Tuesday 25 April 2017

28 mahe rajab yaume aaghaz e karbala

No comments:

aaye jo qabre fatema pe sayyade anaam
ruksaar rak-ke kabr pe rokar kiya kalaam
sehra may dil ke tukdon ki basti basaunga
amma madina laut ke mai aa na paunga
kaampa falak larazne lagi qabr-e-sayyeda
aayi janab-e-fatema, ki qabr se sadaa
jao mere laal ....

tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal

ja rahe ho tum jo kehke deene haq bachaunga
amma aap ki qasam mai khoon may nahaunga
ab ho jo bhi haal tum ho payemaal
tum pe har qadam rahe dua meri aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
jao mere laal....

bachpane may jo kiya tha wada baba jaan se
waqt ab wo aagaya kafan tu sar se baandh le
dekh mere laal deen ka hai sawaal
kamiyabiyan hai tere saath hi aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
jao mere laal....

chahiye khuda-ke deen ko agar amaan
do rida e zainab-e-hazeen ka sayeban
jao ab shiqab ibn-e-buturab
hai tumhare saath baba jaan bhi, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
jao mere laal....

de raha hai deen-e-kibriya tumhe sada
al-madad hussain al-madad shah-e-huda
be watan hussain mere dil ke chain
humsafar tumhare saath maa huvi, aur saaya-e-khuda-e-zuljalal
jao mere laal....

shaane ba-wafa ke honge jis gadi qalam
royenge alam ke saaye may tere haram
royegi wafaaaur karbala
royegi faraat aur tashnagi, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
jao mere laal....

akbar-e-jawan jigar pe khayega sina
maa kahegi mera chand khogaya kahan
uspe nohakhaan honge meri jaan
mai bhi aur hassan bhi aur rasool bhi, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
jao mere laal....

ye sada mazaar-e-sayyeda se mazhar abidi
sunke rodiye hussain mustafa ki aal bhi
jao mere laal jao mere laal
tumpe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
jao mere laal....

Saturday 22 April 2017

Yabnaz zehra ya musa ibne j'afar

No comments:

Lyrics

Saiyadi MAULA (AS).....5

Al Salam Alaika Ya MUSA E KAZIM (AS) .....2

Saiyadi MAULA (AS).....4

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya Moosa Ibne Jafar (AS).....2

Babul Hawaij Ya MUSA IBNE JAFAR (AS)

Saiyadi MAULA (AS).....4

Kaisa Kaidi Hai Ke Marne Pe Bhi Azad Nahi

Kaisi Gurbat Hai, Janaze Pe Bhi Faryad Nahi

Mere MAULA Pe Hui Kaunsi ????? Nahi

Hai Nazdeek Koi Rone Ko Aulad Nahi

Bekas O Tanha,Ya MUSA IBNE JAFAR (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) MUSA IBNE JAFAR (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

Malkae Kum Ka Padar,bani E Mashad Ka Padar

Seerat E MUSTUFA (SAWW) Bhi, Waris E Hauz E Kausar 

Hai Mazloomi Janaza Hai Sare Rahe Guzar

Jub Ke Maujood Hai Rone Ko Pisar Aur Dukhtar

Pul Pe Tha Lasha, Ya MUSA IBNE JAFAR (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya Moosa Ibne Jafar (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

Kaid Me Chaudah Baras Kaise Guzare Honge

Surat E Ashk Musalle Pe Sitare Honge

Tauk O Zanjeer Bhala Kisne Utare Honge

Gamzada Arsh Pe Quran Ke Pare Honge

Kaise Du Pursa, Ya MUSA IBNE JAFAR (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya Moosa Ibne Jafar (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

Qaid E Tanhi Thi Aur MUSA E KAZIM MAULA (AS)

Khatm Beenai Thi Aur MUSA E KAZIM MAULA (AS)

Sitam Aaraie Thi Aur MUSA E KAZIM MAULA (AS)

Maut Ghabraie Thi Aur MUSA E KAZIM MAULA (AS)

Waqt Ka Aqa, Ya MUSA IBNE JAFAR (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya Moosa Ibne Jafar (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

Kasrate Sajda Se Gathri Sa Badanaap Ka Tha

Log Keh Te The Musalle Pe Hai Kapda Sa Pada

Par Qaza Ho Na Saka Waqt E Shahadat Sajda

Dam Ba Dam Aati Rahi Arsh Se Aawaz E Khuda (swt)

Der Na Karna, Ya Moosa Ibne Jafar (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya MUSA IBNE JAFAR (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

Haqim E Wat Ne Kaisa Yeh Sitam Dhaya Hai,

Qabr Mein MADAR E HASNAIN (AS) To Tadpaya Hai

Zaher Khurmo Mein Mere MAULA Ko Pilwaya Hai

Jasad E Paak Ko Mazdooron Se Uthwaya Hai

Roti Thi ZEHRA (SA), Ya MUSA IBNE JAFAR (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya MUSA IBNE JAFAR (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

Koi Aais Ana Tha Maiyat Ko Kafan Pehnaie

Mashad O Qum Koi Jaake Khabar Pohuchai

Rone Wale Na The Mazdoor Janaza Laaie

Girya Karne Ko Janaze Pe Parinde Aaie

Aasma Roya,Ya MUSA IBNE JAFAR (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya MUSA IBNE JAFAR (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

Ibne Jafar Na Aseeri Pe Sitam Par Roie

Tauk Par Roie Na Zanjeer E Kadam Par Roie

Haan Magar Roie To Bus Shahe Umam Par Roie

Apne Jad Aabid E Beemar Ke Gam Par Roie

Padh Te The Nauha, Ya MUSA IBNE JAFAR (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya MUSA IBNE JAFAR (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

Rote Rehte The Shahe Karbobla Ke Gam Mein

Bandagi Se Hue Farig To Rahe Matam Mein

AKBAR (AS), O QASIM (AS) O ABBAS (AS) The Chashme Nam Mein

Saans Ki Doriyan Tooti Hai Ishi Aalam Mein

Waa Mere MAULA (AS),ya Moosa Ibne Jafar (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya MUSA IBNE JAFAR (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

As Salam Aai Mere Mazloom Garibul Gurba

As Salam Aai Rasan O Tauk Me Paband E Jafa

As Salam Aai Sharaf E Bab E Hawaij MAULA (AS)

Alvida Sarwar O Rehan Ke MAULA Aaqa (AS)

Dete Hai Pursa, Ya MUSA IBNE JAFAR (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya MUSA IBNE JAFAR (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

Sunday 16 April 2017

Bayaan kaise karu martaba sakina ka

No comments:

Bismillah hirrahma nirrahim

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Kisi bashar ko na irfa huwa sakina ka
Makaam jab ke hai itna bada sakina ka

Me ak chota sa qatra hu wo samnder he
Bayaan kaise karu martaba sakina ka

Jo mehfilo me sakina ka zikr karte he
Duwaye deta he unko chacha sakina ka

Pata chalega tumhe kya he sabr ki manzil
Bas ak baar padho kayeda sakina ka

Ise mitane KO bechain tha sitam'us dam
Khuda ke Dee KO sahara mila  sakina ka

Zamana shamo sahar zikr inka karta rahe
N ho sakega magar haq Ada sakina ka

Qadam qadam pe naya zulm ho raha tha magar
Sitam ke samne sar kab juka sakina ka

Saja ke bazme ali aasmaan par dekho
Malaq bhi karne lage tazqara sakina ka

Zabaan bakhsh de"rizwa"KO mad he haider me
Ali ke sher tuje wasta sakina ka

Shukrn lillah

Kalam- RIZWAN BIJANI

Midhat e sakina s.a. farhan aliwaris 2016

No comments:

Farhan (ALI WARIS) (2016)
Midhat e sakina

Sakina.. sakina.. sakina... sakina..(2)
Jaise ke bayaa'n ho nahi sakta
do lafzo mein qur'aan sakina
sakina.. sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)
kaise mai likhu dusra qur'aan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

1. Shabbir ke hoto'n pe hai bibi teri midhat..(2)
ya lab pe hai qur'an ke qur'an sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

2. Ek samt hai shabbir to ek samt hai abbas..(2)
gehware ki tere hai ajab shaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

3. Qur'aan e taharat mein ho tum sura e kausar..(2)
is par hai mukammal mera eemaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

4. Parcham to bohot aur bhi duniya mein hai lekin..(2)
hai parcham e abbas ki pehchan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

5. Shabbir ye kehte ho ke tum jisme nahi ho..(2)
ghar aisa nazar aata hai veeran sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

6. Us shakhs ka rutba koi abbas se puche..(2)
jo hai tere darbaar ka darbaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

7. Jab shaam ke darbaar mein hoti hai azaanein..(2)
hota hai teri jeet ka ailaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

8. Is khwaab ki tabeer dikha de mujhe bibi..(2)
mai phir se hua hu tera mehmaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

9. Dil mein hai mere ek hi armaan sakina..(2)
nikle tere rauze pe meri jaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

10. Sab kuch mai luta deta hu shabbir pe phir bhi..(2)
hone nahi deti mera nuksaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

11. Ash'har ne kaha badh gayi tauqeer teri aur..(2)
beti ka rakha naam jo 'farhan' sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)
Sakina.. sakina.. sakina... sakina

 
back to top