Thursday, 3 August 2017

QUIZ ON VILADATE I.REZA A.S.W.S.

2 comments:


🔐 *QUIZ ON VILADATE I.REZA A.S.W.S.* 🔐

Sawal:

🔒 1) *Roze aamade Imam Reza(as) ki (viladat) taareekh (San Hijri k saath) bataiye?*

🔒2.) *Imam Reza(as) ki waalida ka naam kya hai?*

🔒3.) *Imam Reza(as) ka dauraane Imaamat ki muddat kitni thi?*

🔒4.) *Imam Reza(as) ki anguthi(ring) k pathar par kya kunda(inscribe) kiya hua tha?*

🔒5.) *Imam Reza(as) ki zauja ka naam kya hai?*

🔒 6.) *Imam ki wo kaunsi ek zauja thi'n jinka talluq ek mashur nasl se tha?*

🔒7.)  *Kis mal'oon k kehne pe Imam Reza(as) ko Medina se Khuraasaan(Iran) jaana pada?*

🔒8.) *Mashhad k maayne kya hain aur kyu ye naam pada?*

🔒9.) *Imam Reza(as) ki wilaadat k baad unki maadar e giraami ko Imam Musa Kaazim(as) ne kaunsa laqab diya?*

🔒10.) *Bibi Masuma Qum(sa) ki wilaadat k baad unki maadar e giraami ko Imam Musa Kaazim(as) ne kaunsa laqab diya?*

🔒11.) *Imam Reza(sa) ki waalida ka talluq kaha se tha?(Unka watan)*

🔒12.) *Kis Imam(as) ka laqab Aalim e Aale Mohammad(saww) hai?*

🔒13.) *Khuraasaan mein Imam Reza(as) ne kaunse roz ghurba me apni tamaam daulat taqseem kar di thi?*

🔒14.) *Imam Reza(as) ki qayaadat mein kaunsi namaz parhne k liye awaam nange paer chal kar masjid tak pohchi thi?*

🔒 15.) *Kis khaatoon k ghar Imam Reza(as) ne Nishabur me qayaam kiya tha?*

Note: sare jawab ek sath send karne hai....
Jawab usi num.pe send karne hai jispar aapne registration karvaya ho
+917405893006 pe ya to
+919824398589 pe.

_www.safeer-e-aza.in_

Friday, 7 July 2017

QUIZ

2 comments:

QUIZ ON VILADATE I.REZA (A.S.W.S.)

i.a. yeh quiz  AUGUST mahine ke 1st week yaani ke  VILADATE I.REZA (A.S.W.S.) ke mauqe par hogi,

Yeh QUIZ what'sApp ke zariye se hogi,

Jisme 10-15 SAWAL eksath puche jayenge,

Sabhi sawalo ke sahi jawab dene walo me se DRAW ke zariye 3 ya to 5 lucky logo ko GIFT diya jayega i.allah.
(Only for indian)

Registration ke liye  what'sApp me type kare....

QUIZ name/city name
aur bhejde
+917405893006 pe ya to
+919824398589 pe.

(Yeh dono num.save karna na bhule- issi num.se QUIZ UPDATE milegi)

Org.by- Safeer E azA network.

Note:- agar koi apne marhoomin ke isale sawab ke liye ya to MAULA (a.s.) ki khushi ke liye iss 'QUIZ' ko sponser karna chahe to humse rabta kar

Monday, 3 July 2017

aah jannatul baqi

No comments:

_Aah JANNATUL BAQI'A_

Aaj subha 9:00 baje JARCHA SADAT(up) me ek ehtejaj hua,

jisme 300 se bhi zyada logo ne hissa liya aur JANNTUL BAQI'A ko munhadim karne walo ke khilaf EHTEJAJ kiya,

Jisme
_MAULANA QAMAR SULTAN SAHAB,_
_MAULANA RAHEES AHMAD SAHAB_ aur
_MAULANA MASUD ABBAS SAHAB_ bhi maujud the.

Iss protest ko *_anjuman e parchame abbas (as)_* ne organise kiya tha.

SANGLI(INDIA) ME PROTEST

9 comments:

SANGLI(INDIA) ME PROTEST

8th shawal, youme gham Ke mauqe par 30june2017 ke din namaz e jum'a ke fauran baad ek  speech(taqreer) hui uske baad *SILENT RALLY* nikali gayi jisme banner's ke zariye se *protest* jaahir kiya,

Jisme Sabhi ne Black (Kale) Kapde Pehan Ke protest kiya,

Is rally me
Maulana sheikh Hassan sahab,
Maulana  bez'at rizvi sahab aur bhi dusre aulma o ne shirqat ki thi,

Is protest me takriban 150+ logo ne shirqt ki thi,

Iss  pogram ko K.S.I.JAMAT SANGLI aur HUSSAINI GROUP SANGLI ne mill kar organise kiya tha

Iss rally ke baad  Collector of Sangli Ko Avedan patr Diya Gaya.

Thursday, 1 June 2017

MA'ASOOMEEN KI NOORANI DUA MEIN SE SELECTED JUMLAAT

No comments:

🌧1st MAH E RAMAZAAN✍🏻👤

😇MA'ASOOMEEN KI NOORANI DUA MEIN SE *SELECTED JUMLAAT*💫🌹

🕌 بسم الله الرحمن الرحیم 🕌

🙏🏻  (Khudaaya!) Mujhey  *Ghani* bana dey aur mere *rizq* mein barkat aur wus'at ataa farmaa, lekin *GHUROOR* mein MUBTELA na hone daina,🙏🏻

🙏🏻Muje *IBADAT* mein masroof kar de, lekin meri ibadat ko *KHUD-PASANDI* SE *BARBAD* na hone daina,🙏🏻

🙏🏻Mere haatho se logo ko *FAAYDA* pahuncha, lekin usey *AHSAAN* jatane ke zariye *BARBAD* na hone daina.🙏🏻

📕(Sahifa e Sajjadiyah,  DUA NO:2⃣0⃣) 📕

💐🌷اللهم صل على محمد وآل محمد و عجل فرجهم✨

--------------------------------------------------------------------------

🌧2nd MAH E RAMAZAAN✍🏻👤

😇MA'ASOOMEEN KI NOORANI DUA MEIN SE *SELECTED JUMLAAT*💫🌹

🕌 بسم الله الرحمن الرحیم 🕌

🙏🏻 Aur mujhe is baat se bachaaye rakhna ke kisi Ghareeb ke bare mein zillat ka khayaal paida karoon *(YANI IS BAAT SE BACHAANA KE KISI GHAREEB KO ZALEEL SAMJHU)*🙏🏻

🙏🏻Ya kisi daulat-mand ko *BARTAR ya AFZAL* samajhne lagoon(is baat se bhi bachaaye rakhna)🙏🏻

🌸Is liye ke *SHARAF WALA* to sirf wo hota hain jise teri ita'at ne sharaf bakhsha ho

🌺Aur *IZZAT WALA* sirf wo hota hain jise teri ibadat ya ghulami ne izzat aur sar-balandi ataa ki ho.

📕(Sahifa e Sajjadiyah,  DUA NO:3⃣5⃣) 📕

💐🌷اللهم صل على محمد وآل محمد و عجل فرجهم✨

--------------------------------------------------------------------------

🌧3rd MAH E RAMAZAAN✍🏻👤

😇MA'ASOOMEEN KI NOORANI DUA MEIN SE *SELECTED JUMLAAT*💫🌹

🕌 بسم الله الرحمن الرحیم 🕌

🌺Khudayaa!Muhammad(saww) aur Aale Muhammad(ams) par rehmat nazil farmaa

🙏🏻Aur *LOGO MEIN* mera darja jitna *BALAND* farmaa,utna hi mujhe *KHUD APNI NAZARO* mein *ZALEEL,PAST AUR KAMTAR* banaa dey🙏🏻

🙏🏻Aur jitni mujhe *ZAHIRI IZZAT* ataa farmaa utna hi mere dil mein khud ko *BE-QEEMAT* samajhne ka ehsaas paida kar dey.

📕(Sahifa e Sajjadiyah,  DUA NO:2⃣0⃣Makarimil akhlaq) 📕

💐🌷اللهم صل على محمد وآل محمد و عجل فرجهم✨

--------------------------------------------------------------------------

🌧5th MAH E RAMAZAAN✍🏻👤

😇MA'ASOOMEEN KI NOORANI DUA MEIN SE *SELECTED JUMLAAT*💫🌹

🕌 بسم الله الرحمن الرحیم 🕌

Khudaaya! *Mukammal ikhlas* ke saath teri taraf aa raha hoon,

Aur *poore wajood* ke saath teri taraf mutawajjeh hoon,

Maine *apna rukh* un tamam logo se mod liya hain Jo khud hi *teri ataa ke Mohtaaj* hain,

Aur apne sawal ko unki taraf se hataa liya hain *jo khud bhi* tere fazl o karam se be-niyaz nahi,

Aur maine ye andaza kar liya hain ki *Mohtaaj ka Mohtaaj se* mangna eik *fikr ki nadani* aur *aql ki gumrahi* hain.

🌸📖(Sahifa e Sajjadiyah,  DUA NO:2⃣8⃣) 📖🌺

💐🌷اللهم صل على محمد وآل محمد و عجل فرجهم✨
--------------------------------------------------------------------------

🌧6th MAH E RAMAZAAN✍🏻👤

😇MA'ASOOMEEN KI NOORANI DUA MEIN SE *SELECTED JUMLAAT*💫🌹

🕌 بسم الله الرحمن الرحیم🕌

🌸Tamam ta'areef hain us Allah ke liye jiske ghair se *(yani Allah ke siwa kisi aur se)* mein ummid nahi rakhta,aur agar *(Allah ke siwa kisi se)* ummid rakhu bhi to woh meri ummid puri na karega,

🌸Tamam ta'areef hain us Allah ke liye jisne apni supurdagi mein lekar mujhe *izzat* di,aur mujhe logo ke supurd na kiya ke (warna) mujhe *Zaleel* karte,

🌺Tamam Ta'areef hain us Allah ke liye jo mujh se *mohabbat*  karta hain,agarche wo *mujh se be-niyaz* hain,

🌺Tamam ta'areef hain us Allah ke liye jo mujh se *itni narmi* karta hain jaise maine *koi gunah na kiya* ho,

🌳Pas mera Rab mere nazdeek har cheez se *zyadah* qabile ta'areef hain,aur woh meri ta'areef ka zyadah haqdaar hain.

🌸📖(Dua e Abu hamzah sumali) 📖🌺

💐🌷اللهم صل على محمد وآل محمد و عجل فرجهم✨

--------------------------------------------------------------------------

🌧8th MAH E RAMAZAAN✍🏻👤

😇MA'ASOOMEEN KI NOORANI DUA MEIN SE *SELECTED JUMLAAT*💫🌹

🕌 بسم الله الرحمن الرحيم🕌

🌸Aye Allah! Paida kar de mere nafs mein *be-niyazi*

Aur

🌺mere *dil* me *yaqeen*

Aur

🌸mere *amal* mein *khuloos*

Aur

🌺meri *nigah* mein *noor*

Aur

🌸mere *dil* mein *samajh*

Aur

🌺mere a'azaa mein *faaidah* paida kar dey

Aur

🌸Mere *kaano aur aankho* ko mera *farmabardar* bana dey.

🌸📖(Dua e Arafah(imam hussain as) ) 📖🌺

💐🌷اللهم صل على محمد وآل محمد و عجل فرجهم✨

--------------------------------------------------------------------------

🌧9th MAH E RAMAZAAN✍🏻👤

😇MA'ASOOMEEN KI NOORANI DUA MEIN SE *SELECTED JUMLAAT*💫🌹

🕌 بسم الله الرحمن الرحیم 🕌

🙏🏻Aur meri taraf *nigah* rakhna,aur mere tamam muaamlaat *apni nazron* mein rakhna

🌺Ke agar tune *MUJHE MERE HAWALE* kar diya to mein kuch na kar sakunga,aur woh kaam bhi anjam na de sakunga jisme meri maslehat hogi

🌸Aur agar(mujhe) *MAKHLUQAT KE HAWALE* kar diya to woh nigahe ghaiz o ghazab hi se mujhe dekhenge

🌺Aur agar *qaraabatdaro ke hawale* kar diya to awwal to mehroom hi rakhenge,fir agar kuch de bhi diya to intehaayi kam denge aur dhair sara ehsan bhi laad denge aur fir mazammat bhi karte rahenge

🙏🏻Lihaza mere malik apne *fazl* se mujhe *Be-niyaz* bana dey,aur apni *azmat* ke sahare se mujhe *uncha utha* dey,aur apni *wus'ate karam* se mere haatho ko *kushaada* kar de,aur jo kuch *tere paas* hain us sey meri kifayat farma dey

🌸📖(Sahifa e Sajjadiyah,  DUA NO:2⃣2⃣) 📖🌺

💐🌷اللهم صل على محمد وآل محمد و عجل فرجهم✨

--------------------------------------------------------------------------

Tuesday, 25 April 2017

28 mahe rajab yaume aaghaz e karbala

No comments:

aaye jo qabre fatema pe sayyade anaam
ruksaar rak-ke kabr pe rokar kiya kalaam
sehra may dil ke tukdon ki basti basaunga
amma madina laut ke mai aa na paunga
kaampa falak larazne lagi qabr-e-sayyeda
aayi janab-e-fatema, ki qabr se sadaa
jao mere laal ....

tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal

ja rahe ho tum jo kehke deene haq bachaunga
amma aap ki qasam mai khoon may nahaunga
ab ho jo bhi haal tum ho payemaal
tum pe har qadam rahe dua meri aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
jao mere laal....

bachpane may jo kiya tha wada baba jaan se
waqt ab wo aagaya kafan tu sar se baandh le
dekh mere laal deen ka hai sawaal
kamiyabiyan hai tere saath hi aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
jao mere laal....

chahiye khuda-ke deen ko agar amaan
do rida e zainab-e-hazeen ka sayeban
jao ab shiqab ibn-e-buturab
hai tumhare saath baba jaan bhi, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
jao mere laal....

de raha hai deen-e-kibriya tumhe sada
al-madad hussain al-madad shah-e-huda
be watan hussain mere dil ke chain
humsafar tumhare saath maa huvi, aur saaya-e-khuda-e-zuljalal
jao mere laal....

shaane ba-wafa ke honge jis gadi qalam
royenge alam ke saaye may tere haram
royegi wafaaaur karbala
royegi faraat aur tashnagi, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
jao mere laal....

akbar-e-jawan jigar pe khayega sina
maa kahegi mera chand khogaya kahan
uspe nohakhaan honge meri jaan
mai bhi aur hassan bhi aur rasool bhi, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
jao mere laal....

ye sada mazaar-e-sayyeda se mazhar abidi
sunke rodiye hussain mustafa ki aal bhi
jao mere laal jao mere laal
tumpe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
jao mere laal....

Saturday, 22 April 2017

Yabnaz zehra ya musa ibne j'afar

No comments:

Lyrics

Saiyadi MAULA (AS).....5

Al Salam Alaika Ya MUSA E KAZIM (AS) .....2

Saiyadi MAULA (AS).....4

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya Moosa Ibne Jafar (AS).....2

Babul Hawaij Ya MUSA IBNE JAFAR (AS)

Saiyadi MAULA (AS).....4

Kaisa Kaidi Hai Ke Marne Pe Bhi Azad Nahi

Kaisi Gurbat Hai, Janaze Pe Bhi Faryad Nahi

Mere MAULA Pe Hui Kaunsi ????? Nahi

Hai Nazdeek Koi Rone Ko Aulad Nahi

Bekas O Tanha,Ya MUSA IBNE JAFAR (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) MUSA IBNE JAFAR (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

Malkae Kum Ka Padar,bani E Mashad Ka Padar

Seerat E MUSTUFA (SAWW) Bhi, Waris E Hauz E Kausar 

Hai Mazloomi Janaza Hai Sare Rahe Guzar

Jub Ke Maujood Hai Rone Ko Pisar Aur Dukhtar

Pul Pe Tha Lasha, Ya MUSA IBNE JAFAR (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya Moosa Ibne Jafar (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

Kaid Me Chaudah Baras Kaise Guzare Honge

Surat E Ashk Musalle Pe Sitare Honge

Tauk O Zanjeer Bhala Kisne Utare Honge

Gamzada Arsh Pe Quran Ke Pare Honge

Kaise Du Pursa, Ya MUSA IBNE JAFAR (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya Moosa Ibne Jafar (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

Qaid E Tanhi Thi Aur MUSA E KAZIM MAULA (AS)

Khatm Beenai Thi Aur MUSA E KAZIM MAULA (AS)

Sitam Aaraie Thi Aur MUSA E KAZIM MAULA (AS)

Maut Ghabraie Thi Aur MUSA E KAZIM MAULA (AS)

Waqt Ka Aqa, Ya MUSA IBNE JAFAR (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya Moosa Ibne Jafar (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

Kasrate Sajda Se Gathri Sa Badanaap Ka Tha

Log Keh Te The Musalle Pe Hai Kapda Sa Pada

Par Qaza Ho Na Saka Waqt E Shahadat Sajda

Dam Ba Dam Aati Rahi Arsh Se Aawaz E Khuda (swt)

Der Na Karna, Ya Moosa Ibne Jafar (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya MUSA IBNE JAFAR (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

Haqim E Wat Ne Kaisa Yeh Sitam Dhaya Hai,

Qabr Mein MADAR E HASNAIN (AS) To Tadpaya Hai

Zaher Khurmo Mein Mere MAULA Ko Pilwaya Hai

Jasad E Paak Ko Mazdooron Se Uthwaya Hai

Roti Thi ZEHRA (SA), Ya MUSA IBNE JAFAR (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya MUSA IBNE JAFAR (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

Koi Aais Ana Tha Maiyat Ko Kafan Pehnaie

Mashad O Qum Koi Jaake Khabar Pohuchai

Rone Wale Na The Mazdoor Janaza Laaie

Girya Karne Ko Janaze Pe Parinde Aaie

Aasma Roya,Ya MUSA IBNE JAFAR (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya MUSA IBNE JAFAR (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

Ibne Jafar Na Aseeri Pe Sitam Par Roie

Tauk Par Roie Na Zanjeer E Kadam Par Roie

Haan Magar Roie To Bus Shahe Umam Par Roie

Apne Jad Aabid E Beemar Ke Gam Par Roie

Padh Te The Nauha, Ya MUSA IBNE JAFAR (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya MUSA IBNE JAFAR (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

Rote Rehte The Shahe Karbobla Ke Gam Mein

Bandagi Se Hue Farig To Rahe Matam Mein

AKBAR (AS), O QASIM (AS) O ABBAS (AS) The Chashme Nam Mein

Saans Ki Doriyan Tooti Hai Ishi Aalam Mein

Waa Mere MAULA (AS),ya Moosa Ibne Jafar (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya MUSA IBNE JAFAR (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

As Salam Aai Mere Mazloom Garibul Gurba

As Salam Aai Rasan O Tauk Me Paband E Jafa

As Salam Aai Sharaf E Bab E Hawaij MAULA (AS)

Alvida Sarwar O Rehan Ke MAULA Aaqa (AS)

Dete Hai Pursa, Ya MUSA IBNE JAFAR (AS)

Yab Naz ZEHRA (SA) Ya MUSA IBNE JAFAR (AS).....2

Saiyadi MAULA (AS).....3

Sunday, 16 April 2017

Bayaan kaise karu martaba sakina ka

No comments:

Bismillah hirrahma nirrahim

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Kisi bashar ko na irfa huwa sakina ka
Makaam jab ke hai itna bada sakina ka

Me ak chota sa qatra hu wo samnder he
Bayaan kaise karu martaba sakina ka

Jo mehfilo me sakina ka zikr karte he
Duwaye deta he unko chacha sakina ka

Pata chalega tumhe kya he sabr ki manzil
Bas ak baar padho kayeda sakina ka

Ise mitane KO bechain tha sitam'us dam
Khuda ke Dee KO sahara mila  sakina ka

Zamana shamo sahar zikr inka karta rahe
N ho sakega magar haq Ada sakina ka

Qadam qadam pe naya zulm ho raha tha magar
Sitam ke samne sar kab juka sakina ka

Saja ke bazme ali aasmaan par dekho
Malaq bhi karne lage tazqara sakina ka

Zabaan bakhsh de"rizwa"KO mad he haider me
Ali ke sher tuje wasta sakina ka

Shukrn lillah

Kalam- RIZWAN BIJANI

Midhat e sakina s.a. farhan aliwaris 2016

No comments:

Farhan (ALI WARIS) (2016)
Midhat e sakina

Sakina.. sakina.. sakina... sakina..(2)
Jaise ke bayaa'n ho nahi sakta
do lafzo mein qur'aan sakina
sakina.. sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)
kaise mai likhu dusra qur'aan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

1. Shabbir ke hoto'n pe hai bibi teri midhat..(2)
ya lab pe hai qur'an ke qur'an sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

2. Ek samt hai shabbir to ek samt hai abbas..(2)
gehware ki tere hai ajab shaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

3. Qur'aan e taharat mein ho tum sura e kausar..(2)
is par hai mukammal mera eemaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

4. Parcham to bohot aur bhi duniya mein hai lekin..(2)
hai parcham e abbas ki pehchan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

5. Shabbir ye kehte ho ke tum jisme nahi ho..(2)
ghar aisa nazar aata hai veeran sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

6. Us shakhs ka rutba koi abbas se puche..(2)
jo hai tere darbaar ka darbaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

7. Jab shaam ke darbaar mein hoti hai azaanein..(2)
hota hai teri jeet ka ailaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

8. Is khwaab ki tabeer dikha de mujhe bibi..(2)
mai phir se hua hu tera mehmaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

9. Dil mein hai mere ek hi armaan sakina..(2)
nikle tere rauze pe meri jaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

10. Sab kuch mai luta deta hu shabbir pe phir bhi..(2)
hone nahi deti mera nuksaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

11. Ash'har ne kaha badh gayi tauqeer teri aur..(2)
beti ka rakha naam jo 'farhan' sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)
Sakina.. sakina.. sakina... sakina

Monday, 27 March 2017

FAZILATE MAHE RAJAB

No comments:

📿 *Fazilat Mahe Rajab*📿
🔹🔸🔹🔸🔹🔸
*1⃣ Rasule Khauda (sawa):*
Yaqeenan Rajab ALLAH ka maheena hai; Shabaan Mera maheena hai aur Mahe Ramzan meri ummat ka maheena hai.
*(Mafaatih ul Jinan)*

*2⃣ Imam Ali (as):*
Mujhe Khushi Mehsos Hoti Hai Ke Insan Pure Saal Ke Doran In 4 Raton Me Khud Ko Tamam Kamo Se Farigh Karke Bedar Rahe aur KHUDA Ki Ebadat Kare;
Wo 4 Raten Ye Hai:
1. Rajab Ki Shabe Awwal
2. Shabe Neema-e-Shaban
3. Shabe Eid-ul-Fitr
4. Shabe Eid-e-Qurban
*(Mafatih ul Jinan, P.284)*

*3⃣ Imam Kazim (as):*
RAJAB Bahisht Me Ek Nehar Hai Jiska Pani Doodh Se Zyada Safaid aur Shehad Se Zyada Shirin Hai; aur Jo Shaks Is Maah (RAJAB) Me Ek Din Ka Roza Rakhega To Woh Is Nehar Se Serab Hoga.
*(Mafatih ul Jinan, P.267)

*4⃣ Imam Kazim (as):*
Maah-e-RAJAB Me Ek Roza Rakhne Se Jahannum Ki Aag Ek Saal Ki Musafat Tak Dur Hojati Hai aur Jo Shaks Is Maah Me 3 Din  Roza Rakhe To Jannat uske Liye Wajib Hojati Hai.
*(Mafatiul Jinaan)*

*5⃣ Rasule Khuda (sawa):*
Jo Mahe Rajab me 3 roze rakhe, har ek roze k badle me Allah (s.w.t.) ose ek saal k roze rakhne ka sawab likhega.
*(Mafatiul Jinaan)*

6⃣ *Jo Shaks Mahe Rajab me 3 din Roza Rakhe; Guruwar (thusday), Juma, aur Shanichar ke din, Use 100 Saal ki Ibadat ka Sawaab Milega.*
*(Mafatiul Jinaan)*
🔹🔸🔹🔸🔹🔸
*7⃣Imam kazim (as):*
Jo shakhs Mahe Rajab me Ek din roza rakhega Aatish e Jahannum usse ek saal ke fasale tak dur hojaeegee.
*(Mafati ul Jinan  pg 241)*

*8⃣ Rasulallah (sawa):*
"...Jaan lo kay jo shaqs Emaan aur Allah se Ajr ki umeed kay saath Rajab mein ek din roza rakhey toh Allah ta'ala ki buzurg raza payega aur uss ka uss din ka Roza Ghazab e Khuda ko thanda kardega, aur uss kay liyie Jahannam kay darwazon mein se ek darwaza band ho jayega, aur agar woh zameen ki miqdaar ka sona bhi ussey de diya jaye toh uss kay uss roza se woh afzal nahi hain aur duniya mein se koi bhi cheez uss kay uss rozey ka badla nahi ban sakti siway nekiyon kay, jab uss ney yeh roza Allah kay liyie ikhlaas kay saath rakha ho. Aur iss kay liyie jab iss rozey kay saath shaam karey (raat ho jaye) toh uss ki dus (10) du'aen mustajaab hoti hai, agar uss ki dua duniya mein kissi cheez kay jaldi paney kay liyie hogi toh (Allah) woh ussey ata farmayega, warna Allah uss kay liyie aysi acchaee ko mehfooz karlega jo uss kay awliya Ahbaa aur asfiya ki dua se Afzal hogi…"
*(Sawabul Aamal, Urdu- Page.62, 63)*
🔹🔸🔹🔸🔹🔸
*9⃣ Rasule Khuda (sawa):*
RAJAB Meri Ummat Ke Liye Astaghfaar Ka Mahina Hai Pas Is Mahine Me Zyada Se Zyada
Talab-e-Maghfirat Karo Ke KHUDA Boht Bakhshne Wala aur Meharban Hai. Is Mah Me Ba kasrat Ye Kaha Karo;

*أَسْتَغْفِرُ اللّه وَأَسْأَلُهُ التَّوْبَةَ*

*ASTAGHFIRULLAHA WA AS’ALOHOT TAOBATA*

*(Mafatiul Jinaan)*

*🔟 Mahe Rajab me* Rozana Subah aur Sham me 70 Martaba Padhe:

   *أَسْتَغْفِرُ اللّهَ وَأَتُوبُ إلَيْهِ.*

*Astaghfirullaha wa atubu ilayhi*

Iske Baad Hatho ko Buland karke Kahe.......

*ُاللّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَتُبْ عَلَيَّ.*

*Allahuma aghfir li wa tub'alayya.*

*(Mafatiul Jinaan)*
🔹🔸🔹🔸🔹🔸
*1⃣1⃣ Rasule khuda (sawa):*
Jo Mahe Rajab me 100 martaba is tarah *Istegfar kare* aur *fauran Sadqa de* to Allah oski zindagi rehmat aur bakshish par tamam karega, aur *400 martaba padhe to 100 Shaheedo ka sawab aata karega.*

*اَسْتَغْفِرُ اللّٰهَ ذَا الْجَلالِ وَ الْاِكْرَامِ مِنْ جَمِيعِ الذُّنُوبِ وَ الْآثَامِ*

*"Astaghfirullah hal lazi la ilaha illa huwa wah-dahu la shari'kalahu waa'tu builayh"*
*(Mafati al Jinan, P.535 Eng)*

*1⃣2⃣ Rasule Khuda (sawa):*
Jo shaks Mahe Rajab me 1000 martaba;

*لا إلهَ إلاّ اللّهُ*
*LA ELAHA ILLAL`LAH*

padhe to oske liye 1 lakh neki likhi jayegi aur Allāh (s.w.t.) jannat me oske liye ek shehar banaega.
*(Mafatiul Jinaan)*
🔸🔹🔸🔹🔸🔹
🌺 اللهم عجل لولياك الفرج(ع)

*اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن*
🔹🔸🔹🔸🔹🔸

Thursday, 16 February 2017

QUIZ WINNER

No comments:

1st Komel rajani mahuva
2nd Taiyeba pakistan
3rd mirza bibi pune
4th Sabera pakistan
5th Rozi Mumbai

Winner👆🏻

(Har ek winner ko 200(inr) ka mobile recharge diya jayega.) I.allah.

SALWAT FOR ALL WINNER N ALL MEMBER

QUIZ ON VILADAT E IMAM ZAINUL AABEDIN A.S.

No comments:

jin logo ne saare sawalo ke sahi jawab diye hai unke naam:

1- Nuzhat karachi
2- sabika multan
3-syeda karachi
4-ambreen karachi
5- mehek karachi
6- Amiri shafin
7- sukaina karachi
8- zehra karnataka
9-Reena bharuch
10-Taiyeba pakistan
11-Sahar karachi
12-Komel jamani mahuva
13 Sakina kutch
14 Siddika bhai saheb
15-Mohammad sunsara
16-Asma karachi
17-Fatema merchant mahuva
18-Sakina rajani bhavnagar
19-Mojiz bhavnagar
20-Rubina virani africa
21-Heena shakil Karachi
22-Mrs.aamir reza
23-Jabir gabhrani
24-Nilam virani bhavnagar
25-Sabera pakistan
26-Shabnam amdawad
27-Urooz pune
28-Alisha pune
29-Imran mira road
30-Mrs.rukhsana karachi
31-Shaziya lokhandwala
32-Alina mumbai
33-Sadaf naqvi delhi
34-Aamatuz zehra qum
35-Taskeen bombay
36-Farhat bhavnagar
37-Saira karachi
38-Kaniz karachi
39-Syeda bhimani
40-Minaz muni ankleshwar
41-Mehrin sydney
42-Naaz masani bhavnagar
43-Sabera mumbai
44-Sabeen merchant
45-Mohammad merchant
46-Shelby dubai
47Reza ali bhojani
48- Syed sajjad haider  s/o  syed saleem hyder
49-dr.Mehreen karachi
50-Sabeen muscut
51-Siddika rajula
52-Itrat pakistan
53-Shabbir devjani kutch
54-Rizwana karachi
55-Kaniz shaikh
56-Mumtaz bhimani
57-sumbul pakistan
58Amreen virani
59-Rubab karnataka
60-Ammar bhurani
61-Anam lakhani rajula
62-Almas jafri oman
63-Zainab karnataka
64-Shahin virani sihore
65-Sana ravjani
66-Batul bombay
67-Zehra rizwi bombay
68-Shahin patel talaja
69-Rehana hirani
70-Batul bombay
71-Kazmin masani bombay
72-Rehan bhurani
73-Zaheda mahesana
74-Tasbiha karachi
75-Shahin kanani kinshasa
76- nusrat karachi
77-ahaan muradabad
78-rukhsaar mumbai
79- elteja karachi
80- zehra govindi
81-khambhat
82-warees ali
83- nishat bhivandi
84- sana channai
85- samana karachi
86-suhana ankleshwar
87- musadrat oman
88-zehra ladak mumbai
15 nilofar bhavnagar
89-rozi mumbai
90- raza ali kanodar
91- anjum zehra ahamedabaad
20 sabila banglore
92-virani mumbai
93- mirza bibi pune
94-heena ahamedabaad
95-neelam mahuva

Winner I.A. aaj raat 10baje.

Safeer e azaTM

Sunday, 12 February 2017

QUIZ

No comments:

```QUIZ ON VILADAT E I.ZAINUL AABEDIN A.S.W.S.```

_Bismillah..._

Q1⃣: H.I.Zainul Aabedin a.s ka Naam,waledain ka naam, laqab  aur kunniyat bataiye.?

Q2⃣: Hamare 4th Imam ko qayamat ke din konse naam se pukara jaayga?

Q3⃣: Jb Madina par Hamla hua Tab woh 2shakshiyat kon thi jisse yazid(lanat) ki Bayyat nhi li gayi?

Q4⃣:Harra ka waqeya bana tab Imam konsi jagah par chale gaye the?

Q5⃣: Hamare 4th Imam ne Konsi kitaab likhi he?

Q6⃣: KAABA ko zamindost kr diya gya (nuksaan pahochaya),
fir se naya banane ke waqt konse badshah ki huqumat thi?

Q7⃣:Hashham or 4th Imam hajj pr the tab daurane Hajj konse POET (shayar) ne Hashham k saamne hamare 4th Imam ka qasida pardha tha?

Q8⃣: Konse Zalim Badshah ne Humare 4th Imam ko zahar diya tha?

Q9⃣: H. Zainul aabedin a.s ki Koi bhi  3 Hadees bayan kre refrence ke sath?

Q🔟: 4th imam ne H. IMAM HUSSAIN k sath qul kitani umr(age)guzari?

*note:*
Yaad rahe saare sawalo ke jawab ek sath dene hai..

Jawab aaj raat 8baje( INDIAN STANDARD TIME) tak de sakte hai.

*Safeer e azaTM*

Friday, 13 January 2017

NAHJUL BALAGAH

No comments:

HADEES NO-1:

FITNA FASAD me is tarah raho jaise OONT(camel) ka woh BACCHA jisane abhi  apani umr ke 2 saal pure kiye ho,
ki na to iski pith par sawari ki jaa sakti he aur Na hi uske Tano se dudh hi Duha jaa sakta he.
(H. ALI A.S.)

NAHJUL Balagaah
(Part 03 Hidaayat)
.
.
.
HADEES NO-2:

Jisne tam'a(तम्अ-लालच) ko Apna shiaar(Aadat) banaya usne apne ko
subuk(Apmanit) kiya,
aur jisane apani pareshan haali ka Izhaar kiya wah zillat par Aamada(Raazi) ho gaya,
aur jisane apani Zabaan par qabu na rakha usane apani bewaqti ka samaan kar liya.
-(H.ALI A.S)

🏼nahjul balagah-
Part-3hidayat
.
.
.
HADEES NO-03:

Bukhal(kanjusi)  Nagoaar (kalank or laanchan) he, Gurbat marde zirang(hoshiyaar) wa daana(akalmand) ki Zabaan ko dalayal ki quwwat se aajiz bana deti he, or MUFLIS apne shaher me rehkar bhi  GAREEBUL hota he, aur Eiz wa darmandagi( fakhra karna) Musibat he Aur SABR wa SHAKEBAYI(patience) shuja'at he, Aur Duniya se BE TA'ALUKI badi daulat he, Parhezgaari ek Badi _SIPAR_(Dhal) he..

(H. ALI A.S.)

✍🏼NAHJUL Balagaah
(Part 03 Hidaayat)
.
.
.
   HADEES NO-04:

Khuda ki RAZA pr RAAZI rehna insaan ka bahetarin  sathi he,
Aur Ilm uttam (best) MIRAS(warsa) he,
Aur Sanskaar naye Naye vastr (clothes) he,
Aur Fikr(chintan) saaf wa uttam Aayina he.....

(H. ALI A.S.)
🏼NAHJUL Balagaah
*(Part 03 Hidaayat)*
.
.
.
HADEES NO-05:

Akalmand ka sina uske RAAZO(secrets) ka khazana hota he,Aur khushkhabari MOHABBAT wa DOSTI ka fanda(jaal) he...Aur Sahanashilata(tolerance) wa Sahishnuta(sufferance) Aibo ki Mudaffan(kabr) he, Aur Suleh wa Safai Aebo kO Dhankne( ढांकने) ka Zariya he....

(H. ALI A.S.)

🏼NAHJUL Balagaah
(Part 03 Hidaayat)

   HADEES NO-06

Jo shakhs *khud*(ApaneAap) ko _*bahut pasand*_ karta he,
wo Dusro ko *Napasand* ho jaata he,
Aur *Sadqa* Kamyaab *_Dawa_* he,
Aur Duniya me Bando ke jo *A'amal* he woj *Aakherat* me Unki _*Aankho*_ ke samne honge.

*_(H. ALI A.S.)_*

✍🏼NAHJUL BALAGAH
*(Part 03 Hidaayat)*

   HADEES NO-07

Yeh *INSAAN* *_ta'ajub_* ke qabil he ki woh *_CHARABI_* se *Dekhta*he,
aur *_GOSHT_*ke maas(meat) se *Bolata* he
Aur *_HADDI_*se *Sunata* he,
Aur Aek *_Suraakh_* (chhed) se *Saans* leta he....

*_(H. ALI A.S.)_*

✍🏼NAHJUL BALAGAH
*(Part 03 Hidaayat)*

  HADEES NO-08

Jab Duniya, Apani *Naemato* ko lekar, kisi ki taraf badhati he to *Dusaro* ki *_KHUBIYAN_* bhi use chadha deti he, Aur jab us se *RUKH* moad leti he to khud uski *_KHUBIYAN_* bhi us se chhin leti he

*_(H. ALI A.S.)_*

✍🏼NAHJUL BALAGAH
*(Part 03 Hidaayat)*

  HADEES NO-09

Logo ke sath aisa *Mel-Milap* rakho ke agar *_MARR_* jao to log aap par *Roye* aur
agar *_ZINDA_* raho to tumhare *Chahitey(Mushtaq)* rahe.

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

   HADEES NO-10

Jab aap apane *Dushman* pr *_Qaboo_* paao to, iss qaboo pane ka *SHUKRANA* usko *_MUAAF_* kar dena karrar do...

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

   HADEES NO-11

Logon me sab se zyada *Lachar* wo log he jo apani sari *_Zindgi_* me apane liye kuch *DOST* na bana sake,
Aur usse bhi zyada *lachar* wo he jo Dost ko pakar bhi use kho de.

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

   HADEES NO-12

Jab tumhe thodi bahot *Ne'amate* mile to _*NASHUQRI*_ se unhe apne tak aane se pehle *Bhaga* mat do.

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

  
HADEES NO-13

Jise *karibi*_(apane)_ *_chor_* dete he use *Begane(paraye)* mil jaate hai.

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

   HADEES NO-14

Har *FITNE* me padne wala _*SHIQAYAT*_(NINDA/blameful) ke _Qabil_ nhi hota

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

   HADEES NO-15

Sab *Muaamale* _Naseeb_ ke aadhin he, yaha tak ke kabhi kabhi *koshisho*(try) ke natije me *maut* ho jaati he.

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

  HADEES NO-16

*PAIGHMBAR* saws ki Hadees ke Muta'alik ki

" *Budhape* ko _*Khizab*_ k zariye Badal do, Aur *Khabardaar!* _*Yahoodio*_ ki *shabih(Copy)* na bano."

Aap se sawal kiya gaya to Aap *(H. Ali a.s.)* ne Farmaya ki Paighmbar saws ne yah us Waqat farmaya tha jab ke *Deen* wale kam the aur Ab uska Daera(vistaar) fel chuka he, Aur Sina Tek kar jam chuka he to Har *Insaan* ko apani *pasand* se kaam lena chahiye

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

   HADEES NO-17

Un logon ke liye jo Aapke *HAMRAAH* hokar Ladne(Jang) se dur rahe, "un Logon ne *_Haq_* ko chhod diya Aur *_Baatil_* ki bhi *Madad* nahi ki."

( Beshaq in logon ne khul kar
*BATIL*ki *himayat(madad)* nahi ki magar *Haq ki Nusrat(madad)* se hath Utha lena bhi ek tarah se baatil ko *Taqwiyat(taqat)* Pahochana he,
Is liye Unka shumaar bhi *Mukhalifin* me hi hoga)

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

   HADEES NO-18

Jo apani *UMMID*(khwahisho) ki Raah me bagtoot(continue) *Dodata* he wah *Maut* se *_Thokar_* khata he.

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

   HADEES NO-19

*acche*(sajjan/nek) logon ki *_khamiyon_*(weakness) ko DarGuzar karo kyunki unme se jobhi *thokar* khakar girta hai to *_Allah_* uske Hath me Hath dekar usse *Uppar* Utha leta hai.

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

 
HADEES NO-20

*Khauf* ka Natija *_Nakami_*
Aur
*```SHARM```* ka Natija *```MEHRUMI```*
hai,
Aur fursat ki *Ghadiya*(Din) tez *Abr(badalo)* ki tarah Guzar jaati hai,
Lihaza *_BHALAI_* ke mile huve Mauke ko *Ghanimat* samjo.

*(H. ALI A.S.)*

✍🏼 *NAHJUL BALAGAH*
*(Part 03 Hidaayat)*

Saturday, 7 January 2017

S.BAQRA Aayat-93 to 141

No comments:

QURAAN MAJEED.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 93 TO 96.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 93 :-

وَإِذْ أَخَذْنَا مِيثَاقَكُمْ وَرَفَعْنَا فَوْقَكُمُ الطُّورَ خُذُوا مَا آتَيْنَاكُم بِقُوَّةٍ وَاسْمَعُوا قَالُوا سَمِعْنَا وَعَصَيْنَا وَأُشْرِبُوا فِي قُلُوبِهِمُ الْعِجْلَ بِكُفْرِهِمْ قُلْ بِئْسَمَا يَأْمُرُكُم بِهِ إِيمَانُكُمْ إِن كُنتُم مُّؤْمِنِينَ ●
9⃣3⃣ Wa-iz Akhaznaa Meesaaqakum Wa Rafa'anaa Fawqa Kumut Toora Khuzoo Maaa Aatainaakum Biquwwatinw Wasma'oo Qaaloo Sami'anaa Wa 'Asainaa Wa Ushriboo Fee Quloobihimul 'Ijla Bikufrihim; Qul Bi'samaa Yaamurukum Biheee Eemaanukum In Kuntum Mu'amineen.
➡ Aur (Wo Waqt Yaad Karo) Jab Hamne Tumse Ahed Liyaa Aur Kohetur Ko (Tumhaari Adool Hukmi Se) Tumhaare Sar Par Latkaayaa. Aur  (Hamne Kahaa Ki Ye Kitaab Tauret) Jo Hamne Di Hai Mazbooti Se Lie Raho. Aur (Jo Kuchh Isme Hai) Suno. To Kehne Lage Sunaa To (Sahi Lekin) Ham Isko Maante Nahi Unki Be Imaani Ki Wajah Se (Goyaa) Bachhde Ki Ulfat Gholke Unke Dilome Pilaa Di Gai. Keh Do Ki Agar Tum Imaandaar The To Tumko Tumhaaraa Imaan Kyaa Buraa Hukm Kartaa Thaa.
---------------------------------------------
AAYAT - 94 :-

قُلْ إِن كَانَتْ لَكُمُ الدَّارُ الْآخِرَةُ عِندَ اللَّهِ خَالِصَةً مِّن دُونِ النَّاسِ فَتَمَنَّوُا الْمَوْتَ إِن كُنتُمْ صَادِقِينَ ●
9⃣4⃣ Qul In Kaanat Lakumud Daarul Aakhiratu 'Indal Laahi Khaalisatam Min Doonin Naasi Fatamannawul Mawta In Kuntum Saadiqeen.
➡ (Ay Rasool s.a.w.w) Oon Logose Kehdo Ki Agar Khudaa Ke Nazdik Aakherat Kaa Ghar (Behisht) Khaas Tumhaare Waaste Hai Aur Logoke Waaste Nahi Hai. Pas Agar Tum Sachche Ho To Maut Ki Aarzoo Karo  (Taki Jaldi Behisht Me Jaao).
---------------------------------------------
AAYAT - 95 :-

وَلَن يَتَمَنَّوْهُ أَبَدًا بِمَا قَدَّمَتْ أَيْدِيهِمْ وَاللَّهُ عَلِيمٌ بِالظَّالِمِينَ ●
9⃣5⃣ Wa-lai Yatamannawhu Abadam Bimaa Qaddamat Aydeehim; Wallaahu 'Aleemum Bizzaalimeen.
➡ Lekin Wo Oon (Aamaale Bad) Ki Wajah Se Jinko Unke Haatho Ne Pahele Se Aage Bhejaa Hai Hargeez Maut Ki Aarzoo Naa Karenge. Aur Khudaa Zaalimo Se Khub Waakif Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 96 :-

وَلَتَجِدَنَّهُمْ أَحْرَصَ النَّاسِ عَلَىٰ حَيَاةٍ وَمِنَ الَّذِينَ أَشْرَكُوا يَوَدُّ أَحَدُهُمْ لَوْ يُعَمَّرُ أَلْفَ سَنَةٍ وَمَا هُوَ بِمُزَحْزِحِهِ مِنَ الْعَذَابِ أَن يُعَمَّرَ وَاللَّهُ بَصِيرٌ بِمَا يَعْمَلُونَ ●
9⃣6⃣ Wa Latajidan Nahum Ahrasan Naasi 'Alaa Hayaatinw Wa Minal Lazeena Ashrakoo; Yawaddu Ahaduhum Lav Yu'ammaru Alfa Sanatinw Wa Maa Huwa Bi-muzah Zihihee Minal 'Azaabi Ai Yu'ammar; Wallaahu Baseerum Bimaa Ya'amaloon.
➡ Aur (Ay Rasool s.a.w.w) Tum Inko Zindagi Kaa Sabse Zyaadaa Haris Paaoge Aur Mushriko Me Se Har 1 Shakhs Chahta Hai Ki Kaash Usko Hazaar Baras Ki Umr Di Jaati. Haalaaki Agar Itni Tulaani Umr Bhi Di Jaae To Wo (Khudaa Ke) Azaab Se Chhutkaaraa Denewaali Nahi. Aur Jo Kuchh Ve Log Karte Hai Khudaa Oose Khub Dekh Rahaa Hai.

SALWAAT.

QURAAN MAJEED.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 97 TO 101.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 97 :-

قُلْ مَن كَانَ عَدُوًّا لِّجِبْرِيلَ فَإِنَّهُ نَزَّلَهُ عَلَىٰ قَلْبِكَ بِإِذْنِ اللَّهِ مُصَدِّقًا لِّمَا بَيْنَ يَدَيْهِ وَهُدًى وَبُشْرَىٰ لِلْمُؤْمِنِينَ ●
9⃣7⃣ Qul Man Kaana 'Aduwwal Li Jibreela Fainnahoo Nazzalahoo 'Alaa Qalbika Bi Iznil Laahi Musaddiqal Limaa Baina Yadayhi Wa Hudanw Wa Bushraa Lilmu'amineen.
➡ (Ay Rasool s.a.w.w Oon Logo Se) Kehdo Ki Jo Jibrail Kaa Dushman Hai (Uskaa Khudaa Dushman Hai) Kyoki Is Farishte Ne Khudaa Ke Hukm Se (Is Quraan Ko) Tumhaare Dil Par Daalaa Hai Aur Wo Oon Kitaabo Ki Tasdeek Kartaa Hai Jo (Pahele Naazil Ho Chuki Hai Aur Ab) Iske Saamne Maujood Hai Aur Imaandaaro Ke Waaste Khush Khabri Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 98 :-

مَن كَانَ عَدُوًّا لِّلَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ وَرُسُلِهِ وَجِبْرِيلَ وَمِيكَالَ فَإِنَّ اللَّهَ عَدُوٌّ لِّلْكَافِرِينَ ●
9⃣8⃣ Man Kaana 'Aduwwal Lillaahi Wa Malaaa'ikatihee Wa Rusulihee Wa Jibreela Wa Meekaala Fa Innal Laaha 'Aduwwul Lilkaafireen.
➡ Jo Shakhs Khudaa Aur Uske Farishto Aur Uske Rasoolo (Khaaskar) Jibrail O Mikaail Kaa Dushman Ho To Beshak Khudaa Bhi (Aise) Kaafiro Kaa Dushman Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 99 :-
وَلَقَدْ أَنزَلْنَا إِلَيْكَ آيَاتٍ بَيِّنَاتٍ وَمَا يَكْفُرُ بِهَا إِلَّا الْفَاسِقُونَ ●
9⃣9⃣ Wa Laqad Anzalnaaa ilaika Aayaatim Baiyinaatinw Wa Maa Yakfuru Bihaaa illal Faasiqoon.
➡ Aur (Ay Rasool s.a.w.w) Hamne Tumpar Aisi Nishaaniyaa Naazil Ki Hai Jo Waajeh Aur Raushan Hai Aur Aise Naafarmaano Ke Siwaa Unka Koi Inkaar Nahi Kar Saktaa.
---------------------------------------------
AAYAT - 100 :-

أَوَكُلَّمَا عَاهَدُوا عَهْدًا نَّبَذَهُ فَرِيقٌ مِّنْهُم بَلْ أَكْثَرُهُمْ لَا يُؤْمِنُونَ ●
1⃣0⃣0⃣ Awa Kullamaa 'Aahadoo Ahdan Nabazahoo Fareequm Minhum; Bal Aksaruhum Laa u'aminoon.
➡ Aur (Unki Ye Haalat Hai Ki) Jab Koi Ahed Kiyaa To Usme Se 1 Farik Ne Tod Daalaa. Balki Inme Se Aksar To Imaan Hi Nahi Rakhte.
---------------------------------------------
AAYAT - 101 :-

وَلَمَّا جَاءَهُمْ رَسُولٌ مِّنْ عِندِ اللَّهِ مُصَدِّقٌ لِّمَا مَعَهُمْ نَبَذَ فَرِيقٌ مِّنَ الَّذِينَ أُوتُوا الْكِتَابَ كِتَابَ اللَّهِ وَرَاءَ ظُهُورِهِمْ كَأَنَّهُمْ لَا يَعْلَمُونَ ●
1⃣0⃣1⃣ Wa Lammaa Jaaa'ahum Rasoolum Min 'Indil Laahi Musaddiqul Limaa Ma'ahum Nabaza Fareequm Minal Lazeena Ootul Kitaaba Kitaabal Laahi Waraaa'a Zuhoorihim Ka-annahum Laa Ya'lamoon.
➡ Aur Jab Unke Paas Khudaa Ki Tarafse Rasool (Mohammad s.a.w.w) Aayaa Aur Wo Oos (Tauret) Ki Jo Unke Paas Hai Tasdik Bhi Kartaa Hai Oon Ahle Kitaab Ke 1 Giroh Ne Kitaabe Khudaa Ko Apne Pase Pusht Fek Diyaa Goyaa Ve Log Kuchh Jaante Hi Nahi.

SALWAAT.

QURAAN MAJEED.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 102 TO106
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 102 :-

وَاتَّبَعُوا مَا تَتْلُو الشَّيَاطِينُ عَلَىٰ مُلْكِ سُلَيْمَانَ وَمَا كَفَرَ سُلَيْمَانُ وَلَٰكِنَّ الشَّيَاطِينَ كَفَرُوا يُعَلِّمُونَ النَّاسَ السِّحْرَ وَمَا أُنزِلَ عَلَى الْمَلَكَيْنِ بِبَابِلَ هَارُوتَ وَمَارُوتَ وَمَا يُعَلِّمَانِ مِنْ أَحَدٍ حَتَّىٰ يَقُولَا إِنَّمَا نَحْنُ فِتْنَةٌ فَلَا تَكْفُرْ فَيَتَعَلَّمُونَ مِنْهُمَا مَا يُفَرِّقُونَ بِهِ بَيْنَ الْمَرْءِ وَزَوْجِهِ وَمَا هُم بِضَارِّينَ بِهِ مِنْ أَحَدٍ إِلَّا بِإِذْنِ اللَّهِ وَيَتَعَلَّمُونَ مَا يَضُرُّهُمْ وَلَا يَنفَعُهُمْ وَلَقَدْ عَلِمُوا لَمَنِ اشْتَرَاهُ مَا لَهُ فِي الْآخِرَةِ مِنْ خَلَاقٍ وَلَبِئْسَ مَا شَرَوْا بِهِ أَنفُسَهُمْ لَوْ كَانُوا يَعْلَمُونَ ●
1⃣0⃣2⃣ Wat-taba'oo Maa Tatlush Shayaateenu 'Alaa Mulki Sulaimaana Wa Maa Kafara Sulaimaanu Wa Laakin-nash Shayateena Kafaroo Yu'al Limoonan Naasas Sihra Wa Maaa Unzila 'Alal Malakaini Bi Baabila Haaroota Wa Maaroot; Wa Maa Yu'allimaani Min Ahadin Hattaa Yaqoolaaa Innamaa Nahnu Fitnatun Falaa Takfur Fayata'al Lamoona Minhumaa Maa Yufarriqoona Bihee Bainal Mar'i Wa Zawjih; Wa Maa Hum Bidhaaarreena Bihee Min Ahadin illaa Bi-iznillah; Wa Yata'allamoona Maa Yadhurruhum Wa Laa Yanfa'uhum; Wa Laqad 'Alimoo Lamanish Taraahu Maa Lahoo Fil Aakhirati Min Khalaaq; Wa Labi'asa Maa Sharaw Biheee Anfusahum; Lav Kaanoo Ya'alamoon.
➡ Aur Oos Manter Ke Pichhe Pad Gae Jisko Sulemaan Ke Zamaana E Sultanat Me Shayaateen Japa Karte The. Haalaaki Sulemaan (a.s) Ne Kufr Ikhteyaar Nahi Kiyaa Lekin Shaitaano Ne Kufr Ikhteyaar Kiyaa Ki Ve Logo Ko Jaadu Sikhaayaa Karte The. Aur Wo Chize Jo Haarut O Maarut Dono Farishto Par Waabil Me Naazil Ki Gai Thi. Haalaaki Ye Dono Farishte Kisiko Sikhaate Naa The Jabtak Ye Naa Keh Dete Ki Ham Dono To Faqat (Zariyae) Aazmaaish Hai. Pas To (Uspar Amal Karke) Beimaan Naa Ho Jaanaa. Oos Par Unse Wo (Totke) Sikhte The Jinki Wajahse Miyaa Biwi Me Tafarrakaa Daal De. Halaaki Bagair Izne Khudaawandi Wo Apni In Baato Se Kisi Ko Zarar Nahi Pahochaa Sakte The. Aur Ye Log Aisi Baate Sikhte The Jo Khud Unhi Ko Nuksaan Pahuchaati Thi Aur (Kuchh) Nafaa Pahuchaati Thi Baawajood Ye Ki Wo Yakinan Jaan Chuke The Ki Jo Shakhs In (Buraaiyaa) Kaa Kharidaar Huaa Aur Wo Aakherat Me Benasib Hai. Aur Beshubah (Muaavzaa) Bahut Hi Buraa Hai Jiske Badle Unhone Bechaa, Kaash (Oose Kuchh Soche) Samje Hote.
---------------------------------------------
AAYAT - 103 :-

وَلَوْ أَنَّهُمْ آمَنُوا وَاتَّقَوْا لَمَثُوبَةٌ مِّنْ عِندِ اللَّهِ خَيْرٌ لَّوْ كَانُوا يَعْلَمُونَ ●
1⃣0⃣3⃣ Wa-lav Annahum Aamanoo Wat-taqaw Lamasoo-batum Min 'Indillaahi Khairun Lav Kaanoo Ya'alamoon.
➡ Aur Agar Imaan Laate Aur (Jaadu Wagaira Se) Bachkar Parhezgaar Bante To Khudaa Ki Dargaah Se Jo Sawaab Miltaa Wo Usse Kahi Behtar Hotaa. Kaash Ye Log (Itnaa To) Samajte.
---------------------------------------------
AAYAT - 104 :-

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَقُولُوا رَاعِنَا وَقُولُوا انظُرْنَا وَاسْمَعُوا وَلِلْكَافِرِينَ عَذَابٌ أَلِيمٌ ●
1⃣0⃣4⃣ Yaaa Ayyuhal Lazeena Aamanoo Laa Taqooloo Raa'inaa Wa Qoolun Zurnaa Wasma'oo; Wa Lilkaafireena 'Azaabun Aleem.
➡ Ay Imaandaaro Tum (Rasool s.a.w.w Ko Apni Taraf Mutawajjeh Karnaa Chaho To) Raa'ana (Hamaari Riaayat Kar) Naa Kaha Karo Balki Unzurnaa Kahaa Karo Aur (Ji Lagaa Kar) Sunte Raho. Aur Kaafeero Ke Liye Dardnaak Azaab Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 105 :-

مَّا يَوَدُّ الَّذِينَ كَفَرُوا مِنْ أَهْلِ الْكِتَابِ وَلَا الْمُشْرِكِينَ أَن يُنَزَّلَ عَلَيْكُم مِّنْ خَيْرٍ مِّن رَّبِّكُمْ وَاللَّهُ يَخْتَصُّ بِرَحْمَتِهِ مَن يَشَاءُ وَاللَّهُ ذُو الْفَضْلِ الْعَظِيمِ ●
1⃣0⃣5⃣ Maa Yawaddul Lazeena Kafaroo Min Ahlil Kitaabi Wa Lal Mushrikeena Ai-Yunazzala 'Alaikum Min Khairim Mir Rabbikum; Wallaahu Yakhtassu Birahmatihee Mai-yashaaa; Wallaahu Zul Fadhlil 'Azeem.
➡ (Ay Rasool s.a.w.w) Ahle Kitaab Me Se Jinlogo Ne Kufr Ikhteeyaar Kiyaa Wo Aur Mushrekin Ye Nahi Chaahte Hai Ki Tumpar Tumhaare Parwardeegaar Ki Taraf Se Bhalaai (Wahi) Naazil Ki Jaae. Aur  (Unka To Isme Kuchh Ijaarah Nahi) Khudaa Jisko Chahtaa Hai Apni Rahemat Ke Lie Khaas Kar Leta Hai Aur Khudaa Badaa Fazal (Karne) Waalaa Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 106 :-

مَا نَنسَخْ مِنْ آيَةٍ أَوْ نُنسِهَا نَأْتِ بِخَيْرٍ مِّنْهَا أَوْ مِثْلِهَا أَلَمْ تَعْلَمْ أَنَّ اللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ ●
1⃣0⃣6⃣ Maa Nansakh Min Aayatin Aw Nunsihaa Na-ti Bikhairim Minhaaa Aw Mislihaaa; Alam Ta'alam Annal Laaha 'Alaa Kulli Shai'in Qadeer.
➡ (Ay Rasool s.a.w.w) Ham Jab Koi Aayat Mansukh Karte Hai Yaa (Tumhaare Zahen Se) Mitaa Dete Hai To Isse Behtar Yaa Waisi Hi (Aur) Naazil Bhi Kar Dete Hai. Kyaa Tum Nahi Jaante Ki Beshubah Khudaa Har Cheez Par Qaadeer Hai ?

SALWAAT.

QURAAN MAJEED.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 107 TO 110
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 107 :-

أَلَمْ تَعْلَمْ أَنَّ اللَّهَ لَهُ مُلْكُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَمَا لَكُم مِّن دُونِ اللَّهِ مِن وَلِيٍّ وَلَا نَصِيرٍ ●
1⃣0⃣7⃣ Alam Ta'lam Annallaaha Lahoo Mulkus Samaawaati Wal Ardh; Wa Maa Lakum Min Doonil Laahi Minw Waliyyinw Wa Laa Naseer.
➡ Kya Tum Nahi Jaante Ki Aasmaan O Zameen Ki Saltanat Beshak Khaas Khudaa Hi Ke Lie Hai. Aur Khudaa Ke Siwaa Tumhaaraa Naa Koi Sarparast Hai Naa Madadgaar ?
---------------------------------------------
AAYAT - 108-

أَمْ تُرِيدُونَ أَن تَسْأَلُوا رَسُولَكُمْ كَمَا سُئِلَ مُوسَىٰ مِن قَبْلُ وَمَن يَتَبَدَّلِ الْكُفْرَ بِالْإِيمَانِ فَقَدْ ضَلَّ سَوَاءَ السَّبِيلِ ●
1⃣0⃣8⃣ Am Tureedoona An Tas'aloo Rasoolakum Kamaa Su'ila Moosa Min Qabl; Wa Mai Yatabaddalil Kufra Bil Eemaani Faqad Dhalla Sawaaa'as Sabeel.
➡ Kya Tum Chaahte Ho Ki Tum Bhi Apne Rasool (s.a.w.w) Se Waise Hi (Be Dhange) Sawaalaat Karo Jis Tarah Saabik Zamaane Me Musa (a.s) Se (Betuke) Sawaalaat Kie Gae The ? Aur Jis Shakhs Ne Imaan Ke Badle Kufr Ikhtiyaar Kiyaa Wo To Yakeeni Sidhe Raaste Se Bhatak Gayaa.
---------------------------------------------
AAYAT - 109 :-

وَدَّ كَثِيرٌ مِّنْ أَهْلِ الْكِتَابِ لَوْ يَرُدُّونَكُم مِّن بَعْدِ إِيمَانِكُمْ كُفَّارًا حَسَدًا مِّنْ عِندِ أَنفُسِهِم مِّن بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمُ الْحَقُّ فَاعْفُوا وَاصْفَحُوا حَتَّىٰ يَأْتِيَ اللَّهُ بِأَمْرِهِ إِنَّ اللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ ●
1⃣0⃣9⃣ Wadda Kaseerum Min Ahlil Kitaabi Lav Yaruddoo Nakum Mim Ba'adi Eemaanikum Kuffaaran Hasadam Min 'Indi Anfusihim Mim Ba'adi Maa Tabaiyana Lahumul Haqqu Fa'afoo Washfahoo Hattaa Yaa Tiyallaahu Bi Amrih; Innal Laaha 'Alaa Kulli Shai'in Qadeer.
➡ Ahle Kitaab Me Se Aksar Log Apne Dili Hasad Ki Wajah Se Ye Khwaahish Rakhte Hai Ki Tumko Imaan Laane Ke Baad Fir Kaafir Banaa De (Aur Lutf To Ye Hai  Ki) Unpar Haq Zaahir Ho Chuka Hai Uske Baad (Bhi Ye Tamannaa Baaki Hai) Pas Tum Maaf Karo Aur Darguzar Karo Yahaa Tak Ki Khudaa Apnaa (Koi Aur) Hukm Bheje. Beshak Khudaa Har Cheez Par Qaadeer Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 110 :-

وَأَقِيمُوا الصَّلَاةَ وَآتُوا الزَّكَاةَ وَمَا تُقَدِّمُوا لِأَنفُسِكُم مِّنْ خَيْرٍ تَجِدُوهُ عِندَ اللَّهِ إِنَّ اللَّهَ بِمَا تَعْمَلُونَ بَصِيرٌ ●
1⃣1⃣0⃣ Wa Aqeemus Salaata Wa Aatuz Zakaah; Wa Maa Tuqaddimoo Li Anfusikum Min Khairin Tajidoohu 'Indal Laah; Innal Laaha Bimaa Ta'amaloona Baseer.
➡ Aur Namaaz Padhte Raho Aur Zakaat Dete Jaao. Aur Jo Kuchh Bhalai Apne Lie (Khudaa Ke Yahaa) Pahele Se Bhej Doge Oos (Ke Sawaab) Ko Maujood Paaoge. Jo Kuchh Tum Karte Ho Oose Khudaa Zaroor Dekh Rahaa Hai.

QURAAN MAJEED.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 111 TO 113.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 111 :-

وَقَالُوا لَن يَدْخُلَ الْجَنَّةَ إِلَّا مَن كَانَ هُودًا أَوْ نَصَارَىٰ تِلْكَ أَمَانِيُّهُمْ قُلْ هَاتُوا بُرْهَانَكُمْ إِن كُنتُمْ صَادِقِينَ ●
1⃣1⃣1⃣ Wa Qaaloo Lai Yadkhulal Jannata illaa Man Kaana Hoodan Aw Nasaaraa; Tilka Ammniy Yuhum; Qul Haatoo Burhaa Nakum In Kuntum Saadiqeen.
➡ Aur (Yahood) Kehte Hai Ki Yahood (Ke Siwaa) Aur (Nasaara Kehte hai Ki) Nasaara Ke Siwaa Koi Behisht Me Jaane Hi Naa Paaegaa. Ye Unke Khayaali Pulaav Hai. (Ay Rasool s.a.w.w) Tum Unse Kaho Ki Bhalaa Agar Tum Sachche Ho To Apni Dalil Pesh Karo.
---------------------------------------------
AAYAT - 112 :-

بَلَىٰ مَنْ أَسْلَمَ وَجْهَهُ لِلَّهِ وَهُوَ مُحْسِنٌ فَلَهُ أَجْرُهُ عِندَ رَبِّهِ وَلَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ ●
1⃣1⃣2⃣ Balaa Man Aslama Wajhahoo Lillaahi Wa Huwa Muhsinun Falahooo Ajruhoo 'Inda Rabbihee Wa Laa Khawfun 'Alaihim Wa Laa Hum Yahzanoon.
➡ Ha Albatta Jis Shakhs Ne Khudaa Ke Aage Apnaa Sar Jukaa Diyaa Aur Achchhe Kaam Bhi Kartaa Hai To Uske Parwardigaar Ke Yahaa Uska Badlaa (Maujood Hai) Aur Aakherat Me Aise Logo Par Naa Kisi Tarah Kaa Khauf Hogaa Aur Naa Aise Log Gamgeen Honge.
---------------------------------------------
AAYAT - 113 :-

وَقَالَتِ الْيَهُودُ لَيْسَتِ النَّصَارَىٰ عَلَىٰ شَيْءٍ وَقَالَتِ النَّصَارَىٰ لَيْسَتِ الْيَهُودُ عَلَىٰ شَيْءٍ وَهُمْ يَتْلُونَ الْكِتَابَ كَذَٰلِكَ قَالَ الَّذِينَ لَا يَعْلَمُونَ مِثْلَ قَوْلِهِمْ فَاللَّهُ يَحْكُمُ بَيْنَهُمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ فِيمَا كَانُوا فِيهِ يَخْتَلِفُونَ ●
1⃣1⃣3⃣ Wa Qaalatil Yahoodu Laisatin Nasaaraa 'Alaa Shai'inw-Wa Qaalatin Nasaaraaa Laisatil Yahoodu 'Alaa Shai'inw'wa Hum Yatloonal Kitaab; Kazaalika Qaalal Lazeena La Ya'alamoona Misla Qawlihim Yawmal Qiyaamati Feemaa Kaanoo Feehi Yakhtalifoon.
➡ Aur Yahood Kehte Hai Ki Nasaaraa Kaa Mazhab Kuchh (Thik) Nahi Aur Nasaaraa Kehte Hai Ki Yahood Kaa Mazhab Kuchh (Thik) Nahi Haalaaki Ye Dono Farik Kitaabe Khudaa Padhte Rahete Hai. Isi Tarah Inhi Ki Si Baate Wo (Mushrekin Arab) Kiyaa Karte Hai Jo (Khudaa Ke Ahkaam) Kuchh Nahi Jaante, To Jis Baat Me Ye Log Pade Jagadte Hai (Duniya Me To Tay Naa Hogaa) Qayaamat Ke Din Khudaa Unke Darmiyaan Thik Faislaa Kar Dega.

SALWAAT.

QURAAN MAJEED.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 114 TO 116.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 114 :-

وَمَنْ أَظْلَمُ مِمَّن مَّنَعَ مَسَاجِدَ اللَّهِ أَن يُذْكَرَ فِيهَا اسْمُهُ وَسَعَىٰ فِي خَرَابِهَا أُولَٰئِكَ مَا كَانَ لَهُمْ أَن يَدْخُلُوهَا إِلَّا خَائِفِينَ لَهُمْ فِي الدُّنْيَا خِزْيٌ وَلَهُمْ فِي الْآخِرَةِ عَذَابٌ عَظِيمٌ ●
1⃣1⃣4⃣ Wa-man Azlamu Mimmam-Mana'a Masaajidal Laahi Ai-Yuzkara Feehas Muhoo Wa Sa'aa Fee Kharaabihaaa; Ulaaa'ika Maa Kaana Lahum Ai Yadkhuloohaaa illaa Khaaa''afeen; Lahum Fiddunyaa Khizyunw Wa Lahum Fil Aakhirati 'Azaabun 'Azeem.
➡ Aur Isse Badhkar Zaalim Kaun Hoga Jo Khudaa Ki Masjeedo Me Uska Naam Liye Jaane Se (Logo Ko) Roke Aur Unki Barbaadi Ke Darpe Ho ? Aiso Hi Ko Isme Jaanaa Munaseeb Nahi. Magar Saheme Hue Aise Hi Logo Ke Lie Duniyaa Me Rooswaai Hai Aur Aise Hi Logo Ke Lie Aakhrat Me Badaa Bhaari Azaab Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 115 :-

وَلِلَّهِ الْمَشْرِقُ وَالْمَغْرِبُ فَأَيْنَمَا تُوَلُّوا فَثَمَّ وَجْهُ اللَّهِ إِنَّ اللَّهَ وَاسِعٌ عَلِيمٌ ●
1⃣1⃣5⃣ Wa Lillaahil Mashriqu Walmaghrib; Fa Aynamaa Tuwalloo Fasamma Wajhullaah; Innal Laaha Waasi'un Aleem.
➡ (Tumhaare Masjeed Me Rokne Se Kyaa Hotaa Hai Kyoki Saari Zameen) Khudaa Hi Ki Hai  (Kyaa) Purab (Kyaa) Pashchim ? Pas Jahaa Kahi (Qible Ki Taraf) Rookh Karlo Wahi Khudaa Kaa Saamnaa Hai. Beshak Khudaa Badi Gunjaaish Waalaa Aur Khub Waaqif Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 116 :-

وَقَالُوا اتَّخَذَ اللَّهُ وَلَدًا سُبْحَانَهُ بَل لَّهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ كُلٌّ لَّهُ قَانِتُونَ ●
1⃣1⃣6⃣ Wa Qaalut Takhazal Laahu Waladan Subhaanahoo Bal Lahoo Maa Fis Samaawaati Wal Ardhi Kullul Lahoo Qaanitoon.
➡ Aur Yahood Kehne Lage Ki Khudaa Aulaad Rakhta Hai Haalaaki Wo (Is Bakhede Se) Paak Hai Balki Jo Kuchh Zameen O Aasmaan Me Hai Sab Usikaa Hai. Aur Sab Usike Farmaa Bardaar Hai.

SALWAAT.

QURAAN MAJEED.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 117 To 119.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 117 :-

بَدِيعُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَإِذَا قَضَىٰ أَمْرًا فَإِنَّمَا يَقُولُ لَهُ كُن فَيَكُونُ ●
1⃣1⃣7⃣ Badee'us Samaawaati Wal Ardhi Wa Izaa Qadhaaa Amran Fa Innamaa Yaqoolu Lahoo Kun Fayakoon.
➡ (Wahi) Aasmaan O Zameen Kaa Mawajjid Hai Aur Jab Kisi Kaam Kaa Karnaa Thaan Letaa Hai To Uski Nisbat Sirf Keh Detaa Hai Ki Ho Jaa, Pas Wo (Khud Ba Khud) Ho Jaataa Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 118 :-

وَقَالَ الَّذِينَ لَا يَعْلَمُونَ لَوْلَا يُكَلِّمُنَا اللَّهُ أَوْ تَأْتِينَا آيَةٌ كَذَٰلِكَ قَالَ الَّذِينَ مِن قَبْلِهِم مِّثْلَ قَوْلِهِمْ تَشَابَهَتْ قُلُوبُهُمْ قَدْ بَيَّنَّا الْآيَاتِ لِقَوْمٍ يُوقِنُونَ ●
1⃣1⃣8⃣ Wa Qaalal Lazeena Laa Ya'alamoona Lav Laa Yukallimunal Laahu Aw Taateenaaa Aayah; Kazaalika Qaalal Lazeena Min Qablihim Misla Qawlihim; Tashaabahat Quloobuhum; Qad Baiyanal Aayaati Liqawminy Yooqinoon.
➡ Aur Jo (Mushrekin) Kuchh Nahi Jaante Kehte Hai Ki Khudaa Hamse (Khud) Kalaam Kyo Nahi Kartaa ? Yaa Hamaare Paas (Khud) Koi Nishaani Kyo Nahi Aati. Isi Tarah Unhi Ki Si Baate Ve Log Kar Chuke Hai Jo Inse Pehle The. Insab Ke Dil Aapas Me Milte Julte Hai. Jo Log Yaqeen Rakhte Hai Unko To Apni Nishaaniyaa Saaf Taur Par Dikhaa Chuke.
---------------------------------------------
AAYAT - 119 :-

إِنَّا أَرْسَلْنَاكَ بِالْحَقِّ بَشِيرًا وَنَذِيرًا وَلَا تُسْأَلُ عَنْ أَصْحَابِ الْجَحِيمِ ●
1⃣1⃣9⃣ Innaaa Arsalnaaka Bilhaqqi Basheeranw Wa Nazeeranw Wa Laa Tus'alu 'Am Ashaabil Jaheem.
➡ (Ay Rasool s.a.w.w) Hamne Tumko Dine Haq Ke Saath (Behisht Ki) Khush Khabri Denewaalaa Aur (Azaab Se) Daraane Waalaa (Banaa) Kar Bhejaa Hai Aur Dozakhiyo Ke Baare Me Tumse Kuchh Naa Puchhaa Jaaegaa.

SALWAAT.

QURAAN MAJEED.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 120 To 122.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 120 :-

وَلَن تَرْضَىٰ عَنكَ الْيَهُودُ وَلَا النَّصَارَىٰ حَتَّىٰ تَتَّبِعَ مِلَّتَهُمْ قُلْ إِنَّ هُدَى اللَّهِ هُوَ الْهُدَىٰ وَلَئِنِ اتَّبَعْتَ أَهْوَاءَهُم بَعْدَ الَّذِي جَاءَكَ مِنَ الْعِلْمِ مَا لَكَ مِنَ اللَّهِ مِن وَلِيٍّ وَلَا نَصِيرٍ ●
1⃣2⃣0⃣ Wa-lan Tardhaa 'Ankal Yahoodu Wa Lan Nasaaraa Hattaa Tattabi'a Millatahum; Qul Inna Hudal Laahi Huwal-Hudaa; Wa La'init Taba'ata Ahwaaa'ahum Ba'adal Lazee Jaaa'aka Minal 'ilmi Maa Laka Minal Laahi Minw Waliyyinw Wa Laa Naseer.
➡ Aur (Ay Rasool s.a.w.w) Naa To Yahoodi Tumse Kabhi Razaamand Honge Naa Nasaaraa Yahaa Tak Ki Tum Unke Mazhab Ki Pairwi Karo. (Ay Rasool s.a.w.w) Unse Kehdo Ki Bas Khudaa Hi Ki Hidaayat To Hidaayat Hai. Aur Agar Tum Uske Baad Bhi Ki Tumhaare Paas ILM (Quraan) Aachukaa Hai Unki Khwaahisho Par Chale To Tumko Khudaa (Ke Gazab) Se Bachaane Waalaa Naa Koi Sarparast Hogaa Naa Madadgaar.
---------------------------------------------
AAYAT - 121 :-

الَّذِينَ آتَيْنَاهُمُ الْكِتَابَ يَتْلُونَهُ حَقَّ تِلَاوَتِهِ أُولَٰئِكَ يُؤْمِنُونَ بِهِ وَمَن يَكْفُرْ بِهِ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الْخَاسِرُونَ ●
1⃣2⃣1⃣ Allazeena Aatainaahumul Kitaaba Yatloonahoo Haqqa Tilaawatiheee Ulaaa'ika Yu'minoona Bi; Wa Mai Yakfur Bihee Fa Ulaaa'ika Humul Khaasiroon.
➡ Jin Logoko Hamne Kitaab (Quraan) Di Hai Ve Log Oose Is Tarah Padhte Rahete Hai Jo Iske Padhne Kaa Haq Hai. Yahi Log Ispar Imaan Laate Hai. Aur Jo Isse Inkaar Karte Hai Wohi Log Ghaate Me Hai.
---------------------------------------------
AAYAT - 122 :-

يَا بَنِي إِسْرَائِيلَ اذْكُرُوا نِعْمَتِيَ الَّتِي أَنْعَمْتُ عَلَيْكُمْ وَأَنِّي فَضَّلْتُكُمْ عَلَى الْعَالَمِينَ ●
1⃣2⃣2⃣ Yaa Baneee Israaa'eelaz-Kuroo Ni'amatiyal Lateee An'amtu 'Alaikum Wa Annee Faddhaltukum 'Alal 'Aalameen.
➡ Ay Bani Israa'il Meri Oon Ne'amato Ko Yaad Karo Jo Maine Tumko Di Hai. Aur Ye Ki Maine Tumko Saare Jahaan Par Fazilat Di.

SALWAAT.

QURAAN MAJEED.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 123 TO 125.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 123 :-

وَاتَّقُوا يَوْمًا لَّا تَجْزِي نَفْسٌ عَن نَّفْسٍ شَيْئًا وَلَا يُقْبَلُ مِنْهَا عَدْلٌ وَلَا تَنفَعُهَا شَفَاعَةٌ وَلَا هُمْ يُنصَرُونَ ●
1⃣2⃣3⃣ Wattaqoo Yawmal Laa Tajzee Nafsun 'An Nafsin Shai 'anw Wa Laa Yuqbalu Minhaa 'Adlunw Wa Laa Tanfa'uhaa Shafaa 'atunw Wa Laa Hum Yunsaroon.
➡ Aur Oos Dinse Daro Jis Din Koi Shakhs Kisi Ki Taraf Se Naa Fidyaa Ho Sakegaa Aur Naa Koi Uski Taraf Se Koi Muaawzaa Kubul Kiyaa Jaaegaa Aur Naa Koi Shifaarish Hi Faaydaa Pahuchaaegi Aur Naa Ve Log Madad Diye Jaaenge.
---------------------------------------------
AAYAT - 124 :-

وَإِذِ ابْتَلَىٰ إِبْرَاهِيمَ رَبُّهُ بِكَلِمَاتٍ فَأَتَمَّهُنَّ قَالَ إِنِّي جَاعِلُكَ لِلنَّاسِ إِمَامًا قَالَ وَمِن ذُرِّيَّتِي قَالَ لَا يَنَالُ عَهْدِي الظَّالِمِينَ ●
1⃣2⃣4⃣ Wa Izib Talaaa Ibraaheema Rabbuho Bi Kalimaatin Fa Atammahunna Qaala Innee Jaa'iluka Linnaasi Imaaman Qaala Wa Min Zurriyyatee Qaala Laa Yanaalu 'Ahdiz Zaalimeen.
➡ (Ay Rasool s.a.w.w Bani Israa'il Ko Wo Waqt Yaad Dilaao) Jab Ibraahim (a.s) Ko Unke Parwardeegaar Ne Chand Baato Me Aazmaayaa Aur Unhone Puraa Kar Diyaa To Khudaa Ne Farmaaayaa Mai Tumko (Logo Kaa) Peshwaa Banaane Waalaa Hu. (Hazrat Ibaraahim a.s. Ne) Arz Ki, Aur Meri Aulaad Mese ? Farmaayaa (Haa) Magar Mere Is Ohde Par Zaalimo Me Se Koi Shakhs Faaez Nahi Ho Saktaa.
---------------------------------------------
AAYAT - 125 :-

وَإِذْ جَعَلْنَا الْبَيْتَ مَثَابَةً لِّلنَّاسِ وَأَمْنًا وَاتَّخِذُوا مِن مَّقَامِ إِبْرَاهِيمَ مُصَلًّى وَعَهِدْنَا إِلَىٰ إِبْرَاهِيمَ وَإِسْمَاعِيلَ أَن طَهِّرَا بَيْتِيَ لِلطَّائِفِينَ وَالْعَاكِفِينَ وَالرُّكَّعِ السُّجُودِ ●
1⃣2⃣5⃣ Wa-iz Ja'alnal Baita Masaabatal Linnassi Wa Amnanw Wattakhizoo Mim Maqaami Ibraaheema Musallaaa; Wa 'Ahidnaaa ilaaa Ibraaheema Wa Ismaa'eela An Tahhiraa Baitiya littaaa'Ifeena Wal'aakifeena Warrukka'is Sujood.
➡ (Ay Rasool s.a.w.w Wo Waqt Bhi Yaad Dilaao) Jab Hamne Khaana E Kaabaa Ko Logo Ke Sawaab Aur Panaah Ki Jagah Karaar Di. Aur (Hukm Diya) Ki Ibraahim (a.s) Ki Is Jagah Ko Namaaz Ki Jagaah Banaao. Aur Ibraahim O Ismaa'il (a.s) Se Ahado Paimaan Liyaa Ki Mere (Is) Gharko Tawaaf Aur A'atekaaf Aur Ruku Aur Sajdaa Karne Waalo Ke Waaste Saaf Suthraa Rakho.

SALWAAT

•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 126 To 128
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 126 :-

وَإِذْ قَالَ إِبْرَاهِيمُ رَبِّ اجْعَلْ هَٰذَا بَلَدًا آمِنًا وَارْزُقْ أَهْلَهُ مِنَ الثَّمَرَاتِ مَنْ آمَنَ مِنْهُم بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ قَالَ وَمَن كَفَرَ فَأُمَتِّعُهُ قَلِيلًا ثُمَّ أَضْطَرُّهُ إِلَىٰ عَذَابِ النَّارِ وَبِئْسَ الْمَصِيرُ ●
1⃣2⃣6⃣ Wa-iz Qaala Ibraaheemu Rabbij 'Al Haazaa Baladan Aaminanw Warzuq Ahlahoo Minas Samaraati Man Aamana Minhum Billaahi Wal Yawmil Aakhiri Qaala Wa Man Kafara Faumatti'uhoo Qaleelan Summa Adhtarruhooo ilaa 'Azaabin Naari Wa Bi'asal Maseer.
➡ Aur (Ay Rasool s.a.w.w Wo Waqt Bhi Yaad Dilaao) Jab Ibraahim (a.s) Ne Duaa Maangi Ki Ay Mere Parwardigaar Is Shaher Ko Panaah O Aman Ka Shaher Banaa Aur Iske Rahene Waalo Me Se Jo Khudaa Aur Roze Aakherat Par Imaan Laae Usko Tarah Tarah Ke Fal Khaane Ko De. Khudaa Ne Farmaayaa  (Achchhaa Magar) Jo Kufr Ikhteeyaar Karegaa Uskaa Duniyaa Me Chand Roz (Oon Cheezo Se) Faaydaa Uthaane Dunga Fir (Aakherat Me) Usko Majboor Karke Dozakh Ki Taraf Khinch Le Jaaunga. Aur Wo Bahut Buraa Thikaanaa Hai.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
AAYAT - 127 :-

وَإِذْ يَرْفَعُ إِبْرَاهِيمُ الْقَوَاعِدَ مِنَ الْبَيْتِ وَإِسْمَاعِيلُ رَبَّنَا تَقَبَّلْ مِنَّا إِنَّكَ أَنتَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ ●
1⃣2⃣7⃣ Wa-iz Yarfa'u Ibraaheemul Qawaa'ida Minal Baitiwa Ismaa'eelu Rabbanaa Taqabbal Minnaa Innaka Antas Samee'ul Aleem.
➡ Aur (Wo Waqt Bhi Yaad Dilaao) Jab Ibraahim O Ismaa'il (a.s) Kaana E Kaabaa Ki Buniyaade Buland Kar Rahe The (Aur Duaa Maangte The Ki) Hamaare Parwardigaar Hamaari (Ye Khidmat) Kubul Kar, Beshak Tuhi (Duaa Kaa) Sunnewaalaa Aur (Niyyat) Kaa Jaanne Waalaa Hai.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
AAYAT - 128 :-

رَبَّنَا وَاجْعَلْنَا مُسْلِمَيْنِ لَكَ وَمِن ذُرِّيَّتِنَا أُمَّةً مُّسْلِمَةً لَّكَ وَأَرِنَا مَنَاسِكَنَا وَتُبْ عَلَيْنَا إِنَّكَ أَنتَ التَّوَّابُ الرَّحِيمُ ●
1⃣2⃣8⃣ Rabbanaa Waj'alnaa Muslimayni Laka Wa Min Zurriyyatinaaa Ummatam Muslimatal Laka Wa Arinaa Manaasikanaa Wa Tub 'Alainaa Innaka Antat Tawwaabur Raheem.
➡ (Aur) Ay Hamaare Paalnewaale Tu Hame Apna Farmaabardaar Bandaa Banaa Aur Hamaari Aulaad Se 1 Giroh (Paidaa Kar) Jo Teraa Farmaabardaar Ho. Aur Hamko Hamaare Hajj Ki Jaghe Dikhaa De, Aur Hamaari Taubaa Kabul Kar. Beshak Tuhi Badaa Taubaa Kabul Karnewaalaa, Maherbaan Hai.

SALWAAT.

•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 129 TO 131.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 129 :-

رَبَّنَا وَابْعَثْ فِيهِمْ رَسُولًا مِّنْهُمْ يَتْلُو عَلَيْهِمْ آيَاتِكَ وَيُعَلِّمُهُمُ الْكِتَابَ وَالْحِكْمَةَ وَيُزَكِّيهِمْ إِنَّكَ أَنتَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ ●
1⃣2⃣9⃣ Rabbanaa Wab'as Feehim Rasoolam Minhum Yatloo 'Alaihim Aayaatika Wa Yu'allimuhumul Kitaaba Wal Hikmata a Yuzakkeehim; Innaka Antal 'Azeezul Hakeem.
➡  (Aur) Ay Hamaare Paalnewaale Makkawaalo Me Unhi Me Se 1 Rasool Ko Bhej Jo Unko Teri Aayate Padhkar Sunaae Aur Aasmaani Kitaab Aur Aql Ki Baate Sikhaae Aur Oon (Ke Nufus) Ko Paakizaa Karaar De. Beshak Tuhi Gaaleeb Aur Saahebe Tadbeer Hai.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
AAYAT - 130 :-

وَمَن يَرْغَبُ عَن مِّلَّةِ إِبْرَاهِيمَ إِلَّا مَن سَفِهَ نَفْسَهُ وَلَقَدِ اصْطَفَيْنَاهُ فِي الدُّنْيَا وَإِنَّهُ فِي الْآخِرَةِ لَمِنَ الصَّالِحِينَ ●
1⃣3⃣0⃣ Wa Many Yarghabu 'Am-Millati Ibraaheema illaa Man Safiha Nafsah; Wa Laqadis Tafaynaahu f Fid-Dunyaa Wa Innaho Fil Aakhirati Laminas Saaliheen.
➡ Aur Kaun Hai Jo Ibraahim (a.s) Ke Tarike Se Nusrat Kare ? Magar Jo Apne Ko Ahmak Banaa'a Aur Beshak Hamne Unko Duniyaa Me Bhi Muntakhib Kar Liyaa Aur Wo Sirf Aakherat Me Bhi Achchho Hi Me Se Honge.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
AAYAT - 131 :-

إِذْ قَالَ لَهُ رَبُّهُ أَسْلِمْ قَالَ أَسْلَمْتُ لِرَبِّ الْعَالَمِينَ ●
1⃣3⃣1⃣ Iz Qaala Lahoo Rabbuhooo Aslim Qaala Aslamtu Li-Rabbil 'Aalameen.
➡ Jab Usse Unke Parwar Digaar Ne Kahaa Islaam Kubul Karo To Arz Ki Mai Saare Jahaa Ke Parwar Digaarpar Islaam Laayaa.

SALWAAT.

•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 132 TO 134.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 132 :-

وَوَصَّىٰ بِهَا إِبْرَاهِيمُ بَنِيهِ وَيَعْقُوبُ يَا بَنِيَّ إِنَّ اللَّهَ اصْطَفَىٰ لَكُمُ الدِّينَ فَلَا تَمُوتُنَّ إِلَّا وَأَنتُم مُّسْلِمُونَ ●
1⃣3⃣2⃣ Wa Wassaa Bihaaa Ibraaheemu Baneehi Wa Ya'aqoob, Yaa Baniyya Innal Laahas Tafaa Lakumud Deena Falaa Tamootunna illaa Wa Antum Muslimoon.
➡ Aur Isi Tarike Ki Ibraahim (a.s) Ne Apni Aulaad Se Wasiyat Ki Aur Yaqoob (a.s) Ne (Bhi) Ki Ay Farzando Khudaa Ne Tumhaare Waaste Is Din (Islaam) Ko Pasand Farmaayaa Hai. Pas Tum Hargeez Naa Marnaa Magar Musalmaan Hi Hokar.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
AAYAT - 133 :-

أَمْ كُنتُمْ شُهَدَاءَ إِذْ حَضَرَ يَعْقُوبَ الْمَوْتُ إِذْ قَالَ لِبَنِيهِ مَا تَعْبُدُونَ مِن بَعْدِي قَالُوا نَعْبُدُ إِلَٰهَكَ وَإِلَٰهَ آبَائِكَ إِبْرَاهِيمَ وَإِسْمَاعِيلَ وَإِسْحَاقَ إِلَٰهًا وَاحِدًا وَنَحْنُ لَهُ مُسْلِمُونَ ●
1⃣3⃣3⃣ Am Kuntum Shuhadaaa'a Iz Hadhara Ya'qoobal Mawtu Iz Qaala Libaneehi Maa Ta'abudoona Mim Ba'adee Qaaloo Na'abudu ilaahaka Wa ilaaha Aabaaa'ika Ibraaheema Wa Ismaa'eela Wa Ishaaqa ilaahanw Waahidanw Wa Nahnu Lahoo Muslimoon.
➡ (Ay Yahood) Kya Tum Is Waqt Maujood The Jab Yaqoob (a.s) Ke Sar Par Maut Aa Khadi Hui ? Oos Waqt Unhone Apne Beto Se Kahaa Mere Baad Kiski Ibaadat Karoge ? Kehne Lage Ham Aap Ke Maabud Aur Aapke Baap Dadao Ibraahim O Is'haaq (a.s) Ke Maa'abood Yaktaa Khudaa Ki Ibaadat Karenge Aur Ham Usike Farmaa Bardaar Hai.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
AAYAT - 134 :-

تِلْكَ أُمَّةٌ قَدْ خَلَتْ لَهَا مَا كَسَبَتْ وَلَكُم مَّا كَسَبْتُمْ وَلَا تُسْأَلُونَ عَمَّا كَانُوا يَعْمَلُونَ ●
1⃣3⃣4⃣ Tilka Ummatun Qad Khalat Lahaa Maa Kasabat Wa Lakum Naa Kasabtum Wa Laa Tus'aloona 'Ammaa Kaano Ya'amaloon.
➡ (Ay Yahood) Ve Log The Jo Chal Base. Jo Unhone Kamaayaa Unke Aage Aayaa Aur Jo Tum Kamaaoge Tumhaare Aage Aaegaa. Aur Jo Kuchh Bhi Wo Karte The Uski Puchhgachh Tumse Nahi Hogi.

SALWAAT.

•••••••••••••••••••••••••••••••••••••
SURE BAQARA. ( SURA - 2 )
AAYAT - 135 TO 138.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 135 :-

وَقَالُوا كُونُوا هُودًا أَوْ نَصَارَىٰ تَهْتَدُوا قُلْ بَلْ مِلَّةَ إِبْرَاهِيمَ حَنِيفًا وَمَا كَانَ مِنَ الْمُشْرِكِينَ ●
1⃣3⃣5⃣ Wa Qaaloo Koonoo Hoodan Aw Nasaaraa Tah-tadoo; Qul Bal Millata Ibraaheema Haneefanw Wa Maa Kaana Minal Mushrikeen.
➡ (Yahoodi, Isaai, Musalmaano Se) Kehte Hai Ki Yahoodi Yaa Nasraani Ho Jaao To Raahe Raast Par Aa Jaaoge (Ay Rasool s.a.w.w Unse) Kehdo Ki Ham Ibraahim (a.s) Ke Tarike Par Hai Jo Baatil Se Katraakar Chalte The Aur Mushrekin Se Naa The.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
AAYAT - 136 :-

قُولُوا آمَنَّا بِاللَّهِ وَمَا أُنزِلَ إِلَيْنَا وَمَا أُنزِلَ إِلَىٰ إِبْرَاهِيمَ وَإِسْمَاعِيلَ وَإِسْحَاقَ وَيَعْقُوبَ وَالْأَسْبَاطِ وَمَا أُوتِيَ مُوسَىٰ وَعِيسَىٰ وَمَا أُوتِيَ النَّبِيُّونَ مِن رَّبِّهِمْ لَا نُفَرِّقُ بَيْنَ أَحَدٍ مِّنْهُمْ وَنَحْنُ لَهُ مُسْلِمُونَ ●
1⃣3⃣6⃣ Qoolooo Aamannaa Billaahi Wa Maaa Unzila ilainaa Wa Maaa Unzila ilaaa Ibraaheema Wa Ismaa'eela Wa Ishaaqa Wa Ya'qooba Wal Asbaati Wa Maaootiya Moosa Wa 'Eesaa Wa Maaa Ootiyan Nabiyyoona Mir Rabbihim Laa Nufaariqo Baina Ahadim Minhum Wa Nahnu Lahoo Muslimoon.
➡ (Musalmaano Tum) Kaho Ki Ham To Khudaa Par Imaan Laae Hai Aur Uspar Jo Hampar Naazil Kiyaa Gayaa (Quraan) Aur Jo (Sahife) Ibraahim O Ismaa'il O Is'haaq O Yaaqoob Aur Aulaade Yaqoob (a.s) Par Naazil Hue The Unpar. Aur Jo (Kitaab) Musa O Isaa (a.s) Ko Di Gai (Uspar) Aur Jo Aur Paigambero Ko Unke Parwar Digaar Ki Taraf Se Unhe Diyaa Gayaa (Ispar) Hamto Unme Se Kisi (1) Me Bhi Tafreek Nahi Karte Aur Ham Khudaa Hi Ke Farmaabardaar Hai.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
AAYAT - 137 :-

فَإِنْ آمَنُوا بِمِثْلِ مَا آمَنتُم بِهِ فَقَدِ اهْتَدَوا وَّإِن تَوَلَّوْا فَإِنَّمَا هُمْ فِي شِقَاقٍ فَسَيَكْفِيكَهُمُ اللَّهُ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ ●
1⃣3⃣7⃣ Fa-In Aamanoo Bimisli Maaa Aamantum Bihee Faqadih Tadaw Wa-In Tawallaw Fa Innamaa Hum Fee Shiqaaq; Fasayakfee Kahumul Laah; Wa Huwas Samee'ul Aleem.
➡ Pas Agar Ye Log Bhi Isi Tarah Imaan Laae Hai Jis Tarah Tum To Albatta Raahe Raast Par Aa Gaye Aur Wo Is Tarike Se Mooh Ferle To Bas Wo Sirf Tumhaari Zid Hi Par Hai. To (Ay Rasool s.a.w.w Unke Shar) Se Bachaane Ko Tumhaare Lie Khudaa Kaafi Hogaa. Aur Wo (Sabki Haalat) Khub Jaantaa (Aur) Suntaa Hai.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
AAYAT - 138 :-

صِبْغَةَ اللَّهِ وَمَنْ أَحْسَنُ مِنَ اللَّهِ صِبْغَةً وَنَحْنُ لَهُ عَابِدُونَ ●
1⃣3⃣8⃣ Sibghatal Laahi Wa Man Ahsanu Minal Laahi Sibghatanw Wa Nahnu Lahoo 'Aabidoon.
➡ (Musalmaano Se Kaho Ki) Rang To Khudaa Hi Kaa Rang Hai Jisme Tum Range Gaye Aur Khudaai Rang Se Behtar Kaun Rang Hogaa Aur Ham To Usiki Ibaadat Karte Hai.

SALWAAT.

•••••••••••••••••••••••••••••••••••••

SURE BAQARA. (SURA - 2)
AAYAT - 139 TO 141.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
AAYAT - 139 :-

قُلْ أَتُحَاجُّونَنَا فِي اللَّهِ وَهُوَ رَبُّنَا وَرَبُّكُمْ وَلَنَا أَعْمَالُنَا وَلَكُمْ أَعْمَالُكُمْ وَنَحْنُ لَهُ مُخْلِصُونَ ●
1⃣3⃣9⃣ Qul Atuhaaajjoo Nanaa Fil Laahi Wa Huwa Rabbunaa Wa Rabbukum Wa Lanaa Aa'maalunaa Wa Lakum Aa'maalukum Wa Nahnu Lahoo Mukhlisoon.
➡ (Ay Rasool s.a.w.w) Tum Inse Puchho Ki Kya Tum Hamse Khudaa Ke Baare Me Jagadte Ho Haalaaki Wahi Hamaara (Bhi) Parwar Digaar Hai. Aur (Wahi) Tumhaaraa Bhi Parwardigaar  Hai Hamaare Lie Hai Hamaari Kaarguzaariyaa Aur Tumhaare Lie Tumhaari Kaarastaaniyaa Aur Hamto Nire Khare Usike Hai.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
AAYAT - 140 :-

أَمْ تَقُولُونَ إِنَّ إِبْرَاهِيمَ وَإِسْمَاعِيلَ وَإِسْحَاقَ وَيَعْقُوبَ وَالْأَسْبَاطَ كَانُوا هُودًا أَوْ نَصَارَىٰ قُلْ أَأَنتُمْ أَعْلَمُ أَمِ اللَّهُ وَمَنْ أَظْلَمُ مِمَّن كَتَمَ شَهَادَةً عِندَهُ مِنَ اللَّهِ وَمَا اللَّهُ بِغَافِلٍ عَمَّا تَعْمَلُونَ ●
1⃣4⃣0⃣ Am Taqooloona Inna Ibraaheema Wa Ismaa'eela Wa Ishaaq Wa Ya'aqooba Wal Asbaata Kaanoo Hoodan Aw Nasaaraa; Qul 'A-antum Aa'lamu Amil Laah; Wa Man Azlamu Mimman Katama Shahaadatan 'Indahoo Minallaah; Wa Mallaahu Bighaafeelin 'Ammaa Ta'amaloon.
➡ Kyaa Tum Kehte Ho Ki Ibraahim O Ismaa'il O Is'haaq (a.s) Wa Aulade Yaaqoob  Sabke Sab Yahoodi Yaa Nasraani The ? (Ay Rasool s.a.w.w Inse) Puchho To Ki Tum Zyaada Waakif Ho Yaa Khudaa ? Aur Isse Badhkar Kaun Zaalim Hogaa Jiske Paas Khudaa Ki Taraf Se Gawaahi (Maujood) Ho (Ki Wo Yahoodi Naa The) Aur Fir Chhupae ? Aur Jo Kuchh Tum Karte Ho Khudaa Usse Bekhabar Nahi.
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
AAYAT - 141 :-

تِلْكَ أُمَّةٌ قَدْ خَلَتْ لَهَا مَا كَسَبَتْ وَلَكُم مَّا كَسَبْتُمْ وَلَا تُسْأَلُونَ عَمَّا كَانُوا يَعْمَلُونَ ●
1⃣4⃣1⃣ Tilka Ummatun Qad Khalat Lahaa Naa Kasabat Wa Lakum Maa Kasabtum Wa Laa Tus'aloona 'Ammaa Kaano Ya'amaloon.
➡ Ye Wo Log The Jo Sudhar Chuke, Jo Kuchh Wo Kamaa Gae Unke Lie Thaa Aur Jo Kuchh Tum Kamaaoge Tumhaare Liye Hogaa. Aur Jo Kuchh Wo Kar Guzre Uski Puchhgachh Tumse Naa Hogi.

SALWAAT.

🔴Alhamdolillah Pehla Paara Khatm Huaa.

 
back to top