Sunday 27 September 2015

150 SELECTED NAWHAS COLLECTIONS(Write Up) PART 1

3 comments:
1742d99425.gif?t=1165857144 

Alla-Homma So'alle Ala Mohammadin Wa Aale Mohammad.
(O Allah(s.w.t) Bless Mohammed s.a.w.s and his progeny)
(O Allah(s.w.t) Bless us with the love of Hussain a.s
(O Allah(s.w.t) Bless us with the ziarat of Hussain a.s

The greatest martyr of mankind
IMAM HUSSAIN(A.S)
GRANDSON OF PROPHET MUHAMMED(S.A.W.S)
He sacrificed his life for Truth, Justice & Humanity 

A HUMBLE REQUEST: PLEASE DO PRAY FOR EARLIEST RESTORATION OF JANNAT AL-BAQI; PROTECTION OF MAUSOLEUM OF SAYYIDAH ZAYNAB BINT ‘ALĪ IBN ABĪ TĀLIB (A.S.) AND SAYYIDAH RUQAYYAH/SAKINA BINT HUSSAIN (A.S.) & EARLY RE-APPEARANCE OF IMAM-E-ZAMANA (ATFS).

SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (as) – BIBI SUGRA (sma)

DAAMAN PAKAD KE KEHTI HAI, BABA KAB AAOGE
LE JAAOGE HAME KE, YAHIN CHO’OD JAAOGE
BIMAAR KI KHABAR BHI, KISI SE MANGAOGE
YAA PYAAR MEI SAKINA KE, HAMKO BHULAAOGE
BACHPAN BHI TAB BHI AUR YE, GHAZAB KI JUDAAI BHI
MAA BAAP-BHI BICHADTE HAI, BEHNE BHI BHAAYI BHI
(MUJE LE CHALO BABA x4) JANE LAGE SHABIR TO KEHNE LAGI SUGRA

Bimaar pe tanhaayi ka khanjar na chalao,
kyu(n) nazre churaate ho tumhe jaana hai jaao,
Ek baath meri maan lo ache mere baba

Jaati hai kanizein bhi kanizo(n) hi mei rakhlo,
kab maine kahaa hai mujhe naaqe pe bita-do
paidal hi safar hoga mera karbobala ka

Waada hai ke zehmat na safar mei koyi dungi,
mei baalon se saya Ali Asghar ka karungi,
rehne nahi dungi mei tumhe raah mei pyaasa

Mei paani pilaaungi tere naaqe ko baba,
mei pusht pe rakhungi sada mashke Sakina,
beshak kare aaraam safar mei teri Fizza

Akber ki ziyarat, mai, kiye jaungi har dam,
didar hai Akber ka mere zakhmo ka marham,
marne-se bachalo mujhe chodo nahi tanha

Akber jo chale jaaenge mei kaise jiyungi,
furqat ki aziyat ko bhala kaise sahungi, marjaaegi (3) Sughra

Samjaane lage beti ko yun Hazrate Shabbir,
Sughra hame maqtal mei liye jati hai taqdeer,
ye kehke sadaein na do phat ta hai kaleja

Bimaar ho gharmi ki aziyath na sahoogi,
tum raahe musibath me safar kaise karoogi,
hojaae shifa khair se tab khath mujhe likhna

Nani ki hifazath mei diye jaata hu tumko,
amma ki lahad dekh ke socha karo humko,
ab zid na karo jaawo ye kehna na khudaara

Phir Suraa-E-Yasin ko padne lage Maula,
Beti ko dua deke pukaare Shah-E-Waala,
Marjaaunga ab gham se agar tum ne pukaara

SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (as)

Tere shehr-e se jaate hai, dai humko dua nana x2
(Aabad karenge hum x2) Hay ab karbobala nana
Tere shehr-e se jaate hai, dai humko dua nana

Tera din-e he mushkil me, me kaise raho ghar me x2
(Tiflin-e koyi wada x2) Ha tujse kiya nana
Tere shehr-e se jaate hai, dai humko dua nana

Roze pe tera aake, Ham sham-e jalaa te-the x2
(Ho ab-e kon-e mujawir hai x2) Sughra (sma) ke siwa nana
Tere shehr-e se jaate hai, dai humko dua nana

Is tarha parinde bhi, Makhtal se nahi jaata x2
(Gurbaat me mujhe jaise x2) Hai ab jaane pada nana
Tere shehr-e se jaate hai, dai humko dua nana

Bache hai bohoth chote, Garmi ka zamaana hai x2
(Pohchayega manzir par x2) Ab humko khuda nana
Tere shehr-e se jaate hai, dai humko dua nana

Amaa ki lahad chuti, Roza bhi tera chuta x2
(Us wakta kaleje par x2) Khanjar se chalaa nana
Tere shehr-e se jaate hai, dai humko dua nana

(Aabad karenge hum x2)
Hay ab karbobala nana

SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (as)

CHALA MEI WADA NIBHANE - SALAAM MAA KE MAZAAR
Salaam nana ke roze, Salaam maa ke mazaar (2)

Mai tera din bachaunga, Ay mere nana,
Mai apna khoon bahaunga, Ay mere nana,
Husain jaata hai marne, Salaam maa ke mazaar

Meri sharii-ke safar ban-ke, Saath chal am-maa,
Safar pe jaata hu kapde, Mere badal am-maa
Libaaz-e-khuld sajaa de, Badan pe phir ek baar

Dua karoo koyi sar be-rida na ho am-maa,
Namaze zoh-ke shahadath, Kazaa na ho am-maa,
Na aye mere chaman pe, Sitham ki gardo gubar

Diye jalane ko nana, Tumhare rouze par,
Zuroor ayegi Sugra, Har ek sham-o-sahar,
Khuda kare rahe roshan, Sada tumhara mazaar

Tumhare jaisa hai nana, ye mera laal Akber,
Dua karoo na lage isko, Asmaan ki nazar,
Lute na door watan se, Hamare dil ka qaraar

Tamaam phool se bache hai, Aur garm hawaa,
Hamare khoon ki pyaasi hai, Fouje Zulmo jafaa
Safar me koyi shajar bhi, Nahi hai saaya adaa

Ha-ek phool to aisa hai, Jo khila bhi nahin,
Na-paye pani tho kar sakta, Wo gila bhi nahin,
Wo jisko dek-ke aati, Hai dood ki mehkar

Meri Sakina kahan aur, Rasan ke bandh kahan,
Zamine garm pe chalna, Use pasand kahan,
Kadam wo phool se nazook, Wo raaste purkhar

Challa me waada nibhaane Sallam ma ke mazaa
Salaam nana ke roze, Salaam ma ke mazaar (2)

NAWHA – SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (BIBI SUGRA) SMA

HAAY JAB MADINE SEY CHALA
Kafla karbobala, Tha ye sughra ke labo par nawha
(Ley chalo baba, mujhe ley chalo baba) x3
Apne hamraah suwe karbobala
(Ley chalo baba, mujhe ley chalo baba) x2

Apki yaad me roro ke mei marjawungi.
Baba akbar ki kasam chain nahi pawungi.
Meri saso ka bharosa na raha

Kaflay walo ko pani bhi pilawungi mai.
Apni aghosh me asghar ko sulawungi mai.
Baba ye apse wadaa hei mera

Mere kano me jo awaaz azaan ayengi.
Mere akbar ki muje yaad bohot ayengi.
Bhayi ki yaad na ban jaye qazaa.

Kaise akbar ke bina Eid guzarungi mai.
Kabhi tumko kabhi amu ko pukarungi mai.
Jab koi paas na honga baba

Dhoop aur garm hawa hongi safar me dekho.
Apne aachal me chupalungi ali asghar ko.
Yu na asghar ko karo mujse judaa

Khwaab Akbar ki urusi ke bohot dekhe the.
Khaak hojayenge ay baba sab armaan mere.
Dil yahi soch ke rota hai mera

Chacha Abbas aur Sakina phuphi zainab se.
Akhri baar mila do muje baba sabse.
Phir ye bimar nahi dengi sadaa

Bhaiya Abid ko dawaa roz pilawungi mai.
Unki raho me nigaaho ko bichawungi mei.
Tum kanizo ki tarha behr khudaa

Acha mehmil me muje tumna bithaana baba.
Tum muje raah me peydal hi chalaana baba.
Na karungi me shikayat na gilaa.

Maine manaa ke nahi kaam mera manzar mei.
Baba itna to batado ke akele ghar mei.
Zindaa rehpayengi sughra tanha
Apne ham rahe suwe karbobala (Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2

SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (as)
AYE JO KHABR-E-FATHIMA (sma) PE SYED-E-ANAM
RUKSAAR RAK-KE KABR PE ROKAR KIYA KALAM,
SEHRA ME DIL KE TUKDON KI BASTI BASA-UNGA,
AMMA MEDINA LAUT KE-MAI, AA-NA PAA-UNGA,
KAAMPA FALAK LARAZ-NE LAGI QABR-E-SAYYEDA,
AYI JANAAB-E-FATHIMA (sma), KI QABR SE SADA

(Jaao mere laal x4) Tum pe har qadam rahe Dua meri,
Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal

Ja Rahe Ho Tum-Jo Kehke Deene Haq Bacha-Unga

Amma aap ki kasam, mei khoon mei naha-unga (x3)
Ab ho jo bhi haal, tum ho payemaal,
Tum pe har qadam rahe dua meri, Aur saya-e-khuda-e-zul jalal

Bachpane Mei Jo Kiya Tha Wada Babajan Se

Waqt ab wo agayam kafan tu sar se band-le (x3)
Dekh mere laal, dee(n) ka hai sawaal,
Kamiyabiyan hai tere saath hi, Aur saya-e-khuda-e-zul jalal

Cha-hiye khuda-ke deen ko agar amaa,
Do rida-e-Zainab-e-hazee(n) ka sayebaa(n) (x3)
Jaao ab shikaab ibn-e-buturaab,
Hai tumhare saath babajaan bhi, Aur saya-e-khuda-e-zul jalal

De-Raha Hai Deen-E-Kibriya Tumhe Salaam
Al-madad hussain al-madad shah-e-huda (x3)
Bay watan hussain, mere dil ke cheyn,
Hamsafar tumhare saath maa huwi, Aur saya-e-khuda-e-zul jalal

Shaan-e-ba-wafa ke honge jis gadi kalam,
Ro-enge alam ke saaye mei tere haram (x3)
Ro-engi wafaa aur karbala,
Rowengi furaat aur tashnagi, Aur saya-e-khuda-e-zul jalal

Akbar-e-jawaan jigar pe khayenga sina,
Maa kahengi mera chaand khogaya kahan (x3)
Uspe nawha-khwaan, honge meri jaan,
Mei bi aur hassan bi aur rasool bi, Aur saya-e-khuda-e-zul jalal

Ye sadaa mazar-e-Sayyeda se "Mazhar Abidi"
Sunke rodiyey hussain mustafa ki aal bhi (x3)
Jaao mere laal, jaao mere laal,
Tumpe har qadam rahe dua meri, aur saya-e-khuda-e-zuljalal
NAWHA – SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (AS)

Mai tere saath saath hun (4) Ay mere laal gham nahin karna
Mai tere saath saath hun - Ay mere laal gham nahin karna

Ye bakhaiya se aa-rahi-thi sada
Mai tere saath saath hun Ay mere laal gham nahin karna

Tujko umath satha-rahi hai agar, Teri hasti mita-rahi hai agar
Zakm tujko laga-rahi hai agar, Tere dil ko dukha-rahi hai agar
Tu Madine-se kar safar’ beta...

Mai na choodu bhala lehad kyun kar, Ay meri jaan mere noore nazar
Chal rahi hai churi mere dil par, Tere nana bhi ho gaye muztar
Boli pehlu ko thaam kar Zehra (sa)..

Na kisi-ki nazar lage tujko, Ye jo dar-paysh hai safar tujko
Ghera afa’ak-ne agar tujko, Khabr me rooungi pisar tujko
Ban-ke is thea’iz dhup mai saya..

Maine nazoon se tujko pala hai, Tu hi ghar ka mere ujala hai
Sab balaoon ko tujse tala hai, Tujko har har qadam sambhala hai
Kahin khudko na jaan-na tanha...

Tere dushman yehan hai charoo taraf, Kalma-go hai yehan pe taigh ba-kafaf
Tere haafiz hai beta shahe najaf, Tu hai Makkah mai dushman ka-hadaf
Nainawa chalde chod de Kaaba

Hogi jab Karbala ke ban mei aza, Meri Zainab (sa) bhi hogi giriya kuna
Tere khaimoo say jab ute-ga dhuwa, Teri ye soogwaar hogi wahan
Dekne tera aakhri sajda

Mai ye sunti hu, ay mere dilbar, Tujpe chal jaayega wahan khanjar
Meri Zainab (sa) phiregi be-chadar, Nouke naiza pe hoga tera sar
Khair jo hoga dekha ja’ayegaa..

Tera ghar ho na dasht mai barbaad, Ay mere laal tu rahe abaad
Door tujse rahe sitham eejaad, Kaash puri ho ab ye meri muraad
Tere sar-ka nikal kar sadqa..

Aaarahi hai sadaye giriya ki, Jaise maa roo rahi hai Moula (as) ki
Karbala ki zami se Zehra (sa) ki, Yaani maqtal se ek dukhiya ki
Ay “Zafar” a’ab bhi aa rahi hai sada


NAWHA – 1ST MOHARRAM

AY CHAAND MUHARRAM KE TU BADLI MAI CHALA JA x 4
Tujhai dekh kay maarjaye nah (2) Beemar hain Sughra

Ghaar Zahra kah lutnay ki khabar tunay sunayi,
Tujhai dekh kay rooti hai Muharram main khudayi,
Chouda sou baras beetay (x2) Saab kartay hain shikwah.

Milnay kay liye bhaayi ko baychain badi hain,
Khab sai Ali Akbar ki yeh rahoon main khadi hain,
Bichdi hai yeh mudath seh (x2) Issay tu nah nazar ah.

Veeran gharoon mai na issay neendh hain aati,
Akbar ki judai hain issay khoon rulati,
Qadmon kay nishan dhamph ke (x2) Bayti hai sar-e-raah.

Gin gin kay to Sughra nei yeh din hain guzarai,
Zinda hai to Akbar kay wadon kay saharay,
Din raat tadapti hain (x2) Issay aur nah taarpa.

Bhaiyah ki judai main paraishaan hay rehti,
Haar roz yeh Nana ko roro kay hain kayti,
Akbar nah milla Nana (x2) Main maarja ungi tanha.

Ronay nahin dehtay mujhe raaton ko musalmaan,
Beemari say bay haal hu kuch roz ki mehmaan,
Haar simbt hain mujko to (x2)  Abh Mout nay gehra

NAWHA – 1ST MOHARRAM
BICHA KE FARSHE AZA, FATEMA KO YAAD KARO
Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo (2)

SIYAH KAPDE BADAN PAR HO SIRF IS GHAM MEIN, (2)
Ruke na ankh se ansoo kabhi muharram mein, (2)
Libaas-se Hazrate Zainul-e-ba ko yaad karo

KABHI SABIL SE PANI PIYO TO YE KEHKAR, (2)
Mai teri pyaas pe kurban husain ki dukhtar, (2)
Kabhi sakina kabhi ba wafaa ko yaad karo

GALE MEIN SHALE-AZA AUR HAATH SINOO PAR, (2)
Alam uta ke chalo yun dahkte sholo par, (2)
Jo bekasoo pe huwi us jafaa ko yaad karo

JHULA JHULA-O KISI BE ZABAAN KA JAB BHI, (2)
To yaad karna zara bekasi wo banu ki, (2)
Kabhi Rubab ki aaho buka ko yaad karo

GHAME HUSAIN MILA HAI TUMHE MUKADAR SE, (2)
Sadaa Husain kay matam ki aaye ghar ghar se, (2)
Husain Husain karo Karbala ko yaad karo

WO JIS-NE DEEN KE KHATIR LUTA DIYA GHAR KO, (2)
Khuda ki raah me jis-ne kataa diya sar ko, (2)
Pado namaaz to us bay khataa ko yaad karo

ALAM JO HAZRATE ABBAS KA UTA-THE HAI, (2)
Dile batul se lakho duwae paate hai,
Alam ke saye mein awo duwa ko yaad karo

KABHI YE SHOCH KE TUM DEKHNA PHARE-RE KO, (2)
Yahi to Zainab-E-Muztar ki aas thi logoo,
Alam ko dekho to us berida ko yaad karo

BAHEN KE SAMNE DOOLA BANE KOI BHAAYI, (2)
Jo apne bhayi ka sehra na dekhne paayi
Usi gharib behen ki sadaa ko yaad karo

KHUDA NA KHASTA KISMAT YE DIN JO DIKHLAYE, (2)
Kisi jawan ko jawani mein maut ajaaye,
To hum shabihe Nabi ki kazaa ko yaad kare

NAWHA – 1ST MOHARRAM

TAMAM ALAM ME AJ MATAM
Husain bekas ka ho raha hai
Alam gharo me saje huwe hai
Dilo me farshe azaa bicha hai
Tamaam alam me aaj maatam

(Seeyah kapde seeyah chaadar
Ghamo ki gardo gubar sarpar x 2)
Hai sogwaroon ke ashq jaari
Ke saaniye Zehra be rida hai

(Na chasme purham ho kyun sawaali
Juloos hai Zuljanah khaali x2)
Ke mera dul dul sawaare maula
Zameene karbal me so raha hai

(Alame mashke Sakina dekho
To momino bas ye keh-ke rolo x2)
Chacha bhatiji me kya hai nisbath
Wafae Abbas kya wafa hai

(Hussain peedi me dil sambhale
Ke dil se uljhi sina nikale x2)
Jawaan beta lahu me dooba,
Zamee pe yedi ragad raha hai

(Na maar barchi dile Nabi par
Abhi huwe hai jawaan Akbar x2)
Ye qatl jisko tu kar raha hai
Yahi to hamshakle Mustafa hai

(Madine walo kaamosh rahna
Gareeb Zainab se kuch na kahna x)
Bharaa huwa ghar jo legayi thi
O karbala me ujad gaya hai

NAWHA – 1ST MOHARRAM
GHAR GHAR MATAM, DAR DAR MATAM
Tera hota rahe maula matam (2)
Basti basti karya karya (2),
Tera hota rahe maula matam
Gar gar matam, dar dar matam,
Tera hota rahe maula matam

Tera matami ay mere maula,
Duniya ke kisi kone me gayaa
Musroof raha matam me tere (2)
Deta he sukoon tera matam

Jab dil ne kaha aayi Zehra,
Mere ghar me bahaane ashke azaa
Bas maine bichake farshe azaa (2)
Kuch dair kiya barpa matam

Kal haath bandhe the zainab ke,
Majboor behen thi matam ke
Majlis hai teri ghar ghar barpa (2)
Ab karti hai sab dunya matam

Abbas ke shane kat tho gaye,
Masum tere pyaase hi rahe
Ghazi ke liye bacho ke liye (2)
Ab karta hai ye darya matam

Aashoor ko jab suraj nikla,
Zehra ke bhare ghar ko dekha,
Par chand ne zainab ko dekha (2)
Karti hai bhare ghar ka matam

Karbal se safar tha shaam ka jab,
Lashe pe pukari ye zainab,
Taa hashr teri mazloomi par (2)
Karna hai mujhe bhaiya matam

Jo karbobala se sham gayi,
Wo binte Zahra binte Ali,
Sab maaye behne milkar ab (2)
Karti hai sadaa uska matam

Bimar tha aur zanjeeri thi,
Pairo ke tale jalti thi zamin,
Sajjad ke gham me roro kar (2)
Karta hai har ek rasta matam

NAWHA – 1ST MOHARRAM– BIBI SUGRA (SMA)

SUGHRA GASH SE CHOWK KAR UTI (2)
Boli sar ko pit'thi huwi, Haaye meri nind ud ga’ayi (2)
Mere baba khairiat se ho (4)

Dekha aj maine kaisa khwa’ab
Reyt par pade hai kuch gula’ab
Chun rahe hai jinko butura’ab
Khoon ro raha hai afta’ab

Ek taraf alam hai khun me tar’r
Juk gayi hai shah ki kamar’r
Jaa rahi hai jis taraf nazar’r
Bibiya khadi hai nange sar’r

Hay hay Qasim-E-jawa’an
Bayn kar rahi hai jiski ma’a
Hil gayi zamin or asma’an
Todi jab dulhan ne chudiya’an

Ek bachi sina-e-padar’r
Dundh ti rahi idhar udhar’r
Baap so raha tha khak par’r
Jis ke tan se kat chukaa tha sar’r

Khayd hai rasool-e-zadiya’an
Haath me bandhe hai rassiya’an
Bekajaawa hai amaariya’a
Khun ro raha hai sareba’an

Khwaab ye bada ajeeb tha’a
Badsha-he deen gharib tha’a
Kya yahi mera nasib tha’a
Bekafan mera tabib tha’a

SARVAR-O-REHAN ki sada’a
Ho khabool shah-e-karbala’a
Koyi bachi aur is taraha’a
Yu-na de tadap ke phir sada’a

NAWHA – JANABE AUN-O-MOHAMMED (A.S)

Kehti thi ye Zainab (2) Yun Maa ka maan nibhana (2)
Ay Awn-o-Muhammed, Aye Aun-o-Muhammad (4)

Shabir ka tum sadka ho, ab khayme mai beta, tum laut kar-na ana
 Ay Awn-o-Muhammed, Aye Aun-o-Muhammad (2)

Hai Maa ko yaqe’en, tum Maa ki baath rakhogay
Ye yaad rahay, khaiymo may hai pyaasay bachay
Dariya peh agar jana ho, seh roz ke pyaaso, tum pyaas na bujana
 
Har haal peh tum paar, laazim hay shukr khuda ka
Aye shehzaadon, hai sabar tumhaara virsaa
Farzand ho tum Zainab ke, shikwa nahi karna, jab zakham koyi khana

Kab humpe sitham, karnay kay liye aaye hay
Yeh badro-ohad kay, badlay kay liye aaye hay
Lazim hay rajaz-se pehle, maidan may tumpar, madhe-Ali sunana

Jab saans tumhaari, bacho ho khadne waali
Ous waqt sirhaane, aayengi maadar meri
Dil-ki ye mere khwahish hai, ous dum meri maa se,
Zakhmon ko tum chupana.

Qaatil peh karam, nana ki tarha kardayna
Yun laaj meray, bhaayi kay naam ki rakhna
Jo wasta de bhaayi ka, maydaan mai us par,
Tum teigh na chalaana.
  
Jab laashay uthakaar, khaimay may laaye sarwar
Zainab yeh boli, askhoon ko apnay chupaakar
Mai-bhi na tumhe roungi, aur mere liye bhi, ansu na tum bahana

Taazeem ki khaatir, kyun uthtay nahin ab baita
Dekho toh sirhaanay, aah-yeh hay meray bhaiya,
Jaago meray shahzaado, kya bhulgaye ho,
qadmo peh saar jhukaana.

Shabaash meray, bachoon hun may tumsay raazi
Yeh kehkay taqallum, khamosh huwi shahzaadi
Naizo peh safar karkay, humraa humaray,
tumko hau Shaam jaana

NAWHA – JANABE AUN-O-MOHAMMED (A.S)
Kehti thi zainab, Ay mere sheyro, Kehti thi zainab, Mere dilero
Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad (4)
Khwaab ye zainab ka tha, chaand sitare mere (chaand sitare) x2
Mamu pe hongaye fida, guod ke pale mere (guod ke pale) x2
Khwaab ye sacha huwa, Sar mere uncha raha,
Hone ko sheh par fida laal mere, sheyr mere chaand mere
(Aun-o-Muhammad mere, Aun-o-Muhammad) x2

Jaffar-e-tayyar ke khun ke akkas ho (khun ke akkas) x2
Husn mei akbar ho tum josh mei abbas ho (josh mei abbas) x2
Jang ke maydaan mei maut ke armaan mei,
Saya-e-qur'an mei, aise utho aise lado maut pe tum qud pado

Ha meri taqeed par dhyan tumhara rahe, (dhyaan tumhara) x2
Jake lab-e-nehr bhi pyaas gawara rahe (pyaas gawara) x2
Duud na bakshungi mei, mu bhi na dekhungi mei,
Sheyr ki beti hu mei, wada karo aao chalo, tum na raho

Maana ke pyaase ho tum, pyaas pe kabu rahe (pyaas pe kaabu) x2
Sheh ke alamdar ki, saans mei khushbu rahe (saans mei khushbu) x2
Bas ye tamanna meri, laaj rahe khun ki,
Hai ye wasiyat meri, khawo qasam, jaawo hasham, hoga na kam

Aun ye kehna laga, bhayi muhammad suno (bhaayi muhammad) x2
Aeik taraf mei badoun, eik taraf tum barho (eik taraf tum) x2
Jang ho fowj-e-sitam, jang kare aise ham,
Maamu hame de alam, deke hame amma kahe jite rahe

Dono jari jang ko surat-e-andhi bade, (surat-e-andhi) x2
Nana Ali ki tarha, maut pe haavi rahe (maut pe haavi) x2
Milke jo hamla kiya, meymana-aur-meysra, eik me dam hogaya,
teygh-e-Ali, aise chali, dhum machi

Dekh rahi thi jo ma khaime ke darpar khadi (khayme ke dar par) x2
Saath wahi thay khade Hazrat-e-Abbas bhi, (Hazrat-e-Abbas) x2
Bhaayi behen saath thay, sahib-e-awlaad thay, waris-e-ajdaad thay,
kehne lage khub lade sheyr mere

Larde kaha tak bhala pyaas ke maare huwe (pyaas ke mare) x2
Jalti huwi khaak par dono tadapne lage (dono tadapne) x2
Bhaayi se kehne lagi, fakhr se bint-e-ali, surkhru zainab huwi,
Sadkhe tere bhaayi mere, laal huwe

Aun-o-muhamad na the, wo dur-e-nayaab the (wo dur-e-nayaab) x2
"SARWAR-O-REHAN" wo wakif-e-adab the (wakif-e-adab) x2
Hukm jo maa ne diya, rukh na kiya nehr ka, pyaas ka sadma saha,
Maa ne kaha shukhr-e-khuda, huwe fida

NAWHA – SHEHZADA-E-ALI ASHGAR (A.S)

HAY-ASGHAR – HAAYE ASGHAR (2)
Huwi Shaam Na Aaya Asghar, Mai loori Sunaon Kisko (3)
Nawha Tha Ye Maa Ke Lab-Par (2), Mai Loori Sunaon Kisko
Huwi Shaam Na Aaya Asghar, Mai loori Sunaon Kisko (3)

Haathoon-pe gaye thay laykar, Shabbir Tujhe ay jaani,
Ye kehke tasal-li di-thi, pil-vaunga isko paani,
Laut aaye hai khaali Sarwar (2), main lo’ori sunaaon kisko…

Kya baath huwi hai beta, kyun rout gayaa maadar se,
Jhule ko uda’asi dekar, haathon-pe gaya tha ghar se,
Itna to bata de dil-bar (2), main lo’ori sunaaon kisko…

Ashoor ka din dhalte hi, mazloom-mo ki shaam aayi,
Din laashe ginte guzra, har shaam qayamat laayi,
Maa kehti rehi ye lut-kar (2), main lo’ori sunaaon kisko…

Ye ayh’d kiya hai beta, saaye may-na mai jaungi
Kya mujko qabar thi beta, mai itne gham paaungi,
Kehti thi yehi maa ak’sar (2), main lo’ori sunaaon kisko…

Paani ki jaga sahil say, ek teer gale par khaakar,
Mera be-sheer mujaahid, mera masoom-sa Ashgar,
Soota hai lehad ke andar (2), main lo’ori sunaaon kisko…

Tuj-jaisi kali ko beta, Is tarah masal-dhala hai,
Tu phool tha mere ghar ka, Tera-rang badal dala hai,
Hai zakm teri gardan par (2), main lo’ori sunaaon kisko...

Zakmoon ke safar mai beta, tu-bhi to nahin soya tha
Ye maa ko qabar hai Asghar, Tu shay ke-liya roya tha,
Tu soo-gaya aakhir thak-kar (2), main lo’ori sunaaon kisko…

In-saann nahin hai koyi, haywaan hai is jungle main,
Jinki thi pehre daari, O sogaye is maqtal main,
Ye dekh-ke khooni manzar (2), main lo’ori sunaaon kisko…

Har waqt rulaati rehti, jisko iski tanhaayi
Nawha tha “ZAFAR” is maa ka, jo lutt-ke Madine aayi,
Ay mere bahadur Asghar (2), main lo’ori sunaaon kisko…

NAWHA – SHEHZADA-E-ALI ASHGAR (A.S)
By: Nadeem Sarwar (Year 2000)

NAIZAY SE ASGAR KO NAZAR AAYI JO MADAR
Dekha khula sar hai pariyshaan hai muztar
Rone lage kehne lage tab ali asgar
(Maa mujhe apnay seenay se lagaalay
Maa muje apni godi me chupalay, Maa me naize pe hu x2)

Amaa bohath din huwe jhule me na soya
Maa teri izath ki khasam phir bhi na roya
Ab tujhe dekha to mere lab huwe goyaa
Aaj bandhe hathoon ko jhula sa bana-le, seenay say laga-le….

Jism kahan, sar hai kahan, haaye mukaddar
Amaa badan rehgaya karbal ki zamin par
Amaa tere saath chalaa aya mera sar
Karta tuje kaise layeenoon ke hawaale, seenay say lagale….

Garm hawaa garm zameen jalta huwa teer
Amaa zara socho mere khad se bada teer
Kaise kahun hulk pe jis waqt lagaa teer
Hogaye bayhosh mujhe dekhne wale, seenay say lagale….

Kabse sakina ne nahi mujhse kiya pyaar
Karbobala kufa kahan shaam ka bazaar
Darti hai kya khoon-se bhare, dek-ke ruksaar
Naize ke nazdeek zara usko bula-le, seenay say lagale….

Dhoop me tune na kabhi ghar se nikaala
Amaa baday pyaar se tune mujhe palaa
Aaj nahi koi mujhe dekhane wala
Tuhi mujhe dhoop se shiddat se bachaale, seenay say lagale….

Dekh teraa lakhtay jigar yun to hai ASGAR
Naiza sawaari may-hai Akbar ke baraa bar
Noke sina par hai sitaara sa mera sar
Meri shujaath pe gale mujko lagaale, seenay say lagale….

Baba ka sar bhaayi ka sar noke sina par
Aap ke sarpe nahi ama koi chadar
Kaise me bardash karu ama ye manzar
Jalti huwi khak se moo apna chupale, seenay say lagale….

NAWHA – SHEHZADA-E-ALI ASHGAR (A.S)

Ya Hussain, Ya Hussain Ya Hussain, Ya Hussain

Mein jhoola jhulaon, Mein Tujhay Jhoola Jhulaon
Mein Khuwaab mein Asghar tujhay, Lori bhi sunaoon
Tujhay Jhoola Jhulaon, Mein Tujhay Jhoola Jhulaon


Laut Aoo safar sey ke badi deyr huwi hay
Betaab hu kabsey tujhay seenay sey lagaoon

Koi Mujhay Butlata Nahi teri Nishani
Barsaat mein teeroon ki kahan dhoondnay jaon

Socha tha teri saalgirah ghar mein karoongi
Taqdeer yeh kehti hay tera soug manaoon

Baba sey teray tera Janaza na uthaiyga
Ruk ja zara Abbas ko dariya sey bulaon

Yeh Khoo-mein bhara kurta, yeh matti mei-bharay baal
Seenay mein chupaon ke mein aankhoon sey lagaoon

 Iss tarha Koi root ke maa sey nahi jata
Tu Khud-hi bata dey mein tujhay kaisay manaoon

REHAN ke Nohay sey sada baano ki ayee
Mein aankhoon sey askhkoon ke samander ko bahaoon

 Mein Khuwaab mein Asghar tujhay Lori bhi sunao
Tujhay Jhoola Jhulaon
Mein Tujhay Jhoola Jhulaon

NAWHA - SHEHZADA-E-QASIM (AS)

KUBRA NE KAHA QASIM DULHA  (2)
KIS SONE BUN ME SOTE HO
BACHPAN KA RANDHAPA DEKHO ZARA
KIS SONE BUN ME SOTE HO

Sahra hai Kahin Kangna hai Kahin - 2
Masnad ke Yevaz hai Qack Nasheen
Hai Raand banee Mahboose Jafa
Kis Sone Bun me Sote Ho

Shaadi ka Naya Qillat ye Mila - 2
Hai Sarpe-mere Ek Kaali Rida
Dekho To Dulhan ka Haal Zara
Kis Sone Bun me Sote Ho

Paazeb ki Jaa Bedi hai Padi - 2
Kangne ke Yevaz Rassi hai Bandhi
Kya Qoob Banee kya Haal Bana
Kis Sone Bun me Sote Ho

Thama Tha Jo Tumne Haat Mera - 2
Dena Tha Lahad tak Saat Mera
Muj Raand Banee se Hoke Qafa
Kis Sone Bun me Sote Ho

Mazloom Baney Be Yaar Baney - 2
Martee hai Banee Gumqaar Baney
Batlaavo to Apna Haal Zara
Kis Sone Bun me Sote Ho

Maatam me Gireban Phadungi - 2
Baalon se Lahad ko Jhadungi
Lillaah muje Do Apna Pata
Kis Sone Bun me Sote Ho

Hoja ta tha SHOWKAT Hashr Bapa - 2
Hilja ta tha Dashte Karbobala
Kahti thi Jo Ro Ro kar Dukhiya
Kis Sone Bun me Sote Ho

NAWHA - SHEHZADA-E-QASIM (AS)

HAEY HAEY QASIM(AS) HAEY QASIM(AS) (X2)
Qaidi ban ker paband-e-rasan, Lashoun say jo guzray ehl-e-haram..
Her bibi apnay piyaroun say, Houti thi vida ker k matam…
Ek bibi Fatima Bint-e-Hassan(as), Pamal badan Qasim(as) ki bahan
Kisi ek ja say rukhsat na hui (x2) Toukroun mein jo tha bhai ka badan
Kabhi is tukray per haey Qasim(as), Kabhi os tukray per haey Qasim(as)
Teri Bhen garib nou nai bhulna (x2)
Teray qatal da manzar haey Qasim(as)

Haey haey Qasim(as) haey Qasim(as) (x2)
Kabhi is tukray per haey Qasim(as), Kabhi os tukray per haey Qasim(as)

Kabhi sehra daikh ke routi thi,
Kabhi ghash kha ke gir jati thi (x2)
Pamal hua tha bhaayi jahan (x2)
Os khoon pay gir ker haey Qasim(as)

Kis shan say tum dulha thay banay,
Kis shaan say thi baraath chali (x2)
Baithi rahi dulhan hujre mein (x2)
Aey na palat ker haey Qasim(as)

Farwa(sa) nay kaha beta Qasim(as),
Keh dayna dadi Zehra(sa) say (x2)
Ghurbath ki kamai tukdoon mein (x2)
Bhyeji hai saja ker haey Qasim(as)

Uth Qasim(as) daikh teri dulhan,
 teri lash pay roone aai hai (x2)
Aey kaash ye shadi raas aati (x2)
Buss jata tera ghar haey Qasim(as)

Har sath moharram ko mehndi,
Teri yaad mein Qasim(as) uthti hai (x2)
Doolha doolha Qasim(as) doolha (x2)
Hota hai laboun per haey Qasim(as)

JAWWAD, REHAN TAY SARWAR NOU,
Nai bulnay vain us bibi day
Jenday sadqay aj vi jaari ay (x2)
Teda matam ghar ghar haey Qasim(as)

NAWHA - SHEHZADA-E-QASIM (AS)

Qatl hogaye Qasim – Yaa Ali duhaa’ayi hai

hai lahoo bhara chehra kaisi runumayi hai
dekhne ko ye manzar ab dulhan bhi aayi hai
ek din ki thi shadi hashr tak judaai hai
karbala ke dulha ki laash ghar may aayi hai
qatl hogaye qasim....

aaj karbala wale phir hamare mehman hai
phool ho ke mehendi ho sab aza ke saaman hai
ehtemam shadi ke ek behan ke armaan hai
ghamzadon ke nazrane aansuon ke toofan hai
qatl hogaye qasim....

bain thay ye kubra ke ab to ghut raha hai dam
bolte nahi kuch bhi aaj mere ibne am
kis tarha se dikhlaye apne dil ka ye aalam
boliye phupi amma chup rahe ke roye hum
qatl hogaye qasim....

misle fatem kubra kaunsi dulhan hogi
sar to berida goha haath may rasan hogi
laash jiske waaris ki ran may bekafan hogi
ay rafi is gham may qaum seena zan hogi
qatl hogaye qasim....
 

NAWHA - SHEHZADA-E-QASIM (AS)
QASIM KE JANAAZE PE KYA DARD KA MANZAR HAI
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)

Sab khoon se bhara sehra poshaak dareeda hai (2)
Pamaal badan saara, aur khaak ka bistar hai
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)

Mehndi hai lahu wali nawhshaah ke haatho mei (2)
Saaye ke liye sar par, bas dhoop ki chadar hai
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)

Tukday tha jigar jaysay ay maula hassan tera (2)
Tukdoon mei yahaa maula, vay-saa tera dilbar hai
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)

Maa kehti thi qasim ki ay laal kahaan jaaooun (2)
Ghayray huwe khaymo ko, hai kuffar ka lashkar
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)

Ik gat-ri may laate hai shabbir ye kya ran se (2)
Awaaze falak aayi, lakhtay dile shabbar hai
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)

Behno ne kiya matam qasim ke janaaze par (2)
Masroofe fughaa saari, awlaade payambar hai
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)

Shah kehte-the ay qasim kyun tuj ko ajal ayi (2)
Sinay mai mere beta, ik dard ka khanjar hai
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)

Bikhra hai tera sehra jalti huwi reyti par (2)
Har phool ki ankho(n) me, ashkoon ka samandar hai
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)

REHAN zaraa socho laashe to bahattar hain (2)
Rone ke liye tanha, "Shabbir" ki khwahar hai
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2) 

NAWHA – SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)

KHO GAYE HO TUM KAHAN
DHUND-TI MADAR – AY ALI AKBAR MERAY (2)

Zakm seenay par laga (2), aur jigar thak chid gaya

Khoon se rangeen hai, sar zameen-e-karbala (2)
Haat rak-lo zakm par, aati hai maadar

Aarzu hai ye meri (2), dekhun sehray ki ladi

Haaye khismath kya karun, khoon mai maiyath padi (2)
Say-J phoolon ki kahan, khaak ka bistar

Monisoo yawar nahin (2), shah ka lashkar nahin

So-gaye Abbas bhi, ghoud may Asghar nahin (2)
Sai-kadoon ranjo mehan, aur ek sarwar

Ek Sakina si behan (2), shal hai koodon se badan

Aur gale may band ne, shimr laya hai raskan (2)
Zulm ki hai entihaan, chingaye gowhar

Thouq ka aazar hai (2), Abid-e-beemar hai

Zainab-O-Kulsum aur sham ka bazaar hai (2)
Ba’ad teray ahle shar, ley gaye chaadar

Khaid se jab aaungi (2), main Madina jaoungi

Poucheygi Sugra tumhe, kiya us-se batlaaungi (2)
Kiss-tara sey paayegi, gham tera khuwa-har

Ay shahid-e-karbala (2), Ay shahid-e-mustufa

Vasta hai aapko Shabbar-O-Shabbir ka (2)
Ab HASSAN ki liji-ye kuch khabar aakar

Ay Ali Akbar meray (2)
Kho gaye ho tum kahan
Dhund-ti madar – Ay Ali Akbar meray (2)

NAWHA – SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)

MERA SEHRE’YA WALA AKBAR (4)
ZAKM DIL KE DIKHAUN MAI KAISE (2)
TERA LASHA UTA HUN MAI KAISE
AKBAR - MERA SEHRE’YA WALA AKBAR (4)

Lashe Akbar pe shah jab pahunche, Dilko hathon say thamkar bole
Teri furkhath ne aye Ali Akbar, Aag dil mai mere laga di hai
Aag dil ki bhujaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise

Tu hai kadiyal jawan ay beta, Baap tera za-eif hai kitna
Noor ankhoon ka hogaya ruksath, Mujko ata nahin nazar khaima
Layke khaimon mai jaun mai kaise x2 Tera lasha uta hun mai kaise

Usne athara saal pala tha, Kaise dekhegi O tera laasha
Teri shaadi ka tha jise armaan, Kaise jhaylegi O tera sadma
Teri maa ko bataun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise

Dekh aayaa hai khaside Sugra, Ra’h takti hai O dukhi behna
Tujko beemar ne bulaya hai, Wada Sugra ka kyun bhula dala
Gham ye dil se lagaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise

Bhaayi behnoo ka hai ajab rishta, Jiska sa’ani kahin nahin milta
Roke Sugra ne ye likha Akbar, Ek dukhiya ki laaj rak-layna
Margaya tu bataun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise

Lutf jeene mai ab kahan Akbar, Dilse ut-thi hai ye fuqaan Akbar
Subhe ashoor di thi jo tune, khun rulayegi O azaan Akbar
Teri surath bhulaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise

Zabt ghamka muhaal hai beta, Dekhun kaise ye zakm seene ka
Mai to pardes main akeyla hun, Dekh kar zakm kya karun batla
Ispe marham lagaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise

Aisi ghurbath mai mu nahi modo, Mai hun tanha mujhe na yun chodo
Kya guzarti hai baap ke dilpar, ghamzada dil ko yun nahin todo
Apni ghurbath bataun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise

SHADMAN ye duwa hai khaliq say, Waqt aisa kisi pay na aaye
Jaisa “Mazhar” ne lik-diya manzar, Shah kehte the bas yehi rokar
Zakm dil ke dikhaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise

NAWHA – SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)

KAHA SARWAR NE AKBAR SE, UJALA HONE WALA HAI
BALA KE BAN ME EK KHUNI, TAMASHA HONE WALA HAI
TUMHARE KHUN SE RANGEEN, SEHRA HONE WALA HAI
KALAIJE SE TUMHARE PAAR, NAIZA HONE WALA HAI

AZAAN DO AY MERE DILBAR, SAWERA HONE WALA HAI
TUMHARE BAAD ALAM MEI, ANDHERE HONE WALA HAI

Rasullalah ki itrath pe aafath aane wali hai
Ali ke nau-ne-haalo par musibath aane wali hai
Nabe ki aal par subha qayamath aane wali hai
Aseerane haram pe shame gurbath aane wali hai

Shahide zulm ho jayenge, bhaayi bhi – bhatije bhi
Tahe tege sitham ho jayenge, bache-bhi – bhoode bhi
Chidegi gardan-e-Asghar(as) jawano ke kalaije bhi
Chalenge teer bhi talwaar bhi khanjar bhi naize bhi

Juda shaane kisi-ke aur kisi-ke sar qalam honge
Na Abbase(as) jari honge na tum honge na hum honge
Hamare khaan-wade par, bahuth zulmo sitham honge
Jafa-o-par jafa hongi, bala hongi, alam honge

Labe dariya mere haatho me naazon ka pala hoga
Zubaan sukhe laboon par hogi, aur manka dhala hoga
Sitham insaniyath par us-se bad-kar aur kya hoga
Mere be-sheer ki gardan me teere Hurmala (la) hoga

Sithamgaroon ka narga hoga aur aale aba hogi
Rasan basta hamare baad binte Murtuza(as) hogi
Bha’re darbar me Zehra(sma) ki beti be rida hogi
Meri nanhi Sakina(sma) par tamachoon ki jafa hogi

Qayame Shah me aashur ko “Mirza” tha ek mehshar
Basad hasrat pisar se apne farmate-the jab Sarwar
Tumhare baad ay noore nazar hai khaaq aalaam par
Azaan do ay mere dilbar, sawera hone wala hai
Tumhare baad alam mei, andhere hone wala hai

NAWHA – ALI AKBAR (as)

Akbar (as) ko, shahe deen ki nazar, dhu’nd rahi hai
Barchi, Ali Ak’bar.. (as) ka, jigar dhu’nd rahi hai
Ye shay ki sada hai (2)

Kehte the shah tookare khata hun mere laal
Kis garb say guzarta-hun pouchoo na dil ka haal
Beta tumhare baad huwi zindagi mahal x2

Khamoosh kyun ho dete nahin kyun mujhe sada
Ye ran mai kaisa shoor hai maq-thal mai kya huwa
Bete say ek baar mila de mujhe Khuda (swt) x2

Kiss-se kahun ke meri za’eefi pe reham khaaye
Kiss-se kahun ke Akbar-e-mehru ko dhund laaye
Kiss-se kahun ke mere pisar se mujhe milaaye x2

Ab ki’isko apni Fathima Sugra (sa) ka khat sunaoo
Wada jo karke aaya tha kaise us-se nibhaau
Kisko Madine bheje ke bimaar ko bulaaun x2

Kis-se kahun ke ghar ki faza soogawar hai
Khaime ke darpe maa ko tere intezaar hai
Paala tha jisne tujh’-ko bahooth be-qaraar hai x2

Almoo qasar ke shaah mile apne laal se
Aur be-qarar hoke pukaare malaal se
Oojhal kabhi na ho’na dil-e paayemaal se x2

Puchaa ke kaisa khoon hai kapdon pai ay pisar
Kyun muz-tarib hai dard-o-alam se mera jigar
Aaya na raas kar’bobala ka mujhe safar x2

Ay mere laal chood-ke mujko na jaa-yioo
Apne ghareeb baap ko-math aazmaa-yioo
Maa ko phir apni chaand si surath dikhaa-yioo x2

Ay ma’a ke dil me a’arzoo tere biyah ki
Sugra (sa) ki khaaq chaanthi hai teri raah ki
Kuch tujhko fikr hai mere ha’ale tabah ki x2

Le aaye khaima-gah me Akbar (as) ko phir Imam (as)
Halqaa banake roone lagi bibiyaan tamaam
Matham “Zafar” huwa Ali Akbar (as) ka leke naam x2

NAWHA – SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)

SAB PHULO KE GEHNE ME SAWAARI DULHAN AAYE.
Tum jaise ho bas aise hi pyaari dulhan aaye.
Sar pe agar sehra sajana, Hatho pe kangnaa jo bandhana (2)
Bhaya muje bhool na jaana

Fatema sugra ne ye akber ko likha hai,
Bhayi salaamat raho behna ki duwa hai,
Baad duwa dil me ye armaan basaa hai,
Masne de shaadi jo bichaana,

Baba ki aggosh-me mai-bhi to pali hu,
Bhaiya teri ungli pakadkar me chali hu,
Kya me tere chawon se mehroom rahi hu,
Baba ki jab chawon me janna,

Baba se kehna ke meri jald khabar le,
Toot na jaaye kahi baba meri saase,
Kat-ta nahi din na guzarti hai ye raate,
Khat mera baba ko sunana,

Bhaiya tere baad jo din eid ka aya,
Eid ke din eid me gham maine hi paaya,
Mujko bhare gar ki judaayi ne rulaaya,
Dukh ye mera sab ko bataana,

Sunti hu kerbal ki bohot garm hawaa hai,
Amma se kehne ke ye Sugra ne kahaa hai,
Phool sa Asgar jo mera sath gayaa hai,
Dhoop se jab usko bachaana,

Behno ka dil jaane jigar hota hai bhaayi,
Ankh teher-thi hai jidar hota hai bhaayi,
Mere tadapne ka asar ho ta hai bhayi,
Tum ho jaha mujko bulanaa,

Bhaiya mujhe rehta hai har waqt ye ehsaas,
Bhool gaye kya mujhe mere chacha abbas,
Aye alam aye sakina ho mere paas,
Aas meri tod na jana,

Ama se kehna ke sakina ki kasam hai,
Fa’asla ab kabre se bimaar ka kam hai,
Dair na ker na ke mere hoto pe dam hai,
Haat duwa ko jo uthana,

NAWHA – SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)

SHABIH-E-PAYAMBAR AKBAR, NAUHA KARE MAA
SHAAH KA DILBAR AKBAR, NAUHA KARE MAA

Armaan Bohot Tha Main Tere Shaadi Rachawoon
Ek Roz Dulhan Chand Si Main (Biyaah Kai Laawoon-2)
Par Laash Pe Roti Hai Tere Kookh Jali Maa

Zinda Thay Tumhe Dekh Ke Ab Kaysai Jiungi
Socha Tha Terai Biyaah Ki (Poshak Siungi-2)
Par Tujh Ku Kafan Bhi Na Mila Haaie Meri Jaan

Roti Hai Phuphi Jis Nai Tumhe Laad Sai Pala
Tum Kya Gayae Rukhsat Huwa (Is Ghar Sai Ujala-2)
Ek Baap Zaiefi Main Huwa Be Sar-o-Saman

Abbas Ka Sadma Bhi, Abhi Kam Na Huwa Tha
Aysai Mai Meri Jaan Tera (Waqt-e-Ajal Aaya-2)
Tum Margayai Kuyn Mar Na Gaie Lal Teri Maa

Bimaar Behan Takti Hai Beta Tera Raasta
Pardes Main Aayae To Rahaa (Yaad Na Waada-2)
Maqtal Kiya Aabaad Madina Kiya Wiraan

Phir Ta Hai Meri Ankh Main Ab Tak Wahi Manzar
Ay Jaan-e-Pader Noor-e-Nazar (Ay Ali Akbar-2)
Hamshakl-e-Nabi Kehte Thay Tum Ko Shah-e-Zeeshaan

Allah Nigehban Tumhara Mere Pyaare
Ham Loge Rasan Basta (Sue Shaam Sidhare-2)
Sota Hai Terai Saath Yahin Asghar-e-Naadan

Pyaase Thay Bohot Pyaas Ye Kis Tarah Bujhaye
Is Chaand Sai Sine Pe Sinaa Zulum Ki Khayein-2
Tum Sote Ho Maa Jaati Hai Beta Suie Zindaan 

NAWHA – SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)

HAI AKBAR – HAI AKBAR (4)
AKBAR.... TERI LAASH UTAYE KAISE HUSSAIN (2)

DIL THAME HUWE AUR QHAM HAI KAMAR
BINAAYI NAHIN AUR ZAKMI JIGAR… AKBAR

Ay beta zaeefi hai aisi, raasha hai badan pe baba ke
Abbas nahin Qasim bhi nahin, imdaad ki qatir kaun aaye
Liye mouj-isii gham-ka dilpar... Akbar

Sadmoon ki thakan ne maar diya, din bhar tho utaaye hai laashe
Sab sabt ke bandhan toot-gaye, binaayi gayi tere gham se
Thanha hai sare maqtal ye padar…. Akbar

Ay laal teri surath ki qasam, ab ta’ab nahin hai is dil-ko
Mai bhuda padar aur tum-ho jawan, kya waqt pada itna souchoo
Mai bekas-o-tanha aur muztaar……… Akbar

Khaimay mai tujhe rooti hai puphi, aur zebay musala hai madar
18 baras pala hai tujhe tu khud hi bata ay mere pisar
Kya beet rahi hogi dilpar........ Akbar

Pardes mai mere noor-e-nazar, jeete-ji mujhe tu maar gaya,
Naize ki tarah ye gham Akbar, hum sab ke diloon se paar gaya,
Rooti hai teri maa ye kehkar……. Akbar

Karta hun duwa-ein khaaliq se, qismath na kisko de-ye gham
Ho samne beta ka laasha, aur baap kare uska matam,
Sunle ye duwa rab-e-Akbar......... Akbar

Taqdeer kisi madar ko-bhi, ye gham na dubara dikhlaye
Beta ho shabiye paighambar, maa jeeti rahe O marjaaye
Mar jayegi roo roo kar madar………. Akbar

Jo tere kalaije mai thi sina, hai zakmi usi-se dil mera
Kis tarah sina O khainchi thi, mai tujko nahin batla sakta
Dil tukde huwe jaata hai pisar......... Akbar

Jo bayn kiye shay-ne ban-me, Mazhar O bayan kar sakta nahin
Sina pe pisar ke sar rakar, ye kehte rahe bas Shaahe-deen
Ab zinda rahun mai bhi kyun-kar......... Akbar

NAWHA – SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)

HEY WAQT-E-ADHAN AA ALI AKBER ADHAN DAI
BOLAI PISAR SAI SIBT-E-PAYAMBER ADHAN DAI

Yeh aakhari Adhan hai Sajda bhi Akhari
Arshai barin pai suntay hai Haider adhan dai

Thandaq milai Rasool kai rozai pai merai laal
Ik aag si hai seenai kai andar Adhan dai

Nam-e-Khuda Rasool ka Baaqi rahai ga deen
Is deen ki baka kai muqaddar Adhan dai

Kehti hai yeh Medinai sai aati huwi hawa
Sughra bhi muntazir hai biradar Adhan dai

Fauj-e-Adu ko Haq ki sadaqat dikha hi dai
Nad-e-ali kai zor per uth ker Adhan dai

Jis ka gala nabi kai labon ki ho janamaz
Phir woh gala na kyun tah-e-khanjer adhan dai

Chaltai hain Teer itnai Namazi hain Khoon main ter
Ai merai laal sabar kai paiker Adhan dai

REHAN yeh namazain aqeedat ka waqat
Nohon ko tu Adhan bana ker Adhan dai


NAWHA – SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)

Ghareeb E Zehra Pa Kya Waqt Hai Ghareebi Ka
Gareban Chaak Hai - Balon May Khaak E Karbobala
Talaash Karte Hai Rasta Nazar Nahi Aata
Ye Haal Dekh Ke Haste Hai Sheh Pa Ahle Jafa
Behan Ki Kaandhon Pa - Kul Kaayenat Laate Hai
Qadam Qadam Pe Ye Awaaz Dete Jaate Hai
Umme Laila Sambhaal Zainab Ko
Laa Raha Hoo Mai Laashaye Akbar - Ume Laila Sambhal....  Bolay Honge Hussain Ye Rokar…. Ume Laila

Naujawan Laash Hai Zaeefi Hai
Meri Nazron Se Dekh Manzar Ko
Kaise Hamsheer Ko Sambhalunga
Mai Sambale Huwe Hu Akbar Ko - Tera Ehsan Hoga Ye Mujh Par

Iske Seene Se Kehke Naame Ali
Maine Barchi Abhi Nikaali Hai
Imtehan De Chuki Hai Meri Ghurbat
Ab Teri Bekasi Ki Baari Hai - Tu Bhi Is Waqt Ya Ali Keh Kar

Do Nageene Thay Iski Jholi May
Dono Akbar Pe Kar Diye Sadqa
Shor Aisa Ke Apne Beton Par
Maine Rote Isay Nahi Dekha - Hai Magar Ab Ye Laashaye Akbar

Rok Rakha Hai Apne Ashkon Ko
Sab Se Chup Chup Ke Aahe Bharti Hai
Mai Samajhta Hoo Maadare Akbar
Teri Mamta Pe Jo Guzarti Hai - Rak Ke Apne Kaleje Par Pathar

Kaise Laashe Jawan Uthaye Hoo
Aediyan Khat Banati Aati Hai
In Nishano Ko Peeche Peeche Mere
Amma Zehra Mitati Aati Hai - Uski Nazrein Na Dekhe Ye Manzar

Ay Takallum Wo Shaam O Koofa Ka
Tay Hua Hoga Is Taraf Se Safar
Amma Zainab Sambhalna Maa Ko - Aur Hoga Hussain Ke Lab Pa


NAWHA – SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)

Akbar tumhe maloom hai kya maangrahé ho
Tum baap sé marné ki reza maang rahé ho
Is aalamé ghurbat mein tumhe jaané doon kaisé
Is dashté musibat mein tumhe jaané doon kaisé
Is waqté kayamat mein tumhe jaané doon kaisé
Ay laal jo tum izné wigaa maang rahé ho
Tum baap sé marné ki reza maang rahé ho

Kya guzrégi iss baap ké dil par nahin socha
Tumné yé meri jaan ali akbar nahin socha
Mar jaunga main tujhse bichhad kar nahi socha
Tum mujhse zaeefi ka asaa maang rahe ho
Tum baap sé marné ki reza maang rahé ho

Dil rota hain nazron sé agar door ho béta
Kis tarha judaai teri manzoor ho béta
Tum hi méri ankhein ho méra noor ho béta
Mujhsé méri ankhon ki ziya maang rahe ho
Tum baap sé marné ki reza maang rahé ho

Duniya sé gaya jis ghadi mehboob khuda ka
Nana ki ziyarat ko tadapta tha nawassa
Aye laal tujhé is liyé khaalik sé tha manga
Maqbool huwi méri dua maang rahe ho
Tum baap sé marné ki reza maang rahé ho

Islam pé khud apna lahoo rann mein bahao
Siné pé sina shaan sé maidaan mein khaao
Tasweer payambar ki tahé khaak milao
Kya is liyé marné ki riza maang rahe ho
Tum baap sé marné ki reza maang rahé ho

Ek roz tujhé aan ké manga tha phuphi né
Atthara baras naazon sé paala tha phuphi né
Béton sé bhi zyada tumhé chaha tha phuphi né
Ehsaan jo zainab né kiya maang rahé ho
Tum baap sé marné ki reza maang rahé ho
Rakhté nahi tum iski khabar aye méré pyaré
Kis darja mohabbat hai téri dil mein humaaré
Nana ki méré shakl hai paikar mein tumharé
Tum sooraté mehboobé khuda maang rahé ho
Tum baap sé marné ki reza maang rahé ho

Sar tera bhi jiss waqt chadhega sare naiza
Hoga saré maidaan juda sar bhi tumhara
Hum shaklé payambar ka gala kaaténgé aadaa
Goya méré nana ka gala maang rahé ho
Tum baap sé marné ki reza maang rahé ho

Baba mujhé maloom hai kya maang raha hoon
Ek baap sé marné ki riza maang raha hoon

Baba mujhé Amma ne bhi kuch dars diya hai
Adab é wafa sé mujhé aagah kiya hai
Pehlé mein maru aap sé wada yé liya hai
Buss is liyé marné ki riza maang raha hoon
Ek baap se marne ki riza maang raha hun ...
Baba mujhe maaloom hai kya maang raha hun

Hai aap to baba biné khaatooné qayamat
Aur maa hai méri apna si ék pehkaré ismat
Kya siné mein us pé nahin kuch jalbahé ismat
Mein madaré muztar ka kaha maang raha hoon
Ek baap se marne ki riza maang raha hun ...
Baba mujhe maaloom hai kya maang raha hun

Baba mujhé ehwaalé dilé zaar pata hai
Hai sakht bohat manzilé dushwaar pata hai
Aur deen ka mushkil mein hai sardaar pata hai
Yun aap sé marné ki riza mangu raha hoon
Ek baap se marne ki riza mangu raha hun ...
baba mujhe maloom hai kya maang raha hun

Mai Shaer e Has aat jigar soz hu khursheed
mehve gham e shabbir shab o roz hu khurshid
aalaam e masaeb se zamee'n doz hu khurshid
kashkol me kuch ashq e aza maang raha hu

NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

ABBAS, ABBAS, ABBAS

Beta hai tu Ali Ka, Zahra ki tu Dua hai
Shabbir tera Aaka, Ummul Baneen Maa hai
Har Surato chalan mai Haider se na juda hai
Ta hashr tuj se kaayam dunya main bas wafa hai

Tere Alam ko thaame, Har shaks keh raha hai
Mazloome Kerbala ka, Zainab ka waasta hai
Pardesi koyi aysa, Pardes me na ujde
Sadke mei uske jis ka, Ghar baar lutgaya hai

Us wakt jabke Zainab, Darbaar mei gayi thi
Qari Namazio sey, Mehfil saji huwi thi
Zaalim yeh puchta tha, Ghazi tera kaha hai
Baalo se muh chupaaye, Zainab yeh keh rahi thi

Taqdeer ke sataye, tere dar pe sar jhukaye
Ashko ki iltija ham, Ghaazi tuje sunaye
Beemare saaribaan ke, Zakhmo ka waasta hai
Jitne bhi khasta dil hai, Mowla shifa wo paaye

Dil ki muraad Gazi , tere Alam se paaey
Roti huwi jo maaen, Tere Alam pe aaey
Zahra ke dardey pehlu ka, Deti hai waasta
Fizza ki kaneezi mei, Mera bhi naam aaey

Shaame Ghariban mei jis, Ka kurta jalgaya hai,
Kaano se baaliya bhi, Haaye Shimr legaya hai
Is bebasi se Mawla, Bacchi koi na tarse
Farsh-e-Aza pe rokar, Har dil yeh kehraha hai

Jitne bhi ashk maula, qirtaas par gire hai
Masuma ki kasam hi, ghazi fakat tere hai
Wo kuch rakam karu mei, jo naa rakam huwa hai
Alfaaz who ataa kar, "Yawar" se jo pare hai

NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

TERAY KATA HUWE BAZOO NIJAATH PANI KI
Teray badan ka paseena zakath pani ki


Jahan bi paani-O-mash-O-alam ki baath chali
Ali ke laal ke khadmoo talay furaath chali
Wafa-E-ishk-O-mohabath ki kaye naath chali
Duwa-E-Fathema Zehra bi saath saath chali
Alam ke dam se hai ab tak hayath pani ki
Jari ki jeeth huwi aur maath pani ki

Wo ek mashk jo kauser samayt kar nikli
Laboo pe apne samandar samayt kar nikli
Tabassum-E-Ali Asgar samayt kar nikli
Jo ek zarb se lashkar samayt kar nikli
Agar na kehti ye aabe hayaath pani ki
Har ek nigaha se gir jati zaath pani ki

Sakina bibi ke saq-qe Ali ke laal salaam
Jari sa’qi asad-e-shayre zul-jalaal salaam
Wafa ki aakri haq-e-mahay kamal salaam
Nahin hai dono jahan main teri misaal salaam
Teray kata huwe bazoo nijaath pani ki
Teray badan ka paseena zakath pani ki

Himayath-e-shah-e-mazlum may fana Abbas
Tabath-O-jurath-O-ghayrath ki intehan Abbas
Janab-E-Zainab-O-bekas ka aasra Abbas
Labay furaath faqath tunay hi likha Abbas
Hamari tashna lagi hai furaath pani ki
Hayaath pyaaso ki tehri wafath pani ki

Teri hayaath ka saman NASEER-e-shabbir
Badal ta rehta hai jo kaynaath ki taqdeer
Furaath-O-mashk-O-alam hashr tak teri jagir
Main aur ye meri tanzeem iske dar ke fakir
Bahaygi chasmay azaan se furaath pani ki
Chalaygi majlis-O-matham main baath pani ki

YA ABBAS (4)
NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)
MOUJ-E ALQAMA, KAR RAHI HAI BAYN
LUT GAYI ZAINAB (sma), LUT GAYE HUSSAIN (as)
BINTE SHAHE LA FATHA KAR RAHI HAI MARSIYA
HAI ALAMDAR..
NEHR SAY ATI HAI YE SADAA, QATL ALAMDAR HO GAYA (2)

PYAASE THAY SAB NAWHAGAR, THAMLI SHAYNE KAMAR (2)
ZAINABE (sma) DILGEER NE KAHA, QATL ALAMDAR HOGAYA
NEHR SAY ATI HAI YE SADA, QATL ALAMDAR HO GAYA (2)

Kithna wafadaar tha, sab ka madadgar tha
Saaya-e-dewar tha, fouj ka salar tha
Hogaye lachaar hum, kehte hai shahe umam (2)
Ro rahi hai saath mai wafa, qatl Alamdar (as) hogaya

Duktar-e-shah-e-umam, kaise sahe ab ye gham
Khaaq nasheen hai haram, dekh-ke girta alam
Karne lagi marsiya, paani nahin ayega (2)
Ek naya mujh-ko gham mila, qatl Alamdar (as) hogaya

Laasha jawan bhaayi ka, kaise utega bhala
Bole shahe karbala, aayi-ye shere khuda
Mera sahara banoo, koyi dilasa tho do (2)
Koyi madadgaar na raha, qatl Alamdar (as) hogaya

Haaye ye lachaargi, pyaasi Sakina (sma) rahi
Tuti umeedein meri, aur, kamar qham huwi
Mashq-e-Sakina (sma) cheedi, behgaya paani sabi (2)
Kohe alam uspe jab gira, qatl Alamdar (as) hogaya

Sunte ho Akbar (as) sada, roothe hai Shah-he huda
Fiza (sma) ne rokar kaha, aaoo sambhalo zara
Chuta watan ghar luta, pyaase rahe gham na tha (2)
Ab hai masaib ki intehaan, qatl Alamdar (as) hogaya

Ek alamdar ke jaane-se ye gham mile
Tashna dahan rodiya, haath say kuze gire
Humne tho nawhe kiye, ahle sitham khush huwe (2)
Shimr (la) ne jab fouj-se kaha, qatl Alamdar (as) hogaya

Dasht me Shabbir par, zulm huwe is khadar
“Safdar-O-Mazhar” magar tha O Ali (as) ka pisar
Sabr bi karta raha, shukr bi karta raha (2)
Zabt ye gham ho nahin saka, qatl Alamdar (as) hogaya

NAWHA – HAZRATH ABBAS (as)

Pahunchay Sirhane Bhai Ke, Jab Shahe Karbala
Ghazi Ne Apni Aakhri Saanson May Di Sada
Maula Maa Ummul Baneen Se Mat Kehna


Sharminda Sakina Se Hoo Bahot Mai Pani Lekar Aa Na Saka
Maula Maa Ummul Baneen....

Maa Ne Jo Sikaye Bachpan May, O Yaad Hai Sab Aadaab Mujhe
Nazdeek Khade Rehna Us Ja - Shabbir Jahan Baithe Jaake
Is Waqt Magar Khadim Tera - Taazeem Ko Teri Uth Na Saka

Har Laash Pe Girke Kehte Thay - Kya Tum Hi Ali Ke Bete Ho
Malum Hai Kitni Mushkil May Khaimo Se Yaha Tak Pahunche Ho
Abbas Se Milne Ki Khaatir - Zehmat Jo Uthayi Hai Maula

Kis Tarha Katay Baazu Mere - Maqtal May Bata Dena Beshak
Mai Zee Se Zameen Par Kaise Gira - Amma Ko Suna Dena Beshak
Abbas Ke Girne Se Lekin - Zainab Ke Giri Thi Sar Se Rida

Tha Charon Jaanib Bikhra Hua - Quran Hassan Ka Jangal May
Pamaal Badan Qasim Ka Hua - Guzri Wo Qayamat Maqtal May
Abbas Ki Zauja Se Pehle - Afsos Huwi Bewa Kubra

Baba Se Kiya Bachon Ko Juda - Kya Zulm Ye Dhaya Logon Ne
Muslim Ki Laash Ko Koofe Ki - Galiyon May Phiraya Logon Ne
Abbas Ki Nazron Ke Aagay - Ujdi Thi Ruqayya Ki Dunya

Ye Soch Ke Ran May Roti Hai - Baazu Se Lipat Kar Meri Wafa
Ye Baat Garan Guzregi Bahot - Amma Ki Tabiyat Par Aaqa
Gar Haath Hue Pani Se Mere - Aur Aap Ka Asghar Pyasa Raha

Do Bhai Bichadte Thay Ran May Kaisa Tha Qayamat Ka Manzar
Abbas Mujhe Bhai Kehdo - Sarwar Ne Kaha Jab Ye Rokar
Shabbir Ko Bhai Keh To Diya - Lekin Thi Takallum Lab Pe Sada

NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)
by: Hassan Sadiq (Year 2010)

GHAZI ABBAS (as), MOULA ABBAS (as) x4
GHAZI ABBAS(as)-SA DUNIYA MEI ALAMDAR NAHIN (3)
JIS TARHA MISLE KOYI HAI’DER(as)-E-KARAAR NAHIN

Haibathe shere elahi, hai jalaale Abbas(as)
Ghazi Abbas(as), Moula Abbas(as), Ghazi Abbas(as)
Haibathe shere elahi hai jalaal’e Abbas(as)
Laal Haider(as) ka hai ye logo, ghaiyre faraar nahin
Jis tarha misle koyi Hai’der(as)-e-karaar nahin

Karke kabzaa yun nehr-pe, yehi bole Abbas(as)
Ghazi Abbas(as), Moula Abbas(as), Ghazi Abbas(as)
Karke kabzaa yun nehr pe, yehi bol’e Abbas(as)
Bund pani ki-bhi logo, hame darkaar nahin
Jis tarha misle koyi Hai’der(as)-e-karaar nahin

Khanjar-o-teer-o-tabar mei, hai jo tanha Sarwar(as)
Ghazi Abbas(as), Moula Abbas(as), Ghazi Abbas(as)
Khanjar-o-teer-o-tabar mei, hai jo tanha Sarwar(as)
Hai afsoos ke ab fouj-ka, salaar nahin
Jis tarha misle koyi Hai’der(as)-e-karaar nahin

Lasha Akbar(as) ka utathe, hai shahe karbobala
Ghazi Abbas(as), Moula Abbas(as), Ghazi Abbas(as)
Lasha Akbar(as) ka utathe, hai shahe karbobala
Koyi pardes mai ab moniso ghamkhaar nahin
Jis tarha misle koyi Hai’der(as)-e-karaar nahin

Jalte khaimo say pukaari, ye Janabe Zainab(sma)
Ghazi Abbas(as), Moula Abbas(as), Ghazi Abbas(as)
Jalte khaimo say pukaari, ye Janab’e Zainab(sma)
Paas mere hai(y) ab-koyi, madadgaar nahin
Jis tarha misle koyi Hai’der(as)-e-karaar nahin

Yaade Abbas(as) mei roti hai Sakina(sma) “Irfan”
Ghazi Abbas(as), Moula Abbas(as), Ghazi Abbas(as)
Yaade Abbas(as) mei roti hai Sakina(sma) “Irfan”
Aaj masuma ko zindaan-se, qaraar nahin
Jis tarha misle koyi Hai’der(as)-e-karaar nahin

ABBAS (as) AA JAAO – NADEEM 2010

AAKHRI SALAAM (2)
Makhtal mein poh’nche jab Shaahe Waala
Laashe jawaa’n aur khaimo’n ko dekha
Dariya ko dekha, phir ye pukaraa
Ab ye salaam-e-aakhir hai mera’a

Abbas (as) aa jaao bhai akela hai (2)
Tanhaa musaafir ko laakho’n ne gheraa hai

Tumne na dekhi ghurbath hamari
Zainab (sma) thi laayi meri sawari
Rukhsat ka meri manzar ajab thaa
Seene se lag jaao, Bhai akela hai

Jab se ho bichde Abbas (as) hum se
Ahle haram hain lipte alam se
Kaise jiyegi baali Sakina (sma)
Kya hoga batlaao, Bhai akela hai

Lashkar kahaa’n ka jab Tum nahi’n ho
Aada to khush hain ab Tum nahi’n ho
Kitnaa akela kitnaa hoo’n tanhaa
Sine mein hai ghaao, Bhai akela hai

Din bhar uthaae kitne janaaze
Ab kaun hai jo degaa dilaase
Hote agar tum dete dilaasaa
Aao chale aao, Bhai akela hai

Mujh per baraste ye sang dekho
Bekas ki tanha ye jung dekho
Dekho na toote Nana se wadaa
Himmat badha jaao, Bhai akela hai

Jab shimr (la) khanjar ko pherta thaa
Qaatil ne Sheh se khud ye sunaa thaa
Pyasaa gala us dam ye pukaraa
Surat dikhaa jaao, Bhai akela hai

Sar Sheh ka ayaa noke sinaa per
Aai sadaa ye Rehaan-o-Sarwar
Besar padaa hai Bhai ka lashaa
Ab to chale aao, Bhai akela hai

NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

LABE FARAAT-E-ALAMDAR-E-KARBALA AYAX3
WAFAA KO NAZ-E HE JIS PARX2 WO BA WAFAA AYA

Ali ka ehde jawaani Palat ke a’aya hai
Isi liye pare jibreel thar-thara’aya hai
Alam ka noor zamin se falak pe cha’aya hai
(Zamin pe phir abu talib ka)x2 naksh-paa aaya’a

Jari ka sina hai ya-ilm ka madeena hai
Ali ka taaj shuja-ath ka ye nagina hai
Sakina pyaasi hai dil misle aab sinaa hai
(Ye mashk hai ya uthaye) x2 huwa duwa aaya

Tarayi kabzeme ankho me pyaas bachoon ki
Likhi huwi hai pharere pe aas bachoon ki
Hai fikr ghazi ko har dam udaas bachoon ki
(O khayma-gah ko mud-mud ke) x2 Dekhta ayaa

Nazar jamayi Sakina alam ko dekh-ti-thi
Dilase bachoon ko de-ti-thi or ye keh-ti-thi
Milenga pani sabhi-ko mitengi tashna labi
(Ye khusk kuza bharege) x2 wo marhala aayaa

Ye kya huwa ke Sakina ne aah bhar ke kaha
Alam chacha ka phuphi kyu nazar nahi ataa
Ye kehke phenk diya apne hath se kuza
(Udhar se fazl bhi karta) x2 huwa bukaa ayaa

Kazaa fizaa me uthi yaa Husaini adrikni
Me ghirgaya mere bazu kate he mashk chhidi
Hussain bole kamar meri jhuk gayee ghazi
(Mere nasib me ye gham) x2 Bahoth badaa ayaa

Kabhi rida kabhi bazu ko, dekhti thi bahan
Tasawaraath me zainab ke, tha Ali ka sukhan
Ridaa chinengi bandh-engi kalaaiyoon me rasan
(Ye soche kar dil-e-Zainab me) x2 khouf-sa ayaa

NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

ABBAS JAA RAHE HAI
BACHE TADAP RAHE HAI, ABBAS JAA RAHAY HAIN
HAR BIBI RO RAHI HAI, ABBAS JAA RAHAY HAIN
APNE RIDA KO ZAINAB, HASRAT SE DEKHTI HAI (2)

Sukhe huwe labon par, Bachoon zaban na phero (2)
Mashko alam ko dekho, Kuch deyr mei yahaan tak
Khud nehr aa rahi hai, Abbas jaa rahe hai

Kyun mashk tumne dedi, Ghazi ko shahzaadi (2)
Ay ranjo gham ki aadi, Khush kyun hai ai sakina
Kuch der ki khushi hai, Abbas jaa rahe hai

Jukne lagi qamar hai, Abbas ka safar hai (2)
Sheh marna jaae dar hai, Aafat ghamoon alam ki
Sarwar pe ghir padi hai, Abbas jaa rahe hai

Ik shore al-atash hai, Phaylaa huwa fazaa mei (2)
Masroof hai dua mei, Kyaa sog karbalaa mei,
Ummeed aakhri hai, Abbas jaa rahe hai

Khaimon mei shore matam, Hone laga hai paiham (2)
Har aankh hogayi nam, Shaame gharibaan daaman
Phailaati jaa rahi hai, Abbas jaa rahe hai

Zainab ke baazuuon ko, Chuma tha jab ali ne (2)
Lamhaa the zindagi mei, Baazu bandhenge mere
Zainab samaj gayi hai, Abbas jaa rahe hai

REHAN AZMI who, Manzar na likh sakunga,
Bas itna keh sakungaa, Kehte the shaahe maula
Gham meri zindagi hai, abbas jaa rahe hai

ABBAS JA RAHAY HAIN
BACHE TARAP RAHE HAI, ABBAS JAA RAHAY HAIN
HAR BIBI RO RAHI HAI, ABBAS JAA RAHAY HAIN

NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

MISLE HAIDER KE’E ZAMANE’E KA, MADADGA’AR HUN MAI
HATH KATWAKE BHI’’I, SARWAR KA ALAMDA’AR HUN MAI
JO NAHIN JANTE’E, PEHCHAN LE’E – ABBAS HUN MAI
ABBAS HUN MAI – GHAZI ABBAS HUN MAI (4)

Mere khadmoo ki damak paaye to manzar kaampe
Ghaiz mai aan ke dekhu to dilawar kampe (2)
Bol-uthun to ye sitamgaaron ke lashkar kampe
Himmate kehti hai’i (2) ke Haidare karaar hun mai

Foujko foujke sardar ko dar lagta hai
Tegh ko saahibe talwaar ko dar lagta hai (2)
Mujse har dour ke ghadaar ko dar lagta hai
Mai wafadaaron ka’a’a (2), hami hun wafadar hun mai

Zalime waqt ki hasti ko mita sakta hun
Babe khaibar ko hawaoon mai uda sakta hun (2)
Marhabe waqt ko naize pe utha sakta hun
Mujko pehchaanlo’o (2) Jarar hun jaraar hun mai

Izn Shabbir agar de-to phachadunga abhi
Naqsha har zulm ke baani ka bigadunga abhi (2)
Babe khaibar ki tarah unko ukhadunga abhi
Deen ke waste’e (2) har jung ko tayaar hun mai

Mai agar chahun to dariya mai rawani na rahe
Zulm ki aur sitamgar ki kahani na rahe (2)
Khushk hojaye abhi nehr mai paani na rahe
Masle haq hai to ye’e (2) jaa dene ko tayaar hun mai

Asmaano ki balandi pe khadam mere hai
Karbala meri hai ye louhoo khalam mere hai (2)
Saari duniya mai jo ut-the hai alam mere hai
Kyun ki Shabbir ke’e (2) laskar ka alamdaar hun mai

Sunke Ghazi ka rajas darke sitamgar bhage
Fouj mai shour huwa, nehr say lashkar bhage (2)
Nouke naiza say jo takraaye to phir sar bhage
Aur O kehte-rahe’e (2) Aoo khabardaar hun mai

Matame shah pe fatwe na lagana mufti
Ye alam mera hai bid-dath na batana mufti (2)
Bandkar zulm azaadar pe dhana mufti
Ye rahe jaan-ke’e (2) Shabbir ki talwaar hun mai

NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

MAIDAAN MEIN HUSSAIN KA GHAMKHAAR GIR PADA
Shaane kata ke ghode se jarraar gir padha

Maidaan mein Hussain ka ghamkhaar gir pada..(2)


Dikhlagaya bahare wafa jaane murtaza

Dooba hua lahoo mein hai armaane murtaza
Hai paara paara nehr pe qurran-e-murtaza
Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha
Maindaan mein….

Tanha Hussain hogaye yaawar nahi raha

Tashnalaboon mein saakhiye kausar nahi raha
Bibi sakeena amme ghazanfar nahi raha
Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha
Maidaan mein…

Tharra uthega gham se bayaabane karbala

Royegi khoon shaame garibaane karbala
Rassi mein bandhe jayenge mehmaane karbala
Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha
Maidaan mein…

Dariya-ye zindagi ka kinaara nahi raha

Be-aas bibiyaan hai sahaara nahi raha
Tha dil ko jis se chain wo pyaraa nahi raha
Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha
Maidaan mein…

Zarraate karbala-ba-alam bolne lage

Abbaas ke firaag mein aansoon ubhal padhe
Shabbeer kis tarah ALI FITRAT ye gham sahe
Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha
Maidaan mein Hussain ka ghamkhaar gir padha….
NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

ASMAN DEKH RAHA THA,
Saq-kha koyi faraat pe aye tha tashnalab,
Mashkiza bhar ke jaanibe khayma chala wo jab,
Barse wo teer chidgayi mashk-e-sakina jab,
Roya alam faraat wafa mashk aur sab.

Gunji maktal mei shah-e-deen ki sada
(Qatl darya pe alamdar huwa) x2
Aur pyaaso ki ye aas tut gayi,
Aya maktal se alam khun me bhara
Aur pyaaso ki ye aas tut gayi


Din dhala sham-e-ghariban ke andhere chaaye (2)
Bas Sakina ne yahi roke kaha

Ab mere sar se ridaa jayengi zainab ne kaha (2)
Rodiye sunke ke shah-e-karbobala

Tere ammu to teri pyaas pe kurbaan huwe (2)
Sheh ne ye bali sakina se kaha

Haath mei sukhe huwe kuze liye bethe the (2)
Marsiya pyaas ka maula se suna

Khun-e-abbas jo parcham se tapakte dekha (2)
Dukhtar-e-shah ka dil dub gaya

Roke kulsum se fizza ne kaha shehzadi (2)
Teri chadar ka muhafiz bhi gaya

Dono haatho se kamar thame huwe sheh ne kaha (2)
Bujh gaya meri ummido ka diyya

Alatash kehke jo rote the wo khamosh huwe (2)
Chayi mahool be matam ki fazaa

Roye sadat to daryaa ka kanara roya (2)
Zindagi royi kahin royi kazaa

NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)
ABBAS-E-ALI AAYE KARIB-E-SHAH-E-ABRAR
Bhayi ko alam deke kiya sheh ne bohot pyar, Has has ke rafiko se ye karne lage guftaar,
Jaisi ye meri fouj hai waisaa hi alamdar, Ghazi sa koyi deen ka sardar na hoga,
Abbas sa dunya mai(n) alamdar na hoga,  Sakhi (abbas hamara hai(n) alamdar hamara) 2
Hashim ka kamar… haider-e-karrar pyara
Haider ke gharane ki sakhawat sakhi abbas,
Khoone abu talib ki sadakat sakhi abbas,
Zehra ki duwao ki taharat sakhi abbas,
Kudrat ne banaya nahi phir aisaa dubaraa.
Qur'an-e-wafa sheyr-e-nayafshaan-e-ali hai,
Zehra ki tamanna hai dil-o-jaan-e-ali hai,
Is ke liye bachpan hi se farmaan-e-ali hai,
Mei ilm ka darya hu ye darya ka kanara
Paida huwe abbas to goudi me utha ker,
Zainab ne rakha naam kaleje se lagaa ker,
Chotaa sa alam sheh ne diya unko sajaa ker,
Dekha jo alam ne to alam khud ye pukara
Ye panjetan-e-pak ke lashker ka nishan hai,
Kehte hai ye shabir mera shere jawaan hai,
Aisa koyi dunya me alamdar kaha hai,
Shehwan se hai sheh baaz kalandar ka ye naaraa
Abbas-e-ali ruh-e-wafaa jaan-e-wafa hai,
Abbas-e-ali fatema zehra ki duwaa hai,
Har waqt alam chumti rehti ye hawaa hai,
Bhulaa nahi abbas ko darya ka kanaraa
Duniya-e shahadat me kaha(n) uskaa hai sani,
Jo saare shahido ki safo me raha ghazi,
Be dast bhi ho ker jo bhare joliyaa(n) sabki,
Hashim ka kamar sare fakiro ka sahara
Lazim hai ke ham dekhenge ek roza ye manzar,
Farmayenge jab mehdiy(as)-e-dora sar-e-mimbar
Kaabe se namudaar jo hoga mera lashkar,
Hoga yahi lashkar ka alamdar hamaraa.
Yaad ata hai wo rukhsate-e-abbas ka manzar,
Wo rona sakina ka phareyra ko pakad kar,
Wo dekhna zainab ka kabhi sar kabhi chadar,
Kehti thi palat aye behen bhayi ka pyara
Abbas gaye hogaya maula mere tanha,
Dekha kabhi maydaa(n) to kabhi janib-e-darya,
Nagaah alam nehr pe girte huwe dekha,
Zainab se kaha sheyr gaya nehr pe mara
Ay SARWAR-O-REHAN ye iman hai apna, Abbas ke parcham ka sada sarpe ho saya
Padne ke liye hashr mei shabir ka nawha, Abbas bulayenge hame karke ishara

NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)
JAB SHAAM KE BAZA’AR MEI, SAYDANIYA AAYI,
ARE CHADAR KI JAGA KHAAK-E-SAFAR, BAALO PE LAAYI
NA-GAAH JAB GHAZI’I KI NAZAR KULSUM TAK AAYI,
ARE SAR KHAAK PAR, ABBAS NE NEZE SE GIRAAYA.
DAR HAI KULSUM KE CHEHRE PE NA-A PAD JAAYE NAZAR,
NOKE NEZA PE TEHERTA NAHI ABBAS KA SAR

Ik gayyur wafadaar pe ab aur sitam kya honga,
Jiski chadar ka muhafiz tha wohi aaj huwi beparda,
Shaam walo isi ehsaas-e-doraan-e-safar, noke….

Gir gayi raah mei naake se sakina to ye zainab ne kaha,
Ik chacha aur bhatiji ki muhabbat to zara dekh khuda,
Pusht naaka pe sambhalti nahi sheh ki dukhtar, noke…

Shaam ke log tamashaayi bane aur tamaasha saadaat,
Bewatan aur khule sar hai sar-e-raah kare kya saadaat,
Khun ankho se bahaate hai shah-e-jinn-o-bashar, noke…

Aandhiyo khaak urdaawo ke bane isse haram ka parda,
Gunji jab shaam ki gham nak fazaawo mei ye zainab ki sada,
Asman rone laga rowi zamin ye kehkar, noke…

Chashm-e-sajjad se behne lage us waqt lahu ke dhaare,
Jab ke masoom sakina ko sitamghar ne tamaache mare,
Laasha sahil pe tadapta hai udhar aur idhar, noke…

Rone walo sar-e-bazaar khule sar thi Ali ki beti,
Ghir gaya farq-e-wafadaar jo naize se to heyraan the shaqi,
Pucha abid se sitamghar ne bataawo kyu kar, noke…

Saath sadaat ke shehzaadiy-e-kawnaain safar karti rahi,
Nawha karte hai nabi khaak udha te hai hassan aur ali,
Haay kya waqt hai rote hai sina par sarwar, noke…

Kabhi layla kabhi farwa kabhi kulsum kahe wawayla,
Chehra balon se chhupate huwe zainab ne yahi ro ke kaha,
Amma fiza zaraa dekho to ye gham ka manzar, noke…

Nawha likhte huwe "IRFAN" ye "MAZHAR" ne kahaa tha rokar,
Koun qirtas pe laasakta awlade payambar ka safar,
Rodiye qalb o jigar ek hi misra likhkar, noke…

NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

GHAZI KI SHAHAADAT SE, SADATH PE KYA GUZRI
Maula ki kamar tuti, zainab ki rida utri
Abbas ka maidan mei ghode se utar naa (3)
Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo
Are khaimon mei yatimon ke piyaalon ka bikharna
Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo

Are Shabbir ko ghazi ki sunani jo sunaai,
Bechain huwe dasht mei dhunde kiye bhai (2),
Mazlum ki aankhon ka wahaan kaam na karna,

Are Sajjad pe zaalim ke tamachon ki woh barish,
Maasum sakina pe tamachon ki woh barish (2),
Haan shimr ka woh shaame gharibaan mei na darna

Are Rone pe koi zulm tadapne pe koi bain,
Haathon mei rasan khun mei tar jism khule sar (2)
Ye kaafela shabbir ki maqtal se guzarna,


Are Tatheer ki parwasta ko galiyoin mei phiraana,
Har shehr ke har mod pe hi eid manaana (2)
Ujde huwe ko dekh ke logon ka sawarnaa,


Are karne pade bimaar ko taamil hazaaron,
Be aasra sayyedaaniyan aur neel hazaaron (2)
Ab tak bi yatimon ka koi zakhm na bharna,


Are zainab pe khuli rehti thi baazaar ki aankhen,
Roti hi rahi khun woh bimaar ki aankhen (2)
Sajjad ka har roz mei sou baar ka marna,


Are maaruf kabhi SHOUKAT-O-FARHAAN na hote,
Lafzon pe agar shaah meherbaan na hote (2)
Alfaaz mei hota kabhi nauhe ka asar naa,

Abbas ka maidan mei ghore se utar naa (3)
Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo

NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

(Sakhi ABBAS Jari Ya ilaahi mujhe de) x2
Ek jari chaahiye taarike shujaa'at ke liye
Karbala mein mere Shabbir ki nusrat ke liye
Aur na munh se payambar ki hifaazat ke liye - 2
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

Shukr sad shukr tera Shabbar-O-Shabbir diye
Betiyaan ki hai ata zainab-o-kulsoom mujhe
Baad iske meri bas ek dua ke badle, Ya ilaahi mujhe..

Aaina sabr-o-shujaat ka bana na mera
Hu bahu meri hi tasweer ho baccha mera
Usko dekhoon to nazar aaye sarapa mera, Ya ilaahi mujhe..

Koi be-yaar-o-madadgaar agar hojaye
Iltaja behre madad apni zabaan par laye
Mujko awaaz koi de wo madad ko aaye, Ya ilaahi mujhe..

Zindagi jiski guzar jaye alamdaari me
Apne baazoo bhi kata de jo fidakaari me
Sabse aage nazar aaye jo wafadaari me, Ya ilaahi mujhe..

Naam uska ho jin hoton pe wahan pyas na ho
Koi umeed na toote koi be aas na ho
Yaad karke use tanhai ka ehsaas na ho, Ya ilaahi mujhe..

Mere maalik mere hoontoon pe jab aayi ye dua
Meri aankhon mein nazar aane lagi Karbobala
Mera Shabbir musibat mein khadaa hay tanhaa, Ya ilaahi mujhe..

Jab woh karbal mein ho chawbhees peher ka pyaasa
Har kadam par use isaar ka jazba dena
Aur mere laal ke haathonko salaamat rakhna, Ya ilaahi mujhe..

Ay "KALEEM" hogayi maqbool duaa-e-Haidar
Usko "MESUM" kaha hai Fatema Zehra ne pisar
Arzu ki thi Ali ne jo huzur-e-daawar, Ya ilaahi mujhe..

NAWHA – ASHOOR (10th MOHARAM)

ASHOOR KA SURAJ, JALTA HAI (2)
HAR KHAQ-KA ZAR-RA JALTA HAI
JALTI HAI ZAMEENE KARB-O-BALA (2)
YA ARSH-E-MOHAL-LA JALTA HAI

Ansaar ke khaime jalte hai, Shabbir(as) ka khaima jalta hai
(Islam ki duniya jalti hai x2), Kaabe ka musal-la jalta hai

Naize ko jagah di hai dil mein, Aise-ke jigar-ka kya kehna
(Akbar(as) ko sukune khalb mile x2) Laila(sma) ka kalaija jalta hai

Quran ke padne waloon ne, Quran ko jala kar raakh kiya
(Yaseen ka sura jalta hai x2) Quran ka para jalta hai

Gharbaar jalaya ummath ne, kya khoob ye ajre Risalath hai
(Jalti hai Mohamed(pbuh) ki masnad x2) Be-sheer ka jhula jalta hai

Itrath pe nabi ke joro sitham, kya khub musalmano ne kya
(Zainab(sma) ki rida kya jalti hai x2) Islam ka parda jalta hai

Rak-khi jo fidak mai chingari, Ye shoule usi ke nikalte hai
(Kya aag baghawath ki pheyli x2), run karbobala ka jalta hai

Be-sheer ki tishna-dhani ne, Ek aag lagadi pani mei
(Asghar(as) ki tabassum par ab tak x2) Dariya ka kinara jaltahai

Khaime me Sakina(sma) dekthi thi, Jab yaas se khaali sagar ko
(Sahil pe tadapta hai alaasha x2), Sak-kha ka kalaija jalta hai

Sad-haif ke misle range hina, Kubra(sma) ka suhag ab jal-hi- gaya
(Is daste bala me ay MIRZA x2), Kya Kahen ke kya kya jalta hai
NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)
10TH MOHARRAM

ZAINAB KA THA YE NAWHA

Zainab ka tha yeah Nawha, Bhayi hai bhuka pyaasa
Ay Shimr (la) tu teher jaaa…. Bhayi hai bhuka pyaasa

Suke gale pe khanjar, math pher ay sitamghar (2)
Pani pilade thoda… Bhaayi hai bhuka pyaasa

Seene se tu uthar jaa, zakhm mein dard hoga (2)
Mazloom par taras khaa… Bhaayi hai bhuka pyaasa

Khoya hai naujawan ko, ghada hai bezubaan ko (2)
Koyi nahi hai uska… Bhaayi hai bhuka pyaasa

Chadar ko cheen lay tu, Qaymon ko loot le thu (2)
Uski nahin hain parwa… Bhaayi hai bhuka pyaasa

Arzo Saman ke waali, dena hai thu gawahi (2)
Pehlu mein behke darya… Bhaayi hai bhuka pyaasa

Ya Fathima ab avo, ya Murtuza ab avo
Dam thod tha hai beta… Bhaayi hai bhuka pyaasa

Zainab ka tha yeah Nawha, Bhayi hai bhuka pyaasa
Ay Shimr (la) tu teher jaaa…. Bhayi hai bhuka pyaasa

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)

HAAY ASR KA WAQT HAI, SHABBIR KI AATI HAI SADA
Chur zakhmo se badan hogaya ama mera
Apni agosh me, ab mujko chupalo ama
Are dhoop hai apni aba aoo-aan ke dalo ama
Garm reti pa me girta hu sambhalo ama (2)

Thak gayaa lashe uta kar mai bhare lashkar ke
Laash Qasim ki me la-ya hu kabhi Akber ki
Khud baniyi hai lahad maine Ali Asgar
Do tasali muje sine se lagalo ama

Teer talwar se, khanjar se badan zakhmi hai
Khaak jalti hai to zakhmo main chubhan hoo-ti hai
Mere zakhmo se mere dil ka lahu jaari hai
Apni chadar ko mere zakhm pe dalo ama

Mera Abbas khafa hogaya amma mujse
Wo nahi aaya uta laya tha bazu uske
Aap ek kaam kare nehre kanare jaake
Mere ruute huwe bha’ayi ko manaalo ama

Chakiyaan pisi hai goudi me bithakar mujko
Jaag ti rehti thi zaanu pe sula kar mujko
Loriya deti-thi jhule me jhula kar mujko
Ek dafa goud me phir apni sulalo ama

Aur kuch der ka mehmaan hu tum paas raho
Rait zakhmo me hai aachal se use saaf karo
Aati hai rone ki aawaz Sakina dekho
Jaawo tum jaake Sakina ko sambhalo ama

Dekh wo aag lagi shame ghariba aayi
Dekho ghabra ke nikal aayi meri maa jaayi
Dekho behoosh Sakina ka pada hai bhaayi
Jawo Sajjad ko sholo se nikalo ama

Hai ghuzarish meri tumse to ab-itni madar
Ama baba ki kasam dhamp lo moo par chadar
Dekha jayenga na ab tumse ye khooni manzar
Khatl hota hun nighaho ko hataalo ama

Hogi jab hashr ke maidan mai majlis barpa
Farsh-e-gham shay ka bechay-engi Janab-e-Zehra
Ayegi Hazarath-e-Sabbir ki REHAN Sada
Aaj ji khool ke tum ashk baha loo ama

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)
QAFELA LUTGAYA AMMA MERA LASHKAR NA RAHA,
AMMA NANA KI NISHAANI ALI AKBAR NA RAHA,
REHGAYA DARD-E-KAMAR HAAYE BARADAR NA RAHA.
AB KHABAR AAPNE LI GHAR KI, KE JAB GHAR NA RAHA.
AUR AB DAM-E-ZIBHA YE PURE MERE ARMAA(N) KARNA.
FARSH KE NICHE NA BAALO(N) KO PARISHAA(N) KARNA
JAAO KE NA AB DEYR KARO, DEKHO NA AMMA,
AB LAAL TERA ZEEN PE HAI AUR NA ZAMEE(N) PAR

Aap aayi hai amma mei salaami ko na ut-ta

Hai dard kaleje mei jo utne nahi deta
Hasrat se tere pehle mei dam mera nikalta
Mei cheyn se sojata tere goud mei madar

Are kuch deyr mei neze pe rakha honga mera sar

Na dekhna us waqt mujhe madar-e-muztar
Chal-jayenga us waqt tere qalb pe khanjar
Ghode abhi dowdenge meri laash ke uppar

Mei subha-se ta asr uta-tha raha lashe

Daman mei chune Qasim-e-nawshaah ke tukde
Lipta Ali Akbar ka kaleja tha sina se
Amma mere chehre pe hai khun-e-Ali Asghar

Is haal mei amma hai teri goud ka pala

Maqtal mei mera khogaya har ek ujaala
Hai kon Sakina ko meri poochne wala
Soeyngi mere sine pe kaise meri dukhtar

Dekho to qayamat hai bapa ehl-e-haram mei

Khayme se nikal aayi hai Zainab mere gham mei
Ab ane ko hai bibiya(n) bahar koi dam mei
Samjaawo unhe amma rahe khayme ke andar

Lo saans ubharne lagi dil doob raha hai

Nazro(n) mei meri Zainab-e-muztar ki rida hai
Abid se thi umeed so-wo ghash mei pada hai
Kya honga mere baad Sakina ka muqaddar

Ay "SARWAR-O-REHAN" bayaan kaise ho manzar

Sheh kehte the amma ye kada waqt hai mujpar
Kistarha kaleje se lagu aapke ut-kar
Chumunga qadam aapke ab mei lab-e-quasar

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)

Hai…..Khud’a ne-jab malakul ma’ut ko ye izn diya
Ke ro’ohe Hazrat-e-Sarwar nikaal kar le aa’a
Rahe qayaal ke’e, Shabbir ko na ho eeza’a
Hussain…. (3) Pehle hi zaqmoo se chur chur huwa
Malak pukara ye’e, mujsa’y na-ho sakega khuda’a
{Mai kis tara’ah se nikalo’on, badan se ja’an-e-hussain
Aray…. Bahut hi saqt hai ya rabb, ye imtahaan-e-hussain}

Laga hai zaqm tabar, beh raha hai sar se lahoo
Bhare hain khoon mein jaane Rasool ke gesoon
Qareeb jaake rakhoon dil pe kis tarah qaboo
Ke is lahoo mein tho hai Fatema ke doodh ki bu
Mai-phir in-aankhon pe dhaoon sitam ye kya hai zaroor
Bichadke jo Ali Akber se ho gayeen be noor
Nida ye aayi dahan se nikaal jaane huzoor
Kaha dahan mein tho kaante pade hain rabbe ghafoor
Nida ye aayi ke gardan se khynchna inki
Kaha mai kya kahoon gardan pe chal rahi hai churi
Churi pakadke ye chillati hai koi bibi
Na zibha kar mere bacche ko mai duwa doongi
Nida ye aayi ke seene se qabz kar le jaa
Kaha wo teeron se chalni hai ai mere rehmaan
Abhi tho maarke barchi hata tha ek shaitan
Aur ab tho hai tahe zaanuye shimr liye quraan
Nida ye aayi ke mazloomiyet ke rutba shinas
Kamr se khynchle kaabe ki jaan be waswaas
Kaha malak ne tadapkar ba’dardo hasrato yaas
Kamar tho toot gayi, jabse mar gaye abbas
Falak se tab hua roohul ameen ka ran mein nuzool
Kaha pukarke muh dhamplo baraye batool
Pisar ke laash pe kholegi baal binte Rasool
Sada ye thi malakul mauth ki ba huzn malool
Isi-ye hukm hu par - fikr –ye-hai ay yazdaan
Har ek juzv hai zaqmi lagaaoon haath kahan
KHUDA PUKARA YE MUSHKIL KARENGE HUM AASAAN
Na tu nikaal mere aashiqe ghareeb ki jaan
MAI QUD NIKAAL RAHA HOON BADAN SE JAANE HUSSAIN
KE QATM HONE KO AB HAI - YE IMTAHAANE HUSSAIN.
NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)

HAAYE HUSSAIN - PYAASE HUSSAIN (5)

Damishk mai jo gareeboon ka khafela pahoncha
Yazeede (la) nahes ne darbar me bula bheja
Bahen se shaye ki shahadath ka waaqiya poocha
Tadap ke binte Ali ne yazeed (la) se ye kaha
Zamee ki goud me Islam ka sitara hai (2)
Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai

Kaha yazeed (la) se Zainab ne aye sitam ara
Ghazab kiya tere lashkar ne roze ashoora
Mere Hussain ko jungle me ghair kar mara
Ali ka kardiya barbaad ghar ka ghar sara
Jo bekafan hai abhi tak nabi ka pyaara hai (2)
Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai

Suhaag oujda kisi ka kisiki kook jali
Kisi ka jalraha daman rida kisi ki chini
Kisi ki maang me karbobala ki qakh padi
Kisi ki aal hai zinda me Ya Ali madadi
Shakhi ne sibte payaimbar ka ghar oujada hai (2)
Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai

Kidhar gaye mere Abbas-O-Qasim-O-Akbar
Wo mere Aun-O-Mohammed wo mere noore nazar
Mai tujhko dundoon kahan bezaban Ali Asghar
Bathao bibiyoo roen mai aaj kiskis par
Jahan mai Zainabe dilgir be-sahara hai (2)
Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai

Ye ranjo gham-sitam-o-zoor aur jafa kabtak
Rasool zaadiyan balwe me berida kabtak
Rahegi qaid me aulade murtuza kabtak
Nabi ki aal pe ye zulme narewa kabtak
Mujhe tho mauth hi alam me ab gawara hai (2)
Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai
Haaye hussain pyaase hussain (JAWAB)

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)

HUSSAIN IBNE ALI KO PUKAAR TE-JAA WO (2)
Khadam khadam pe mukhadar savarthe jawo

Hussain O ke jo sipte rasoole athar hai
Hussain O ke jo noore nigahe haider hai
Hussain O ke jo binte nabi ke dilbar hai

O haq ke vaste gardan kata diya O hussain
Jo taqto taj ko tokar laga diya O hussain
Hukumathoon ko jo nicha dikha diya O hussain

Mile hussain tho bande ko haq ki zaath mili
Milay hussain to ilsam ko hayath mili
Jisay hussain milay usko kayenaath mili

Badi khushi se jo akbar ko dediya O hussain
Jo apne haatho pe asgar ko dediya O hussain
Namaz-e-asr may jo sar ko dediya O hussain

Sar-e-guroor hukumath jhukadiya O hussain
Yezidiyath ko tikane lagadiya O hussain
Jahan ko sabre ke jowhar dikha diya O hussain

Jo kharq hoke lahu main ubhar gaya O hussain
Jo sabr-ro shukr se dil fat-ha kar gaya O hussain
Jo dard banke jigar main utar gaya O hussain

Jo aaj aal ko chode O kal kare na gila
Kidaar-e-fani se milta hain akhibath main sila
Hain khush naseeb jo MIRZA ko ahl-e-bait mila

Hussain ibne ali ko pukaar te-jaa wo (2)
Khadam khadam pe mukhadar savarthe jawo
Hussain ibne ali ko pukaar te-jaa wo (2)

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)

HAAYE HUSSAINA (2)
AY NAWHA KUNA AHLE AZA
HAAYE HUSSAINA (2)
KUMBA TERA SAB MARA GAYA
HAAYE HUSSAINA (2)

O Aun-O-Mohammed (as) teray humsheer ke pyaare
Pyaase thay magar janibe dariya ko sidhaare
Taakeeth-ki madar ka bharam, rak liya kaisa

Us teer nay Zahra (sma) ka jigar kaat diya hai
Markad mai Mohammed (saw) ko-bi baychain kiya hai
O teer jo maasum ki gardan pay laga tha

Zainab (sma) tera bay-maqna-O-chadar sare bazaar
Bas zulm ki had hogayi ay syeday abrar
Sab ehle haram rote-the, khush hote-the a’adaa

Kab aaoge tum lout-ke itna to bata do
Bimar hun marti hun, mujhe aake dawa do
Khat Fathima Sugra (sma) ka, Madine se hai aaya

O-Mashk-O-Dariya-O-Alam-aur-O-Ghaazi (as)
O-Pyaas-O-Gardan-O-Sakina (sma) si bhateeji
Jis waqt tar-rayi pay gira sher ka laasha

Zanzeeroon mai jakda huwa ek lagaroo bimar
Ujday huwe ek khafile ka khafila salaar
Aur mehve tilavat O tera sar sare naizaa

REHAN khalam rook phata jaata hai seena
Kya dard mai douba huwa likha hai ye nawha
Jisne bhi suna giriya kuna hoke pukara
NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)

HUSSAIN ZINDABAAD (2)
Khuda ye paak ka pyara hussain zindabad. Nabi ki ankhoon ka tara hussain zindabad.
Dil-e-batool ka pyara hussain zindabad. Ali ka raaj dulara hussain zindabad
Lagaye jao ye nara (hussain zindabad-2) Kaho ye milke hamara (hussain zindabad-2)

AMIR-E-SHEHR SHAHADAT HAI TERA NAAM HUSSAIN.
Tuji pe behja hai islam ne salaam hussain. Hai tere hato me kounain ka nizaam hussain.
Suna jo noke sina par (tera kalaam hussain-2) Pukaar-uta ye nazaara (hussain zin.. 2)

KIYA HAI PANI TERE GHAWSALO NE PATHAR KO?
Shikast di hai teri pyaas ne samandar ko. Fana ke kabr me dafna kiya sikandar ko.
Ulat ke rakhdiya tune (har ek manzar ko-2) Hakikato ko ubharaa (hussain zin.. 2)

KAYAAR SHAB PE UJALO NE HUKMARAANI KI.
Jale diye to hawo ne paas pani ki. Mili zaif ko ugrayi ya jawaani ki.
Zaban hogayi majbur (be zabaani ki-2) Ye tera faiz he saraa (hussain zin.. 2)

PAYAAME HAQ HAI KHUDA KI KASAM PAYAME HUSSAIN.
Har ek cheez hai kuonain ki gulam hussain. O mohtaram hai jo karta hai ehtaraam hussain
Aghar yazid se lena hai (intikaam-e-hussain-2) Laghawo joom ke nara (hussain zin.. 2)

JO GHAR LUTAATA HAI USKO HUSSAIN KEHTE HAI.
Jo din bachaata hai usko hussain kehte hai. Jo hur banaata hai usko hussain kehte hai.
Jo jeet jaata hai (usko hussain kehte hai-2) Shuja-atoonay tone pukaraa (hussain zin.. 2)

BARAAYE JUNG YE LAYKAR JO ZULFIKAAR GAYA.
Amir-e-shaam ko beta ali ka haar gaya. Kiya ye wakt ne aylaan ikhtidaar gaya.
Hussain jit gaye or (yazid hargaya-2) Khuda ka din pukaraa (hussain zindabad-2)

ALI KA LAAL SHAHE MASHRAKAYN ZINDAA HAY.
Wo khalb-e-fatema zehra ka cheyn zinda hai. Shabaab fata-e-kadro hunain zindaa hai.
Yazid margayaa mera (hussain zinda hai-2) Ye zindagi ka hai naraa (hussain zin.. 2)

YE TERA DOST BHI TERA ADOO BHI KEHTA HAI.
Chiraag andhiyo ke ru-baru bi kehta hai. Alam bi tegh bi chah dil gulu bi kehta hai.
Nazar bi fikr bi dil bhi (lahu bhi kehta hai-2) Jo katl hoke na haraa (hussain zin.. 2)

WAFA KA SAMT-TERA GOHAR SADA PASAND RAHE.
Nishan-e-matame shabbir al jo band rahe. Alam hussain ke lashkar ka sar buland rahe.
Yazid kabr ki gayrayiyo (me band rahe-2) Dil-e-hussain hamara (hussain zin.. 2)

Lagaye jao ye nara (hussain zindabad-2) Kaho ye milke dobara (hussain zindabad-2)
Laghawo joom ke nara (hussain zindabad-2) Lagaye jaan ye nara (hussain zindabad-2)
Kaho ye milke dobara (hussain zindabad-5)

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)

YA HUSSAIN (2) YAA HUSSAIN
 Yaa hussain khush-taye taighe jafa, Yaa hussain sipte rasoole khuda
Haye sar par sare naiza tera, Dar badar le gaye baani-e-jafa
Be kafan lashaaye beghar hai gharib-e-zehra
Hai badan ghodoon se pamal tera wa-vaiylah

Nainawa dashte bala karbala, Kya huwi joro jafa karbala
Kya thi pyaa-soo ki khata karbala, Kuch to khaidi to bata karbala
Apne mehmaan pe ye bandish-e-paani kyun kar
Jiski maadar ko mila mehr main aab-e-kauser

Ek maqtal main bahathar lashe, Banje bete bathije pyaase
Para-para huwe saare aisay, Ek quraan ke paray jaisay
Khaakh ud-udke shahidoon ka kafan banti-thi
Khuld se fathima zehra ke sada aati thi

Ek taraf behta tha darya-e-furaath, Ek taraf pyaaso pe mushkil ki hayaath
Bade shabbir aseeri ki O raath, Kaisay guzri thane sad paash ke saath
Koyi bhaayi ko, koyi roti thi betoon ke liye
Bekasi ye thi ke aansoon na the ankhoon ke liye

Thash-na-lab be-watan-o-be-khata, Sar tha sajde main tahe taigh gala
Ek ek zakm se khoon behta-tha, NAWHA karti-thi janab-e-zehra
Khaime ke darpe behan karti thi faryaad-o-fugha
Jaise sehra main kisi shakhs ki aawaze azaa

Margaya shere alamdar-e-jari, Chal gayi qasim-me-mehru pe churi
Margaya dasht main ham shakle nabi, Khake sine pe sitam ki barchi
Ghar ka ghar zainab-e-mazloom ka barbaad huwa
Lutgaya shehr-e-Nabi Karbala abaad huwa

Kat-gaye baazu-e sakha-e-haram, Chidgayi mash huwa thanda alam
Jalthe khaimoo main tha barpa matam, NAWHA karte the sabi ahle haram
Ay alamdar uto chinti hain zainab ki rida
Koyi baaqi-na tha-bas aabid-e-muztar ke siwa

Fathema Zehra ye deti hai duwa, Ta qayamath rahe ye farshe aza
Yu-hi aati rahe mat’m ke sada, Ho har ek lab pe hussainy NAWHA
Hashr mai shay ke azaadaroo ko pursa doongi
Mai azaadaroo ko jannath ki basharath doongi

Kaise REHAN main likoon NAWHA, Ghamse seena hain mera karbo-bala
Aankh se behta-ta khoon ka darya, Karte the khalbe jigar bhi giriya
Haaye O be kaso mazloom O be-yaare hussain
Royenge hashr talak tujko azaadar-e-hussain

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)

Mujpe kyu band karte ho pani, kya Muhammad kya pyara nahi hu 4
Mujpe kyu band karte ho pani, kalma goyo Muhammad ke shaani,
Kya me mehman aya nahi hu. Kya me Zehra ka jaya nahi hu
Mujpe kyu band karte ho pani, kya Muhammad kya pyara nahi hu 4

Mera baba hai mushkil kusha (Meri madar bhi hai sayyida) x2
Mera beta hai zainul ibaa (Mere nana ka kalma pad-ha) x2
Jiske saye ko tum dhundte ho. Kya me uska hi saya nahin hu

Tumne maktub likh ke kahi (Ayiye jald ibn-e-ali) x2
Deenn ki roshni kam huwi (Sham-e-islam bujhne lagi) x2
Tumne chahaa tha me agaya hu. Khud madine se aya nahi hu

Das taras me meray kya nahin (ILm takwa shuja'at yakee(n)) x2
Mere pairo ke niche zamee(n) (jispe rakhe farishte jabee(n)) x2
Mei hi sardar-e-ahle jina hu, koi tuta sitara nahi hu

Meri gardan pe khanjar chale (aag lagti hai ghar me lage) x2
Bint-e-zehra ki chadar chine (hath dunga na apna tujhe) x2
Hath mera ye dast-e-khuda hai, mai to munkir khuda ka nahi hu

       Sath zehra ki hai betiyaa (mohtaram inka koi kaha) x2
Pyaas ki dhoop ki sakhtiya (sabke chehre huwe hai dhuwa) x2
Betiya fatema ki hai pyaasi, sirf ik mai hi pyasa nahi hu

Hukm abbas ko du agar (nehr le aaye wo cheen kar) x2
Karbala hogi zeyr-o-zabar (Laash thai-rengi har mouj par) x2
Mei nahi chahta jang karna. Fauj ladne ko laaya nahi hu

Ghunji hal min ki aisi sadaa (Sheh ko "REHAN" kehte sunaa) x2
Ya Ali Ya Ali eliya (Waqt imdad ka agaya) x2
Mere bache bhi lagte he pyaase. Phir bhi kya muskuraya nahi hu.

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)

Jab fauje kirdigar mei koyi nahi bacha
Ruksath ko aaye khaime-mei shehen-shaey karbala
Pohunche khaya-me zainab-o-kulsoom ke kareeb
Awaaz di behan ko aur Shabbir ne kaha

ZAINAB FEEAMANALLAH ZAINAB FEAMAANALLAH

Ab aakhri fareeza-ye khaliq bhi ho ada
Mai marne ja-raha hun tumhe kehke alwida
Lashkar me koyi baki nahi hai mere siva

Koyi sipahi fouje udo ka nahi raha
Ab mera janasheen hai sajaad be-khata
Rehna hai uske saath tumhe bade karbala

Din bar to meine lasho pe lashe uthaey hai
Na-jane kitne zakhm kalaije pe khaye hai
Ab akhri salaam ko khaime-mei aaye hai

Zakhmo ne dardo-ghamne mujhe kar diya nid-haal
Mai katl hone wala hu iska nahi malal
Reh-rehke beridayi ka ata hai ab khayal

Rakhna khayal meri Sakina ka ay behan
Soyegi kaise khak ke bistar pe pur mahan
Royegji jab-bhi yaad use ayega watan

Ye kehke al faraaq chale shahe behro bar
Nikle kaman zulm se O teer aur tabar
Ki khamaey haram ki taraf akhri nazar

Ghoday se khak pa-giray sultane karbala
Tathir ro rahi thi tadap ne lagi kisa
Jalti zami pe sajda kiya aur yeh kaha

MAZHAR ajeeb waqt tha Zehra ke laal par
Manzar ye dekhti thi behan sar ko pit kar
Ye keh ke suwe khuld kiya shah-ha ne safar

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)

MAI RAHUN YA NA RAHUN (2)
Ya Husssian (3) Mabood Takabul Rakna.....
Mai Rahun Ya Na Rahun `(2)
Mera Islam Rahega, Mera Paigham Rahega

Aye Fouje Ashkiyaan Mera Islam Rahega,
Quran Rahega Mera paigham Rahega.

Jab Zuhar Tak Hussain Bahatar Ko Ro Chuke
Akbar ko ro chuke, Ali Asgar ko rochuke
Ek do pahar me bawafa lashkar ko ro chuke
Phir fouje badnasab say muqatib huwe Imam
Hujjat tamam karta hun sun lo mera payam.,

Farmate they Hussain ke mai be kusur hun
Roushan hai tumpe, jisme payambar ka noor hun
Faaqoo say mai nidhaal hun zakmoo say chur hun
Zakmoon pay Zakm pyaas ki shid-dath mai khaunga
Lekin mai nana jaan say wada nibhaunga.

Dariya ko tumne cheen liye maine kuch kahan
Paani dikha dikha ke piya, maine kuch kaha
Daag Akbarray jawan ka diya maine kuch kiya
Haq par hun mere haq mai sina bool rahi hai
Sun loo O azaan meri zabaan bol rahi hai

Maqsad hai la ila ki baqa aur kuch nahin
Wada ho zairay teyqh wafa aur kuch nahin
Iske siwa laboon pay duwa aur kuch nahin
Razi ho mujsay mera khuda chahta hun main
Mai hun Hussain sab ka bhala chahta hun main



Maqsad nahin hai jung hamara khuda gawa
Khat bhej ke hai tumne bulaya khuda gawa
Bay jurm tumne mujko sataya khuda gawa
Khanjar talay baland mai takbeer karunga
Apnay lahu say khaak pay tahreer karunga

Mai aur karun Yezid (la) ki baiyath nahin nahin
Badlun ajal ke dar say shariyath nahin nahin
Jeenay ke badlay chodun shahadat nahin nahin
Tum kaun ho naqab rukhoo say hataunga
Main kaun hun ye nouke sina par bataunga

Aaakar daray khayam pay Zainab ko di sada
Aa ay meri ghareeb behan aaa khareeb aaa
Ley aakhiri salam hussainay ghareeb ka
Maqsad hai mera kya ye sabaq tujko yaad hai
Meri sharike kaar mujhe etaymaad hai

Zainab tadap ke boli ke bhaiya samaj gayi
Bhaiya teray isharay ko behna samaj gayi
Mai kya teri ghareeb Sakina samaj gayi
Khutboon say mai hilaungi qasray Yazid (la) ko
Marne na dungi ab mai kisi bhi shahid ko

Uta gubaray zulm, kadakti hai bijliyaan
Zeese ghiray Hussain uthi surkq aandhiyaan
Nagah sar Hussain ka aaya sarey sina
Quran suna ke sayeday mazloom ney kaha
Low` nana jaan wada wafa maine kardiya

Ay SARWAR-O-REHAN ye lamha ajeeb hai
Naize pay lab khusha ye Hussain ne gharib hai
Zainab tumhari shaame gharibaan kharib hai
Sab kuch teray hawalay hai, ab tu sambhalna
Apna khayal rakna, Sakina ko paal na

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)

MERE LAHU KE HAR QATRE MEI
GUNJ RAHA HAI - YAA HUSSAIN,
AB TO SABKA VIRD ZUBAAN BHI
REHNA LAGA HAI - YAA HUSSAIN

Aap ki kya shaan hai maula, bolta quran hai maula

Fatema ki jaan hai maula, marzi-e-subhan hai maula

Karbala ka fat'he azaam, bakhuda hai waris-e-adam

Ja-bajaa phehle tere parcham, ta abad hoga tera matam

Teen din ki tishnagi maula, haaye teri bekasi maula

Khushk gardan par churi maula, karbala kehti rahi maula

Kis-tarha bhulenge O manzar, jab chala tha halk pe khanjar

Jab sina ki nouk pe tha sar, bol-tha qur'an tere lab par

Ye sabile ye azakhane, aankh mei ashkoon ke paymaane

Matami laaye hai nazraane, ab janaab-e-Sayyeda jaane

Ye teri maula azadari, zindagi se bhi hame pyaari

Hai yahi tujse wafadari, ashk ankhoon se rahe jaari

Waris-e-qur'an zindabaad, rehbar-e-insaan zindabad

Mazhar-e-imaan zindabad, fatema ki jaan zindabad

As-salaam ay malike kausar, as-salaam ay kushta-e-khanjar

As-salam ay jaan-e-payghambar, kehte hai "REHAN-O-SARWAR"

MERE LAHU KE HAR QATRE MEI
GUNJ RAHA HAI - YAA HUSSAIN,
AB TO SABKA VIRD ZUBAAN BHI
REHNA LAGA HAI - YAA HUSSAIN

NAWHA –IMAM HUSSAIN (AS)
by: Rizwan Zaidi (Year 2012-13)

Aisa Gareeb Aisa Musafir Na Aayega x2
Ae Dasht E Karbala Ae Dasht E Karbala


Laashain Utha-Utha Ke Kamar Chur Hogayi
Jeenay Ki Aarzoo Tho Bohoth Door Hogayi
Akbar (as) Shaheed Hogaya Mein Souchta Raha
Humse Kisi-ne Ye Bhi-na Poocha Keh Kya Hua

Baazoo Katake Neher Pay Abbas (as) So Gaya
Hasrath Say Ahle Bait Ko Mein Dekhta Raha
Ab Mere Baad Meri Sakina (sma) Ka Hoga Kya
Humse Kisi-ne Ye Bhi-na Poocha Keh Kya Hua

Qasim (as) Ki Mouth Meri Gareebi Pe Royi Hai
Daulath Hassan
(as) Ki Meine Bayaba Mei KhoyiHai
Qasim
(as) Kahan Hai Dasht Mei, Mei Dhondta Raha
Humse Kisi-ne Ye Bhi-na Poocha Keh Kya Hua

Piyaray The Mujhko Jaanse Zaianb (sma) Ke Ladlay
Woh Ay-diyaan Ragad Ke Mera Dil Dukha Gaye
Lashoon Pe Unki Haaye Mein Tanha Khada Raha
Humse Kisi-ne Ye Bhi-na Poocha Keh Kya Hua

Allah (swt) Janta Hai Jo Dil Per Guzar Gayi
Asghar (as) Kay Baad Jeenay Ki Taqat Nahin Rahe
Woh Phool Mere Haath Pay Murjha Kay Reh Gaya
Humse Kisi-ne Ye Bhi-na Poocha Keh Kya Hua

Jab Zeen-se Zamin pe, Ya-Rab Gira Tha Mein
Ama Mere Sirhane Thi Ghush Mein Pada Tha Mei
Khanjar Layeein Galay Pe Mere Phairnay Laga
Humse Kisi-ne Ye Bhi-na Poocha Keh Kya Hua

Ansar E Bawafa Mere Mujh Per Fida Huay
Taigon Kay Moon Ko Unke Galay Choomtay Rahay
Ek Shab Ka Mehman Tha Hur Woh Bhi Mar Gaya
Humse Kisi-ne Ye Bhi-na Poocha Keh Kya Hua

Ek Aik Kar Kay Moonis O Yawar Guzar Gaye
Jeetay They Jinko Dekh Kay Woh Laal Mar Gaye
Karta Sawar Jw Mujhe Baqi Koi Na Tha
Humse Kisi-ne Ye Bhi-na Poocha Keh Kya Hua

Rehan Shah E Deen Ney Kaha Rab E Zuljalal
Zahir Hai Tujh Pay Aalay Muhammad Ka Sara Haal
Jibraeil Hai Gawah Sir E Maqtal E Jafa
Humse Kisi-ne Ye Bhi-na Poocha Keh Kya Hua

NAWHA –IMAM HUSSAIN (AS)
by: Shanavar Ji (Year 2012-13)

Gunji ba-waqte asr sada mein hussain (as) x2
Kaato na mera khushk gala x2 mein hussain(as) hun

Sukhi huwi hai shimr (la) mere halq ki ragein x2
Aahista tu chhuri ko chala x2  mein hussain (as) hun

Amma  kisi ne paani ki ek boond bhi na di x2
Mein baar baar kehta raha x2  mein hussain (as) hun

Kat-tha huwa gala mera dekha na jaayega x2
Nana mein hu nawasa tera x2  mein hussain(as) hun

Be baazuwo ki laash tadap-kar ulat gayi x2
Aayi furaat par jo sada x2  mein hussain (as) hun

Zaanu pe rakh ke sar ko kaha ne ek zaeef ne x2
Akbar kahan hai jald bata x2  mein hussain (as) hun

Ay shaamiyo kafan na diya mujh ko gham nahi x2
De do meri bahan ko rida x2  mein hussain (as) hun

Mehsoos ab bhi hota hai ye zaayereen ko x2
Roze se aa rahi hai sada x2  mein hussain (as) hun

Aisa laga Raza ke Shanawar se Fatema (sma) x2
Kehti hai baar baar suna x2  mein hussain (as) hun

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)
Hote Rehtay Thay Jisay Hulla-E-Firdos Ata
O shahensha-e-zaman, jisko kafan bhi na mila


O muhammad ka nawasa, woh hussain ibn-e-ali
gulshan-e-fatema zahra ki wo masoom kali
naam hai panjatan-e-paak may ba harf-e-jali
hurmatay deen-e-khuda jis ki shahadat may dhali
hote rehtay thay jisay hulla-e-firdos ata

jhoola jibreel nay bachpan may jhulaya wo hussain
dosh par jisko payambar nay bithaya wo hussain
jis pay quran kay paaron ka tha saya wo hussain
pani dil khol kay dushman ko pilaya wo hussain
haye us bekas-o-nadaar ko pani na diya

dasht may ghayr liya jisko bulakar mehmaan
saamne jis kay tadapta raha akbar sa jawan
khaynch li jis nay jawan bete ke seenay say sina
jis kay haathon pay huwa qatl pisar guncha dahan
aakhri naasir-e-mazloom bhi jis ka na raha

khoob rotay hai jo apna koi marjaata hai
laasha be waali-o-waris ka kafan paata hai
aur taras khaake use koi bhi dafnaata hai
taaziyat kay liye dushman bhi chala aata hai
haaye afsos jigar gosha-e-mehboob-e-khuda

haaye pamaal huwi laash-e-hussain ibn-e-ali
bhai ki laash pay mazloom bahan ro na saki
laashay urya pai lahu, chasme falaq roti thi
kalma padte thay payambar ka aur hastay thay shaki
laash par jamti thi khaaq aur yeh deti thi sada

parcham-e-hazrat-e-abbas uthaane walay
rahe aabad aza-khaane sajaane walay
aur salamat rahay nauhon ko sunanay walay
gham-e-sarwar may hai jo ashk baha nay walay
fatema zahra unhay khuld may deti hai dua

zikr-e-maula may qalam rok na apna mehshar
dekh zainab kay nahi sar pay abhi tak chaadar
pursa deta rahay ashaar say sheh ka mehshar
rakh tasawwur may kai hai dasht may laash-e-sarwar
laashe uryaan ko udata rahay nauhoon ki rida

NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)
Dr. Rehan Azmi - 2011

Run mai kehte-te shahe karbo’bala-Mera lashkar na raha x2
Ayiye Baba Ali, Dekhiya Ama Zahra, Mera lashkar na raha
Run mai kehte-te shahe karbo’bala-Mera lashkar na raha x2

Uske bazoo hai qalam, jo tha lashkar ka bharam x2
Khoon main dhooba alam, kaise ute-ga ye gham x2
Dhast main karta hun fariyado buka-Mera lashkar na raha
Run mai kehte-te shahe karbo’bala-Mera lashkar na raha x2
Naiza Akbar ke laga, dil mera doob gaya x2
Mai tadapta hi raha, usne dam thood diya x2
Mera Akbar bhi mujhe chod gaya, Mera lashkar na raha
Run mai kehte-te shahe karbo’bala-Mera lashkar na raha x2
Ek Ek karke gaye, saare ansaar mere x2
Kat gaye sab ke gale, O jo pyaare they mujhe x2
Haq E Nusrath kiya har ek ne ada, Mera lashkar na raha
Run mai kehte-te shahe karbo’bala-Mera lashkar na raha x2
Qasime ibne Hassan, tukde tukde tha badan x2
Ghar mai ek shab ki dulhan, dulha be-goro kafan x2
Leke kandhe pa utaya lasha, Mera lashkar na raha
Run mai kehte-te shahe karbo’bala-Mera lashkar na raha x2
Meri khuwahar ke pisar, O mere laqte jigar x2
Meri nusrath ke liye, katgaye dono ke sar  x2
Unko Zainab ne kiya mujpa fida, Mera lashkar na raha
Run mai kehte-te shahe karbo’bala-Mera lashkar na raha x2
Asghar e tashna-dahan, phool jaisa O badan x2
Khake ek teer gaya, janibe nehre laban x2
Gutniyon bhi jo-na aangan main chala, Mera lashkar na raha
Run mai kehte-te shahe karbo’bala-Mera lashkar na raha x2
Kya karun ji ke bhala, tu bata karbobala x2
Sar-shabo rooz mujhe, boond paani na mila x2
Alqama tujko magar sharm nahi aayi zara, Mera lashkar na raha
Run mai kehte-te shahe karbo’bala-Mera lashkar na raha x2
Kaise Rehan likhun, Dil huwa jaata hai khoon x2
Ibne Zahra ke liye, kaise matam na karun x2
Zere khanjar bhi jo deta tha sada, Mera lashkar na raha

NAWHA – SHAME-GHARIBAAN

BEHTI RAHI FURAAT, BEHTI REHI FURAT
Khoon ho ker beh gaya Akber kaa dil…
Muskura kar Khatam Asghar ho gaye (Behti rahi furat) x2

Karbala ke dasht me kaisaa andhera cha gaya
Aa gayi sham-e-gharibaa surkh hai khak-e-shifaa…
Jal-gaye khaim-e-sar-e-shamm-e-Aalam…..
Kitne manzar khaakh ho ker reh gaye (Behti rahi furat) x2

Dhal gaya din shaam aayi shaam phir aisi ke baad
Do paher ke baad chayi aisi tanhayi ki baad
Kis terhaa zehra ka ghar lutaa gaya….
 Kis terha be-sar bahathar ho gaye (Behti rahi furat) x2

Aaj subhe tak ye ghar roshan bhi tha abaad bhi
Sab ke waris thay salamaat bhayi bhi awlaad bhi
Ek hawa asi chali pardes me, Be zaban bache b be sar ho gaye

Ye hai woh sham-e-gharibaa jo Qayamaat bangayi
Dukhtar-e-zehra ke sar se jisne chadar chin li
Ya rasulallah Qayamat ho gayi……..
Dakhile khayma sitamgar hogaye (Behti rahi furat) x2

Aik ik khatre ko tarse ban mai at-faal-e-hussain
Mashk zakhmi, khaali quze laash pamaal-e-hussain
Reh gayaa maidaan mai.. bekas kaa tan……..
Jashan me masroof lashkar hogaye (Behti rahi furat) x2

Marte dam pani-pisar mange padar majboor hai
Tu bataa sham-e-ghariba al qamaa kiya door hai
Waye nehre al qamaa behti rahi , Aur pyaase qatl akber hogaye

Hai wohi manzar wohi khaimay wohi tishna labi
Aaye hai sham-e-gharibaa khu(n) rulaane aaj bhi
Gham hame "REHAN -O-SARWAR" kyu na ho…..
Mahve mataam jab payambar hogaye (Behti rahi furat) x2
NAWHA – SHAME-GHARIBAAN

Ye shame gariban hai, dariya ki rawani hai x2
Pyase na rahe baki phir kisliye paani hai

Asgar (as) tere lashe ko maa ban ke zamin rakhe x2
Ujdi huwi goodi ki x2 - Masum nishani hai

Khoun kaise ruke logoon Akbar (as) ka jawani mai x2
Hai khun naya lekin x2 - barchi ko purani hai

Malum na tha sheh ko khud apne hi haathose x2
Shabbar (as) ki nishani bhi x2 - Mati me milani hai

Shabbir (as) ko khanjar se ziyada ye aziyath hai x2
Takleef jo zindan me x2 - Bachi ko utaani hai

Zainab (sa) ne kaha tehro mai dasht me aati hu x2
Bhaiya tume Akber (as) ki x2 - Ab laash utaani hai

Har gham ko bhula denge har yaad mitadenge x2
Zehra (sa) tere bachoon ki x2 - Bas yaad manani hai

NAWHA–IMAM-E-SYED-E-SAJJAD (A.S)

HAAYE SAJJAD, HAAYE BIMAAR (3)
Mai chal bhi nahi sakta, Qaidi hun mei amma,
Mei chal bhi nahi sakta

Aankhon se lahu meri (2) Ek pal bhi nahi rukta
Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma…

Ye khun jo behta hai, is aak ka matam hai,
Mujhe touq aur bedi-ke, gham se bi sawa gham hai
Maa behne phuphi aayi (2) baazaar mei be parda

Bas mere kaleje pe, us waqt qazaa utri,
Naamu-se Mohammed ki, jis waqt ridaa uthri,
Baazaar mei aaya hai (2) zindaan ye mera laashaa

Tatheer ke par-wargar, ummat ne phiraaye hai,
Us bibi ko logoon ne, darbaar dikhaaye hai,
Jis bibi ka baba ne (2) chehra bhi nahi dekha

Jab ehle sitam ham par, barsaane lage pathar,
Kya jaane kya guzri, us waqt mere dil par,
Jab maa ne kaha mujhse (2) tum koun ho ay betaa

Lachaar behen meri, sehme huwe rehti thi,
Maasum Sakina ye, har moud pe kehti thi,
Kya dafn huwe honge (2) karbal mei mere baba

Abbas ko mehshar tak, ye dard rulaaega,
Zainab ke khule sar ko, woh dekh na paaega,
Ghairat ke khuda ka sar (2) naize pe nahi rukta

Akber ka hasee chehra, jo dekhte rehte hai,
Sab kufiyon shami bhi, roro ke ye kehte hai,
Is husn ke paikar ki (2) ab tak hai maa zindaa

Maa behne khule sar hai, raahon mei tamashaai,
Aulaade mohammed ko, taqdeer kahaan laayi,
Paa bande silaasil hun (2) kaanton se bhara rasta

Tera hi kalam maula, teri hi zabaan maula,
FARHAAN AUR SHOUKAT ki, aukaat kahaan maula,
Tauheed bhi karti hai (2) har waqt tera giryaa

NAWHA–IMAM-E-SYED-E-SAJJAD (A.S)
By: Shahid Baltistani 2010
 
Samne darbar ke ghairate Sajjad(as) ka hay yeh kaisa imtehaan
Teen din guzre khadi hain x2, Fathima (sma) ki betiyaan
Samne darbar ke ghairate Sajjad(as) ka hay yeh kaisa imtehaan
 
Shaam waaley has rahe hain, bekaso ko dekh kar
Hai charagha(n) chaar soo aur, saj rahe hai ba’amo-dar
Baabe saath par ruka hain be-kasoon ka carava(n)
                                                             
Sar Ali Akbar (as) ka neze par utathe hain shaqee
Sun chuki satrah azaane, berida binte Ali (sma)
Ro rahi hain har azaan sun-ker Ali Akbar (as) ki maa
 
Misle Zehra (sma) sar jhukaye shaamiyon me aagayi
Chaar barson mein Sakina (sma) par zaeefi chaagayi
Kaan bhi zakhmi hain galo-par tamachon ke nishan
 
Khoon ke aansoon tapakte, hain sar-e-Shabbir (as) se
Poochti hai jab Sakina (sma), Zainab-e-dilgeer (sma) se
Aye phupi amma yahan se, kab chalega carava(n)
 
Khoon rotha hai jo Abid (as), us ko ye ehsaas hai
Fathima Zehra (sma) ki chaadar, shamiyon ke paas hai
Dekh kar kehti hai Zainab (sma), mere Ghazi (as) ho kahan
 
Sab se mushkil merhala Sajjad (as) ke Yawar ye tha
Samne darbaar me jab, qaafila jaane laga
Pad-rahee thi(n) inna lillah, us ghadi sab bibiyaan


NAWHA–IMAM-E-SYED-E-SAJJAD (A.S)

MERA BIMAR IMAM (2)
WAQT SAJJAD NE KAISE WO GUZARA HOGA (4)
NAM ZAINAB KA JO GAIROO NE PUKARA HOGA
WAQT SAJJAD NE KAISE WO GUZARA HOGA (2)

YA RAB KOYI MIL JAYE NA PEHCHAN-NE-WALA
BAZAAR MAIN SAJJAD DUA MANG RAHA HAI

Lo Hussain Ibne Ali pyaase zibha hone lage (2)

Kitna sharminda wo darya ka kanara hoga

Wo gira zeen-se Zainab ki rida ka zamin (2)

Kon ab Fathema jaayi ka sahara hoga

Sare maidan tu jane to laga hai Asgar (2)

Kis tarah tere bina maa ka guzaara hoga

Nauke naiza pe bahane lage ansoo maula (2)

Phir Sakina ko kisi shaks ne mara hoga

Roze Mehshar ka hame dar nahi koyi “Shoukat”

Hath Shabbir ke kadmo pe hamara hoga

NAWHA–IMAM-E-SYED-E-SAJJAD (A.S)

HAI SHAAM KA BAZAAR (4)
SAJJAD SE RONE KA SABAB PUCH RAHA HAI
HAI SHAAM KA BAZAAR (2)
JO SHAAM ME GUZRI HAI, WOH SAB PUCH RAHA HAI
HAI SHAAM KA BAZAAR (2)

Woh lakh tamashai, be parda phupi behne
Kaisay na lahu roye, bimaar ki fhir aakhen
Is gam ki aziyyat ne, use maar diya hai

Kis tarah qaraar aaye, bimaar ko ay logoo
Sar naizoon pe pyaaroon ke, aate hai nazar jisko
Bay jurum musafir ki, yeh kaisi sazaa hai

Aankhoon se hai khun jaari, Khu-khar hai bimaari
Zanjeer hai pairon me, Aur Tawk-bi hai bhaari
Jalti hai zamin saari, Aur garm hawaa hai

Jaagir nahi maangi, zanjeer nahi pakdi
Saaye me nahin bai-ta poshaak nahi badli
Maa behno ki khaatir who, rida maang raha hai

Zindaan ke masaaeb bhi har waqt rulaate hai
………………………………………………………………
Mar jaye na Zainab ye kahi shoch raha hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2

Zinda se rihaa hoke bi, zinda me hain Sajjad
Ek nanhi si turbat jo, wahan karti hai faryaad
Markar bi rahun Qaid, me kya meri khataa hai

O zakhm bhi sajjad ko, jeenay nahi deta
Zakhmon se Sakina ke jo, chipkaa raha kurtaa
Woh khoon bharaa kurta hi, kafan Usko banaa hai

Baazaar me darbaar me, zindaan me roye
Chaalis baras mawth ke, armaan me roye
REHAN mera maula tadaptaa hi rahaa hai

NAWHA–IMAM-E-SYED-E-SAJJAD (A.S)

HAYE BAZAARE SHAAM, MERA BEKAS IMAAM (2)
EK YEHI BATH SAJAAD KO KHA-GAYI (2)
SAR KHULE HAAYE ZAINAB KAHAN AAGAYI
HAYE BAZAARE SHAAM, MERA BEKAS IMAAM (2)

Tuaq ke bouj se, sar nahi tha jhuka (2)
Wajh sharmindagi ek yahi dard tha (3)
Majmaye ashkiyaan mei phuphi aagayi.

Tap raha tha badan aur zanjeer bhi (2)
Be rida ma phuphi aur hamsheer bhi (3)
Soch te-the na kyu kar kaza aagayi.

Bibiyon ke gale reesmah se bandhe (2)
Gard aalood balo se chehre chupe (3)
Shaam tak is tarha binte Zehra gayi

Waarison ke janazon pe roye nahin (2)
Asr-e-aashur ke baad soye nahin (3)
Neend ruksat huwi aankh thakra gayi

Ekto zindaan uspa andhera bahoth (2)
Aur faryaad karne pe pehra bahoth (3)
Maut bhi is andhere se ghabhra gayi

So gayi Qaid-khane me who gamzadah (2)
Jiska shaam-e-gariban me daaman jalaa (3)
Qaid-khane ki usko zameen khagayi.

Kaise dafnaye jakde hai zanjeer me (2)
Dard likhi hai kya sirf takdeer me (3)
Dafan karne Sakina ko maa aagayi

Dard REHAN Sajaad ke mei likhun (2)
Ha mahe jaan-se mere tapak te hay khun (3)
Ruhe girta se is gham se tharraagayi.

NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

Hai Hussaina (2) Ay Waa-E-Sakina (2)
Ye ruksate aakhir hai pukaare shahewala
Ay Zainab-O-Kulsom, Rabab aur Rukaiya
Tum sab pe salaam akhiri Allah ko sompa
Lipti huwi qadmoo se ye kehti thi Sakina
(Ay kul ke madadgar, madad karne ko aaoo
Ya Fathima Zehra, mere baba ko bachaoo x2)

Baba na kaho baba, tum saath raho baba
Kuch hamse suno baba, aage na badoo baba
Aaraam karo baba (Bayraan ye dile duktar x2)
Qaime mei chaloo baba…. Ay kul ke madadgar
Juu yam ba kuja baba, dar hasttu tura baba
Nazamtu biya baba, ya ghayzi wafa baba
Lutfay bay numa baba, (Bayraan ye dile duktar x2)
Ay baba maru baba…. Ay kul ke madadgar
Mai jaan gayi baba, pehchaan gayi baba
Qurbaan gayi baba, talwaroon mai jaooge
Phir tumbhi na aaooge (Bayraan ye dile duktar x2)
Tum humko na tadpana…. Ay kul ke madadgar
Aya duktare neestam, yekta gohare neestam
Noore nazare neestam, yaa hum safare neestam,
Gar bargardi man nistam (Bayran ye dile duktar x2)
Bar gardu biya baba…. Ay kul ke madadgar
Baba ye mere baba, laazim hai agar jaana
Ye humse karoo wada, jab shab ka ho sanata
Aur meri sada suna (Bayraan ye dile duktar x2)
Tum lout ke ajana…. Ay kul ke madadgar
Baba ye mani baba, laazim shudagar raftan
Ee wada a maa baashad, darkar kiya shab ha
Bishnu cho sadaye man, (Bayraan ye dile duktar x2)
Baaz aaye baraaye man……. …. Ay kul ke madadgar
Sheh bole Sakina jaan, Sou jaan se mai khurbaan
Is tarha na ho giriyaan, ek wada nibhana hai
Ek karz puraana hai (Bayraan ye dile duktar x2)
Tum aaj duwa karna…  Ay kul ke madadgar
Pursa hai paa-ye moula, Rehan-O-Ali Ji ka
Karte they haram nawha, Sarwar ne kaha beti
Saa ath hai judaai ki  (Bayraan ye dilin duktar x2)
Maqtal na chali aaana…… Ay kul ke madadgar

NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

MAI-YATH HAI SAKINA (sma) KI
ANDHERA HAAYE ZINDAAN (2)
Allah na dikhlaye - Ab aisa koyi zindaan
Mayyath hai Sakina (sma) ki andhera haaye zindaan (2)

Kurte ka kafan, ghusl, diya a’ashkon se jisko
Dafnaya use kaise ye Sajjad (as) se poocho
Kha’amosh huwi bachi (2) to rota raha zindaan

Udte huwe dekhe-jo parindoon ko puka’ri
Ay Taayir-O-Sughra (sma) ko khabar do ye hamari
Tum khush raho Sughra (2) meri kismat may tha zindaan

Kano ka lahoo chand se chehre pe jama tha
Qaimo may lagi  aag - to daaman bhi jala tha
Tanhaayi may bachi ko (2) dasta raha zindaan

Sehmi huwi rehti thi sitamgaaro ke dar se
Shikwe kiya karti thi fakhad baap ke sar se
Likha gaya kismath may (2) ye kaisa hai zindaan

Ab khaakh pe soti ho - na takiya hai na bistar
Rakta nahi ek sham-ma, koyi ab to jalakar
Jeene nahi deta mujhe (2) ay baba - ye zindaan

Kehti thi phuphi qaid se kab ho’ogi rehaai
Amma mere ammu ki, khabar kyun nahi aayi
Tukde kiye deta hai (2) kalaija mera zindaan

Sar baap ka paaya to, O phir is tarha soyi
Phir royi nahi uske liye mauth thi royi
Deta raha Sajjad (as) ko (2), pursa sada zindaan

Maa kehti rahi aao utho neend se jaago
Azaad huwi qaid se, mai jaati hun ghar ko
Milne chalo Sughra (sma) se (2) ke ab khul gaya zindaan

Ghar jaane ka armaan tha Sakina (sma) ka jo REHAN
Marke bhi na pura huwa us bachi ka armaan
Masoom Sakina (sma) ka (2) markhad bana zindaan

AZADAROON DUWA MANGO’O, KOYI AISE YETEEM NA HO,
JAISE SAKINA YETEEM HUWI, SHAM-KE ZINDA’AN MEI-
JAB SAKINA (SMA) KO BABA KA SAR MILA....,
LIPTAA-KESARKO SEENA SAY, BACHI NE YE’E KAHA,
KHAGAYE SHA’AM KE ZINDA’AN MEIN, ANDHERE BABA (2)
Kisko kehte hai yetimi ye, suna tha maine, Aap-ke baad ye ehsaas huwa hai baba

Aap ke baad yetimi ki saza paayi hai,
Etni tanha hun ke saaya hai - na parchaayi hai,
Raath ro-roke guzarti hai, To din maatam mai,
Khayd khane mei yuhin sa’al kata hai baba.
Zindagi meri dukhoon say hai ibarath baba,
Kaisi qismat ne dikhaayi hai musibath baba,
Mai jo rotii hun to lagte hai tamache baba,
Aap ki yaad mei rona-bi saza hai baba.
Hai.. Ashk aankhoon say nikalte hai, Lahu kaano say,
Ab darindoon say nahin khauf, hai insaanoo say,
Ek majbur yetimaa par - sitam dhaate hai,
Meri taqdeer mai duroon ki jafaa hai baba.
Aap ki tarha say rooute hai ujaale baba,
Kaun zindaan say ab mujko nikale baba,
Tune manga’a tha duwa-O-mai khuda say jisko,
Ab wohi beti hai zindaan-ne jaafa hai baba.
Kitne armaa-the-ke zindaan say mai ghar jaaungi,
Aisa lagta hai yehi roo-roo-ke marjaungi,
Ye sitamgaar Sakina ko kafaan kya denge,
Kya kafan aapke lashe ko mila hai baba.
Hai.. Baba kehte hai ye zindaan ke andhere mujse,
Maut hi aayegi ab mujko, dilaasay denay,
Meri har saaans hi rehti hai sitam ki zad par,
Aise jeene say to marna-hi bhala hai baba.
Zakm lakhoon hai kalaije mai, dikhaun kaise,
Mujpe jo beet rahi hai O, bataun kaise,
Pyaas lagti hai-to peelay-ti hun aansoon apne,
Shimr (la) ke duray Sakina (sma) ki giza hai baba.
Lafz “MAZHAR” ne jo likhe hai, Lahooo roote hai,
SHADMAN aankh say yun ashk-e-aza behte hai,
Aisa lagtaa hai ke zindaan say, sada aati hai
Aisa nawha meri ghurbath pay likha hai BABA..

NAWHA– SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

Sakina Jaag Jayegi
Machawo shoor na logon - Sakina Jaag Jayegi
(Meri Zanjeer Na Khencho - Sakina Jaag Jayegi) x2

Kabhi Bachi ko takta hai, kabhi aansoo(n) bahata hai
Dar-e-Zindan pe behta musaafir sabse kehtaa hai
Zaraa aaram se guzro, Sakina jag jayegi

Kisi bhi Zulm ke jo aah ki khatir wo lab khulte
Tadap ker Abid-e-bimar ye kehta thaa hotoon se
Agar ye aah nikli to, Sakina jag jayegi

Agar Aulaad wale ho tumhe ye sab pataa hoga
Adhoori neendh se uth jaye jo bachi to kiya hoga
Khudara shimr ko roko, Sakina jag jayegi

Abhi Zindan me hojayega ek kohraam ye barpa
Who aahat sunke samjegi ke shayed aa gaye baba
Dar-e-Zindan naa kholo, Sakina jag jayegi

Ye wadaa hai meraa pani nahin mangooga me tumse
Wo jab uth-jaye to jee bhar ke beshak maar na dure
abhi bekas ko na maro, Sakina jag jayegi

Abhi azAad ho tum qayd ke matlab ko kiya jano
Parindo chood do zindan meri ye iltejaa maano
Chale jawoo naa yu chehko, Sakina jag jayegi

Sar-e-Zinda sakina ko kazaa ki neend kiya aayi
Kisi se kuch nahi kehtaa hai, itna mazloom thaa bhayi
Ke ab ye dar nahi usko, Sakina jag jayegi

Saf-e-matam se abid ka ye "Akbar" bayn aata hai
Isse bas waaste purse meri ab cheyn aata hai
Sada matam ki na roko, Sakina jag jayegi


SALAM – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

Ek Baar Aur Mujhe Godh May Lelo Baba

Wa Hussaina Ka Huwa Shor Haram May Barpa
Hoke Ruqsath Jo Chale Ghar Se Shahe Karbobala
Kehke Ye Daudi Sakina Ke Teher Jao Zara
Ek Baar Aur Mujhe....

Sheh Ne Bachi Ka Jo Ye Haal Pareshan Dekha
Roke Farmaya Ke Kya Haal Meri Mahelekha
Jodh Kar Nanhe Se Haathon Ko Sakina Ne Kaha
Ek Baar Aur Mujhe....

Sochti Hoo Ke Tamache Koi Maare Na Mere
Goshware Koi Kaano Se Uthare Na Mere
Wehm Aate Hai Mere Dil May Na Jane Kya Kya
Ek Baar Aur Mujhe....

Baba Seene Se Sakina Ko Lagate Jao
Ab Kahan Hogi Mulaqat Batate Jao
Tumko Akbar Ki Qasam Ghuncha Dahan Ka Sadqa
Ek Baar Aur Mujhe....

Ab Mai Pyasi Hoo Na Pani Ki Zaroorat Hai Mujhe
Koi Haajat Nahi Bas Itni Si Hasrat Hai Mujhe
Dekhloo Phir Se Jee Bhar Ke Tumhara Chehra
Ek Baar Aur Mujhe....


NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)
By: Ali Deep Rizvi

AAJAOO BABA (AAJAAO) X 2
BAHOTH ANDHERA HAI ZINDAAN MEI BABA AJAOO (3)
MAI KABSE SOOYI NAHIN HUN, MUJHE SULA JAOO, AJAO
BAHOTH ANDHERA HAI ZINDAAN MEI BABA AJAOO

Andhera itna hai mujko nazar nahin ata
Nahin hai saath me koyi ye dil hai ghabraata
Mai marna jaaun kahin khauf se bacha, jaoo (aajao)
Bahoth andhera hai zindaan mei baba aajao (3)
Bichad ke tumse na ek pal-bhi chain aaya hai
Qadam qadam pe naya ek sitham hi paaya hai
Thakan se chuur badan hai, gale laga jaoo (aajao)
Bahoth andhera hai zindaan mei baba aajao (3)
Hai gaal surkh tamachoon se kya kahun baba
Mere to kurte ka daaman bhi jal gaya baba
Meri to aas tumhi ho, khudara ajao (aajao)
Bahoth andhera hai zindaan mei baba aajao (3)
Agar mai rothi hun roone bhi nahin de’ete hai
Mujhe to khaaq pe sone bhi nahin de’ete hai
Sitamgaroon ke sitam se mujhe bachajao (aajao)
Bahoth andhera hai zindaan mei baba aajao (3)
Mere tho kaan hai zakhmi zabaan suukhi hai
Samaj-loo baba ke mushkil me teri beti hai
Bas ek baar kalaije se tum lagajao (aajao)
Bahoth andhera hai zindaan mei baba aajao (3)
Mujhe to lagta hai ye qabr ka andhera hai
Mere naseeb mei ab-na koyi savera hai
Sukoon se soungi lori mujhe sunaajaoo (aajao)
Bahoth andhera hai zindaan mei baba aajao (3)
Ye meri aah hai faryaad-O-istegasa hai
Ye nawha mera Ali Deep ne jo likha hai
Mukhaam iska Ghulaamoon me ab bada jaoo (aajao)

NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

Sakina, ki sadaa hai.  Arey O, Shaam walo. Arey O, kufe walo.
Arey O, Shaam walo.  Sakina, ki sadaa hai.
(Arey O, Shaam walo. Kafan, baba ko day do) x3
Arey O, shaam walo. Arey O, shaam walo. Arey o, kufe walo.

Mere pyaare jo amu aaj hote, Kabhi naa is khadar majbur hote.
Gada-e karke laate, Magar tumse na kehte,
Arey o, shaam walo,  Kafan, baba ko day do, Arey O.....

Arey o, shaam walo. Arey o, kufe walo.
Chacha ka sar ye naize, se hatado, Sare Shabbir par parda udado
Ye gham, Kitna bada hai. Meri maa be ridaa hai.
Arey o, shaam walo,  Kafan, baba ko day do, Arey O.....

Arey o, shaam walo. Arey o, kufe walo.
Mai khatoon-e Jina ka aayina Hu, Rasan basta asire, be rida hu
Meri, janib na dekho. Mera, kurta phataa hai.
Arey o, shaam walo,  Kafan, baba ko day do, Arey O.....

Arey o, shaam walo. Arey o, kufe walo.
Wo sina mere baba ka kahan hai, Suna hai bar sare tege tapa ha,
Nahin haye wo sine. Kahan, soye sakina.
Arey o, shaam walo,  Kafan, baba ko day do, Arey O.....

Arey o, shaam walo. Arey o, kufe walo.
Mere ghar ki kanize, ba rida hai, Qayamat, hogayi hum berida hai
Sitam, kitna bada hai. Phuphi Ka sar khula hai.
Arey o, shaam walo,  Kafan, baba ko day do, Arey O.....

Arey o, shaam walo. Arey o, kufe walo.
Yatimo ko satana kab rawa hai Dukhe dil ko dukhana kab rawa hai
Sitam, jo chahe karlo. Magar ik kam-e kar do
Arey o, shaam walo,  Kafan, baba ko day do, Arey O.....

Arey o, shaam walo. Arey o, kufe walo.
Rihayi ki tamana, mar chuki hai, Ye zinda meri manzil, akhri hai
Magar, baba se kehna. Aba Ana shaam aana.
Arey o, shaam walo,  Kafan, baba ko day do, Arey O.....

HAAYE SAKINA (6)
SHAB KI TAREEKI MEIN AKSAR’R,
ZINDAANE SHAM MEIN GHABRAKAR’R
SHIMR KE DAR SE, YAADE PADAR SE, MAA SE LIPAT KAR
Kehti thi sakina ro ro kar, Ay amma yahan se riha ho kar,
Ya najaf chalo - Ya watan chalo

Koi sunta nahin faryad meri, (Hai zakhm bada is dil pe yahi x2)
Dada se kahungi ghum apne, Jis roz yahan se jaaoungi
Kab tak mein rahungi naw’hagar, Kehti-hun jab-hi to mein aksar

Dada ki lahad par jaoungi, (Ye neel unhe dikhlaungi x2)
Ye zakhmi kaan jala’a kurta, Sughra ko dikhane jaaoungi
Yaad aye kabhi mujhko khwahar, Yaad aye kabhi dada haidar

Jo bibi payambar zaadi hai, (Wo bhi to yahaan faryaadi hai x2)
Yasrab ke tasawwur ne amma, Ek rahe sukoon dikhlaati hai
Ho khatm aziyyat ka ye safar, Bhar jaayenge sare zakhme jigar

Ab aur ghamon ki tab nahin, Ro-roke ye ankhe khushk huwix2
Kya tum ko gawara hai amma, Ban jaye meri marqad bhi yahi
Kuchh khauf nahin marne ka magar, Ehsaan karo itna mujhpar

Har raat huwi matam mein basar, (Har din hi guzara ro-ro karx2)
Ye zakhme aseeri zakhme jigar, Zalim ke tamaache yaade pidar
Milti hai saza-e-maut agar, Ye akhri khwahish hai maadar

Azad parindoon par aksar, (Ay amma meri jaati hai nazar x2)
Us waqt khayal a’taa hai mujhe, Kab qaid se chutkar jayenge ghar
Hai khouf lainoon ka dilpar, Faryaad karun kyu na rokar

Ankhon ko rasai dene lage, (Sab zakhm duhayi dene lage x2)
Jab mout mere sar par aayi, Ye log rihai dene lage
Ye lamhe ghaneemat hai maadar, Ye zakhm banenge rakhte safar

Dada ko wahaan pursa denge, (Phir fateha khani karlenge x2)
Jab dil ko sukoon miljayega, Ham log watan ko jaayenge
Sab royenge qabre zehra par, Jo meine kaha socho manzar

IRFAN aur MAZHAR apna watan, Hai bibi sakina ka madfan x2
Nisbat he najaf ki matti se, Payenge usi dharti ka kafan
Jab waqte qaza hoga humpar, Kehdenge farishto(n) se rokar

NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

SAKINA UTO. MERI JAAN UTO.
Reha-yi mili. chalo ghar chale (2)
Ye Karti thi maa, lehad par buka, Meri la’adli, Chalo ghar chale.
Sakina uto. Meri jaan uto. Rehae mili. Chalo ghar chale (2)

Yaha se chalo, chale karbala. wahi pe tumhe, milenge chacha
Sitham jo huwe, batana unhe. Dikhaana unhe, ye kurta jalaa.
Chacha-jaan ko, dikhana zara, Ridaa khun bhari, chalo...

Bataana unhe, sabhi sakhtiya. Mili jis khadar, tuje gud-khiyaan
Hamari rida, luti kis tarha. Chini jis tarha, teri baaliyaan.
Bata’ana une, buji kis tarha, Teri tishnagi, chalo ghar chale.

Padar se milo, to dil joee ho. Bataana unhe, bahoth rooyi ho.
Kasam lo agar, tumhare bina. Sakina kabhi, kahin sooyi ho.
Lahad baap ki, mile jab tujhe, To kehna yahi, chalo ghar chale.

Lahad jab mile, tujhe bhai ki. To kehna use, meri ladli.
Rehaee mili, hame kaid se. Hame ab nahi, aziyath koyi.
Mere be zaban, uto ghar chale, Shabi-he nabi, chalo ghar chale.

Labe al-Qama, tu karna fugaa. Teri mouj hai, abhi tak rawa.
Meri pyaas par, huwe jo fida. Chacha ke mere, hai baazu kaha.
Kahaa mashk hai, kahaa hai alam, Kahaa hai jari, chalo...

Na ab gham koyi, na uftaad hai. Wo zanzeer se, ab aazad hai.
Puphi bhi teri, tere sath hai. Tere sath hi, wo Sajjad hai.
Meri gham zadaa, shabe gham kati, Sahar ho chuki, chalo...

Labo par tere, yahi baat thi, watan jayenge, kabi ham puphi
Tuje shimr ka, nahi khouf ab. Satayenge na, tuje ab shaki.
Nikal qaid se, shuru ham kare, nayi zindagi, chalo gar chale.

Gharibo ka ye, luta khafela. Wida ho ke phir, watan jayenge.
Tuje payengi, jo Sughra teri. To bimar ko, milengi dawa.
Gale mil ke phir, bohoth roengi, wo behna teri, chalo..

Mazar-e nabi, laraz jayengi. Bahen jab teri, karengi bukaa.
Kaha hai chacha kaha hai padar, kaha hai bata bhara ghar mera
Suna ne use, ye rudaad-e gham, Yehi bebasi, chalo ghar chale.

3 comments:

  1. Jazakallh....very nic collection of nauhas.....agar koi aisa audio me bhi hote to acha hota ...kyu k kuch k taraz nahi ate....

    ReplyDelete
  2. I am desperate for the nauha 'Sughra ne likha baba tumhe khwab mein dekha, bechain hai dil mera tumhe khwab mein dekha'. Can anyone help?

    ReplyDelete
  3. Mashallah.. Jazakallah al khair.. very nice collection of nowha s.. most of them are my very favorite nowhe s..
    Thanks a lot.. Allah ..admin or sab lyricists ko amaan me rakhe

    ReplyDelete

 
back to top