI HAI.. (2)
SADA-YE AL-FERAQ AATI HAI, HAR EK TARE BISTAR SE
UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3)
ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE

PARESHAN SURQ CHEHRA SARD HAI AUR SURQ HAI ANKHEN
YATEEMI KYA HAI POOCHO AAJ ABBAS-E-DILAAWAR SE..
UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3)
ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE

DIL-E-ISLAAM SE HOUK UT-THI HAI IMAAN ROTA HAI..(2)
MUSAL-LAY PAR JO BEHTA HAI NAMAAZI KA LAHOO SAR SE..
UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3)
ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE

DILE UMMUL-BANI KO BE-WAGI KA GHAM UTANA HAI (2)
SUHAAGAN ZINDAGI KHOON RO RAHI HAI DEEDAYE TAR SE..
UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3)
ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE

TADAP AY FITRATE ISLAAM MOULA JAANE WAALE HAIN (2)
PAYAAME IRJAEE AANE KO HAI ALLAH KE GHAR SE
UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3)
ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE

SUNI HAI JISKE KAANON NE HADIS-E-RAAS KARASI (2)
WO POOCHE GHAM ALI KI MAUTH-KA KHABRE PAYAMBAR SE..
UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3)
ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE

JANAZA KUL-E-IMAAN KA ALI FITRAT JAB UT-TYEGA (2)
NA JAANE HAAL KYA ZAINAB KA HOGA GHUM KE KHANJAR SE
UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3)
ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE

NAWHA – MOULA-E-KAYAINATH HAZRATH ALI (A.S.)
Jibreel nawha padte hai (Maray gaye Ali x2)
Maula-e-kayinat pe talwaar chalgayi, maray gaye Ali
Masjid udaas mimbare (kufa udaas hai x 2)Tar khoon me khuda ke (wali ka libaas hai x 2)
Rota hai asmaan zamin ghamse phat gayi, mare gaye Ali
Masjid me rozadar pay (kaysa sitham huwa x2)Kaabe se aa rahi hai sadaa (wa musibatha x2)
Ghamse nabi ki kabr bhi ab kaampne lagi, mare gaye Ali
Haay haay yateem Shabbar-O-(Shabbir hogaye x2)Abbas dilko thaamke (rote huwe chale x2)
Sarse ridaaye Zainab-o-Kulsum girgayi, mare gaye Ali
Duniya mei bekasoon ka (sahara nahin raha x2)Uthra tha jo falak se (sithara nahin raha x2)
Arshe bareen pe farshe azaa aaj bichgayi, mare gaye Ali
Maula mera jo khoon me (apne naha gaya x2)
Bole farishte haye ye (kaisa sitham huwa x2)
Uriyain ye roke kehti thi duniya ujadgayi, mare gaye Ali
Zahra lahad me rothi hai (Haider ke waste x2)
Kehti hai cheyn kabr ke (andhar nahin mujhe x2)
Bacho pe mere gham ki ghata aaj chhagayi, mare gaye Ali
REHAN mere saath me (rone lagaa kalam x2)
Aankho se mere jaari (huwe ayse ashke gham x2)
Chalte huwe kalam ke mere saas rukh gayi, mare gaye Ali


NAWHA –SHEHZADI BIBI FATHIMA ZEHRA (SMA)
by: Ali Deep Rizvi (Year 2011)

SAYEDA - TAHIRA - RAAZIA - MARZIA
Ay Umm-e-Abiha - Yaa Fathima Zahra (sma) x 2

Kya Kya Na Zulm Dhaa’ya Gaya - Baba Tere Baad x2
Darbaar Mai Bulaaya Gaya - Baba Tere Baad
Kya Kya Na Zulm Dhaa’ya Gaya - Baba Tere Baad x2

Baba Sitham Ki Inthehaan Mujh-par Hai Ho-gayi
Baba Teri Judaayi Mai Jee-bhar Na Ro Saki
Mujhko Bhohath Sathaa’ya Gaya - Baba Tere Baad

Ummath Ne Sab Bhula’adiye Ehsaan Rasool (saws) Ke
Ta’azeem Kar Sake Na Yeh Ghaar Khi Batool Ke
Is Ghar Ka Dar Jalaa’ya Gaya - Baba Tere Baad
  
Cheena Hai Ghasiboon Ne Fidak Muj-se Be Sabab
Haq Mang-ne Gayi Thi Adalat Mai Baba Jab
Mujse Gawa Mangaa’ya Gaya - Baba Tere Baad

Woh Zulm Dahye Mujpe Karun Ab Bayaan Kya
Roushan Dino Pe Pad-the Agar Hotey Woh Siyah
Mujko Bhohath Rulaa’ya Gaya - Baba Tere Baad

Mohsin Shaheed Hogaya Zalim-Ne Ki Jafaa
Pehlu Pe Mere Ghar-Ka Jo Darwaza Hai Gira
Ye Zulm Mujpe Dhaa’ya Gaya - Baba Tere Baad

Sahme Huwe Hai Ghar Mai Hussain(as) Aur Mera Hassan(as)
Mushkil Kusha Ke Dekhiye Gardan Mei Hai Rasan
Mujko Ye Din Dikhaa’ya Gaya - Baba Tere Baad

Bay-Deen Ko Dikhaayi Sanad Jab Rasool (saws) Ki
Haathoon Mai Leke Phaad-di, Aur Na Qabool Ki
Hukme Nabi (saws) Bhulaa’ya Gaya - Baba Tere Baad

Ummath Ne Humko Ajre Risa’lath Hai Yeh Diya
Haq Cheena Hai Ali (as) Se Sitham, Mujpe Hai Kiya
Dil Mera Hai Dukhaa’ya Gaya - Baba Tere Baad

Yeh Dastaan Sitham Ki “Ali Deep” Ne Lekhi
Duniya Ke Samne Yeh Haqiqath Bayan Khi
Ye Bayen Jo Sunaa’ya Gaya - Baba Tere Baad
NAWHA –SHEZAADI BIBI FATHIMA ZEHRA (SMA)
by: Meer Hassan Meer (Year 2010)

HAAYE SAYYEDA (sma) (4)
Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbath Bhi Shikasta Hai (2)
Kya Haal Yeh Ummat Ne, Zehra (sma) Ka Banaaya Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbath Bhi Shikasta Hai (2)

Khatoon Koyi Gham Se, Yun Chur Nahi Dekhi
Aisi Koyi Duniya Mai, Mastoor Nahi Dekhi
Athaara Baras Mai Hi, Lagti Jo Zaeefa Hai

Darbaar Mai Zaalim Ne, Kee Aisi Pazeeraai
Kis Tarha Se Tu Bibi, Phir Laut Ke Ghar Aayi
Baalon Ki Safedi Ne, Sab Haal Sunaaya Hai

Tu Roti Rahi Ghar Mai, Haider (as) Se Bhi Chup Chup Ke
Ismat Ki Tarha, Dukh Bhi, Parde Mai Rahe Tere
Kuch Dard Tere Bibi, Bas Jaanti Fizza (sma) Hai

Do Aise Janaaze Hai, Taarikh Mai Jo Utthe
Bas Ghar Ke Hii Logo Ne, Dono Ko Diye Kaandhe
Ik Fatema Zahra (sma) Hai, Ik Baali Sakina (sma) Hai

Marham Tere Zakhmon Ka, Bibi Na Milaa Ab Tak
Aulaade Umayya Ki, Baaqi Hai Jafaa Ab Tak
Rone Pe Bhi Pehra Tha, Turbath Pe Bhi Pehra Hai

Mismaar Tera Rauza, Ummat Ne Kiya Jab Se
Baba Tera Rehta Hai, Turbath Pe Teri Tab Se
Kab Ghumbad-e-Khizra Mai, Baba Tera Rehta Hai

Mehdi (atfs) Se Koi Puchhe, Kya Uss Pe Guzarti Hai
Awaaz Baqayya Se, Jab Rone Ki Aati Hai
Aankhon Se Lahu Rokar, Woh Bhi Yehi Kehta Hai

Tasweer Haqiqat Ki, Khwaabon Ko Banaadijiye
Ay Bibi “Taqallum” Ko, Taabir Dikhaadijiye
Matham Teri Turbath Pe, Hote Huwe Dekha Hai
NAWHA –SHEZAADI BIBI FATHIMA ZEHRA (SMA)

FATHEMA ZEHRA (2) YA ZEHRA (4)

Ay meri bibi (2) Tere dar pe isteghasa hai,
Tera mamnoo meri shehzaadi ye jahan sara hai
Tu hame hifz or amaan de-de, Apni chadar ka sa-ebaan dede,
Teri kudrath me kya nahin bibi, Tu jise chahe do jahaan dede

Ay meri bibi (2) Aansu-o ne duwa mangi hai,
Teri tasbee hi padke dil ne tujhe pukaara hai
Tera darbar O sakhi dar hai, Har farishta jahan-ka dagar hai,
Tere makrooz asmaan waale Tera makrooz har sikandar hai

Ay meri bibi (2) Tu sakhi hai tere bache bhi,
Ek raahi nahi gawaahi me jag ye saara hai
Farshe majlis pe aur musale pa, Har jawan keh raha hai ro-rokar
Ham rahe na rahe magar bibi, Ta qayamat rahe game sarwar

Ay meri bibi (2) Tere bacho ka gham mana-te hai,
Apni awlaad se kahi badke gham ye pyara hai
Karz makrooz ka adaa karde, Muflisoon ka naseeb wa karde,
Jinki goudi bhari nahi bibi Unko awlaad tu ataa karde

Ay meri bibi (2) Bas tuhi muraad dethi hai,
Teri chawkat dare ilahi ka isti-araa hai
Farz momin se gham juda karde, Bas ghame karbala ata karde
Be khataa kayd me hai jo momin, Moujize se unhe rihaa karde

Ay meri bibi (2) Gham koyi hussainiyo ko na de,
Jo hussaini hai tere baba ko jaan se pyaara hai
Un shahedo ka ye mukadar hai, Sayiban inka teri chadar hai
Unke sino pe ay meri bibi daghe matam nishaane haider hai

Ay meri bibi (2) khuld me shaheed jab jaye,
Teri awaaz aaye aane do ye hamaara hai
Majlise gham me ashk barsane, Aasake ya nahi khuda jaane,
Kya bharosa hamari sanso ka, Ab kaha ham kaha aza khane

Ay meri bibi (2) Ashke gham teri amaanath hai,
Teri awlaad ke hi gham-ne hame sawaara hai
Tujko umat ne yu sataya hai, Marghe mohsin pe bi rulaya hai
Tujko baba ke baad ummat ne, Haye darbaar me bulaya hai

Ay meri bibi (2) Kitne sadme utha hai tune,
Jeete-ji tujko meri shehzadi gham ne maara hai
Ay meri bibi (2) tere darpe sar jukaate hai,
Har hussaini ka tere tuk-do pe hi guzaara hai

NAWHA –SHEZAADI BIBI FATHIMA ZEHRA (SMA)

SADME UTA RAHI HUN MAI,
BABA TUMHARE BAAD (4)

DAR-BAR JA-RAHI HUN MAI (2),
BABA TUMHARE BAAD

SADME UTA RAHI HUN MAI,
BABA TUMHARE BAAD (4)

BA’BA YE FATHIMA (SMA) PE MUSIBATH KA WAQT HAI
YE MARHALA~ KHATIN HAI QAYAMAT KA WAQT HAI
QUTHBA SUNA RAHIN HUN MAI (2),
BABA TUMHARE BAAD

KOYI MUJHE BATAAYE-KE, KYA THA MERA KASOOR
SADMA YE HAI KI, SHAHR KI AABA’ADIYOON SAY DUR
AANSOON BAHA RAHI HUN MAI (2),
BABA TUMHARE BAAD

BABA TUMHARE BAAD YE MUJPAR SITHAM HUWA
MOHSIN MERA SHAHEED HUWAWA MUSIBATA
YE GHAM UTHA RAHI HUN MAIN (2),
BABA TUMHARE BAAD

BABA GHAREEB BETI-KI GHURBATH KO DEKH LO
UMMATH-NE HAQ NAHIN DIYA, BINTE RASOOL KO
YE AJR PA RAHI HUN MAIN (2),
BABA TUMHARE BAAD

ZULMATH KI HAR NAQAAB KO, RUKH SAY HATA KE AAJ
DARBAAR MEI LAYIN KE, KHUTBA SUNA KE AAJ
HAQ KO BACHA RAHI HUN MAIN (2),
BABA TUMHARE BAAD

DARBAR JAARAHI HUN MAIN (2),
BABA TUMHARE BAAD
SADME UTHA RAHI HUN MAI,
BABA TUMHARE BAAD (4)
NAWHA –SHEZAADI BIBI FATHIMA ZEHRA (SMA)

FARSHE MAJLI’’IS-PE FATHIMA’AA ZEHRA’A,
LAMHA (2) SHUMAAR KARTI HAI
AY AZADAA’RO - AAO MAJ’LIS MEI’I,
FATHIMA INTEZA’AR KARTI HAI

Ay azadaroon suno’o, keh rahi hai Sayyeda (2)
Har ek chahane wale ko bakshwadungi
Mere Hussain ko rote rahoo duwa dungi (2)

Tum apne ghar mei aza khaane jab sajaooge
Jaza Rasool say iski zaroor paooge
Khuda bhi raazi rahega, Ali-bhi aur mai-bhi
Gham apna bhool ke aashur jab manaoge
Tumhare dil ke har ek zakm ki dawa dungi

Ajeeb haal say aungi mai sare mehshaar
Ke laungi mai wahan ghoud mai Hussain ka sar
Mai laungi mere Abbas ke kate huwe haath
To saath laasha-e-Asgar bhi aur Hassan ka jigar
Khuda say baba ki ummath ko baksh-wadungi

Ba waqt asar gulu-e-Hussain kat-tha tha
Pisar ke gird phiri roohe Fathima Zehra
Nidaye Fathima aati thi aah’a wa-waila
Ke chaki pees ke maine Hussain ko paala
Karo na khatl ise main tumhe duwa dungi

Meri Sakina-O-Zainab ki sab kaneeze sune
Wasiyath ek meri hai ye dhiyaan mei rakhe
Kabhi jo zikr-ho, Zainab ki be-ridaayee ka
To ek lamha bhi khud ko woh be-rida na kare
Mai tumko betiyaan Zainab si ba-hara dungi

Tum is jahan mei hamara sahara ban jaaoo
Hamare baa-ize izzath to ban ke diklaoo
Na aisa ho kahin apne kisi amal say kabhi
Azaa ki rooh ko nuksaan tumna pahunchaoo
Ye mera wada hai mai tumko bakshwadungi

Jo umr-bhar mere bachoo ka nawhakhan hoga
Baroze hashr O uthna hi SHADMAN hoga
Jo Nawhe likhte rahe MAZHAR ABIDI yun-hi
Khalam ye taba qayamath yunhi rawan hog
Har ek bayt pay, Janath mai ghar diladungi

NAWHA - ARBAEEN
By Nadeem Sarwar – 1990

SADAAT-E-KARBALA -  SADAAT-E-KARBALA
Chehlum ko karbala mei jab ayeen woh bibiyaan
Sadaat-e-Karbala (x2)
Har bibi, kar rahi-thi, kuch-is tarha-se giriya

Kuch bibiyaan yaahan hai kuch bibiyaan wahanKarthi huwi fuga (x2)
Arey bikhri huwi thi maktal-e-sarwar mei ja-baja

Zainab-ne is zameen ko sungha tho yehi kahaSajjad kuch sunaa (x2)
Maqtal hai yeh Hussain ki Amma ki hai sada
Abid tadap ke bole phupi aap per fidaSach aap ne kaha (x2)
Baba shaheed honge jahaan hai yehi jagah

Ek bibi dasht-e-khooni mein jaati thee nehar parKeh-thi ba chashm-e-thar (x2)
Abbas dene aayi hun pursa Sakina ka
Ghut ghut ke laadli teri zindaan mein margayiTurbath wahin banii (x2)
Bhaiya woh qaid say-huwi marke bhi na juda

Akbar ki qabr per yun huwi Laila nauha-garDekha na saal bhar (x2)
Aayi-hun qaid-e-shaam se ab hoke mein riha

Bano yeh bain karti thee ay mere be-zubaanMaa dhoonde ab kahaan (x2)
Batla de hai kahaan mera Asghar ay Karbala

Qurbaan tere ay mere Maa jaye be-watanMajbur thee behan (x2)
Zindaan mai mujhse teri amaanath huwi juda

Rote hain khaas-o-aam tera sun ke yeh kalaamAy Shaah ke ghulaam (2)
Noha tera 'ANEES' hai maqbool-e-bargaah

NAWHA - ARBAEEN

ARBAEEN KARNA HAI SHAH-E-KARBALAYI KA
Leke daagh seene par, shaah ki judaai ka
H
aq ada kare Zainab, kaise apne bhaayi ka
Khaafila uthar aaya, sabr ki khudaayi ka
Karbala ke maidaan par Fathima ki jaayi ka
Mauth ke bayaabaan may zindagi ka maatam hai
Z
ulm ke andheron may roshni ka maatam hai
Aansuon ke toofaan may tishnagi ka maatam hai
Ek behan ke his-se may har kisi ka maatam hai

Bhaayi kya sunaaun mai hum pe kya sitham guzre
B
aad-e-asr-e-aashura be-kafan thay sab laashe
Shaam-e-gham ke jaatay hi mauth ke badhe saaye
Chin gayi rida meri bhaayi jal gaye khaime

Dur tak nigaahon may shaam ka andhera hai
K
arbala say kufa tak haadisoon ne ghayra hai
Jabsay nowne-haalon ne, mu ko apne phera hai
Maamta ki goudhi may, mauth ka basera hai

Baad-e-karbala bhaayi, har qadam qayamat thi
B
e-rida rasan basta raah-e-shaam say guzri
Bhaayi hum tamaasha thay raaste tamaashayi
Har qadam dua yeh thi kaash mauth aajaaye

Bhaayi qaid khaane ki teeragise ho aaye
A
ap ki amaanat ko zulmaton may kho aaye
Khoon goshwaaron ka aansuon say dho aaye
Yun Sakina bibi ko sab aseer ro aaye

Qaid say reha ho kar jab Madina jaaungi
J
aa ke maa ki turbat par marsiya sunaaungi
Karbala ke maqtal may kya huwa bataaungi
Bhaayi apnay baazu ke neel bhi dikhaaungi

Bhaayi ab khudahafiz khabr say chali Zainab
B
in tere guzaa-regi kaisay zindagi Zainab
Uth gayi FAREED aakhir keh ke Ya Ali Zainab
Ranj-o-gham ki dunya may phir say kho gayi Zainab

NAWHA - ALVIDA

ALVIDA ALVIDA ALVIDA AY HUSSAIN

Yeh sada yeh fughaan - Aur yeh majlisain x2
Matam-O-Nawha-aur gham ki yeh zeenatain x2
Chaha-ta hai yeh dil, Yun-hi qayam rahain x2
Aha phat ta hai dil, Kis ter ha ye kahain…. Alvida

Merai mehmaan hai akhari yeh salaam x2
Tujpe qurbaan hai akhari yeh salaam x2
Shah-e-zeeshan hai akhari yeh salaam x2
Dil hai veeran hai akhari yeh salaam…. Alvida

Bakshh do hoogayi, ho-jo koyi khata x2
Haq-ke khidmath-na hamse ada ho saka x2
Gham yehi hai-na jee bhar-ke matam kiya x2
Teri khaatir-na kyun apna sar dai-diya... Alvida

Gar jeeyai saal bhar  - phir karenge ye gham x2
Royain gai phir terai gham main milkar baham x2
Aur agar mar-gayai-to ye hooga alag x2
Hay afsos jee bhar kai royain-na hum... Alvida

Alvida ay Hussain ay Hussain alvida x2
Alvida ay Shah-e-mashrakain Alvida x2
Bint-e-Ahmed kai ai noor-e-ain Alvida x2
Hai Mujahid kai lab per yeh bain Alvida.. Alvida

NAWHA - ALVIDA

Hai… Khaiyd hoka’rr Jo Suwe Sha’am Chali Bin’te Ali…
Pouhunch-kar la’ashe bara’dar pa’y, buka kar’r ne lagi..

Tu mere baaloon pay khaaq daalday
Mai Tere Lashe pay khaaq daaldoon (2)
Tu mujhe rida de-day, Mai tujhe kafan de-dun

ALVIDA HUSSAIN.. ALIVIDA (3)


Dahst mai tujko layeinoon-ne kafan bhi na diya
Cheenli sar-say mere hai sithamgar nay rida
Na raha koyi madadgaar sare dashte bala
Tu raha be-kafan, Mai aseeray mehan
Mai huwi be-riday, Tu gharibul wathan

Tera Lasha huwa pama’al sare karbobala
Hai tukde huwa Zainab-ka jigar wa-waila
Aayi-be-saqta bhaayi mera hotoon pay sada
Ye sitam kya huwa, Mera ghar lut gaya
Koyi yaavar nahin, kya karun mai bhala

Meray mazloom baradar mai tujhe deti kafan
Hai pardes main majbur huwi teri behan
Yaad ata hai mere bhaiyi mujhe mera watan
Dard say choor hun, Gham say ranjoor hun
Imtehan hai mera, haa’e majbur hun

Jo mere dil pe guzarti hai bayan kaise karun
Jo lage zakm jigar par O ayan kaise karun
Mai bhala sabr mere tishna dahan kaisay karun
Khaak udaungi mai, Gham utaungi mai
Kis tarah be-rida, Shaam gaungi mai



Ye terah jism nahin, khoon mai tar hai Quraan
Nouke naiza say cheeni, Chadar-e-tath-heer yahan
Be-ridayee ka hai, ehsaas mere dil fe-garaan
Mai karungi ada, Jo mera farz hai
Mere bhaayi magar, Ye meri arz hai

Bint-e-Zehra pay qayamath ki ghadi hai bhaayi
Be-kafan ran mai teri laash padi hai bhaayi
Aur behan dasht mai be aas khadi hai bhaayi
Mai jigar tham-kar, rehgayi khaak par
Apni hamsheer par, Ek ehsaan kar

Waqt-e-ruqsath ye layein hampe sitam dhayenge
Bar-sare nouke sina tera ye sar layenge
Be-rida mujko bhi bazaar mai le-jayenge
Tera dil royega, Zakm O khaungi
Suwe bazaar mai, Be-rida jaungi

Kya qayamath ka O manzar tha Nadeem-O-Safdar
Laasha-e-Shah tadap ta-tha ye naaley sunkar
Aur sar peet-ke kehti rahi bint-e-Haider
Alvida khas-ta-tan, Alvida be-kafan
Alvida be-watan, Alvida pur-mahan

NAWHA - ALVIDA

HAAYE GHARIBUL WATAN, AY ASEERE MEHAN (2)
Alvida (3), Ay Hussain (as) Alvida, Ay Hussain (as) Alvida

Naizo pe sar kaat-ke, haaye chadaya gaya
Ghoodo se pamal-tan, tera karaya gaya
Lut ke sab maalo-zar, khaima jalaya gaya

Bibi-yo pe jis-kadar, karte the aada jafa
Kuch nahi saydaaniya, karti-thi aaho buka
Daste jafa me yehi, gunj rahi thi sada

Bhandi jafa kaar-ne, shaano me kaskar rasan
Kis tarha hamsheer de, bhaayi ko apne kafan
Chin-li sar se rida, hogi bebas behan

Bali Sakina (sma) ke-jab, shimr-ne (la) cheene gauhar
Khoon baha is qadar hogaya sab kurta tar
Kehti thi  aao chacha waqte madad hai pidar

Hadkadi aur bediya tauqe girabaar hai
Kitna asire mehan aabide (as) bimaar hai
Lashkare joro sitham dhaane ko tayyar hai

Uunto se baache saghir, raaho me girte rahe
Dapte sidhare jinaa naako ke pao tale
Maao ne yeh daag bhi apne jigar per sahe

Kar gayi zindan me jabke Sakina (sma) qaza
Ranjo alam hogaya haal nabi ka fuga
Lash se lipti huwi karti thi baanu buka

Tumko rihaayi ka laal kis qadar armaan tha
Uttho Sakina (sma) chalo hukme rihayi mila
Jaate hai zindan se pehle sue karbala

Maqtale Shabbir (as) per jab ke nazar jaa padi
Binte Ali (sma) pushte se naake se ran me giri
Karti huwi bain yeh gutniyo ke bal chali

Sath amaanath to mai laa na saki purmehan
Bhaayi bahut sharmsaar, hai yeh tumhari behen
Baali Sakina (sma) ko bhi dena saki mai Kafan

Sunke Anees e-Imam binte Ali ka salam
Bhaayi, bhatije, pisar, jaane shahe tashna kaam
Naasire deene khuda haamile aali mukam
ALVIDA - 10th MOHARRAM

RUN KO JAATE HUWE - SAR JHUKAYE HUWE (2)
SHEH NE ROKAR KAHA - ALVIDA ALVIDA (2)
AAYA WAQT-E-SAFAR - AYE BEHAN AAJ HUM (2)
HO-RAHE HAIN JUDA - ALVIDA ALVIDA (2)

Sha’ah bad-kar behan-ke, galay lag-gayey
A
ur dukhiya behan (Say yeh kehne lagay x2)
Meri mazloom pyaasi musaafir behen (2)
Te’era hafiz khuda - Alvida (4)
Jis-say darr-ti-thi tu woh ghadi aa-gayi
Dekho chaaro taraf (Teergi chah gayi x2)
Dasht-e-purhawl main shaam honay ko hai (2)
Lo’o musaafir chala – Alvida (4) 
Lay-ke baali Sakina ko aa-ghosh main
Nunhe nunhe say haathon ke bosay liye, Rokay bosay liye
Ek hasrath say beti ko tak-the huwe (2)
Aaha bhar kar kaha – Alvida (4) 
Bola beemar bete-se aaqa mera, Ab na ayey-ga ay (Beta baba tera x2)
Mauth ki aahatain taiz honay lagee (2)
Aa’rahee hai sada – Alvida (4) 
Aya khaimay say bahar jo Moula mera,Bhaayi beta bhati-ja koyi bhi na tha, hai koyi bhi na tha
Ek hasrat say chaaro taraf dekh kar (2)
Sheh nay khud hi kaha - Alvida (4)
Jab tadap kar kaha meray shero uthoo,Aao Zainab ke bhaayi ko rukhsath karo, aao rukhsat karo
Ek ek laash-e-bay-sar se aayi sada (2)
Ay Shah-e-Karbala - Alvida (4)
Aisa matam karo aisa matam karo,Pak bibi kahe marhaba marhaba, marhaba marhaba
Khoon ubaltay howay aik aik zakham say (2)
Aaj aayey sada - Alvida (4)
GENERAL NAWHA

OONCHA RAHE APNA ALAM
Jab tak hai doure aasamaan, Sun le yeh har peeroon jawaanAwaaz par Shabbir (as) ki..., Badta rahe yeh karwaan
Rukne na paye yeh qadam, Ooncha rahe apna alam

Har qalb per chahte chaloo, Duniyaa ko batlate chalooEk ek mahaz-e-zulm ki..., Tasweer dikhlate chaloo
Har dil main bhardo shay ka gham, Ooncha rahe apna alam

Kab tak na mane ga koyi, Woh waqt aaye ga kabhiHar qalb per chah jaye ga, Apna Hussain ibne Ali (as)
Duniya rahe zere qadam, Ooncha rahe apna alam

Jab bhi koi mushkil padi, Duniya issi dar per jhukkiSeenoo pe bal kha ker udhar, Otthi sadayen Yaa Ali (as)
Nikala idhar batil ka dam, Ooncha rahe apna alam

Yeh parcham-e-Abbas (as) hai, Toote diloon ki aas haiAb tak issi parcham tale, Zindaan kisi ki pyaas hai
Jisne sahe lakhoon sitham, Ooncha rahe apna alam

Abbas (as) hai naam-e-wafa, Aghaazoo anjaame wafaMoo maud ker dariya se joo, Peetha raha jaame wafa
Hote rahe bazoo qalam, Ooncha rahe apna alam

Zindaa hai hal min ki sada, Mit-tha nahi khoon ka likhaShabbir (as) ke haq ki kasam, Ek mojeza hai karbala
Yeh sil-sila na hoga kam, Ooncha rahe apna alam

Jab karbala yaad aaye gi, Insaniat Sharmaye giMazloom ki awaaz hai, Dil main oter ti jaye gi
Paltain ge phir bahke qadam, Ooncha rahe apna alam

Aye naujawana ne aza, Tum ho kisi dil ki duaTa hashr othti hi rahe, Seno se matam ki sada
Qayam rahe akber ka gham, Ooncha rahe apna alam

GENERAL NAWHA
Nadeem 1997

NA DIL ROTA, NA GHAM HOTA,
NA AISA KAHIN MATAM HOTA (X2)
SHABBIR AGAR TERI, AZADARI NA HOTI (X2)

MAZLOOM KI DUNIYA ME (x2)
TARAFADARI NA HOTI

Shabbir ka maksad jo, samaj leta zamanaa (x2)
Quran ko samajne mei (x2) ye dushwaari na hoti

Kya fayeda ankho ka, rehjata zara socho (x2)
in ankho me mawla ki (x2) jo ghamkhwari na hoti

Shabbir ke roze pe, kuch roz jo rehte (x2)
tumko kabhi janat ki (x2) talabghaari na hoti

Do roz bhi janat me, rehna hame mushkil tha (x2)
Zehra tere bacho ki (x2) jo sardari na hoti

Gazi tere jesa jo, alamdar na hota (x2)
Dunya me alam hote (x2) alamdari na hoti

Sharminda Sakina se, agar hota na pani (x2)
ye rasm sabilo(n) ki (x2) kabhi jari na hoti

Namoos-e-muhammad ko, jo pehchanti dunya (x2)
Zainab ke khule sar pe (x2) ye sangbaari na hoti

Jannat mei qadam rakhte, nahi "Sarwar-o-Rehan" (x2)
Jannat mei jo Maula ki (x2) Azadari na hoti

Mazloom ki duniya me (x2) tarafadari na hoti
Shabbir agar teri, azadari na hoti (x2)
GENERAL NAWHA

HOGI YEH MAJLIS TO HOGI (2)
Hogaa yeh maatam to hogaa (2)
Aarzu hai yeh nabi ki (2) Ruk nahi sakti kabhi
Hogi yeh majlis to hogi Hoga yeh matam to hoga (2)

Chawdaa sadiyaan ho gayi hai, Majlise Shabbir ko
Khoon se Iikhte rahe ham, Gham ki iss tehrir ko
Yeh sadaa hai karbalaa ki (2) Yeh sadaa Shabbir ki

Taighon ke saayen me palte hai, Husaini Nawjawaan
Maut se ladna sikhati hai, Hame lori me maa
Apne khun se modte hai (2) Dhar ham to teg ki

Sunnate Zainab ye majlis, Sunnate Zainul ebaa
Shaam ke darbaar me, Majlis huwi Maatam huwa
Ruk na paee shaam me jab (2) Kya rukengi ab sabi

God ka bacchaa ho koyi, Yaa jawano pir ho
Dekho usko uss gadhi, Jab maatame Shabbir ho
Ek hai raftaar sabki (2) Ek hai aawaaj bhi

Saw janaaze ham uthaae, Apne pyaaron ke to kya
Ruk nahi sakta Azaadari, Kaa yeh silsilaah
Apne hi khoon me naha kar (2) Ham pukaarenge yahi

Chin bhi jaaye gar hussaini, Maaon se unke jawaan
Yaad karke zakhme akbar, Ko kahengi sab yeh maa
Tha aliakbar sa sadqa (2) Laal mera maatami

Keh raha hai parchame, Abbas ka panja yehi
Hath kat jaye to matam, Ruk nahi sakta kabhi
Sar ko takra kar karenge (2) Aag par chal kar kabhi

Ai azaadaro hussain, Ibne ali ke maatami
Yu guzaro tum azadari me, Apni zindagi
Pairwi karte hi rehna (2) Abu zaro salman ki

Hogi yeh majlis to hogi
Hogaa yeh maatam to hogaa (2)
(Aarzu hai yeh nabi ki) x2 Ruk nahi sakti kabhi
Hogi yeh majlis to hogi Hoga yeh matam to hoga (2)
GENERAL NAWHA

HAI SOG JIS JAGA BHI, SHAHE MASHR KHAIN KA.
Khud pursa Zehra deti hai, Is noor-e ain ka.
Rona sawab jispe na rona haraam he.
Chashme khuda me iska barda ehtiraam he.
Yeh majlis-e husain, alaihis salaam he.
Chashme khudaa me iska baraa ehtiraam he.

Ye majlis-e he hamde khuda naat-e mustafa.
In majliso me hota he quran-e lab kusha.
In majliso me miltaha janat ka rasta.
In majliso ki hoti he kuch asi ikhtidaa.
Zakir ke lab pe pehle khudaa ka kalaam he.

In majliso me hoti he insaniyat ki bat.
Zikra gham-e husain he waydaniyat ki bat.
Ye majlise rasool ki hakaniyat ki bat.
Rak karthi he ye majlise sufyaniyat ki bat.
In ke sabab to hur bhi alaihis salaam hai.

In majlis-o ko ajra risalaat kaha gaya.
Roze azal se rone ka fitrat kaha gaya.
Dilki lugat me isko mohabbat kaha gaya.
Yani ise batul ke sunnat kaha gaya.
Har rone ankh-e ko mere salaam he.

Ik majlise azaa jo huwi mulk-e shaam me.
Zainab ne saf bichayi thi yaad-e-imaam me
Ansu chope he yaad-e shahido ke naam me.
Matam huwa jo yaad-e shah-e tish na kam me.
Tabse gham-e hussain zamaan-e me aam he.

Majlis me zikre bali sakina kiya karo.
Pani piyo to yaad shahe karbala ki ho.
Majlis me tazkira ali asghar ka jab suno.
Ik aah sard bhar ke tadap kar yahi kaho.
Asghar bada shahido me tera mukaam he
GENERAL NAWHA

YE NAMAZ, YE KALIMA
HAI HUSSAIN(as) KA SADKHA
LA-ILAHA-IL-LAL-LAH

Zulm ke andheron mei, Dene Mustafa (pbuh) jab tha x 2
Sar chupane ko Islam, Darbadar bhatak-tha tha
(Tune rasta bakhsha x2) LA-ILAHA-IL-LAL-LAH

Haq-ke rah pe apna, Tu agar na sar deta x 2
Deen ka naam duniya mei, Koyi bhi nahin leta
(Tere dam se hai zinda x2) LA-ILAHA-IL-LAL-LAH

To-od tha-tha dam haaye, Ran mei gulbadan tera
Lut raha tha ankhoon ke, Saamne chaman tera
(Aur tere lab par tha x2), LA-ILAHA-IL-LAL-LAH

Tere azm-se tooti, har sitham ki zanzeerein
Tere dam se qaim hai, Ye azaan ye tak-beerein
(Tere dam se hai Moula(as)x2), LA-ILAHA-IL-LAL-LAH

Dilme yaad hai teri, Lab-pe hai sana teri
Haashmi ko aiy aaqa, hai ye sab ata teri
(Aakhirath ka sarmaya x2) LA-ILAHA-IL-LAL-LAH

GENERAL NAWHA
by: Nadeem Sarwar (Year 2010)

ZINDA RAHE (2) ZIN’DA RAHE
Ay Azadare-E-Hussaini (as), Ye Chalan Zinda Rahe
Zindaan Rahe (2) Zin’daan Rahe
Ay Azadare-E-Hussaini (as), Ye Chalan Zinda Rahe
Ha Azakhan’e Sajaane Ki Lagan Zinda Rahe

Jab aza’kha’ana saje tho, dil bane farshe aza (3)
Dhadkano mei matham-e-shah-e-zaman zinda rahe
Ay Azadare-E-Hussaini (as), Ye Chalan Zinda Rahe
Ha Azakhane Sajaane Ki Lagan Zinda Rahe

Nawhakhan matham ke saaye mei safar karte rahe (3)
Har bya-be gham khule, har anjuman zinda rahe
Ay Azadare-E-Hussaini (as), Ye Chalan Zinda Rahe
Ha Azakhane Sajaane Ki Lagan Zinda Rahe

Roze Ashura juloose gham-ko kya raahath se kaam (3)
Yaad mei pyaase aseeroo, ki thakan zinda rahe
Ay Azadare-E-Hussaini (as), Ye Chalan Zinda Rahe
Ha Azakhane Sajaane Ki Lagan Zinda Rahe

Ay Azadaroo chaloo mashk-O-Alam ke, saaye mei (3)
Ye tajamul, ye hasham, ye baakpan, zinda rahe
Ay Azadare-E-Hussaini (as), Ye Chalan Zindaan Rahe
Ha Azakhane Sajaane Ki Lagan Zinda Rahe

Jis jaga thi mouth asaan, zindagi dushwaar thi (3)
Ha-wahan Zehra (sma) ke saare, gulbadan zinda rahe
Ay Azadare-E-Hussaini (as), Ye Chalan Zindaan Rahe
Ha Azakhane Sajaane Ki Lagan Zinda Rahe

Sab azakhane hamare, sab hi apni majlise (3)
Ay duwa-e-Sayyeda (sma) ye, apna pan zinda rahe
Ay Azadare-E-Hussaini (as), Ye Chalan Zinda Rahe
Ha Azakhane Sajaane Ki Lagan Zinda Rahe

Chote Chote say alam bachoo ke haathoo mei rahe (3)
Dil mei tha’buthe Sakina (sma) ki chuban zinda rahe
Ay Azadare-E-Hussaini (as), Ye Chalan Zinda Rahe
Ha Azakhane Sajaane Ki Lagan Zinda Rahe

Kar rahe hai ye duwa zere alam “Sarwar Hilal” (3)
Ay khuda ye gham ba faize panjathan zinda rahe
Ay Azadare-E-Hussaini (as), Ye Chalan Zinda Rahe
Ha Azakhane Sajaane Ki Lagan Zinda Rahe

GENERAL NAWHA

MAZLOOM KA MATAM

Mazloom ka matham hai, mazloom ka matam (2)
Logo ye tamashaa nai (2)
Logo ye tamasha nai, Is rone pe hasna nai
Mazloom ka matham hai, mazloom ka matham (2)

Kya milta hai matham me, kis tarha bataaye (2)
Mazloom ko rote hai mazloom jahaa mai (2)
Pathar nahi seene me (3) dil hai to ye matham

Ghar Fathima Zehra ka kis tarha say ujda (2)
Jab hogi qayamath to yu ayengi Zehra
Ek haath me do bazu (2) ek haath me parcham

Jab pyaare Muhammad se mai pyaar karunga (2)
Phir uske nawaase ka matham bhi karunga
Jis ghar me Muhammad hai (3) us ghar ke ya matham

Logo Nabi zaadi ka bazaaro me aana (2)
Aur band ke rassi me darbaro me laana
Is baath pe rothe hai (2) is dard ka matham

Zanzeero me jadka hai Shabbir ka beta (2)
Maa behne khule sar thi khun rota tha mawla
Sajjad se pucho to (3) kyun hai ye kamar kham

Khat Fathima Sughra ka kis waqt mila hai (2)
Jab bhaayi sina khaye rethi pe padaa hai
Khat kaun paday tera (3) tanhayi ka alam

Mazloom ka matham hai, mazloom ka matham (2)
Logo ye tamashaa nai (3) is rone pe hasna nai
Mazloom ka matham hai, mazloom ka matham
GENERAL NAWHA

TAREEQ KE KIRDARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO
AY SHEH KE AZADARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO

Darya ho samandar ho tum seep-o-gowhar hoTum marze-qalandar ho sehra may gulay tar ho
Tum bazme abuzar ho tum fikr ke qambar ho
Tum hur ka qabeela ho tum john ka lashkar ho
Ay gham ke lamdaro kis baath may tum kam ho
Rasta nahi manzil ho dhadkan nahi tum dil hoMazloom ke tum haami har zulm ke qaatil ho
Insaan ki azmath ke har baath may shaamil ho
Zulmat ke samandar may tum noor ka saahil ho
Matam ke talabgaro kis baath may tum kam ho
Nisbath hai payambar se nisbath tumhay Hyder seIs nisbath-e-maula se tum door rahe shar se
Tum aankh milate ho har waqt sithamgar se
Jo dars mila tumko salman-se-buzar se
Tum roop wohi dharo kis baath may tum kam ho
Abbas ke parcham se seekhi hai wafadariAankhon may tumhare hai imaan ki bedaari
Kismath se mili tumko mazloom ki ghamkhari
Zaalim ke liye abh-bhi tum taygh ho do dhari
Mazloom ke gham khaaro kis baath may tum kam ho
Zainab ki rida tumse karthi hai sawaal aisaKis gham may bahaathe ho aankon se lahoo apna
Kya ghar may tumhare bhi paighaam mera pahuncha
Jis deen ke laashe pe kaam aaya mera parda
Laaj uski rakho dekho kis baat may tum kam ho
Kya dars liya tumne Akbar ki jawani seKya seekha batao to karbal ki kahani se
Math behko qateebo ke alfaaz-o-mawani se
Mehfooz haqeeqath ko rakhna hai kahani se
Ay ilm ke mayyaro kis baath may tum kam ho
Masjid ke musalmano maidan ke bano ghaziTum Hur ki tarha maango ek raat may azaadi
Darbar may zaalim ke kyun bante ho faryadi
Sajjad ne jis tarha deeware sitham dhaa-di ghaadi
Deeware sitham ghaado kis baath may tum kam ho

Tum nahje balagha ki tafseer may dhal jaoHyder ki ghulaami ka andaaz to apnao
Mazloom ko math chedo zaalim se na ghabrao
Haq baath jo kehna hai suli pe bhi douh-raoo
Allah ke naqqaro kis baath may tum kam ho
Shabbir ke matam may imaan ki hararath haiYe ayne ibadath hai ye ayne shariyyath hai
Shabbir ke paykar may islam ki nusrath hai
Khanjar ke talay dekho qaim jo ibadath hai
Maula ke tarafdaro kis baath may tum kam ho
Socho tho zara manzar tum shaam-e-ghareeban kaGhar jalta tha jab ran may us waaris-e-quran ka
Pamaal tha jab laasha ek besar-o-samaan ka
Kirdaar magar kya tha us waaris-e-quran ka
Samjho to samajhdaro kis baath may tum kam ho
Pyasa tha labe dariya wo lakhte dil-e-ZehraAankhon se barasta tha ghurbath may lahoo jiska
Wo waqt bhi tha kaisa cheh maah ka ek bacha
Haathon pe tadaptha tha pani ka na tha khatra
Us waqt ke jaabaro kis baath may tum kam ho
Halmin ki sada abh-bhi humse hai yehi kehtiShabbir ki nusrath ki dil may jo tamanna thi
Kya abh-bhi hai wo baakhi jo chaah thi maula ki
Awaaz wohi dil ki har saans may hai abh-bhi
Jalte huwe angaaro kis baath may tum kam ho
Tum raahay sadaqath se imaan ki hararath seKirdaare imamath se afkaare risaalath se
Tum shaukhe shahadath se maula ki inayath se
Islam ki qidmath se mayyaare mohabbath se
Tareek nayi likhdo kis baath may tum kam ho
Imaan hai azadaari hai deen ki bedaariJarraari-o-karraari hai azme wafadari
Himmath na agar haari zinda rahi khuddari
Miljayegi sardari Hyder ki tarafdari
Karke to zara dekho kis baath may tum kam ho
REHAAN PE SARWAR pe maula ki inayath haiNowhe ki azaano may matam ki ekhamath hai
Sach poocho ko dono ki har saans ibadath hai
Ay ehle aza tumko matham ki jo daawath hai
Mu mod ke math jaao kis baat may tum kam ho

 YA ALI ADRIKNI, YA ALI ADRIKNIDasht may luti gayi aale Rasoole madani
Ya Ali adrikni (2) Haaye be aab huwe qatl Hussaini Hassani
Ya Ali adrikni, Ya Ali adrikni

Dasht wo tapta huwa, dhup may aal-e-abaaKhaak pe baita huwa, kartha hai ro kar buka (2)
Kaisi taqdeer may likhi thi gharibul wathani

Shaah ka wo nusrathi, kaisa huwa jannatiZaanu-e-sibte Nabi, aur sar-e-Hurr-e-jari (2)
Koi Hur jaisa nahi duniya may qismath ka dhani

Fathima Zehra ka laal, pyaas se ran may nid-haalAata hai aksar khayaal, kissay karoo ye sawaal (2)
Maalik-e-kausar-o-tasnim ye tishna dahani

Bacha bhi che-maah ka, pyaas say tadpa kiyaTeer-e-sitham kya chali, chid gaya nanha gala (2)
Teer-se pehlu aur Asghar ki ye ghuncha dahani

Kehti thi rokar ye maa, haaye mera be-zubaanHaaye ye nanhi si jaan, toota na kyun aasman (2)
Ye sitham aur mere asghar ki ye naazuk badani

Haaye wo kadiyal jawan, gir pada khaakar sinaRo diya ye aasman, baap ka azm-e-jawan (2)
Shah-e-deen khaynchte hai sinay say barchi ki ani

Laash pe kehti hai maa, ay mere kadiyal jawanSaal tha attharawan, haaye ye zakhm-e-sina (2)
Dekhiye aake jawan laal ki gul pai-rahani

Sayyad-e-abraar hai, nargha-e-kuffaar haiDar pay ye aazaar hai, teeron ki bouchaar hai (2)
Jism Shabbir ka teeron se hai chalni chalni

Zainab-e-aali muqaam, tumpe hai laakhon salaamUmmath-e-khairul anaam, khoob kiya ehteraam (2)
Be-rida saani-e-Zehra huwi baazu rasani

Ya mere mushkil kusha, khalq ke haajath rawaAap pe mehshar fida, kardo ishaara zara (2)
Sang reze abhi hojayenge laal-e-yamani

GENERAL NAWHA
FATEMAH LADAK - 2011

HUSSEIN TERI AZADAR HAI AZADARI
IBADATO KI ALAMDAR (2) HAI AZADARI
HUSSEIN TERI AZADAR HAI AZADARI

Yazeed-e-waqt se Zainab teri dua ban kar x 2
Jihaad kerne ko tayaar hai azadari

Ameer-e-shaam ko jo motebhar samajta hai x2
Ussiki nazro mei bekaar hai azadari
BUS BIBI RAAZI HOJAYE  x 2

Jisse na rone diya bhaayioon ke laashe par x2
Ussi garib ko darkaar hai azadari

Hussein ke liye marham bani hai zakhmo ka x2
Qarare Abid-E-bimaar hai azadari

Tamache khake batayaa hai yeh Sakina ne x2
Ghameh Hussein ka izhaar hai azadari

Dayaare shaam mei usska asar hai aaj talak x2
Huwi jo barsare darbaar hai azadari

Rukki hai aur na rukegi kabi yeh hashr talak x2
Duae ahmade mukhtar hai azadari

Milla hai ghaibate kubra mei yeh sharaf ussko x2
Imaame asr ki zawaar hai azadari

Yazidiyat se takkallum kahun sambhal jaaye x2
Hamaare haath ki talwaar hai azadari
NAWHA – IMAM-E-MEHDI (A.S)
LABBAIK LABBAIK LABBAIK YAA IMAAM (4)
Aaiye ya Barwen Imam (2) Labbaik (3) Yaa Imam Kijiyee Zahur Yaa Imam (2)
Bad rahi hai zulm-jabr ki muhib aandhiyaan
Gir rahi hai moaminon ke qalbo jaa pe bijliyaan
Uth rahi hai dine mustufa ke simth ungliyan
Hujjath-e-khudaa hai aap deen ko dijiye amaan
Har kadam pe ab to ek (karbalaa hai yaa Imaam) (2)
Har baras areeze mawj ke supurth kar chuke
Zakhm intezaar se jigar hamaare bhar chuke
Kitne loog ji rahe hai kitne loog mar chuke
Waqt ke tamaam rastoon se ham guzar chuke
Lab pe aap ke zahoor ki (Dua hai yaa Imaam)  (2)
Chawdaa sou baras se zulm seh rahe hai yaa Imaam
Raaz karbalaa har ek se keh rahe hai yaa Imaam
Shay ke gham me ashk ab bhi beh rahe hai yaa Imaam
Zulm ke mukhable pe gad gaye hai yaa Imaam
Aap ka jo dil ko ek (Hauslaa hai yaa Imaam) (2)
Jad hai aap ke Ali, Ali hai shere kibriyaa
Seerathe bathul kya hai aap kaa hai madrasa
Jaise Sabr Aap ne Husain hi se hai liya
Khatimaa karenge aake app zulm sabr kaa
Saath aap ke duwaaen (Sayyadaa hai yaa lmaam) (2)
Jis ko gaib par yakin nahi woh munkire Khuda
Jis ko gaib par yakin wohin padhegaa laa ilah
Laa illah padh ke ho gayaa Rasool ashnaa
Jo Rasool ashnaa hai woh mohib hai Aapkaa
Yeh Nabi ka aur Khuda ka (Faislaa hai yaa Imaam) (2)
Ek do nahin kahin jawaan shahid ho gaye
Karbalaa e Asr me Sitham mazid ho gaye
Zulm ke tamaam silsile shahid ho gaye
Pairawe Yazid (la) aaj fir yazid (la) ho gaye
Aapka Husainiyon ko (Aasraa hai yaa Imaam) (2)
Maaon na pisar behen ne bhaayi nazar kar diye
Bacche bhi yathim huwe shuhaag bhi ujad gaye
Baap ne game Husain me lahu jigar kiye
Jaari aaj bhi hai, majilse azaa ke silsile
Aaiye ke panjetan kaa (Wastaa hal yaa Imaam) (2)
Laash Jab Husain ne uthayi thi jawaan ki
Kabr jab banayi thi sagire be zubaan ki
Aankh nam huwi thi jab zamino aasmaan ki
Yaad hai wohi gadi Husaini imtehan ki
Apna gham isi sabab (Bhulaa diya hai yaa Imaam) (2)
As-Salaam Alai Ka Ya Imaam-E-Asri-Waz-Zamaan
Al-Aman 2 Ay Imam-E-Insojan, Al-Ajal 2
Ay Sharekat-Ul-Quran- Apke zahor ka munthazir sabi jahan
Sarvar-O-Rehan ki bhi (ye sada hai YA IMAAM) (2)

NAWHA– IMAM-E-MEHDI (A.S)
AI MERE MAULA (2)
Sab logon ka imaan jaga dijiye maula - Ai mere maula (2)

Bad rahi hai kaisi dilon mei ye nafrate
Ho rahi hai kaisi mominon ki haalaate (2)
Dur ho rahi hai dilon se mohabbate-Ay mere maula 2
Zehnon ki kadurat ko mitaa dijiye maula

Badr rahi hai meri nasib joro jafaa se,
Jaata raha husne asar baste dua se (2)
Mit gaye hai ehle hunar kare wafa se-Ai mere maula 2
Ab raaz ka manzil ka bataa dijiye maula

Nazme gaahe deen mei tha naam hamara,
Sultanat lagaa na saki daam hamara (2),
Khouf pe mabni huwa har kam hamara-Ai mere maula 2
Phir meesamo mukhtar bana dijiye maula

Naazon ke hawaale se to ik khwaab bhi ham hai,
Taarikh mei bas waarise mehraab bhi ham hai (2),
Is daur me ab sahibe mizrab bi ham hai-Ai mere maula 2
Jine ki hame shams dikhaa dijiye maula

Padti rahi taarikh hamara hi qasida,
Nezon pe faqat tune parda haq ka jarida (2)
Shaitan ki zad me hai malango ka aqeda-Ai mere maula 2
Mirfat ka koi jaam pilaa dijiye maula

Ye deen amanat hai khayanat se bachaae,
Is basme wilayat ko khilaafat se bachaae (2),
Ankhon ki ita'at ko siyasat se bachae, Ai mere maula 2
Bas majlison matam ko jilaa dijiye maula

Sadiyon se hi aulaade nabi giryaa kuna hai
Shabbir ke aangan mei udhaasi hai fizaa hai (2),
Ha fatemazehra ko bala chain kahan hai-Ai mere maula 2
Us qalbe shikasta ko dawaa dijiye maula
Mazlum qabeele ki madad ke liye aaye,
Asghar hai pyaasa use paani bhi pilaae (2),
Dhoop me baiti huwi ma ko bi utae-Ai mere maula 2
Sughra ko bhi asgar se mila dijiye maula
Sab ehle azaa hoke pareshaan pukaare,
Is aalame islaam ke insaan pukaare (2),
Har sans me hi shoukato farhan pukare, Ai mere maula 2
Parde se hi parde ko hataa dijiye maula

NAWHA – IMAM-E-MEHDI (A.S)
YE SABR KA IMTEHAAN
YE SABR KA IMTEHAAN, YA IMAM-E-ZAMAAN

Muntazir hain ke kab ho zahoor aapka
Saare aalam pe chha jaaye noor aapka
Ho munawwar jahaan aap jab ho ayaan
Ya Imam-e-Zamaan, ya Imam-e-Zamaan
Zulm se tarr hui duniya aa jaaiye
Ban ke rehmat zamaane pe chhaa jaaiye
Aap hain waaris-e-rehmat-e-do jahaan
Ya Imam-e-Zamaan, ya Imam-e-Zamaan
Hum to labbaik kehne ko tayyar hain
Paas ilm-o-shujaa'at ke hathiyaar hain
Kab talak yun sahein zulm aur sakhtiyaan
Ya Imam-e-Zamaan, ya Imam-e-Zamaan
Ek karam ki nazar hum pe farmaaiye
Haal ab tarr hai kuchh to raham khaaiye
Aap ko sab khabar hai karein kya bayaan
Ya Imam-e-Zamaan, ya Imam-e-Zamaan
Raat din ye dua'ein hain lab par Nazeem
Humko mil jaaye duniya mein rutba azeem
Humse hi ho sipaah-e-Imam-e-Zamaan
Ya Imam-e-Zamaan, ya Imam-e-Zamaan

DUA-E-KUMAIL

YA SARI AR-REZA (6)
Ighfir leman, la yamleko-ilad dua,
Fa inaka fa'alul lema tasha
Ya manismahu dawa,
Wa zikrahu shifaa, Wa tahtahu ghenan

Tu hi kabir tu hi kibriya tu rehnuma,
Rage gulu se bhi nazdeek tu har ek lamha,
Hai tere naam ki taasir har maraz ki dawa,
Hai tere zikr me poshida mere hak me shafa,
Baghair maange hi karta hai tu ataa pe ataa (2)
Sadaa se pehle hi sunta hai sahilo ki sada

Ali wasila bane aur kumail paye shafa,
Usi ke naam se mansoob hogayi ye dua,
Shabe jumaa hai dua-e-komail shukr tera,
Ye ibteda hai to hai intehan hadise kisaa,
Elahi teri riza ke siwaa kuch aur nahi (2)
Ke mere paas dua ke siwa kuch aur nahi

Mere khuda wo zabaane jo teri hamd kare,
Wo tere panjatan-e-paak ki dua me rahe,
Kabhi wo nare jahanum ki sakhtiya na sahe,
Pule siraat se bekhof bekhatar guzre,
Gunahagaro ko ye aasra hai subho masa (2)
Khula huwa hai musalsal tera dare tawba

Rasoole paak ke sadkhe me ay khuda ghar ghar,
Sho aaye ilm ki kirno ka mustakil ho guzar,
Khula rahe mere bacho pe shahre ilm ka dar,
Rahe jawaano ki har dam teri riza pe nazar,
Teri riza ki bina riske ilm kya ho ataa (2)
Jo tune chahe dare ilm khil nahi sakta

Tu mere aib chupata hai daal kar parda,
Elahi deta hu mai tujko waasta uska,
Wohi jo shaame ghariban me de rahi thi sada,
Nahi hai kuch bi mere paas is rida ke siwaa
Rasool zaadi ke parde ki laaj rakhlena (2)
Bharam duaawoon ka meri bhi aaj rakhlena

Shakhista pahlue zehra ka wasta ay khudaa,
Jo waqte gusle Ali ne basad buqa dekha,
To apne aasu Ali saa jari na rok sakaa,
Khuda ka shehr bhi ek cheekh maar kar roya,
Usi rasool ki beti ka waasta ay khudaa (2)
Ho waalidain ko sehat ke saath umr ataa

Wo ek mariz jo bas shaam keh ke rota tha,
Jukaaye sar wo hayadar rota jaata tha,
Pahen ke bediyaan jo karbala se shaam gaya,
Usi mariz ke sadke se mangta hai shafa,
Maraz se pehle dawa khalk tune ki hai khuda (2)
Baraye sayyade sajaad de hame bhi shifa
DUA-E-TAWASSUL

YA WAJIHA INDALLAH
Aaoozoo billahi minash shaitanir rajim. Bismillahir rahmanir rahim. Allahuma ini asaluka wa atawajja hu ilayka. Binabiyi ka nabiyir rahma. Muhammadin salalahu alayhi wa ali. Ya abal kasim. Ya rasulullah. Ya imamar rahma. Ya sayyidi na wa mawla na. Inna tawaj jahna wastash fahna watawasal na bika ilallah. Wa kaddam na ka bayna yaday hajaa ti na.

YA WAJIHA INDALLAH, ISHFALANA INDALLAH (2)
Bare ilah ha banke sawali tere huzur
Daman me apne laye hai be inti ha khusur.
Lakin hamare sino pe matam ka dekh noor.
Apne nabi ke sadke me bakshega tu zuroor

Mawla Ali ka rab be jahaa tujko wasta.
Ya rab baraye Fatema siddika tahera.
Be ilm or rizq ka sagar bharaa huwa.
Tute na nemato ka mere ghar ke silsilaa

Malik tuje Imam-E-Hasan ka he wasta.
Jiske lahu se karbobala ki hai ibtidaa.
Ha us imam-e aman ka sadke kibriya.
Is mulk me ho amane ka parcham khula huwa.

Ab wasta Hussain alaihis salaam ka.
Parwar digar sabr shahe tish na kam ka.
Jiske labo pe vird tha tere hi nam ka.
Khanjar tale jo kari tha tere kalam ka

Ya rab tu meri hasti ko aisa sawar de.
Tu apni rehmato se mera ghar nikhaar de.
Sajjad ka tu sadkaye parwar digar de.
Bimar ko shifaa de mukammal karar de

Maalik Imam-E-Baqar or Jafar ka wasta.
Majlis me mai Hussain ki karta hu ye dua.
Dono ka wasta tuje deta hu ay Khuda.
Makrooz jo hai ghayb se kar unka karz ada.

Ya rab baraye Moosa-E-Kazim Ali Raza.
Mashhad me aur najaf me jo hai qibla-e dua.
Tu inke wasta se wo aulaad kar ata.
Maa baap jis se shaad ho jinki jo ye sadaa
Ya rab baraye Mawla Naqi Taqwa-E-Taqi.
Be jazbaye jihad-e bashar shaan-e Askari.
Mehdi ka bhi zahoor dikha de isi sadi.
Teri huzoor meri dua he ye akhri

NAWHA – RASOOL-E-KHUDA (saws)
Written by: Noor    Recited by: Mirza Sikander Ali

Lekar janaza dosh pe (Shere khuda chale x2)
Daare fana ko chod ke jab (Mustufa
(saws) chale x2)
Duniya ujad gayi ke (Madina ujad gaya x2)Sadaat saath saath ye (karke buka chale x2)Lekar janaza dosh pe (Shere khuda chale x2)

Nabiyon ka khatm hota hai (Duniya se silsila x2)Ahmed chale jahaan-se (kul ambiya chale x2)Lekar janaza dosh pe (Shere khuda chale x2)

Kya hogaya Ali(as) ko jo (Khamosh chal diye x2)Rassi galay may daal ke (jab ashkiyan chale x2)Lekar janaza dosh pe (Shere khuda chale x2)

Sab jaante hai kya huwa (Shabbar ki laash par x2)Kya kya musibatein huwi (aur teer kya chale x2)Lekar janaza dosh pe (Shere khuda chale x2)

Karbobala ki aaj hi (Bunyaad padh gayi x2)Kisko bithaye takht par (aur kis tarha chale x2)Lekar janaza dosh pe (Shere khuda chale x2)

Tay ho raha hai kis tarha (Maare Hussain ko x2)Hai kaun aisa leke (inhe karbala chale x2)Lekar janaza dosh pe (Shere khuda chale x2)

Barbaad kis tarha kare (Zehra ke baagh ko x2)Toofan kis tarha ka-aur (kaisi hawa chale x2)Lekar janaza dosh pe (Shere khuda chale x2)

Noha ye “Noor” ka hai (Sikandar ki hai zaban x2)Padte huwe har ek ye (karke aza chale x2)Lekar janaza dosh pe (Shere khuda chale x2)

NAWHA – IMAM HASSAN-E-MUJTABA (AS)
Written by: Allama Qais Zangipuri      Recited by: Syed Rashid Abbas

ZEHR SE TUKDE KALEJA HOGAYA
MUJTABA (as) PAR ZULM KAISA HOGAYA


Poocha Zainab (sma) ne ke ache thay abhiDekhte hi dekhte kya hogaya
Zehr se tukde kaleja hogaya

Kuch wasiyath kar rahe thay Mujtaba (as)Na-gaha tab-deel naksha hogaya
Zehr se tukde kaleja hogaya

Bole Shabbar(as) aah tum se kya kahein
Ay behan tukde kaleja hogaya
Zehr se tukde kaleja hogaya

Haath utaya aur khudahafiz kahaKuch na tha phir hashr barpa hogaya
Zehr se tukde kaleja hogaya

Teer barse is khadar tabooth parSoorate tarkash janaza hogaya
Zehr se tukde kaleja hogaya

“Qais” do aansu bahakar bazm mayApni bakshish ka sahara hogaya
Zehr se tukde kaleja hogaya

NAWHA – IMAM HASSAN-E-MUJTABA (AS)

Laashe peh Mujtaba (as) ke, teeron ka sayebaan hain
Zahra (sma) ka dil dukhane (x2) masroof har kamaah hain

Badti hi jaa rahi hai, Zahra (sma) ki be-qaraariBay-chain Mustapha (saws) hain, suu-ni hain kuld saari
Seene peh Murtaza (as) ke (x2) har teer ke nishan hain

Shabbir (as) ki sada hai, logoon na teer maaroTaabuth Mujtaba (as) ka, ayse toh na saawaro
Yeh woh Hassan (as) hain jo ke (x2) Khaliq ka raasdaar hain

Jo teer bachgaye hain, Karbal main woh chalanaMain jaan-tha hun logoon, nahin duur woh zamana
Bhaayi ke baad mera (x2) Karbal main imtahaan hain

Laashe Hassan (as) pay chupke, jis-jis ne teer maara
Mehshar mai na milegah, unko koyi sahara
Lo aaj tum ko deta (x2) Shabbir (as) yeh zubaan hain

Chaahu tho mai bhi kardu, barpa abhi qayamathBaazu abhi hain mere, Abbas ke salaamat
Akbar hain saath mere (x2) woh na abhie jawaan hain

Tauqeer zehar dekhe, unko sabar na ayaPehlo bhi Mustapha (saws) ka, haq daar seh churaya
Ummat ki is wafa pay (x2) Alay Nabhi hay-raan hai

NAWHA – IMAM HASSAN ASKARI (AS)
Written by: Mir Takallum      Recited by: Shahid Baltistani (2011)

YAA HASSAN (6)
YAA HASSAN HAI HASSAN YAA HASSAN ASKARI
YAA HASSAN HAI HASSAN YAA HASSAN ASKARI
YAA HASSAN (2)
(Bhejiye bete ko maula x2) Muntazir hai mathami
Ya Imame Askari (as) x2

Daastane zulm maula ab jahan se khatm hoJab talak Mehdi (as) na aaye rokhdije waqt ko
Al-ajal kehke guzarti jaa rahi hai har sadi

Zaalimo ne zehr maula aapko aisa diyaDast-o-pa ke nakhoono se khoon jari hogaya
Aapki ghurbat ko dekha yaade Shabbar (as) aagayi

Dafn sheh ne jis tarha se apne Asghar (as) ko kiyaAagaya nazron may haaye manzare karbobala
Apni turbat aap ne jo ghar may khud tay-yaar ki

Yun to saara Saamra tha rone walon may magarHaye bhaayi kehke roye koyi teri laash par
Ek behan Zainab (sma) ke jaisi kaash ke hoti teri

Ghar may daakhil hogaye thay zulm dhane ke liyePursa dene ke bajaye qatl karne ke liye
Dhoondte thay charo jaanib tere Mehdi (as) ko shaqi

Pardaye ghaibat may Mehdi (as) bhi tadap kar rehgayaGyara sadiyon baad ye phir se sitham dhaya gaya
Aapke roze ka girna hai shahadath doosri

Madare Shabbir ka tameer roza dek-leGhar may khaliq ke “Takalum” sheh ka matam dek-le
Kam kam se itni badhado matami ki zindagi

NAWHA –IMAM-E-MOOSA-E-KAZIM (AS)

YA MOOSA-E-KAZIM
(Yabna jaffer abur-raza) x3 Abur-Raza
Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda
(Ya musa-e-kazim) x2

Tera baba imam-e-sadiq hai, Jiske dam se hai jafferi sare
Deen-o-mazhab sabak ibadat ke, Ham ko saye usi ke dar se mile
Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab-e-sayyeda

Hai qaramat-e-murtaza tujme, Saailon ke liye ye ata tujme
Rad jo hoti nahi kisi surat, Saas leti hai wo dua tujme
Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab-e-sayyeda

Tera beta imam-e-zamin hai, Jiske qabze mei raat hai din hai
Wo khurasaan ka hai shehzada, Har shifa uske dar pe mumkin hai
Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab -e-sayyeda

Teri dukhtar hai qum ki shehzadi, Uski chowkat pe de sada jo bi
Joliyaa apni bhar ke laata hai, Ghamse milti hai usko aazaadi
Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab -e-sayyeda

Tere taboot ki wo tanhaayi, Na tha beta khareeb na bhaayi
Chand mazboor aye ujrat par, Lash raste se teri utwaayi
Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab -e-sayyeda

Hai Najaf dushmano ke narghe mei, Karbala samara ke raste me
Bekafan momino ke laashe hai, Kufr dakhil huwa Madine mei
Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab -e-sayyeda

Maula tu bhi dar-e-hawaaij hai, Tera sikka jahaan raa’ij hai
Ham to har imtihaan se guzrenge, Dene wala tuhi nata’ij hai
Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab -e-sayyeda

Tu bhi "REHAN" istighahsa kar, Kehke ya Musa ya bin-e-Jaffer
Nauha goyi karu qayamat tak, Aur ghulaami karu dar-e-shah par
Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab -e-sayyeda

NAWHA – IMAM REZA (AS)
By: Dast-E-Mohammadi – Safdar (2005)

(Mere Moula Raza, Meri sunle sada,
Tere darpe gada hai-ye saraa jahan x3)
Shah-E-Khurasaan, Waris E Quran, Markaz E Imaan x2

Tere darbar say maayous koyi jata nahin
Tere darbar main hota hay sawaali ko yaqin
Ab tu dikhadega koyi mojizaa..
Aas umeed duwa sab ka bharam ghar hay tera
Teri dehleez pay jab aakay qadam us-ne rakha
Mil gayi beemar ko gham ki dawaa..
Koun mohtaj ko karta hay ghani tere siwa
Koun aisa hai sakhi ibn-e-sakhi tere siwa
Kehte hain tujhko shah-e-uqda kushaa..
Paas hai tere-hi qudrath ke khazanoon ka patha
Jo tere dar-se gaya jholiyaan bhar bhar ke gaya
Jab diya auqath se badd-kar diyaa..
Maine mana tera mujrim hu gunahgaar houn mai
Fathima Zehra (sma) ke bachopn ka azadaar houn mai
De mujhe Hasnain (as) ka sadqa zaraa..
Haal seenon ka teri aankh say poshida nahin
Dekh ye dast-e-talab, dekh ye sajde main jabeen
Sunle azadaaron ke dil ki duwaa..
Teri choukhat pay gaya jo bhi sawali maula
Wo nahin aya kabhi laut kay khaali maula
Jo bhi mila bas teray dar-se milaa..
Tu hi imaan bhi hai markaz-e-imaan bhi hai
Waris-e-ilm E Nabi (saws), Waris-e-Quran bhi hai
Ilm-O-hunar tu hame karde athaa..
Wasta aap ko Zainab (sma) ki rida ka maula
Wasta aap ko-hai, aal-e-aba ka maula
Ranj-se mehfuz rahe ghar meraa..
Karbala aam ho ghar ghar mai biche farsh-e-aza
Aa-ye har-ek dar-o-deewar say matham ki sada
Wasta tujh ko shah-e-mazloom kaa…
Yaad hai shaam ke bazaar ka dushwaar safar
Sar khule aal-e-nabi rothi-rahi thaam-e-jigar
Behr-e-aseeran-e-bala sun duaa..
Tere darbar mai "Safdar" yahi karta hay dua
Mera marna ho aza aur mera jeena ho aza
Karta rahoon ajr-e-risalat adaa..

No comments:

Post a Comment

 
back to top