Monday 28 November 2016

sukha hai gala sheh ka kaate nahi kat-ta hai

No comments:

*sukha hai gala sheh ka kaate nahi kat-ta hai*

1. Qurbaniye sarwar se islam ka charcha hai
Wallah azal se yeh ahqar ka aqeedah hai

2. Abbas ki aamad sun kar hi la'eeń bhage
Thahrega yaha jo bhi yeh jaan lo marna hai

3. Masoom se asghar ke nazuk se tabassum se
Lashkar me qayamat ka har simt tahelka hai

4. Khakhi tha magar hur yeh batla gaya dunya ko
Zahra ka pisar pal me taqdeer badalta hai

5. Abbas ka sar rakh kar zano pe kaha sheh ne
Ek baar kaho bhai, bhai ki tamanna hai

6. Insaan ne dekha hai Nazro se naya manzar
Neze pe kata sar hai quraan sunata hai

7. Jab lahja e hyder me zainab ne padha khutba
Darbar me har janib chaya huwa sakta hai

8. Ay karbobala tujh par chehlum ho bahattar ka
Is kaar me ek tanha zainab ma kaleja hai

9. Sughra ki ziyarat ka armaan liye dil me
Jane ke liye yasrab betaab sakina hai

10. Aajaao azadaro shabbir ki majlis me
Farmane payamber hai har gham k madawa hai

11. Maqtool ki maqtal me qaatil ye gawahi de
Sukha hai gala sheh ka kaate nahi kat-ta hai

12. Zeeshan mujahid hai maula ka sare mimber
Har majlis o mahfil me haq baat wo kahta hai

✍ Zeeshan Azmi

*سوکھا ہے گلا شہ کا کاٹے نہیں کٹتا ہے*

١. قربانیِ سرور سے اسلام کا چرچا ہے
واللہ ازل سے یہ احقر کا عقیدہ ہے

٢. عبّاس کی آمد کو سن کر ہی لعیں بھاگے
ٹھہرے گا یہاں جو بھی یہ جان لو مرنا ہے

٣. معصوم سے اصغر کے نازک سے تبسم سے
لشکر میں قیامت کا ہر سمت تہلکہ ہے

٤. خاکی تھا مگر حرّ یہ بتلا گیا دنیا کو
زہرا کا پسر پل میں تقدیر بدلتا ہے

٥. عبّاس کاسر رکھ کر زانو پہ کہا شہ نے
اک بار کہو  بھائی بھائی کی تمنا ہے

٦. انسان نے دیکھا ہے نظروں سے نیا منظر
نیزہ پہ کٹا سر ہے قرآن سناتا ہے

٧. جب لہجۂ حیدر میں زینب نے پڑھا خطبہ
دربار میں ہر جانب چھایا ہوا سکتہ ہے

٨. اے کرب و بلا  تجھ پر چہلم ہو بہتّر کا
اس کار میں اک تنہا زینب کا کلیجہ ہے

٩. صغری کی زیارت کا ارمان لئے دل میں
جانے کے لئے یثرب بیتاب سکینہ ہے

١٠. آجاؤ عزاداروں شبّیر کی مجلس میں
فرمانِ پیمبر ہے ہر غم کا مداوا ہے

١١. مقتول کی مقتل میں قاتل یہ گواہی دے
سوکھا ہے گلا شہ کا کاٹے نہیں کٹتا ہے

١٢. ذیشان مجاہد ہے مولا کا سرِ منبر
ہر مجلس و محفل میں حق بات وہ کہتا ہے

✍  ذیشان آعظمی

Sunday 13 November 2016

Thursday 10 November 2016

Kaha kisine sakina...SHADMAN REZA -2014

No comments:

Koi bhi beti tumhari tarah yateem na hohaay meri shahzadi sakina
hae mera maula husain
apke ahle haram ko gulamo ki tarah qaid karke
aur aahni zanjeer me buri tarah jakad ke ooto pe bitha diya gaya
din ko dopahar ki garmi se unke chehre julasne lage
aur woh garib dayaar kasha kasha
bayabano aur jangalo me firaye jaa rahe the
unke hath unki gardano se bandh diye gaye the
is tarah unko bazaro me phiraya ja raha tha
yeh qafila rawaa dawaa tha, ke sheher ki aurto aur bacho ne kuch aisi bachiyo e kaha
chalo kuch asir humaari gali se guzre
suna hai in aseero yatimo miskino ki dua me bada asar hota hai
aurte apne chote bacho ko lekar qafele ki taraf aayi
dekha ek bibi baalo se chehra chupaye hue hai
aur ek char saal ki bacchi hai jiske gale me rassi hai
aur woh ro rahi hai, roti jati hai
haye meri shahzadi sakina

Kaha kisine sakina se tum dua yeh karo
Koi bhi beti tumhari tarah yateem na ho

1. Woh jiska dil ho dukhi raat bhar nahi sota
duaen karte hue jab bhi koi hai rota
suna hai uski duao me hai asar hota
hamare ghar ho salamat yeh tum dua maango

2. Ye keh rahe hai ke beemar ko dawa denge
kafan shahido ko behno ko hum rida denge
yeh chaar saal ki bacchi ko hum dua denge
hame bhi ek dua chahiye ye is se kaho

3. Kaha kisine ke baba safar pe nikle hai
kaha yeh maan ke isse duaen lete hai
hamare bibi bohot chote chote bacche hai
sakina sochne lagti hai lashe asgar ko

4. Yeh nanhi bacchi ki halat pe koi kehta hai
najaf me iska koi rishtedaar rehta hai
chini hai baliyan kano se khoon behta hai
larazte haath hai yeh dekhkar tamacho ko

5. Kaha kisine jo yeh bibiyan hai bechadar
yeh fakre maryam o saara hai aale payghambar
yeh tauq me jo baradar hai abide muztar
imame waqt hai yeh de dua kaho inse

6. Yeh fatema ke hai ghar ki azeem hai rutbe
dua kare kaho mushkil kusha ki poti se
bohot kareeb hai bacchi yeh arshe khaliq ke
dua yeh maang le phaila ke nanhe haatho ko

7. Nahi hai taab ye kurte ko dho nai sakti
yeh rona chahti hai aur ro nai sakti
yeh qaid khane me ek pal bhi so nahi sakti
nahi hai baap ka sina bhi iske sone ko

8. Dua toh kardi sakina ne haath failakar
laraz raha hai kamar arshe khaliqe akbar
phuphi ne thama sakina ko phat gaya tha jigar
hussain ki tarah kitni kareem hai dekho

haye
kaha sakina ne ehle aza salamat ho
sabhi ke nure nazar mahlaqa salamat ho
bhatije bhanje sabke chacha salamat ho
duae deti hu har waqt apne shiyo ko
kisi ki beti bhi meri tarah yateem na ho

sakina bibi tumhare ghulam hazir hai
bujhe jo pyaas toh ashko ke jaam haazir hai

11/11/2016 10th safar SHAHADAT E BIB SAKINA S.A.

No comments:

*```⚫Haaye Sakina(sa)⚫```*

*Jahaan e gam ki sataii thi, thak ke soyi hai,*
*Sakina(sa) ab nahi jagegi nind hai gehri..*

*Watan naseeb huwa na kafan mila usko,*
*Gareeb baap ki beti gareeb hi thehri..*

*جھانِ غم کی ستائی تھی تھک کے سوئی ہے*
*سکینہؐ اب نہیں جاگےگی نیند ہے گہری*

*وطن نصیب ہوا نہ کفن ملا  اسکو*
*غریب باپ کی بیٹی غریب ہی ٹھہری*

_✍🏼Anees Abr_

back to top