“Loh per sabr ki tehreer hain misl e Zenab (S.A),
Aur hamsheera e Shabbir (A.S) hain, misl e Zenab (S.A);
Jinka ek naam hai tareekh mein Umm e Kulsoom (S.A),
Fatima Zehra (S.A) ki tasweer hain misl e Zenab (S.A).”
.
.
.
"Paanch (5) Ma'soomon (a.s) ki tasveer hain yeh dono behnain,
Waris-e-aya-e-Tat'heer hain yeh dono behnain;
Bani-e-farsh-e-aza Zainab (s.a) o Kulsoom (s.a) hain,
Haamil-e-shan-e-wilayat hain yeh dono behnain."
.
.
.
Bibi Kulsoom parwan charhen Shabbar-o-Shabbir kay sath
Tarbiyat in ki hui Deen ki tamer kay sath
Har qadam in ka utha Nara-e-Takbeer kay sath
Deen wabasta hey in ki Taqdeer kay sath
Jab bhi Islam per dushman ne koi waar kiya
Qom ko Zainab-o-Kulsoom be baydaar kiya
.
.
.
Kulsum Binte Haidar E Safdar Hain Ba Kamal
Kulsum Misle Fatema Zahra Hain Be Misaal
Kulsum Bhi Hain Zainab E Kubra Si Khush Khesaal
Kulsum Ke Fazayele Aali Hain La Zawal
Vahdaniyat Inhi Ke Basane Se Basti Hai
Inki Reda Ke Saaye Me Tauheed Palti Hai
Tuesday, 29 December 2015
Safeer-e-aza
→ POETRY COLLECTION OF BIBI UMME KULSOOM S.A.
Ur poetry is awesome
ReplyDeleteGreat work
May allha blessed u and Ur family
Ammin