Thursday, 10 November 2016

Kaha kisine sakina...SHADMAN REZA -2014

No comments:

Koi bhi beti tumhari tarah yateem na hohaay meri shahzadi sakina
hae mera maula husain
apke ahle haram ko gulamo ki tarah qaid karke
aur aahni zanjeer me buri tarah jakad ke ooto pe bitha diya gaya
din ko dopahar ki garmi se unke chehre julasne lage
aur woh garib dayaar kasha kasha
bayabano aur jangalo me firaye jaa rahe the
unke hath unki gardano se bandh diye gaye the
is tarah unko bazaro me phiraya ja raha tha
yeh qafila rawaa dawaa tha, ke sheher ki aurto aur bacho ne kuch aisi bachiyo e kaha
chalo kuch asir humaari gali se guzre
suna hai in aseero yatimo miskino ki dua me bada asar hota hai
aurte apne chote bacho ko lekar qafele ki taraf aayi
dekha ek bibi baalo se chehra chupaye hue hai
aur ek char saal ki bacchi hai jiske gale me rassi hai
aur woh ro rahi hai, roti jati hai
haye meri shahzadi sakina

Kaha kisine sakina se tum dua yeh karo
Koi bhi beti tumhari tarah yateem na ho

1. Woh jiska dil ho dukhi raat bhar nahi sota
duaen karte hue jab bhi koi hai rota
suna hai uski duao me hai asar hota
hamare ghar ho salamat yeh tum dua maango

2. Ye keh rahe hai ke beemar ko dawa denge
kafan shahido ko behno ko hum rida denge
yeh chaar saal ki bacchi ko hum dua denge
hame bhi ek dua chahiye ye is se kaho

3. Kaha kisine ke baba safar pe nikle hai
kaha yeh maan ke isse duaen lete hai
hamare bibi bohot chote chote bacche hai
sakina sochne lagti hai lashe asgar ko

4. Yeh nanhi bacchi ki halat pe koi kehta hai
najaf me iska koi rishtedaar rehta hai
chini hai baliyan kano se khoon behta hai
larazte haath hai yeh dekhkar tamacho ko

5. Kaha kisine jo yeh bibiyan hai bechadar
yeh fakre maryam o saara hai aale payghambar
yeh tauq me jo baradar hai abide muztar
imame waqt hai yeh de dua kaho inse

6. Yeh fatema ke hai ghar ki azeem hai rutbe
dua kare kaho mushkil kusha ki poti se
bohot kareeb hai bacchi yeh arshe khaliq ke
dua yeh maang le phaila ke nanhe haatho ko

7. Nahi hai taab ye kurte ko dho nai sakti
yeh rona chahti hai aur ro nai sakti
yeh qaid khane me ek pal bhi so nahi sakti
nahi hai baap ka sina bhi iske sone ko

8. Dua toh kardi sakina ne haath failakar
laraz raha hai kamar arshe khaliqe akbar
phuphi ne thama sakina ko phat gaya tha jigar
hussain ki tarah kitni kareem hai dekho

haye
kaha sakina ne ehle aza salamat ho
sabhi ke nure nazar mahlaqa salamat ho
bhatije bhanje sabke chacha salamat ho
duae deti hu har waqt apne shiyo ko
kisi ki beti bhi meri tarah yateem na ho

sakina bibi tumhare ghulam hazir hai
bujhe jo pyaas toh ashko ke jaam haazir hai

No comments:

Post a Comment

 
back to top