Sunday 16 April 2017

Bayaan kaise karu martaba sakina ka

No comments:

Bismillah hirrahma nirrahim

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Kisi bashar ko na irfa huwa sakina ka
Makaam jab ke hai itna bada sakina ka

Me ak chota sa qatra hu wo samnder he
Bayaan kaise karu martaba sakina ka

Jo mehfilo me sakina ka zikr karte he
Duwaye deta he unko chacha sakina ka

Pata chalega tumhe kya he sabr ki manzil
Bas ak baar padho kayeda sakina ka

Ise mitane KO bechain tha sitam'us dam
Khuda ke Dee KO sahara mila  sakina ka

Zamana shamo sahar zikr inka karta rahe
N ho sakega magar haq Ada sakina ka

Qadam qadam pe naya zulm ho raha tha magar
Sitam ke samne sar kab juka sakina ka

Saja ke bazme ali aasmaan par dekho
Malaq bhi karne lage tazqara sakina ka

Zabaan bakhsh de"rizwa"KO mad he haider me
Ali ke sher tuje wasta sakina ka

Shukrn lillah

Kalam- RIZWAN BIJANI

No comments:

Post a Comment

 
back to top