Thursday, 16 June 2016

QUR'AN PARA NUM-1.

No comments:

QUR'AAN MAJEED.
➖➖➖➖➖➖➖➖
SURE FATEHA. ( Sura - 1 ).
---------------------------------------
Aa'oozo Billahe Meenas Shaytaan Nir Rajeem.

AAYAT - 1 :-

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
1⃣ Bismillah Hir Rahman Nir Raheem.
➡Shuru Kartaa Hu Khuda Ke Naam Se Jo Badaa Maherbaan Nihaayat Rahemwaala Hai.
-----------------------------------------
AAYAT - 2 :-

الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ ●
2⃣ Alhamdolillahe Rabbil Aalameen.
➡Sab Taarif Khuda Hi Ke Liye Sazaawaar Hai, Jo Saare Jahaa Ka Paalnewaala.
---------------------------------------
AAYAT - 3 :-

الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
3⃣ Ar Rahmaan Nir Raheem.
➡Badaa Maherbaan Rahemwaalaa.
----------------------------------------
AAYAT - 4 :-

مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ ●
4 Maalike Yawmeeddeen.
➡Roje Jazaa Ka Haakim Hai.
--------------------------------------------
AAYAT - 5 :-

إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ ●
5⃣ Iyyaaka Na'abodo Wa Iyyaaka Nasta'een.
➡ Khudaayaa Ham Teri Hi Ibaadat Karte Hai Aur Tujhi Se Madad Chahte Hai.
-------------------------------------------
AAYAT - 6 :-

اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ ●
6⃣ Eh'denas Seraatal Mustaqeem.
➡Hamko Sidhi Raah Par Saabit Kadam Rakh.
--------------------------------------------
AAYAT - 7 :-

صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّينَ ●
7⃣Seraatal Lazeena An'amtaa Alayheem, Gayreel Magzoobe Alayheem Walaz Zaal'leen.
➡Oonki Raah Jinhe Tune Apni Ne'amat Ataa Ki Hai, Naa Oonki Raah Jinpar Teraa Gazab Dhaayaa Gayaa Hai, Aur Naa Gumraahi Ki.

SALWAAT.

SURE BAQRA. ( SURA - 2 ).
-----------------------------------
Bismillah Hir Rahman Nir Raheem.

AAYAT -1 :- 
الم ●
1⃣ Aleef Laam Meem.
➡ Aleef Laam Meem.
--------------------------------------
AAYAT - 2 :-

ذَٰلِكَ الْكِتَابُ لَا رَيْبَ فِيهِ هُدًى لِّلْمُتَّقِينَ ●
2⃣Zaalekal Kitaabo Laa Raybaa Fihi Hodal Lilmuttaqin.
➡ Ye Wo Kitaab Hai Jisme Kuchh Bhi Shak Nahi. Ye Parhezgaaro Ki Rehnoomaa Hai.
------------------------------------------
AAYAT - 3 :-

الَّذِينَ يُؤْمِنُونَ بِالْغَيْبِ وَيُقِيمُونَ الصَّلَاةَ وَمِمَّا رَزَقْنَاهُمْ يُنفِقُونَ ●
3⃣ Allazeena Yo'a Menoona Bil Gaybe Wayoqimunas Salaata Wamimma Razaqnahum Yunfeqoon.
➡Jo Gaibpar Imaan Laate Hai Aur Paabandi Se Namaaz Adaa Karte Hai. Aur Jo Kuchh Hamne Oonko Diya Hai Oosme Se Raahe Khuda Me Kharch Karte Hai.
-------------------------------------------
AAYAT - 4 :-

وَالَّذِينَ يُؤْمِنُونَ بِمَا أُنزِلَ إِلَيْكَ وَمَا أُنزِلَ مِن قَبْلِكَ وَبِالْآخِرَةِ هُمْ يُوقِنُونَ ●
4⃣ Wallazeena Yu'a Minoona Bimaa Oonzela Elaykaa Wamaa Oonzelaa Min Qableek. Wabeel Aakherate Hoom Yuqenoon.
➡Aur Jo Kuchh Tum Par (Ay Rasool s.a.w.w) Aur Tumse Pehle Naazil Kiyaa Gayaa Hai Oospar Imaan Laate Hai. Aur Wahi Aakherat Kaa Bhi Yakeen Rakhte Hai.
-------------------------------------------

AAYAT - 5 :-

أُولَٰئِكَ عَلَىٰ هُدًى مِّن رَّبِّهِمْ وَأُولَٰئِكَ هُمُ الْمُفْلِحُونَ ●
5⃣ Oolaa'aka Alaa Hodam Meer'rabbeheem, Wa Oolaa'aka Homul Mooflehoon.
➡Yehi Log Apne Parwardigaar Ki Hidaayat Par (Aamil) Hai. Aur Yehi Log Apni Deeli Muraade Paayenge.
--------------------------------------------
AAYAT - 6 :-

إِنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا سَوَاءٌ عَلَيْهِمْ أَأَنذَرْتَهُمْ أَمْ لَمْ تُنذِرْهُمْ لَا يُؤْمِنُونَ ●
6⃣ Innal Lazeena Kafaru Sawaaoon Alayheem A'anzartahum Amlam Tunzeerhum Laa Yu'a Minoon.
➡Beshak Jinlogo Ne Kufr Ikhteeyaar Kiya Oonke Liye Baraabar Hai (Ay Rasool s.a.w.w) Khwaah Tum Oonhe Daraa'o Ya Naa Daraa'o Wo Imaan Nahi Laayenge.
-------------------------------------------
AAYAT - 7 :-

خَتَمَ اللَّهُ عَلَىٰ قُلُوبِهِمْ وَعَلَىٰ سَمْعِهِمْ وَعَلَىٰ أَبْصَارِهِمْ غِشَاوَةٌ وَلَهُمْ عَذَابٌ عَظِيمٌ ●
7⃣Khatamallaho Alaa Qolubeheem Wa'alaa Sam'aheem. Wa Alaa Absaarehim Geshaawatuw, Walahum Azaabun Azeem.
➡Oonke Deelopar Aur Oonke Kaanopar Khuda Ne Tasdeek Kardi Hai ( Ke Ye Imman Naa Laayenge ). Aur Oonki Aakho Par Wo  Pardaa (Padaa Huaa) Hai Aur Oonhike Liye (Bahut) Badaa Azaab Hai..

AAYAT - 8 :-

وَمِنَ النَّاسِ مَن يَقُولُ آمَنَّا بِاللَّهِ وَبِالْيَوْمِ الْآخِرِ وَمَا هُم بِمُؤْمِنِينَ ●
8⃣ Wamenan'naase May'yaqoolo Aamannaa Billaahe Wabeel Yawmil Aakhere Wamaa Hum Be Moa'meneen.
➡Aur Baaz Log Aysebhi Hai Jo (Zabaan Se To) Kahete Hai Ki Ham Khudaa Par Aur Qayaamat Ke Din Par Imaan Laaye Haalaaki Wo (Dilse) Imaan Nahi Laaye.
---------------------------------------------
AAYAT - 9 :-

يُخَادِعُونَ اللَّهَ وَالَّذِينَ آمَنُوا وَمَا يَخْدَعُونَ إِلَّا أَنفُسَهُمْ وَمَا يَشْعُرُونَ ●
9⃣ Yokhdaoonallaha Wal'lazeena Aamanu Wamaa Yakhdaoona Illa Anfosohum Wamaa Yash'oroon.
➡ Khudaa Ko Aur Oon Logoko Jo Imaan Laaye Dhoka Dete Hai. Halaaki Wo Apne Aapko Dhokaa Dete Hai Aur Kuchh Shaoor Nahi Rakhte.
---------------------------------------------
AAYAT - 10 :-

فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٌ فَزَادَهُمُ اللَّهُ مَرَضًا وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ بِمَا كَانُوا يَكْذِبُونَ ●
1⃣0⃣ Fi Qoloobehim Marazoon Fazaa Dahomullaho Marazaa, Walahoom Azaabun Aleemum Bemaa Kaanu Yakzeboon.
➡Oonke Dilome Marz Thaahi. Ab Khudaa Ne Oonke Marz Ko Aur Badhaa Diyaa Aur Chunki Ve Log Jooth Bolaa Karte The. Isliye Oonpar Takleef Deh Azzab Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 11 :-

وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ لَا تُفْسِدُوا فِي الْأَرْضِ قَالُوا إِنَّمَا نَحْنُ مُصْلِحُونَ ●
1⃣1⃣ Wa'azaa Qeela Lahum Laa Toofsedu Feel Arze Qaalu Innamaa Nahno Muslehoon.
➡ Aur Jab Kahaa Jaataa Hai Oonse Ki Mulkme Fasaad Naa Karte Firo. (To) Kehte Hai Ki Hamto Sirf Islaah Karte Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 12 :-

أَلَا إِنَّهُمْ هُمُ الْمُفْسِدُونَ وَلَٰكِن لَّا يَشْعُرُونَ ●
1⃣2⃣Alaa In'nahoom Homul Moofseduna Walaakil Laa Yash'oroon.
➡ Khabardaar Ho Jaao. Beshak Yehi Log Fasaadi Hai Lekin Samazte Nahi.
---------------------------------------------
AAYAT - 13 :-

وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ آمِنُوا كَمَا آمَنَ النَّاسُ قَالُوا أَنُؤْمِنُ كَمَا آمَنَ السُّفَهَاءُ أَلَا إِنَّهُمْ هُمُ السُّفَهَاءُ وَلَٰكِن لَّا يَعْلَمُونَ ●
1⃣3⃣ Wa'izaa Qeelaa Lahum Aamanu Kamaa Aamanas Sofahaa'a, Alaa In'nahum Homus Sofahaa'o Walaakeel Laa Yaa'a Lamoon.
➡ Aur Jab Oonse Kahaa Jaataa Hai Ki Jis Tarah Aur Log Imaan Laaye Hai Tumbhi Imaan Laao, To Kehte Hai Kya Ham Bhi Oosi Tarah Imaan Laaye Jis Tarah Aur Bewakoof Imaan Laaye. Khabardaar Ho Jaao Yehi Log Bewakoof Hai Lekin Nahi Jaante.

AAYAT - 14 

وَإِذَا لَقُوا الَّذِينَ آمَنُوا قَالُوا آمَنَّا وَإِذَا خَلَوْا إِلَىشَيَاطِينِهِمْ قَالُوا إِنَّا مَعَكُمْ إِنَّمَا نَحْنُ مُسْتَهْزِئُونَ ●
1⃣4⃣ Wa'izaa Laqool Lazeena Aamanu Qaalu Aamannaa, Wa'izaa Khalaw ilaa Shayaateenehim Qaalu Inna Ma'akoom Innamaa Nahno Mustahzioon.
➡Aur Jab Oon Logo Se Milte Hai Jo Imaan Laachuke To Kehte Hai Hamto Imaan Laa Chuke. Aur Jab Apne Shaitaano Ke Saath Takhliyaa Karte Hai To Kehte Hai Ham Tumhaare Saath Hai. Hamto (Musalmaano) Ko Banaate Hai.

AAYAT - 15 :-

اللَّهُ يَسْتَهْزِئُ بِهِمْ وَيَمُدُّهُمْ فِي طُغْيَانِهِمْ يَعْمَهُونَ ●
1⃣5⃣ Allaho Yastahze'o Behim Wayamood'dohum Fi Toogyaanehim Ya'amahoon.
➡(Wo Kya Banaayenge) Khudaa Oonko Banaataa Hai. Aur Oonko Dhil Detaa Hai Ki Wo Apni Sarkasheeme Galteeya Pachaa Rahe.
-
AAYAT - 16 :-

أُولَٰئِكَ الَّذِينَ اشْتَرَوُا الضَّلَالَةَ بِالْهُدَىٰ فَمَا رَبِحَت تِّجَارَتُهُمْ وَمَا كَانُوا مُهْتَدِينَ ●
1⃣6⃣ Oolaa'akal Lazeenash Tarawooz Zalaalata Bilhoda. Famaa Rabehat Tijaaratohum Wamaa Kaanu Mohtadeen.
➡Yehi Ve Log Hai Jinhone Hidaayat Ke Badle Gumraahi Khareedi, Fir Naa Oonki Teejaarat Hi Ne Kuchh Nafaa Diyaa Aur Naa Oonlogone Hidaayat Hi Paayi

AAYAT - 17 :-

مَثَلُهُمْ كَمَثَلِ الَّذِي اسْتَوْقَدَ نَارًا فَلَمَّا أَضَاءَتْ مَا حَوْلَهُ ذَهَبَ اللَّهُ بِنُورِهِمْ وَتَرَكَهُمْ فِي ظُلُمَاتٍ لَّا يُبْصِرُونَ ●
1⃣7⃣ Masalohum Kamasaleel Lazees Tawqadaa Naara. Falamma Azaa'at Maa Hawlahu Zahabal Laaho Benooreheem Watarakahoom Fi Zolomaateel Laa Yubseroon.
➡ Oon Logo Ki Misl (To) Oos Shaksh Ki Misl Hai Jisne (Raat Ke Waqt Majme Me) Bhadakti Huyi Aag Roshan Ki Fir Jab Aag (Ke Shole) Ne Ooske Gird-O Pesh Khub Oojaala Kar Diyaa To Khudaa Ne Oonki Roshni Le Li Aur Oonko Ghataatop Andhere Me Chhod Diyaa Ki Ab Oonhe Kuchh Suzaayi Nahi Detaa.

AAYAT - 18 :-

صُمٌّ بُكْمٌ عُمْيٌ فَهُمْ لَا يَرْجِعُونَ ●
1⃣8⃣ Sum'mum Bukm'mum Oomyoon Fahoom Laa Yarjeoon.
➡ Ye Log Behre Gunge Andhe Hai Ki Fir Apni Gumraahi Se Baaz Nahi Aa Sakte.

AAYAT - 19 :-

أَوْ كَصَيِّبٍ مِّنَ السَّمَاءِ فِيهِ ظُلُمَاتٌ وَرَعْدٌ وَبَرْقٌ يَجْعَلُونَ أَصَابِعَهُمْ فِي آذَانِهِم مِّنَ الصَّوَاعِقِ حَذَرَ الْمَوْتِ وَاللَّهُ مُحِيطٌ بِالْكَافِرِينَ ●
1⃣9⃣ Aw Kasyyebeem Minas Samaa'a Fihe Zolomaatoow Wara'adoow Wabarq. Yajaloona Asaabe'ahoom Fi Aazaaneheem Minas Sawaa'eqe Hazaral Mawt. Wallaho Mohitoom Bil Kaafereen.
➡Yaa Oonki Misl (Aysi Hai Jayse) Aasmaani Baarish. Jisme Taareekiyaa, Garaj, Beejli Ho. Maut Ke Khauf Se Kadak Ke Maare Apne Kaano Me Oongliyaa Diye Lete Hai. Haalaaki Khudaa Kafeero Ko (Oosi Tarah) Ghere Hue Hai.

AAYAT - 20 :-

يَكَادُ الْبَرْقُ يَخْطَفُ أَبْصَارَهُمْ كُلَّمَا أَضَاءَ لَهُم مَّشَوْا فِيهِ وَإِذَا أَظْلَمَ عَلَيْهِمْ قَامُوا وَلَوْ شَاءَ اللَّهُ لَذَهَبَ بِسَمْعِهِمْ وَأَبْصَارِهِمْ إِنَّ اللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ ●
2⃣0⃣ Yakaadul Barqo Yakhtafo Absaarahoom. Kullamaa Azaa'a Lahoom Mashwfeehe Wa'ezaa Azlama Alayheem Qaamu. Walaw Shaa'allaaho Lazahabaa Besam'aheem Wa Absaareheem. Innal'laaha Alaa Kulle Shay'een Qadeer.
➡Kareeb Hai Ke Beejli Oonki Aankho Ko Chaundhiya De. Jab Oonke Aage Beejli Chamki To Oos Roshnime Chal Khade Hue Aur Jab Oonpar Andheraa Chhaa Gayaa To Thithak Kar Khade Ho Gae Aur Agar Khudaa Chaahtaa To Yunbhi Oonse Dekhne Aur Soon'ne Ki Kuwwate Chhin Letaa. Beshak Khudaa Har Cheez Par Qaadeer Hai.

AAYAT - 21:-

يَا أَيُّهَا النَّاسُ اعْبُدُوا رَبَّكُمُ الَّذِي خَلَقَكُمْ وَالَّذِينَ مِن قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ ●
2⃣1⃣ Yaaa Aiyuhan Naasu'budoo Rabbakumul Lazee Khalaqakum Wallazeena Min Qablikum La'allakum Tattaqoon.
➡ Ay Logo. Apne Parwardigaar Ki Ibaadat Karo Jisne Tumko Aur Oon Logoko Jo Tumse Pahle The, Paidaa Kiyaa Hai. Ajab Nahi Tum Parhezgaar Ban Jaao.
---------------------------------------------
AAYAT - 22 :-

الَّذِي جَعَلَ لَكُمُ الْأَرْضَ فِرَاشًا وَالسَّمَاءَ بِنَاءً وَأَنزَلَ مِنَ السَّمَاءِ مَاءً فَأَخْرَجَ بِهِ مِنَ الثَّمَرَاتِ رِزْقًا لَّكُمْ فَلَا تَجْعَلُوا لِلَّهِ أَندَادًا وَأَنتُمْ تَعْلَمُونَ ●
2⃣2⃣ Allazee Ja'ala Lakumul Ardha Firaashanw Wassamaaa'a Binaaa 'Anw Wa Anzala Minas Samaaa'i Maaa'an Fa Akhraja Bihee Minas Samaraati Rizqal Lakum Falaa Taj'aloo Lillaahi Andaadanw Wa Antum Ta'lamoon.
➡ Jisne Tumhaare Liye Zameen Ko Bichhona Aur Aasmaan Ko Chhat Banaaya Aur Aasmaan Se Paani Barsaaya Fir Usine Tumhaare Khaane Ke Lie Baaz Fal Paidaa Kiye, Pas Kisiko Khudaa Kaa Hamsafar Naa Banaao Halaaki Tum Khub Jaante Ho.
---------------------------------------------
AAYAT - 23 :-

وَإِن كُنتُمْ فِي رَيْبٍ مِّمَّا نَزَّلْنَا عَلَىٰ عَبْدِنَا فَأْتُوا بِسُورَةٍ مِّن مِّثْلِهِ وَادْعُوا شُهَدَاءَكُم مِّن دُونِ اللَّهِ إِن كُنتُمْ صَادِقِينَ  ●
2⃣3⃣ Wain Kuntum Fee Raibim Mimmaa Nazzalnaa 'Alaa 'Abdinaa Fatoo Bi Sooratim Mim Mislihee Wad'oo Shuhadaaa'akum Min Doonil Laahi In Kuntum Saadiqeen.
➡ Aur Agar Tum Log Is Kalaam Se Jo Hamne Apne Bande (Mohammad s.a.w.w.) Par Nazeel Kiyaa Hai Shakme Pade Ho. Pas Agar Tum Sachche Ho To Tum (Bhi) 1 Aisaa Surah Banaa Laao Aur Khudaa Ke Siwaa Jo Tumhaare Madadgaar Ho Unko (Bhi) Bulaalo.
---------------------------------------------
AAYAT - 24 :-

فَإِن لَّمْ تَفْعَلُوا وَلَن تَفْعَلُوا فَاتَّقُوا النَّارَ الَّتِي وَقُودُهَا النَّاسُ وَالْحِجَارَةُ أُعِدَّتْ لِلْكَافِرِينَ ●
2⃣4⃣ Fail Lam Taf'aloo Wa Lan Taf'aloo Fattaqun Naaral Latee Waqooduhan Naasu Walhijaaratu U'iddat Lilkaafireen.
➡ Pas Agar Tum Ye Nahi Kar Sakte. Aur Hargeez Nahi Kar Sakoge To Oos Aagse Daro Jiske Indhan Aadmi Aur Patthar Honge Aur Kaafeero Ke Liye Taiyaar Ki Gai Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 25 :-

وَبَشِّرِ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ أَنَّ لَهُمْ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِن تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ كُلَّمَا رُزِقُوا مِنْهَا مِن ثَمَرَةٍ رِّزْقًا قَالُوا هَٰذَا الَّذِي رُزِقْنَا مِن قَبْلُ وَأُتُوا بِهِ مُتَشَابِهًا وَلَهُمْ فِيهَا أَزْوَاجٌ مُّطَهَّرَةٌ وَهُمْ فِيهَا خَالِدُونَ ●
2⃣5⃣ Wa Bashshiril Lazeena Aamanoo Wa 'Amilus Saalihaati Anna Lahum Jannaatin Tajree Min Tahtihal Anhaaru Kullamaa Riziqoo Minhaa Min Samaratir Rizqan Qaaloo Haazal Lazee Ruziqnaa Min Qablu Wa Utoo Bihee Mutashaabihaa, Wa Lahum Feehaaa Azwaajum Mutahhara Tunw Wahum Feehaa Khaalidoon.
➡ Aur Jo Log Imaan Laae Aur Unhone Nek Kaam Kiye Unko (Ay Paygambar s.a.w.w) Khushkhabri Dedo Ki Uske Lie (Behisht Ke) Wo Baagaat Hai Jinke Niche Nahere Jaari Hai. Jab Unhe Oon (Baagaat) Kaa Mewaa Khaane Ko Milegaa To Kahenge Yeto Wahi Mewaa Hai Jo Pahele Hi Hame Khaane Ko Mil Chuka Hai Kyoki Unhe Milti Julti Surat-O Rang Ke (Mewe) Milaa Karenge. Aur Behisht Me Unke Liye Saaf Suthri Biwiyaa Hongi Aur Ye Log Oos (Baag) Me Hameshaa Rahenge.

AAYAT - 26 :-

إِنَّ اللَّهَ لَا يَسْتَحْيِي أَن يَضْرِبَ مَثَلًا مَّا بَعُوضَةً فَمَا فَوْقَهَا فَأَمَّا الَّذِينَ آمَنُوا فَيَعْلَمُونَ أَنَّهُ الْحَقُّ مِن رَّبِّهِمْ وَأَمَّا الَّذِينَ كَفَرُوا فَيَقُولُونَ مَاذَا أَرَادَ اللَّهُ بِهَٰذَا مَثَلًا يُضِلُّ بِهِ كَثِيرًا وَيَهْدِي بِهِ كَثِيرًا وَمَا يُضِلُّ بِهِ إِلَّا الْفَاسِقِينَ ●
2⃣6⃣ Innal Laaha Laa Yastahyeee Ai Yazriba Masalam Maa Ba'oozatan Famaa Fawqahaa; Fa'ammal Lazeena Aamanoo Faya'lamoona Annahul Haqqu Mir Rabbihim Wa Ammal Lazeena Kafaroo Fayaqooloona Maazaaa Araadal Laahu Bihaazaa Masalaa; Yuzillu Bihee Kaseeranw Wa Yahdee Bihee Kaseeraa; Wa Maa Yuzillu Biheee illal Faasiqeen.
➡ Beshak Khuda Machchher Ya Oos Se Bhi Badhkar (Hakir Cheez Ki ) Koi Misaal Bayaan Karne Me Nahi Zepta. Pas Jo Log Imaan Laa Chuke Hai Wo To Ye Yakeen Jaante Hai Ki Ye (Misaal) Bilkul Thik Hai Aur Oonke Parwardeegaar Ki Taraf Se Hai. (Ab Rahe) Ve Log Jo Kaafir Hai. Pas Wo Bol Uthte Hai Ki Khuda Ki Is Misaal Se Kya Matlab Hai ? Aysi Misaal Se Khuda Bahutero Ko Gumraahi Me Chhod Deta Hai Aur Aisi Hi (Misaal) Se Bahutero Ko Hidaayat Karta Hai. Magar Gumraahi Me Chhodta Bhi Hai To Ayse Badkaaro Ko.
---------------------------------------
AAYAT - 27 :-

الَّذِينَ يَنقُضُونَ عَهْدَ اللَّهِ مِن بَعْدِ مِيثَاقِهِ وَيَقْطَعُونَ مَا أَمَرَ اللَّهُ بِهِ أَن يُوصَلَ وَيُفْسِدُونَ فِي الْأَرْضِ أُولَٰئِكَ هُمُ الْخَاسِرُونَ ●
2⃣7⃣ Al-lazeena Yanqudhoona 'Ahdal Laahi Mim Ba'di Meesaaqihee Wa Yaqt'oona Maaa Amaral Laahu Biheee Ai Yoosala Wa Yufsidoona Fil Ardh; Ulaaa'ika Hum Khaasiroon.
➡ Jo Log Khuda Ke Ahad O Paimaan Ko Mazboot Ho Jaane Ke Baad Tod Daalte Hai. Aur Jin (Taallukaat) Kaa Khudane Hukm Diya Hai Unko Katah Kar Dete Hai Aur Mulk Me Fasaad Karte Firte Hai. Yehi Log Ghaata Oothaane Waale Hai.
-------------------------------------
AAYAT - 28 :-

كَيْفَ تَكْفُرُونَ بِاللَّهِ وَكُنتُمْ أَمْوَاتًا فَأَحْيَاكُمْ ثُمَّ يُمِيتُكُمْ ثُمَّ يُحْيِيكُمْ ثُمَّ إِلَيْهِ تُرْجَعُونَ ●
2⃣8⃣ Kaifa Takfuroona Billaahi Wa Kuntum Amwaatan Fa Ahyaakum Summa Yumeetukum Summa Yuh-yeekum Summaa ilaihi Turja'oon.
➡ Kyokar Tum Khuda Ka Inkaar Kar Sakte Ho Haalaaki Tum (Maa'o Ke Petme) Bejaan The To Usine Tumko Zindaa Kiya Fir Wahi Tumko Maar Daalega Fir Wahi Tumko (Dobaara Qayaamat Me) Zinda Karega Fir Useeki Taraf Lautaae Jaaoge.


AAYAT - 29 :-

هُوَ الَّذِي خَلَقَ لَكُم مَّا فِي الْأَرْضِ جَمِيعًا ثُمَّ اسْتَوَىٰ إِلَى السَّمَاءِ فَسَوَّاهُنَّ سَبْعَ سَمَاوَاتٍ وَهُوَ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ ●
2⃣9⃣Huwal Lazee Khalaqa Lakum Maa Fil Ardhi Jamee'an Summas Tawaaa ilas Samaaa'i Fasawwaa Hunna Sab'a Samaa Waat; Wa Huwa Bikulli Shai'in Aleem.
➡Wahi To Wo (Khudaa) Hai Jisne Tumhaare Nafe Ke Liye Zameen Ki Kool Chizo Ko Paydaa Kiyaa Fir Aasmaan (Ke Banaane) Ki Taraf Mutawajje Huaa To 7 Aasmaan Hamwaar (Mustahakam) Bana Diye. Aur Wo Khuda Har Cheez Se (Khub) Waakif Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 30 :-

وَإِذْ قَالَ رَبُّكَ لِلْمَلَائِكَةِ إِنِّي جَاعِلٌ فِي الْأَرْضِ خَلِيفَةً قَالُوا أَتَجْعَلُ فِيهَا مَن يُفْسِدُ فِيهَا وَيَسْفِكُ الدِّمَاءَ وَنَحْنُ نُسَبِّحُ بِحَمْدِكَ وَنُقَدِّسُ لَكَ قَالَ إِنِّي أَعْلَمُ مَا لَا تَعْلَمُونَ ●
3⃣0⃣Wa iz Qaala Rabbuka Lil Malaaa'ikati Innee Jaa'ilun Fil Ardhi Khaleefatan Qaalooo Ataj'alu Feehaa Mai Yufsidu Feehaa Wa Yasfikud Dimaaa'a Wa Nahnu Nusabbihu Bihamdika Wa Nuqaddisu Laka Qaala Inneee A'lamu Maa Laa Ta'lamoon.
➡Aur (Ay Rasool s.a.w. Is Waqt Ko Yaad Karo) Jab Tumhaare Parwardeegaar Ne Farishto Se Kaha Ki Mai (Apnaa) 1 Naaeb Zameen Par Banaane Waalaa Hu To (Farishte Taa'ajoob Se ) Kehne Lage Kyaa Zameen Me Aise Shakhs Ko Paidaa Karega Jo Zameen Me Fasaad Aur Khunreziyaa Karte Fire ? Halaaki ( Agar Khalifa Banaanaa Hai To Hamaara Zyaada Haq Hai ) Kyoki Ham Teri Taarifse Tasbeeh Karte Hai Aur Teri Paakizgi Saabit Karte Hai. Tab Khudaa Ne Farmaayaa Isme To Shak Hi Nahi Ki Jo Mai Jaantaa Hu Tum Nahi Jaante.
---------------------------------------------
AAYAT - 31 :-

وَعَلَّمَ آدَمَ الْأَسْمَاءَ كُلَّهَا ثُمَّ عَرَضَهُمْ عَلَى الْمَلَائِكَةِ فَقَالَ أَنبِئُونِي بِأَسْمَاءِ هَٰؤُلَاءِ إِن كُنتُمْ صَادِقِينَ ●
3⃣1⃣Wa 'allama Aadamal Asmaaa'a Kullahaa Summa 'Aradhahum 'Alal Malaaa'ikati Faqaala Ambi'oonee Bi-as Maaa'i Haaa'ulaaa'i In Kuntum Saadiqeen.
➡Aur Aadam (a.s) Ki Hakiqat Zaahir Karne Ki Garz Se Aadam (a.s) Ko Sab Chizo Ke Naam Sikhaa Diye Fir Oon Farishto Ke Saamne Pesh Kiyaa Aur Farmaayaa Ki Agar Tum (Apne Daawe Me) Sachche Ho To Muje Oon Chizo Ke Naam Bataa'o.
---------------------------------------------
AAYAT - 32 :-

قَالُوا سُبْحَانَكَ لَا عِلْمَ لَنَا إِلَّا مَا عَلَّمْتَنَا إِنَّكَ أَنتَ الْعَلِيمُ الْحَكِيمُ ●
3⃣2⃣Qaaloo Subhaanaka Laa 'ilma Lanaaa illaa Maa 'Allamtanaaa Innaka Antal 'Aleemul Hakeem.
➡Tab Farishto Ne (Aajazi) Se Arz Ki Tu (Har Aib Se) Paak O Paakiza Hai Ham To Jo Kuchh Tune Bataayaa Hai Uske Siwaa Kuchh Nahi Jaante. Tu Badaa Jaan-ne Waala Maslahato Ka Pehchaan-ne Waala Hai.

SALWAAT.
AAYAT - 33 :-

قَالَ يَا آدَمُ أَنبِئْهُم بِأَسْمَائِهِمْ فَلَمَّا أَنبَأَهُم بِأَسْمَائِهِمْ قَالَ أَلَمْ أَقُل لَّكُمْ إِنِّي أَعْلَمُ غَيْبَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَأَعْلَمُ مَا تُبْدُونَ وَمَا كُنتُمْ تَكْتُمُونَ ●
3⃣3⃣Qaala Yaaa Aadamu Ambi-ahum Biasmaaa'ihim Falammaaa Aamba-hum Bi Asmaaa'ihim Qaala Alam Aqul Lakum Inneee Aa'a-lamu Ghaibas Samaawaati Wal Ardhi Wa Aa'a-lamu Maa Toobdoona Wa Maa Kuntum Taktumoon.
➡(Is Waqt Khuda Ne Aadam Ko) Hukm Diyaa Ki Ay Aadam (a.s) Tum In Farishto Ko Oon Sab Chizo Ke Naam Bataa Do. Pas Jab Aadam (a.s) Ne Farishto Ko Oon Chizo Ke Naam Bataa Diye To Khuda Ne Farishto Ki Taraf Khitaab Karke Farmaaya Kyo ! Mai Tumse Naa Kehtaa Thaa Ki Mai Aasmaano Aur Zameeno Ke Chhupe Hue Raaz Ko Jaantaa Hu Aur Jo Kuchh Tum Ab Zaaheer Karte Ho Aur Jo Kuchh Tum Chhipaate The (Wo Sab) Jaanta Hu.
---------------------------------------------
AAYAT - 34 :-

وَإِذْ قُلْنَا لِلْمَلَائِكَةِ اسْجُدُوا لِآدَمَ فَسَجَدُوا إِلَّا إِبْلِيسَ أَبَىٰ وَاسْتَكْبَرَ وَكَانَ مِنَ الْكَافِرِينَ ●
3⃣4⃣Wa Iz Qulnaa Lilmalaaa'i Katis Judoo Li Aadama Fasajadooo illaaa Ibleesa Abaa Wastakbara Wa Kaana Minal Kaafireen.
➡Aur (Oos Waqt Ko Yaad Karo) Jab Hamne Farishto Se Kaha Ki Aadam (a.s) Ko Sajdaa Karo To Sab Ke Sab Jook Gaye Magar Shaitaan Ne Inkaar Kiyaa. Aur Guroor Me Aaa Gayaa. Aur Kafeer Ho Gayaa.
---------------------------------------------
AAYAT - 35 :-

وَقُلْنَا يَا آدَمُ اسْكُنْ أَنتَ وَزَوْجُكَ الْجَنَّةَ وَكُلَا مِنْهَا رَغَدًا حَيْثُ شِئْتُمَا وَلَا تَقْرَبَا هَٰذِهِ الشَّجَرَةَ فَتَكُونَا مِنَ الظَّالِمِينَ ●
3⃣5⃣Wa Qulnaa Yaaa Aadamus Kun Anta Wa Zawjukal Jannata Wa Kulaa Minhaa Raghadan Haisu Shi'tumaa Wa Laa Taqrabaa Haazihish Shajarata Fatakoonaa Minaz Zaalimeen.
➡Aur Hamne (Aadam a.s Se) Kaha Ki Ay Aadam (a.s) Tum Apni Biwi Samet Behisht Me Rahaa Karo Aur Jahaa Tumhaara Ji Chaahe Isme Se Baafraagat Khaa'o Magar Is Darakht Ke Paas Bhi Na Jaana (Warna) Tum Apnaa Nuksaan Karoge.
---------------------------------------------
AAYAT-36 :-

فَأَزَلَّهُمَا الشَّيْطَانُ عَنْهَا فَأَخْرَجَهُمَا مِمَّا كَانَا فِيهِ وَقُلْنَا اهْبِطُوا بَعْضُكُمْ لِبَعْضٍ عَدُوٌّ وَلَكُمْ فِي الْأَرْضِ مُسْتَقَرٌّ وَمَتَاعٌ إِلَىٰ حِينٍ ●
3⃣6⃣Fa Azallahumash Shaitaanu 'Anhaa Fa Akhrajahumaa Mimmaa Kaanaa Feeh Wa Qulnah Bitoo Ba'adhukum Liba'adhin 'Aduwwunw Wa Lakum Fil Ardhi Mustaqarraw Wa Mataa'oon ilaa-heen.
➡Tab Shaytaan Ne Aadam O Hawwa (a.s) Ko (Dhokaa De Kar ) Wahaase Dagmagaaya (Aur) Aakhir Unko Jis (Aish O Raahat) Me The Oos-se Nikaal Fekaa Aur Hamne Kahaa (Ay Aadam O Hawwa a.s) Tum Zameen Par Utar Pado Tum-me Se 1 Kaa 1 Dushman Hogaa Aur Zameen Me Tumhaare Liye 1 Khaas Waqt (Qayaamat) Tak Thaherao Aur Thikaana Hai.
AAYAT - 37 :-

فَتَلَقَّىٰ آدَمُ مِن رَّبِّهِ كَلِمَاتٍ فَتَابَ عَلَيْهِ إِنَّهُ هُوَ التَّوَّابُ الرَّحِيمُ ●
3⃣7⃣Fatalaqqaaa Aadamu Mir Rabbihee Kalimaatin Fataaba 'Alayh; Innahoo Huwat Tawwaabur Raheem.
➡Fir Aadam (a.s) Ne Apne Parwardigaar Se (Ma'azerat Ke) Chand Alfaaz Sikhe. Pas Khudaa Ne  (Oon Alfaaz Ki Barkat Se Aadam a.s. Ki) Taubaa Koobul Karli. Beshak Wo Badaa Maaf Karne Waalaa Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 38 :-

قُلْنَا اهْبِطُوا مِنْهَا جَمِيعًا فَإِمَّا يَأْتِيَنَّكُم مِّنِّي هُدًى فَمَن تَبِعَ هُدَايَ فَلَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ ●
3⃣8⃣Qulnah Bitoo Minhaa Jamee 'an Fa Immaa Yaatiyan-nakum Minnee Hudan Faman Tabi'a Hudaaya Falaa Khawfun 'Alaihim Wa Laa Hum Yahza Noon.
➡(Aur Jab Aadam a.s. Ko) Ye Hukm Diya Thaa Ki Yahaa Se Utar Pado (To Yebhi Keh Diya Thaa Ki) Agar Tumhaare Paas Meri Taraf Se Hidaayat Aae To (Ooski Pairwi Karna Kyoki) Jo Log Meri Hidaayat Par Chalenge Oon Par (Qayaamat Me) Naa Koi Khauf Hogaa Aur Naa Wo Ranjeeda Honge.
---------------------------------------------
AAYAT - 39 :-

وَالَّذِينَ كَفَرُوا وَكَذَّبُوا بِآيَاتِنَا أُولَٰئِكَ أَصْحَابُ النَّارِ هُمْ فِيهَا خَالِدُونَ ●
3⃣9⃣Wallazeena Kafaroo Wa Kaz-zabooo Bi Aayaatinaa Oolaaa'ika As'haabun Naari Hum Feehaa Khaalidoon.
➡Aur (Yebhi Yaad Rakho Ki) Jin Logone Kufr Ikhteyaar Kiyaa Aur Hamaari Aayato Ko Zuthlaaya To Wahi Jahannumi Hai Aur Hamesha Dozakh Hi Me Pade Rahenge.
---------------------------------------------
AAYAT - 40 :-

يَا بَنِي إِسْرَائِيلَ اذْكُرُوا نِعْمَتِيَ الَّتِي أَنْعَمْتُ عَلَيْكُمْ وَأَوْفُوا بِعَهْدِي أُوفِ بِعَهْدِكُمْ وَإِيَّايَ فَارْهَبُونِ ●
4⃣0⃣Yaa Baneee Israaa'eelaz Kuroo Ni'matiyal Lateee An'amtu 'Alaikum Wa Awfoo Bi'Ahdeee Oofi Bi Ahdikum Wa Iyyaaya Farhaboon.
➡Ay Bani Israa'il ! Mere Oon Ahsaanaat Ko Yaad Karo Jo Tum Par Pahele Kar Chuke Hai. Aur Tum Mere Ahad O Iqraar (Imaan) Ko Pura Karo To Mai Bhi Tumhaare Ahed (Sawaab) Ko Puraa Karungaa Aur Mujhi Se Darte Raho.

AAYAT - 41 :-

وَآمِنُوا بِمَا أَنزَلْتُ مُصَدِّقًا لِّمَا مَعَكُمْ وَلَا تَكُونُوا أَوَّلَ كَافِرٍ بِهِ وَلَا تَشْتَرُوا بِآيَاتِي ثَمَنًا قَلِيلًا وَإِيَّايَ فَاتَّقُونِ ●
4⃣1⃣Wa Aaminoo Bimaaa Anzaltu Musaddiqal Limaa Ma'akum Wa Laa Takoonooo Awwala Kaafirim Bihee Wa Laa Tashtaroo Bi Aayaatee Samanan Qaleelanw Wa Iyyaayaa Fattaqoon.
➡Aur Jo (Quraan) Me Naazil Kiyaa Wo Is Kitaab (Tauret) Ki Bhi Tasdik Kartaa Hai Jo Tumhaare Paas Hai Aur Tum Sabse Pehle Usse Inkaar Par Maujood Naa Ho Jaao Aur Meri Aayato Ke Badle Thodi Qimat (Dunyawi Faayda) Naa Lo Aur Mujhi Se Darte Raho.
---------------------------------------------
AAYAT - 42 :-

وَلَا تَلْبِسُوا الْحَقَّ بِالْبَاطِلِ وَتَكْتُمُوا الْحَقَّ وَأَنتُمْ تَعْلَمُونَ ●
4⃣2⃣Wa Laa Talbisul Haqqa Bilbaatili Wa Taktoomul Haqqa Wa Antum Ta'lamoon.
➡ Aur Haq Ko Bateel Ke Saath Naa Milaao. Aur Haq Baat Ko Naa Chhipaao Haalaaki Tum Jaante Ho.
---------------------------------------------
AAYAT - 43 :-

وَأَقِيمُوا الصَّلَاةَ وَآتُوا الزَّكَاةَ وَارْكَعُوا مَعَ الرَّاكِعِينَ ●
4⃣3⃣ Wa Aqeemus Salaata Wa Aatuz Zakaata Warka'oo Ma'ar Raaki'een.
➡ Aur Paabandi Se Namaaz Adaa Karo Aur Zakaat Diyaa Karo Aur Jo Log (Hamaare Saamne) Ibaadat Ke Liye Jukte Hai Oonke Saath Tumbhi Jukaa Karo.
---------------------------------------------
AAYAT - 44 :-

أَتَأْمُرُونَ النَّاسَ بِالْبِرِّ وَتَنسَوْنَ أَنفُسَكُمْ وَأَنتُمْ تَتْلُونَ الْكِتَابَ أَفَلَا تَعْقِلُونَ ●
4⃣4⃣ Ataamuroonan Naasa Bilbirri Wa Tansawna Anfusakum Wa Antum Tatloonal Kitaab; Afalaa Ta'aqiloon.
➡ Tum Aur Logose To Neki Karne Ko Kehte Ho Aur Apni Khabar Nahi Lete Haalaaki Tum Kitaabe Khudaa Ko (Baraabar) Rataa Karte Ho. To KyaTum (Itna Bhi) Nahi Samajte ?
---------------------------------------------
AAYAT - 45 :-

وَاسْتَعِينُوا بِالصَّبْرِ وَالصَّلَاةِ وَإِنَّهَا لَكَبِيرَةٌ إِلَّا عَلَى الْخَاشِعِينَ ●
4⃣5⃣ Wasta'eenoo Bissabri Was Salaah; Wa Innahaa Lakabee Ratun illaa Alal Khaashi'een.
➡ Aur (Musibat Ke Waqt) Sabr Aur Namaaz Kaa Sahaaraa Pakdo. Aur Albattaa Namaaz Doobhar To Hai Magar Oon Khaaksaaro Par (Nahi).

AAYAT - 46 :-

الَّذِينَ يَظُنُّونَ أَنَّهُم مُّلَاقُو رَبِّهِمْ وَأَنَّهُمْ إِلَيْهِ رَاجِعُونَ ●
4⃣6⃣ Allazeena Yazunnoona Annahum Mulaaqoo Rabbihim Wa Annahum ilayhi Raaji'oon.
➡ Jo Bakhubi Jaante Hai Ki Wo Apne Parwardigaar Ki Baargaah Me Haazir Honge Aur Zaroor Oosiki Taraf Laut Jaayenge.
---------------------------------------------
AAYAT - 47 :-

يَا بَنِي إِسْرَائِيلَ اذْكُرُوا نِعْمَتِيَ الَّتِي أَنْعَمْتُ عَلَيْكُمْ وَأَنِّي فَضَّلْتُكُمْ عَلَى الْعَالَمِينَ ●
4⃣7⃣ Yaa Baneee Israaa'eelaz Kuroo Ni'amatiyal Lateee An'amtu 'Alaikum Wa Annee Fadhaltukum 'Alal 'Aalameen.
➡ Ay Bani Israa'il Meri Oon Ne'amato Ko Yaad Karo Jo Maine Pahele Tumhe Di. Aur Ye (Bhi To Socho) Ki Hamne Tumko Saare Jahaa Ke Logose Badhaa Diya.
---------------------------------------------
AAYAT - 48 :-

وَاتَّقُوا يَوْمًا لَّا تَجْزِي نَفْسٌ عَن نَّفْسٍ شَيْئًا وَلَا يُقْبَلُ مِنْهَا شَفَاعَةٌ وَلَا يُؤْخَذُ مِنْهَا عَدْلٌ وَلَا هُمْ يُنصَرُونَ ●
4⃣8⃣ Wattaqoo Yawmal Laa Tajzee Nafsun 'An Nafsin Shai'anw Wa Laa Yuqbalu Minhaa Shafaa'atunw Wa Laa Yu'akhazu Minhaa 'Adlunw Wa Laa Hum Yunsaroon.
➡ Aur Is Din Se Daro Ki (Jis Din) Koi Shakhs Kisiki Tarafse Naa Fidiyaa Ho Sakegaa. Aur Naa Iske Taraf Koi Shifaarish Maani Jaayegi. Aur Naa Uskaa Koi Muaawzaa Liyaa Jaaega. Aur Naa Wo Madad Pahuchaaye Jaaenge.
---------------------------------------------
AAYAT - 49 :-

وَإِذْ نَجَّيْنَاكُم مِّنْ آلِ فِرْعَوْنَ يَسُومُونَكُمْ سُوءَ الْعَذَابِ يُذَبِّحُونَ أَبْنَاءَكُمْ وَيَسْتَحْيُونَ نِسَاءَكُمْ وَفِي ذَٰلِكُم بَلَاءٌ مِّن رَّبِّكُمْ عَظِيمٌ ●
4⃣9⃣ Wa Iz Najjainaakum Min Aali Fir'awna Yasoomoonakum Sooo'al Azaabi Yuzabbihoona Abnaaa'akum Wa Yastahyoona Nisaaa'akum; Wa Fee Zaalikum Balaaa'um Mir Rabbikum 'Azeem.
➡ Aur Is Waqt Ko Yaad Karo Jab Hamne Tumhe (Tumhaare Buzurgo Ko) Qaume Firaun (Ke Panje) Se Chhudaaya Jo Tumhe Bade Bade Dookh Deke Sataate The. Tumhaare Ladko Par Chhuri Ferte The Aur Tumhaari Aurto Ko (Apni Khidmat Ke Liye) Zindaa Rahene Dete The Aur Isme Tumhaare Parwardeegaar Ki Taraf Se Tumhaare Sabr Ki Sakht Aazmaaish Thi.
---------------------------------------------
AAYAT - 50 :-

وَإِذْ فَرَقْنَا بِكُمُ الْبَحْرَ فَأَنجَيْنَاكُمْ وَأَغْرَقْنَا آلَ فِرْعَوْنَ وَأَنتُمْ تَنظُرُونَ ●
5⃣0⃣ Wa Iz Faraqnaa Bikumul Bahra Fa Anjainaakum Wa Agh-Raqnaaa Aala Fir'awna Wa Antum Tanzuroon.
➡ Aur (Wo Waqt Bhi Yaad Karo) Jab Hamne Tumhaare Liye Dariyaa Ko Tukde Tukde Kiyaa Fir Hamne Tumko To Chhutkaara Diyaa Aur Firaun Ke Aadmiyo Ko Tumhaare Dekhte Dekhte Dubo Diyaa.

SALWAAT.

No comments:

Post a Comment

 
back to top