Monday 27 March 2017

FAZILATE MAHE RAJAB

No comments:

📿 *Fazilat Mahe Rajab*📿
🔹🔸🔹🔸🔹🔸
*1⃣ Rasule Khauda (sawa):*
Yaqeenan Rajab ALLAH ka maheena hai; Shabaan Mera maheena hai aur Mahe Ramzan meri ummat ka maheena hai.
*(Mafaatih ul Jinan)*

*2⃣ Imam Ali (as):*
Mujhe Khushi Mehsos Hoti Hai Ke Insan Pure Saal Ke Doran In 4 Raton Me Khud Ko Tamam Kamo Se Farigh Karke Bedar Rahe aur KHUDA Ki Ebadat Kare;
Wo 4 Raten Ye Hai:
1. Rajab Ki Shabe Awwal
2. Shabe Neema-e-Shaban
3. Shabe Eid-ul-Fitr
4. Shabe Eid-e-Qurban
*(Mafatih ul Jinan, P.284)*

*3⃣ Imam Kazim (as):*
RAJAB Bahisht Me Ek Nehar Hai Jiska Pani Doodh Se Zyada Safaid aur Shehad Se Zyada Shirin Hai; aur Jo Shaks Is Maah (RAJAB) Me Ek Din Ka Roza Rakhega To Woh Is Nehar Se Serab Hoga.
*(Mafatih ul Jinan, P.267)

*4⃣ Imam Kazim (as):*
Maah-e-RAJAB Me Ek Roza Rakhne Se Jahannum Ki Aag Ek Saal Ki Musafat Tak Dur Hojati Hai aur Jo Shaks Is Maah Me 3 Din  Roza Rakhe To Jannat uske Liye Wajib Hojati Hai.
*(Mafatiul Jinaan)*

*5⃣ Rasule Khuda (sawa):*
Jo Mahe Rajab me 3 roze rakhe, har ek roze k badle me Allah (s.w.t.) ose ek saal k roze rakhne ka sawab likhega.
*(Mafatiul Jinaan)*

6⃣ *Jo Shaks Mahe Rajab me 3 din Roza Rakhe; Guruwar (thusday), Juma, aur Shanichar ke din, Use 100 Saal ki Ibadat ka Sawaab Milega.*
*(Mafatiul Jinaan)*
🔹🔸🔹🔸🔹🔸
*7⃣Imam kazim (as):*
Jo shakhs Mahe Rajab me Ek din roza rakhega Aatish e Jahannum usse ek saal ke fasale tak dur hojaeegee.
*(Mafati ul Jinan  pg 241)*

*8⃣ Rasulallah (sawa):*
"...Jaan lo kay jo shaqs Emaan aur Allah se Ajr ki umeed kay saath Rajab mein ek din roza rakhey toh Allah ta'ala ki buzurg raza payega aur uss ka uss din ka Roza Ghazab e Khuda ko thanda kardega, aur uss kay liyie Jahannam kay darwazon mein se ek darwaza band ho jayega, aur agar woh zameen ki miqdaar ka sona bhi ussey de diya jaye toh uss kay uss roza se woh afzal nahi hain aur duniya mein se koi bhi cheez uss kay uss rozey ka badla nahi ban sakti siway nekiyon kay, jab uss ney yeh roza Allah kay liyie ikhlaas kay saath rakha ho. Aur iss kay liyie jab iss rozey kay saath shaam karey (raat ho jaye) toh uss ki dus (10) du'aen mustajaab hoti hai, agar uss ki dua duniya mein kissi cheez kay jaldi paney kay liyie hogi toh (Allah) woh ussey ata farmayega, warna Allah uss kay liyie aysi acchaee ko mehfooz karlega jo uss kay awliya Ahbaa aur asfiya ki dua se Afzal hogi…"
*(Sawabul Aamal, Urdu- Page.62, 63)*
🔹🔸🔹🔸🔹🔸
*9⃣ Rasule Khuda (sawa):*
RAJAB Meri Ummat Ke Liye Astaghfaar Ka Mahina Hai Pas Is Mahine Me Zyada Se Zyada
Talab-e-Maghfirat Karo Ke KHUDA Boht Bakhshne Wala aur Meharban Hai. Is Mah Me Ba kasrat Ye Kaha Karo;

*أَسْتَغْفِرُ اللّه وَأَسْأَلُهُ التَّوْبَةَ*

*ASTAGHFIRULLAHA WA AS’ALOHOT TAOBATA*

*(Mafatiul Jinaan)*

*🔟 Mahe Rajab me* Rozana Subah aur Sham me 70 Martaba Padhe:

   *أَسْتَغْفِرُ اللّهَ وَأَتُوبُ إلَيْهِ.*

*Astaghfirullaha wa atubu ilayhi*

Iske Baad Hatho ko Buland karke Kahe.......

*ُاللّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَتُبْ عَلَيَّ.*

*Allahuma aghfir li wa tub'alayya.*

*(Mafatiul Jinaan)*
🔹🔸🔹🔸🔹🔸
*1⃣1⃣ Rasule khuda (sawa):*
Jo Mahe Rajab me 100 martaba is tarah *Istegfar kare* aur *fauran Sadqa de* to Allah oski zindagi rehmat aur bakshish par tamam karega, aur *400 martaba padhe to 100 Shaheedo ka sawab aata karega.*

*اَسْتَغْفِرُ اللّٰهَ ذَا الْجَلالِ وَ الْاِكْرَامِ مِنْ جَمِيعِ الذُّنُوبِ وَ الْآثَامِ*

*"Astaghfirullah hal lazi la ilaha illa huwa wah-dahu la shari'kalahu waa'tu builayh"*
*(Mafati al Jinan, P.535 Eng)*

*1⃣2⃣ Rasule Khuda (sawa):*
Jo shaks Mahe Rajab me 1000 martaba;

*لا إلهَ إلاّ اللّهُ*
*LA ELAHA ILLAL`LAH*

padhe to oske liye 1 lakh neki likhi jayegi aur Allāh (s.w.t.) jannat me oske liye ek shehar banaega.
*(Mafatiul Jinaan)*
🔸🔹🔸🔹🔸🔹
🌺 اللهم عجل لولياك الفرج(ع)

*اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن*
🔹🔸🔹🔸🔹🔸

 
back to top