20 J.AAKHAR,
ZUHUR E PUR SHAZADI E QAUNAIN BIBI ZEHRA S.A. MUBARAK TO IMAM E ZAMANA A.T.F.S. & ALL MOAMENIN.
Tuesday, 29 March 2016
SALAM YA ZEHRA S.A.
SalaM Ya Syeda Tahira JanaB e Zehra s.a
HijaB e EsmaT Se Ezn Ly KAr
MAi ShaN e Bint e RasoOl Likhun
QalaM K UpaR NaQaB Dy Kar
AdaB Se LAfZ e BatoOl Likhun
Hai PanjetaN KA Wohi Ta'aruf
Kull TaharaT Ki ArzoO HAi
Nissa Ki Puri HadeeS Parh Lo
Wohi To MAfhoOm e GuftagoO Hai
Mubahila Ki SadaQatoN MAi
" NISSA INNA " KA ShamooL Likhun
WAjoOd e EffaT K Is ChamaN Mai
Hayaa Ka Pehla NazoOl Likhun
Wo AyatoN Ki TaraH MuQadaS
Wo Hai Khadija Ki NAiK Beti
MubahilaY Ny Ye RaaZ Khola
NAbi Ki DekhO Hai Ek Beta
~~~~~
AllaH jj JanaY Us GhaR Ka Kiya RiwaaJ HAi
Zehra s.a Ko Arsh Py FarishtoN Ny Khuda Samjha
Ali asws Ko FArsh Py InsanO Ny Khuda Samjha
~~~~~
Chakki Ka Peesna B IbadaT BatoOl Ki
QuraaN Ki AyaTon Mai SadaQaT Batool Ki
Hai Ata'aT e RAsooL Ata'aT BatooL Ki
Kam Aai Karbala Mai RiyazaT BatoOl Ki
ChokhaT Py In Ki SajdaY Ko Jhukta Hai AasmaaN
Ruk Jaen AgaR Jo ChaltaY Mai Rukta Hai AasmaN
~~~~~
Darya e Ilm e AjaR RisalaT Hain @[100001771778505:Fatima]
QuraaN IkhtiSaR, FasahaT Hain Fatima
MehrooMa AdaL, RooH e AdalaT Hain Fatima
AllaH k Nabi Ki MohabaT Hain Fatima
RaaZ HayaT Bint e Nabi Ki HayaT Mai
Maa Aesi Hum Ny Dekhi Nahi KainaT Mai
~~~~~
LAb e Payghamber e AkhiR Ka Wazeefa Zehra
ChashaM e QuraaN Se Dekho To Sahifa zehra
EsmaT o EffaT o HikmaT Ka Khazeena zehra
Abd o MaboOd k Ma'bain Waseela Zehra
Is waseelaY Ki Agar Rehnumai Na MilaY
Khud Rasoolon Ki Duaon Ko Rasaee MilaY
~~~~~
HijaB e QudraT e Rab e Samad, HussaiN Ki Maa
Har Ek SifaT MAi HAi Apni Ahad, HussaiN Ki Maa
Hai Kibriyaee Ki Asli SanaD, Hussain Ki Maa
Woh Jiski Had Nahi Uski HAi HAD, Hussain Ki Maa
Ye Baat TheeK HAi, Ye Baat TheeK Hi Rehti
Ali Na HotaY to Ye La'ShareK Hi Rehti
~~~~~
Maaa AftaB e Zeest HAi Maa Haft e AasmaN
Maa Barish e GaraM HAi MohabaT Ki KehkashaN
Is Ek LAfz MAi SimaT Aye Zaman MakaN
Ma Fatima Agar Ho To PhiR Arsh AastaaN
Dil o ZubaN o Zehn MAi Kuch Fasla NA Ho
Jo Bhi Likhun MAi Mola Wo Mera Kaha Na Ho
~~~~~
Teri TAsbeeH k Daano Ka Sahara Ly KAR
Mashwara LoG MashiyaT Se Kiya Karty Hain
~~~~~~
yaa raaziya yaa marziya yaa tahera yaa sayyada 2
yeh fakhre aamina sarmaayae rasool bhi hai
yeh fatema bhi hai zahra bhi hai butool bhi hai 3
har ek sawaal ka behtar jawaab zinda hai
sadaaqato ka mukammal nisaab zinda hai
bahaare baaghe risaalat ma aab zinda hai
khuda ke bando khuda ki kitab zinda hai
bayaan azmatei khaatoone qaaenat suno
mubahele ki zubaan se khuda ki baat suno
kaha jo bizato minni toh ho gaya maalum
dile rasul ki surat hai fatema maasum
kamaale ilm se aisa bana diya maqsoom
naseeb ho gaye 11 imamato k nuzool
waqaar binte nabi me na kuch kami aaye
khuda ke ghar mei isi waaste ali aaye
ali ne shukr se mazdooriyo me din kaate
nabi ki beti ne chakki me khusk jao peese
ali ne baago me paani diya jihaad kiye
nabi ki beti ne faako me bhar diye sajde
jihaad nafs ka maidaa ali ke haath raha
kamaale sabro riza faatima k saath raha
wo ek chota sa ghar poori kaaenat ka dil
woh ek hujra imamat ke noor ki manzil
woh baamodar jinhe sajda kare mahe kaamil
woh ek nakhl ke saaye me khuld ki mehfil
adab ke saath balandi ka har nishaan jhuke
jaha kaneez ke rube pe aasmaan jhuke
banaame faatema ummat ki betiya jaage
nigaahe akl se raftaare zindagi dekhe
baraaye ghairate dil apne aap se puche
kise milegi jagah fatema ki mehfil me
khuda kare woh tamashaae rozgaar naa ho
rasule paak ki beti se sharmsaar na ho
dhua tanoor se uttha to saaelo k liye
khameer ho gaya aata musafiro ke liye
sukoone qalb ka samaan bekaso k liye
gizaaye sabro riza apne kamsino k liye
isi makaam pe khairul amal ke jalwe hai
yahi woh har hai jaha inqilaab palte hai
ali ke chehrae aqdas pe ambiya ka jalaal
wujud fatema zahra pe mustafa ka jamaal
ali ke dam se jaha me tajalliyo k nehal
mataye fatema zahra hasan husain se laal
ali ne masjide kufa me zakhm khaaya hai
zamaane waalo ne zahra ko bhi rulaaya hai
........
Syeda, Tahira, Abida, Zahida, Taiyaba, Raziya, Marziya, Adila,
Sajida Hura Batool e O Zara x2
Surah e Qadr ka yeh nara hai
Ap kya janeey Fatima kya hai
Jis ko Mukhtar e amr kehthay hain
Jis ki ratoon ko qadr kehthay hain
Subho ko jis ki Fajar kehthay hain
Shaam ko jis ki asr kehthay hain
Har zamanay pay jis ka qabza hain
Ap kya janey Fatima kya hai x2
Qadr jis ko sada qaza nay kaha
Syeda jis ko Murtaza nay kaha
Apni maa jis ko Mustafa nay kaha
Kanzay Maghfi jisay khuda nay kaha
Jis ki chokhat pay kaba jhukta hain
Ap kya janey Fatima kya hai x2
Jis kay dar say ho hal ata ko ata
Inaman ki aman ka hai gosha
Kul kafa jis ko khud gawaha bana
Fateha kar rahi hai jis ki sana
Pura Quran hee qasida hai
Ap kya janey Fatima kya hai x2
Jis ki chadar ko asmaan kahiye
Apnay bachon ka sahiban kahiye
Isko alhumd ka nishaan kahiye
Hushr kid hoop main amaan kahiye
Kulay imaan ka jo musala hai
Ap kya janey Fatima kya hai x2
Jiska baba Rasool aashiq e rab
Jiskay baitay Hassan Hussain laqab
Yeh jahan main hain sab say acha nasab
Jiska shohar Ali ameer e arab
Surah e noor jiska shajrah hai
Ap kya janey Fatima kya hai x2
Yeh gharaana sakhi mila humko
Isi ghar say Nabi mila humko
Har wasi, har wali mila humko
Aik wali kya, Ali mila humko
Isi ghar say khuda bhi paya hai
Ap kya janey Fatima kya hai x2
Jiska aik baita hai Imam e Hassan
Aik baita Hussain Shah e Zaman
Ai, Abbas mislay qila shikan
Jis nay seekha Ali say jang e ka fan
Jis ka dariya pay ab bhi qabza hai
Ap kya janey Fatima kya hai x2
Ghazi bola mizaaj keher main hai
Mera hum pala koun sheher main hai
Pyaas ka sud e baab neher main hai
Neher yeh Syeda ke neher main hai
Meher yeh khud khuda nay rakha hai
Ap kya janey Fatima kya hai x2
Dar pay jo sar jhuka nahi karta
Deen o Majid wo paa nahi sakta
Har koyi dark o paa nahi sakta
Aira ghaira to aa nahi sakta
Malakul mawt aa kay rukta hai
Ap kya janey Fatima kya hai x2
..........
noor ki anjuman faatima
markaze panjetan faatima
arsh se ban ke aayi hai tu
murtaza ki dulhan faatema
kehkasha se zyaada hasee
tere ghar kaa chaman faatema
khuld ka arsh par hai dimaa
chu ke tere charan faatima
kab kisi maa ne paida kiye
fir hussaino hasan faatima
ban gaya tera baaghe fidak
ghaasibo ka kafan faatima
boli zainab se ruhe ali
sar utha aur ban faatima
hai yeh qaule nabi ai sarosh
mera tan mera man faatema.
Monday, 28 March 2016
Tuesday, 22 March 2016
13-JAMADI-US-SANI / WAFAT-E-BIBI UMMUL BANEEN / TAZIYAT-CONDOLENCES
13-JAMADI-US-SANI / WAFAT-E-BIBI UMMUL BANEEN / TAZIYAT-CONDOLENCES
Rabbay Sallay Ala Muhammadin Wa Aal-e-Muhammadin Wa Ajjil Farajahum, Ajjal Allahu Taalla Farajak, Wa Sehlallahu Taalla Makhrajak, Wa Zahoorak Wa Rehmatullahey Wa Barakato
----------------------------------------------------
Details of Bibi Ummul Baneen ASWS:
Name: Fatema ASWS
Title: Ummul Baneen
Father: Khuzam Bin Khalid Bin Rabi Bin Amer Al-Kilabiyya
Died: 13-Jamadi-us-Sani-64 AH
Buried: Jannatul Baqi, Madina, Saudi Arabia
----------------------------------------------------
Bibi Ummul Baneen conducted first ever Majlis after Maula Husain ASWS's martyrdom:
Then Ummul Baneen gathered women of Madinah in her house and all cried for the martyrdom of Imam Husain (a.s.).This was the first ever Majlis conducted after the martyrdom of Imam Husain (a.s.). Ummul Baneen had such sincerity toward the Holy Prophet's progeny that she loved Imam Hussain (a.s.) more than her own children. A feeling which was from the bottom of her heart - It was to the extent that when she received the news stating the martyrdom of her four children, she said: "Tell me about Hussain (A.S.)" and when she received the news of Imam Hussain (A.S.)'s martyrdom she said: "All of the arteries of my heart are torn. May all of my children and what ever that exists under this azure heaven be sacrificed for the sake of Imam Hussain (a.s.).
----------------------------------------------------
The First Noha Recitor of the martyrdom of Maula Husain ASWS:
After the arrival of Imam Sajjad (a.s.) and Hazrat Zainab (s.a.) in Madinah Hadrat Ummul Baneen used to gather women in her house and used to narrate them how Imam Husain (a.s.) and his companions were martyred by Yazidi forces.
Hadrat Ummul Baneen was a great poetess and she is considered as the first Noha (lamentation poetry) reciter for the martyrdom of Imam Husain (a.s.).She used to visit regularly the famous Jannat ul-Baqi cemetery in Madinah and recite her Nohas in a very sad and pathetic voice that everybody present there used to weep bitterly.
She transformed the Jannat ul-Baqi cemetery in Madinah as "the Centre of Azadari of Imam Husain (a.s.)". The Nohas recited by Hadrat Ummul Baneen for the martyrdom of Imam Husian (a.s.) are recorded in history and are considered as masterpieces in Arabic literature.
----------------------------------------------------
Ki Zoja-e-Muslim Ne Fida Apni Kamaee
Beyton Ko Raza Marnay Ki Zainab Ne Dilaee
Sab Bibiyon Ne Dolat-e-Aulad Lutaee
Qasim Thay So Maan Un Ki Unhain Nazar Ko Laee
Hum Kis Se Kahain Chup Kay Kharay Rotay Hain Saf Mein
Amman Tou Madeenay Mein Hain Baba Hain Najaf Main
Shabbir Ne Maghmoom Jo Abbas Ko Paya
Hum-Shakl-e-Payambar Ko Isharay Se Bulaya
Ahwaal Jo Poocha Tou Yeh Akbar Ne Sunaya
Hey Abr-e-Alam Dil Pe Chacha Jan Kay Chaya
Kaam Aata Hey Run Mein Tou Khajal Hotay Hain Abbas
Daman-e-Alam Moun Pe Dharay Rotay Hain Abbas
Jis Waqt Se Naushah Kay Lasha Huwa Pamaal
Us Waqt Se Hey Aap Kay Bhai Ka Ajab Haal
Chehra Hey Kabhi Zard Kabhi Sabz Kabhi Laal
Daanton Mein Kabhi Hont Kabhi Aankhon Pe Rumaal
Kehtay Hain Keh Ab Soo-e-Najaf Jayen Gey Abbas
Moun Pyari Bhateeji Ko Na Dikhlaen Gey Abbas
Hazrat Ne Kaha Sab Hey Yeh Saman-e-Judai
Tootay Gi Kamar Hum Se Bichar Jaye Ga Bhai
Manzoor Tha Zaya Na Ho Baba Ki Kamaai
Kuch Un Ka Na Jaye Ga Hamari Ajal Aai
Bhai Kay Liye Daag-e-Jigar Bhai Ka Gham Hey
Dheeyan Apna Hey Un Ko Humein Tanhai Ka Gham Hey
Woh Chahtay Hain Johar-e-Shamsheer Dikhaen
Aanch Aaye Na Shabbir Per Hum Barchiyan Khaaen
Khud Seena Sipar Ho Kay Baradar Ko Bachaen
Hum Aah Kahan Se Jigar Is Tarah Ka Laaen
Phir Kon Hey Mera Jo Woh Aalam Se Uthay Ga
Yeh Daag Tou Pyaray Na Kabhi Hum Se Uthay Ga
----------------------------------------------------
Ummul Baneen khaliq-e-lafz-e-wafa ki MAA
Sabr-o-raza ki husn ki jood-o-sakha ki MAA
Had hey kay Mustafa ki dua ki dua ki MAA
Mushkil kusha kay ghar mein hey mushkil kusha ki MAA
Zehra ko ek sukoon ka ehsaas se diya
Had ho gai Ali ko bhi Abbas dey diya
-----------------------------------------------------
Aulaad-e-Fatema ki wafadar chal basi
Sar peeto aaj Madar-e-Abbas chal basi
Seencha tha jis ne nakhl-e-wafa apnay lahoo se
Hyder ki wo monis-o-gham-khuwaar chal basi
----------------------------------------------------
Ummul Baneen ne Betay ko baydar ker diya
Har jang fatah kernay ko tayyar ker diya
Abbas ko laga ker kalajay se bar bar
Itni duain di kay Alamdar ker diya
----------------------------------------------------
FOR CURE FROM DISEASE/ILLNESS:
Ayatullah Nasrullah Burujardi says the patient should pray himself (if the mareez is unable to pray himself then some one should pray on his behalf) – 17,000 times salwat. 1000 salwat hadiya to each of the14 masoomeen, 1000 salwat as hadiya to Bibi Zainab, 1000 salwat as hadiya to Hazrat Abbas and 1000 salwat as hadiya to Ummul Baneen. (very effective if prayed in one sitting)
----------------------------------------------------
Almighty Allah bless all Momineens with lots of Ilm-o-Taqwa, Tawakkal-o-Mawaddat-o-Marafat, Love, Health, Wealth, Happiness, Joy, Success and Prosperity, in Sadqa of Muhammad-o-Aal-e-Muhammad ASWS, Aameen.
Friday, 18 March 2016
BARSI OF PRO.SIBT E JAFAR..
🕍🕍🕍🕍🕍🕍🕍🕍🕍🕍
Shaer-e-aale aba hu mai bhi ba-fazl-e-atool.
ik ghulaam-e-meesam-o-salmaan-o-buzar ki tarah.
maar daalo mujko bhi ishq-e-ali ke zurm me.
Mai bhi hu haidar ka aashiq sibte ja'afar ki tarah
🕋🕋🕋🕋🕋🕋🕋🕋🕋🕋
📝 Navshad Bijani
18/03/2016
Wednesday, 9 March 2016
TAR'HI KALAAM - BIBI ZEHRA S.A.
Aake Jab bose farazdaq ne liye Afkaar ke
Tab likhe Altaf ne Ash'aar is meayaar ke
💧
Ham zobaane'n mid'hate khairunnesa pe waar ke
Eek din qad'mo me honge Meesam e tammar ke
💧
Jb se choome hain qadam zahra tere zoowaar ke
Ham pe saaye hain qaseemul jannate wannaar ke
💧
Shaahzaadi ke ghulamo'n ki ghulami gar mile
Sar main qadmo me saja dun Hazrate Ammar ke
💧
Khud nikaalega bine zahra hi gardan kaat kr
Halq me atka hai jo baaghe fedak DO CHAAR ke
💧💧💧
Is qadar zahra pe hain toote sitam Aghyaar ke
Aagaya subbat Alayya lab pe us laachaar ke
💦
Qat'aa band👇🏼
TAZMEEN👇🏼
Poocha Jibreele Amee'n se hazrat e Ayyoob ne
Zakhm hon kaise baya'n binte shahe Abrar ke
Na hain paigambar na mohsin* pasliya'n hain choor choor
Sirf fizza janti h dard us lachar ke
💧
itrat'e At'haar ki ghurbat pe padh kr marsiya
Le liye rassi ne bose Haidare Karrar k
💧
Maslehat thi isliye khamosh tha maula mera
Warna dikhlata manaazir hashr ke bazar ke
✒Altaf Haidari Maroofi
Tuesday, 8 March 2016
Aqle kamil ke liye 10 chizo ka hona zaruri
Musalman shakhs ki aql kamil nahi hai magar yeh k woh 10 khaslato ka malik ho :
1. us se khair w neki ki ummid ki ja sake.
2. log us se amno aman me ho.
3. dusro ki mukhtasar neki ko bada samjhe.
4. apni badi neki ko chota samjhe.
5. us se jitni bhi hajate mangi jaye wo thak na jaye.
6. apni umar me Elm hasil karne se ukta na jaye.
7. Khuda ki rah me Ghurbat us ke nazdeek maldari se behtar ho.
8. Khuda ki rah me zillat us ke nazdeek khuda ke dushman ke pas izzat pane se ziyada pasandeeda ho.
9. gumnami ko shohrat se ziyada pasand karta ho.
aur phir farmaya daswi khaslat kya hai aur kya hai daswi khaslat ? arz kiya gaya aap farmaye woh kya hai ? farmaya :
jis kisi ko bhi dekhe kah de k woh mujh se ziyada behtar aur ziyada parhezgar hai.
ref-( Book Tohaful Uqool page 467)7
Hadees yad karna
hamare shio me se jo koi 40 hadees yad karega Allah Qiyamat k din us ko Aalim aur Faqeeh ki surat me uthaye ga aur us ko Azab me mubtela nahi karega.
[2] – اءمالى الصدوق : ص 253.
Monday, 7 March 2016
QUR'AN KA TOHFA
🌹 QUR'AN KA TOHFA 🌹
AAP SABHI SE GUJARISH HAI KI
3 martaba SALWAT padhkar
1martba S.HAMD aur
3martaba S.AHAD fir
3martba SALWAAT padhkar
2⃣8⃣ QUR'AN KA TOHFA
1⃣4⃣MASOOMIN KI KHIDMAT ME HADIYA PESH KARE aur uska SAWAB
🌹M.MIRZA MOHAMMAD ATHAR SAAHAB 🌹
ko BAKSHDE.
jazakallah!
🌹SHUKR GUJAR 🌹
SAFEER E AZA NETWORK
TAMAM MOAMENIN JINHONE KISI BHI TARAH
SE YAANI KI QURAN PADHKAR/ PADHVAKAR/ MSGS FORWARD KARKE ISS
NEQ KAAM ME HISSA LIYA HAI UNN TAMAM LOGO KA SHUKRIYA ADA KARTA HAI.
♦ LIST ♦
jin logo ne Quran PADHKAR iss neq kaam me Hissa LIYA hai unn TAMAM MOAMENIN KA list hamari site pe I.a. bohat Hi jald release kiya jayega..
www.safeer-e-aza.in
(in under construction)
www.fb.com/safeer.azadari