Friday 13 January 2017

NAHJUL BALAGAH

No comments:

HADEES NO-1:

FITNA FASAD me is tarah raho jaise OONT(camel) ka woh BACCHA jisane abhi  apani umr ke 2 saal pure kiye ho,
ki na to iski pith par sawari ki jaa sakti he aur Na hi uske Tano se dudh hi Duha jaa sakta he.
(H. ALI A.S.)

NAHJUL Balagaah
(Part 03 Hidaayat)
.
.
.
HADEES NO-2:

Jisne tam'a(तम्अ-लालच) ko Apna shiaar(Aadat) banaya usne apne ko
subuk(Apmanit) kiya,
aur jisane apani pareshan haali ka Izhaar kiya wah zillat par Aamada(Raazi) ho gaya,
aur jisane apani Zabaan par qabu na rakha usane apani bewaqti ka samaan kar liya.
-(H.ALI A.S)

🏼nahjul balagah-
Part-3hidayat
.
.
.
HADEES NO-03:

Bukhal(kanjusi)  Nagoaar (kalank or laanchan) he, Gurbat marde zirang(hoshiyaar) wa daana(akalmand) ki Zabaan ko dalayal ki quwwat se aajiz bana deti he, or MUFLIS apne shaher me rehkar bhi  GAREEBUL hota he, aur Eiz wa darmandagi( fakhra karna) Musibat he Aur SABR wa SHAKEBAYI(patience) shuja'at he, Aur Duniya se BE TA'ALUKI badi daulat he, Parhezgaari ek Badi _SIPAR_(Dhal) he..

(H. ALI A.S.)

✍🏼NAHJUL Balagaah
(Part 03 Hidaayat)
.
.
.
   HADEES NO-04:

Khuda ki RAZA pr RAAZI rehna insaan ka bahetarin  sathi he,
Aur Ilm uttam (best) MIRAS(warsa) he,
Aur Sanskaar naye Naye vastr (clothes) he,
Aur Fikr(chintan) saaf wa uttam Aayina he.....

(H. ALI A.S.)
🏼NAHJUL Balagaah
*(Part 03 Hidaayat)*
.
.
.
HADEES NO-05:

Akalmand ka sina uske RAAZO(secrets) ka khazana hota he,Aur khushkhabari MOHABBAT wa DOSTI ka fanda(jaal) he...Aur Sahanashilata(tolerance) wa Sahishnuta(sufferance) Aibo ki Mudaffan(kabr) he, Aur Suleh wa Safai Aebo kO Dhankne( ढांकने) ka Zariya he....

(H. ALI A.S.)

🏼NAHJUL Balagaah
(Part 03 Hidaayat)

   HADEES NO-06

Jo shakhs *khud*(ApaneAap) ko _*bahut pasand*_ karta he,
wo Dusro ko *Napasand* ho jaata he,
Aur *Sadqa* Kamyaab *_Dawa_* he,
Aur Duniya me Bando ke jo *A'amal* he woj *Aakherat* me Unki _*Aankho*_ ke samne honge.

*_(H. ALI A.S.)_*

✍🏼NAHJUL BALAGAH
*(Part 03 Hidaayat)*

   HADEES NO-07

Yeh *INSAAN* *_ta'ajub_* ke qabil he ki woh *_CHARABI_* se *Dekhta*he,
aur *_GOSHT_*ke maas(meat) se *Bolata* he
Aur *_HADDI_*se *Sunata* he,
Aur Aek *_Suraakh_* (chhed) se *Saans* leta he....

*_(H. ALI A.S.)_*

✍🏼NAHJUL BALAGAH
*(Part 03 Hidaayat)*

  HADEES NO-08

Jab Duniya, Apani *Naemato* ko lekar, kisi ki taraf badhati he to *Dusaro* ki *_KHUBIYAN_* bhi use chadha deti he, Aur jab us se *RUKH* moad leti he to khud uski *_KHUBIYAN_* bhi us se chhin leti he

*_(H. ALI A.S.)_*

✍🏼NAHJUL BALAGAH
*(Part 03 Hidaayat)*

  HADEES NO-09

Logo ke sath aisa *Mel-Milap* rakho ke agar *_MARR_* jao to log aap par *Roye* aur
agar *_ZINDA_* raho to tumhare *Chahitey(Mushtaq)* rahe.

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

   HADEES NO-10

Jab aap apane *Dushman* pr *_Qaboo_* paao to, iss qaboo pane ka *SHUKRANA* usko *_MUAAF_* kar dena karrar do...

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

   HADEES NO-11

Logon me sab se zyada *Lachar* wo log he jo apani sari *_Zindgi_* me apane liye kuch *DOST* na bana sake,
Aur usse bhi zyada *lachar* wo he jo Dost ko pakar bhi use kho de.

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

   HADEES NO-12

Jab tumhe thodi bahot *Ne'amate* mile to _*NASHUQRI*_ se unhe apne tak aane se pehle *Bhaga* mat do.

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

  
HADEES NO-13

Jise *karibi*_(apane)_ *_chor_* dete he use *Begane(paraye)* mil jaate hai.

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

   HADEES NO-14

Har *FITNE* me padne wala _*SHIQAYAT*_(NINDA/blameful) ke _Qabil_ nhi hota

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

   HADEES NO-15

Sab *Muaamale* _Naseeb_ ke aadhin he, yaha tak ke kabhi kabhi *koshisho*(try) ke natije me *maut* ho jaati he.

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

  HADEES NO-16

*PAIGHMBAR* saws ki Hadees ke Muta'alik ki

" *Budhape* ko _*Khizab*_ k zariye Badal do, Aur *Khabardaar!* _*Yahoodio*_ ki *shabih(Copy)* na bano."

Aap se sawal kiya gaya to Aap *(H. Ali a.s.)* ne Farmaya ki Paighmbar saws ne yah us Waqat farmaya tha jab ke *Deen* wale kam the aur Ab uska Daera(vistaar) fel chuka he, Aur Sina Tek kar jam chuka he to Har *Insaan* ko apani *pasand* se kaam lena chahiye

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

   HADEES NO-17

Un logon ke liye jo Aapke *HAMRAAH* hokar Ladne(Jang) se dur rahe, "un Logon ne *_Haq_* ko chhod diya Aur *_Baatil_* ki bhi *Madad* nahi ki."

( Beshaq in logon ne khul kar
*BATIL*ki *himayat(madad)* nahi ki magar *Haq ki Nusrat(madad)* se hath Utha lena bhi ek tarah se baatil ko *Taqwiyat(taqat)* Pahochana he,
Is liye Unka shumaar bhi *Mukhalifin* me hi hoga)

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

   HADEES NO-18

Jo apani *UMMID*(khwahisho) ki Raah me bagtoot(continue) *Dodata* he wah *Maut* se *_Thokar_* khata he.

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

   HADEES NO-19

*acche*(sajjan/nek) logon ki *_khamiyon_*(weakness) ko DarGuzar karo kyunki unme se jobhi *thokar* khakar girta hai to *_Allah_* uske Hath me Hath dekar usse *Uppar* Utha leta hai.

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

 
HADEES NO-20

*Khauf* ka Natija *_Nakami_*
Aur
*```SHARM```* ka Natija *```MEHRUMI```*
hai,
Aur fursat ki *Ghadiya*(Din) tez *Abr(badalo)* ki tarah Guzar jaati hai,
Lihaza *_BHALAI_* ke mile huve Mauke ko *Ghanimat* samjo.

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

No comments:

Post a Comment

 
back to top