Tuesday 22 March 2016

13-JAMADI-US-SANI / WAFAT-E-BIBI UMMUL BANEEN / TAZIYAT-CONDOLENCES

1 comment:

13-JAMADI-US-SANI / WAFAT-E-BIBI UMMUL BANEEN / TAZIYAT-CONDOLENCES

Rabbay Sallay Ala Muhammadin Wa Aal-e-Muhammadin Wa Ajjil Farajahum, Ajjal Allahu Taalla Farajak, Wa Sehlallahu Taalla Makhrajak, Wa Zahoorak Wa Rehmatullahey Wa Barakato

----------------------------------------------------

Details of Bibi Ummul Baneen ASWS:

Name: Fatema ASWS

Title: Ummul Baneen

Father: Khuzam Bin Khalid Bin Rabi Bin Amer Al-Kilabiyya

Died: 13-Jamadi-us-Sani-64 AH

Buried: Jannatul Baqi, Madina, Saudi Arabia

----------------------------------------------------

Bibi Ummul Baneen conducted first ever Majlis after Maula Husain ASWS's martyrdom:

Then Ummul Baneen gathered women of Madinah in her house and all cried for the martyrdom of Imam Husain (a.s.).This was the first ever Majlis conducted after the martyrdom of Imam Husain (a.s.). Ummul Baneen had such sincerity toward the Holy Prophet's progeny that she loved Imam Hussain (a.s.) more than her own children. A feeling which was from the bottom of her heart - It was to the extent that when she received the news stating the martyrdom of her four children, she said: "Tell me about Hussain (A.S.)" and when she received the news of Imam Hussain (A.S.)'s martyrdom she said: "All of the arteries of my heart are torn. May all of my children and what ever that exists under this azure heaven be sacrificed for the sake of Imam Hussain (a.s.).

----------------------------------------------------

The First Noha Recitor of the martyrdom of Maula Husain ASWS:

After the arrival of Imam Sajjad (a.s.) and Hazrat Zainab (s.a.) in Madinah Hadrat Ummul Baneen used to gather women in her house and used to narrate them how Imam Husain (a.s.) and his companions were martyred by Yazidi forces.

Hadrat Ummul Baneen was a great poetess and she is considered as the first Noha (lamentation poetry) reciter for the martyrdom of Imam Husain (a.s.).She used to visit regularly the famous Jannat ul-Baqi cemetery in Madinah and recite her Nohas in a very sad and pathetic voice that everybody present there used to weep bitterly.

She transformed the Jannat ul-Baqi cemetery in Madinah as "the Centre of Azadari of Imam Husain (a.s.)". The Nohas recited by Hadrat Ummul Baneen for the martyrdom of Imam Husian (a.s.) are recorded in history and are considered as masterpieces in Arabic literature.

----------------------------------------------------

Ki Zoja-e-Muslim Ne Fida Apni Kamaee

Beyton Ko Raza Marnay Ki Zainab Ne Dilaee

Sab Bibiyon Ne Dolat-e-Aulad Lutaee

Qasim Thay So Maan Un Ki Unhain Nazar Ko Laee

Hum Kis Se Kahain Chup Kay Kharay Rotay Hain Saf Mein

Amman Tou Madeenay Mein Hain Baba Hain Najaf Main

Shabbir Ne Maghmoom Jo Abbas Ko Paya

Hum-Shakl-e-Payambar Ko Isharay Se Bulaya

Ahwaal Jo Poocha Tou Yeh Akbar Ne Sunaya

Hey Abr-e-Alam Dil Pe Chacha Jan Kay Chaya

Kaam Aata Hey Run Mein Tou Khajal Hotay Hain Abbas

Daman-e-Alam Moun Pe Dharay Rotay Hain Abbas

Jis Waqt Se Naushah Kay Lasha Huwa Pamaal

Us Waqt Se Hey Aap Kay Bhai Ka Ajab Haal

Chehra Hey Kabhi Zard Kabhi Sabz Kabhi Laal

Daanton Mein Kabhi Hont Kabhi Aankhon Pe Rumaal

Kehtay Hain Keh Ab Soo-e-Najaf Jayen Gey Abbas

Moun Pyari Bhateeji Ko Na Dikhlaen Gey Abbas

Hazrat Ne Kaha Sab Hey Yeh Saman-e-Judai

Tootay Gi Kamar Hum Se Bichar Jaye Ga Bhai

Manzoor Tha Zaya Na Ho Baba Ki Kamaai

Kuch Un Ka Na Jaye Ga Hamari Ajal Aai

Bhai Kay Liye Daag-e-Jigar Bhai Ka Gham Hey

Dheeyan Apna Hey Un Ko Humein Tanhai Ka Gham Hey

Woh Chahtay Hain Johar-e-Shamsheer Dikhaen

Aanch Aaye Na Shabbir Per Hum Barchiyan Khaaen

Khud Seena Sipar Ho Kay Baradar Ko Bachaen

Hum Aah Kahan Se Jigar Is Tarah Ka Laaen

Phir Kon Hey Mera Jo Woh Aalam Se Uthay Ga

Yeh Daag Tou Pyaray Na Kabhi Hum Se Uthay Ga

----------------------------------------------------

Ummul Baneen khaliq-e-lafz-e-wafa ki MAA

Sabr-o-raza ki husn ki jood-o-sakha ki MAA

Had hey kay Mustafa ki dua ki dua ki MAA

Mushkil kusha kay ghar mein hey mushkil kusha ki MAA

Zehra ko ek sukoon ka ehsaas se diya
Had ho gai Ali ko bhi Abbas dey diya

-----------------------------------------------------

Aulaad-e-Fatema ki wafadar chal basi

Sar peeto aaj Madar-e-Abbas chal basi

Seencha tha jis ne nakhl-e-wafa apnay lahoo se

Hyder ki wo monis-o-gham-khuwaar chal basi

----------------------------------------------------

Ummul Baneen ne Betay ko baydar ker diya

Har jang fatah kernay ko tayyar ker diya

Abbas ko laga ker kalajay se bar bar

Itni duain di kay Alamdar ker diya

----------------------------------------------------

FOR CURE FROM DISEASE/ILLNESS:

Ayatullah Nasrullah Burujardi says the patient should pray himself (if the mareez is unable to pray himself then some one should pray on his behalf) – 17,000 times salwat. 1000 salwat hadiya to each of the14 masoomeen, 1000 salwat as hadiya to Bibi Zainab, 1000 salwat as hadiya to Hazrat Abbas and 1000 salwat as hadiya to Ummul Baneen. (very effective if prayed in one sitting)

----------------------------------------------------

Almighty Allah bless all Momineens with lots of Ilm-o-Taqwa, Tawakkal-o-Mawaddat-o-Marafat, Love, Health, Wealth, Happiness, Joy, Success and Prosperity, in Sadqa of Muhammad-o-Aal-e-Muhammad ASWS, Aameen.

1 comment:

  1. MOULA SALAMAT 'SHAAD O AABAAD 'RAKHEIN ' MOHIBBANE AIHLEBAIT KO ' AAMEEN

    ReplyDelete

 
back to top