Sunday, 11 September 2016

J. MUSLIM A.S. KA TARRUF.

No comments:

J. MUSLIM A.S. KA TARRUF.

Bahut buland thi azmat safeere sarwar ki.
Thi sheh ke dil me mohabbat safeere sarwar ki.

Ali ke jaysi thi soorat safeere sarwar ki.
Hasan ke misl thi seerat safeere sarwar ki.

Rava'n tha inki rago me bhi khoon haashim ka.
Jari ke jaysi thi haybat safeere sarwar ki.

Fane jehaad ka ibne aqeel maahir tha.
Thi bemisaal shuja'at safeere sarwar ki.

Waqaar ja'afare tayyar sa tha chehre par.
Aya'n arab me thi hurmat safeere sarwar ki.


HIJRAT....AUR DARMYAANE SAFAR.

Bahukme hazrate shabbeer jaanibe koofa
Huvi madeene se hijrat safeere sarwar ki.

Weda'a bhaai ko abbas kar ke rote the.
Ke yaad aati thi ulfat safeere sarwar ki.

Juda aqeel ke bete se hoke roe husain.
Gira'n thi shaah pe rukhsat safeere sarwar ki.

Utha ke haath dua ki husain ne rab se.
Khudaaya karna hifazat safeere sarwar ki.

Bahut hi dhoop ka aalam tha raahe koofa me.
Magar na kam huvi himmat safeere sarwar ki.

Namaaz karte ada waqt par safar me woh.
Na kam huvi thi ibaadat safeere sarwar ki.

Taveel raah thi lekin jaha'n bhi tukte the.
Harek karta tha izzat safeere sarwar ki.

Qayaam hota jaha'n bhi vaha ke logo'n ko.
Naseb hoti hidaayat safeere sarwar ki.

Huvi thi manzile tay  rafta rafta muslim ki.
Thi khatm ab to musaafat safeere sarwar ki.

SHEHRE KOOA ME AAMAD....

Khizaae'n ho gai ghabra ke khatm koofa se.
Bahaar pe huvi shafqat safeere sarwar ki.

Chamam me aaj rukhe khaar pe khajaalat thi.
Gulo'n pe chhaai thi niq'hat safeere sarwar ki.

Jaha' jaha'n se guzarta tha chaand haashim ka.
Aya'n wa'n hoti ti barkat safreere sarwar ki.

Sunate pad ke shahedee'n ka khat woh majme me.
Urooj par thi khitaabat safeere sarwar ki.

Wafa ka karte the sab waada log muslim se.
Harayk karta tha bay'at safeere saewar ki.


KOOFE KE LOGO KA KHAYAAL.....

Yu'n log fakhr se kehte the milke aapas me.
Mai kar chuka hu ziyaarat safeere sarwar ki.

Yeh maine dekha ke hai maahtaab jaisa rukh.
Hai shamsh jaisi jalaalat safeere sarwar ki.

Sitaaro jaisi hai noorani unki do aankhe'n.
Aya'n hai chehre se haybat safeere sarwar ki.

Labo'n pe unke tabassum hai dekha misle hasan.
Husain jaisi hai niq'hat safeere sarwar ki.

Zavaal zulm ko ab jald aane vaala hai.
Chalegi ab to adalat safeere sarwar ki.

Unhi ke saath padenge namaaz bhi ab ham.
Karenge milke himaayat safeere sarwar ki.

Sunenge khutba bhi ab jaake unse masjid me.
Karenge akhz naseehat safeere sarwar ki.

Suna hai qaule nabi ham ne yeh sahaaba se.
Hai farz ham pe ita'at safeere sarwar ki.





HAZRAT HAANI KE GHAR.......

Janaabe haani huve mezbaan muslim ke.
Pasand unko thi sohbat safeere sarwar ki.

Faraaz par huve faaez naseeb haani ke
Mili jo unko rafaaqat safeere sarwar ki.

Thi arshe aala pe larayb kismate haani.
Huvi jo unpe inayat safeere sarvar ki.

Woh neknaam yeh kehta tha apne beto'n se.
Yeh ghar ne paai hai zeenat safeere sarwar ki.

Bahisht aaj utar aai hai mere ghar me.
Laga ke dil karo khidmat safeere sarwar ki.

Huva tha koofe me ibne ziyaad tab haakim.
Suni thi usne haqeeqat safeere sarwar ki.

Woh chaahta tha ke muslim ka sar kalam kar de.
Thi uske dil me adaavat safeere sarwar ki.

Use pata tha ke muslim hai ghar me haani ke.
Hai ghar me haani ke daavat safeere darwar ki.

Chalaa woh haani ke ghar qatl karne muslim ko.
Dile najis me thi nafrat safeere sarwar ki.

Kaha yeh haani ne muslim se aap chhup jaae'n.
Hai farz muj pe hifaazat safeere sarwar ki.

Khabees aae to peeche se waar kar dena.
Aya'n hai dehr me quwwat safeere sarwar ki.

Yeh poochha haani se ibne ziyaad ne aakar.
Hai tere ghar me ziyaafat safeere sarwar ki.

Chupae rakkha hai tune yaha pe muslim ko.
Yaha se hogi baghaawat safeere sarwar ki.

Kaha yeh haani ne mai jaanta nahi haakim.
Na maine dekhi hai soorat safeere sarwar ki

Woh aae koofe me kab, unka kya iraada hai.
Nahi mai jaanta niyyat safeere sarwar ki.

Yeh sunke haakime koofa chala gaya wapas.
Ajab thi ghayz se haalat safeere sarwar ki.

Yeh poochha haani ne muslim se waar kyu'n na kiya.
Bataao kya huvi himmat safeere sarwar ki.

Safeere shaah ne haani ko yeh jawaab diya.
Nahi thi usme shuja'at safeere sarwar ki.

Mai buzdilo'n ki tarah waar buzdio'n pe karu'n.
Nahi hai aysi siyasat safeere sarwar ki.

Zaroor surkhru Navshad hoga mehshar me.
Naseeb hogi shafa'at safeere sarwar ki.

No comments:

Post a Comment

 
back to top